Sadqa e Fitr

6:42 pm

Hadees Shareef

Hazrat Ibn Umar RadiAllahuTa'alaAnhuma Ne Kaha Ke Rasool e Kareem ﷺ Ne Wajib Tehraya Sadqa e Fitr Ko Ghulaam, Aazaad  Mard  Awrat  Bachche Aur Budhe Har Musalmaan Per Ek Saa'a Jou Ya Khajoor,,
Aur Hukm Farmaya Ke Namaaz (Eid) Ke Liye Niklne Se Pehle Isko Ada Kiya Jaye.
(Bukhari, Muslim)

2. Hazrat Ibn Abbas RadiAllahuTa'alaAnhuma Ne Ramzan Ke Aakhir Me Logon Se Farmaya Ke Tum Log Apne Rozon Ka Sadqa Ada Karo.
Kyunke Huzoor ﷺ Ne Is Sadqe Ko Har Musalmaan Per Muqarrar Farmaya Hai  Khwah Woh Aazaad Ho Ya Ghulam, Mard Ho Ya Awrat, Chota Ho Ya Bada. Har Ek Ki Taraf Se Ek Saa'a Khajoor Ya Jou Ya Nisf Saa'a Gyahoon.
(Abu Dawood, Nisa'i)

3.Hazrat Abdulla Bin Sa'alabah Ya Sa'alabah
(ثعلبہ) Bin Abdullah Bin Abu Sagheer Apne Walid Se Riwayat Karte Hain Ke Huzoor AlaihisSalatoSalam Ne Farmaya Ke
Ek Saa'a Gyahoon Do (2) Aadmi Ki Taraf Se Kafi Hai. Khwah Woh Baligh Ho Ya Na-Baligh, Aazaad ho Ya Ghulaam  Mard Ho Ya Awrat.Khuda e Ta'ala Is Ki Ba-Doulat Tumhare Ghani Ko Paak Karta Hai Aur Faqeer Ko Isse Ziyadah Deta Hai. Jitna Ke Isne Diya
(Abu Dawood)

4.Hazrat Ibn E Abbas RadiAllahuTa'alaAnhuma Ne Kaha Ke Rasool e Kareem ﷺ Ne Sadqa e Fitr Isliye Muqarrar
Kiya Ke Lagho aur Be-Huda Kalaam Se Roza Ki Tahaarat Ho Jaye Aur Dosri Taraf Masakeen Ke Liye Khuraak Ho Jaye.
(Abu Dawood)

5.Hazrat Amr Bin Shu’aib RadiAllahuTa'alaAnhu Apne Baap Se Riwayat Karte Hain Ke Nabi Kareem ﷺ Ne Ek Shakshs Ko Bheja Ke Makka Shareef Ki Galiyoun Me A'elaan Karde Ke Sadqa e Fitr Har Musalmaan Per Wajib Hai Khwah Woh Mard Ho Ya Awrat  Aazaad Ho Ya Ghulam , Na-Baligh Ho Ya Baligh.
(Tirmidhi)

Masa'il:

1. Sadqa e Fitr Malik e Nisaab Per Wajib Hai Ke Apni Taraf Se Aur Apne Chote Bachchon Ki Taraf Se Nikale Jabke Bachcha Malik E Nisaab Na Ho. Aur Agar Ho To Bachche Ka Sadqa Usi Ke Maal Se Ada Kiya Jaye
(Dar e Mukhtaar , Bahaar)

2. Sadqa e Fitr Ke Masle Me Malik e Nisaab Woh Shakshs Hai Jo Shadhe Bawan Tola Chandi Ya Sadhe Saat Tola Sona Ka Malik Ho.
Ya Inme Se Kisi Ek Ki Qeemat Ka Samaan e Tijarat Ya Samaan e Ghair Tijarat Ka Malik Hi. Aur Mamlukah Cheezen Hajat E Asliya Se Zayid Hoon.

3. Sadqa e Fitr Wajib Hone Ke Liye Roza Rakhna Shart Nahi  Agar Kisi Uzr Maslan Safar, Marz, Budhape Ki Wajah Se Ya Ma'azAllah Bila Uzr Roza Na Rakha Jab Bhi Wajib Hai.
(Bahaar e Shariat)

4. Agar Baap Ghareeb Ho Ya Mar Gaya Ho To Dada Per Apne Ghareeb Yateem Pote, Poti Ki Taraf Se Sadqa e Fitr Dena Wajib Hai.
(Dar e Mukhtaar)

5. Gyahoon, Jao, Khajoor, Munaqqa Ke Ilawa Agar Kisi Dosri Cheez Se Fitra Ada Karna Chahe Maslan Chawla, Bajrah aur Koyi Ghalla To Aadha Sa'a Gyahoon Ya Ek Sa'a Jao Ki Qeemat Ka Lihaaz Karna Hoga.
(Bahar e Shariat)

6. Eid Ke Din Tulu e Fajr Ke Baad Idgah Jane Se Pehle Sadqa e Fitr Nikalna Mustahab Hai.
(Fatawa Aalamgeer)

7. Mah e Ramadan Aur Ramadan Se Beshtar Sadqa e Fitr Ada Karna Jaiz Hai.
(Fatawa Aalamgeer) 

You Might Also Like

0 comments

Featured post

Sitamgaron Ka Bura Anjam

yazeed Ki Hilakat Ke Baad Ahle Hijaz O Yaman Aur Iraq O Khirasan Walon Ne To Hazrath Abdullah Bin Zubair Ke Hath Per Baiat Ki Aur Misr O Sh...