Bad-Mazhab

9:09 pm

Insan Ki Do(2) Qismen Hain .
Musalmaan Aur Kafir.
Phir Kafir ki Bhi Do(2) Qismen Hain , 
Kafir e Asli aur Kafir e Murtad.

Kafir e Asli Woh kafir Hai Jo Shuru Hi Se Kalma e Islam Ko na Maanta Ho.
Jaise Deheriya,Majusi,Mushrik Aur Yahood-o-nasara Waghaira.

Kafir e Murtad Ki Bhi Do(2) Qismen Hain.
Murtad Mujaahir Aur Murtad Munaafiq.

Murtad Mujahir Woh Kafir Hai Ke Jo Pehle Musalmaan Tha  Phir Khullam Khulla Islam Se Phir Gaya ,Aur Kalma e Shahadat (لا إله إلا الله ) Ka Inkaar Karke daheriya,Mushrik,Majusi Aur 
Yahood O Nasara Waghaira Kuch Bhi Ho Gaya.

Murtad Munafiq Woh Kafir Hai Jo Kalma e Shahadat Ab Bhi Padhta Hai, Apne Aap ko Musalmaan Hi Kehta Hai.Magar Khuda Wande-e-Quddos, Huzoor Sayyed-e-Aalam SallallahuAlaihiWaSallam Ya Kisi Nabi Ki Touheen Karta Hai Ya Digar Zaruriyaat e Deen Me Se Kisi Baat Ka Inkaar Karta Hai .

Kafiron Me Sab Se Bura Yahi Murtad Munafiq Hai Ke Musalmaan Ban Kar Kufr Sikhata Hai Aur Allah Wa Rasool SallallahuAlaihiWaSallam Ko Gaaliyan Deta Hai.
Wal Iyazu Billahi Ta'ala.

Aur Musalmaan Ki Bhi Do(2) Qismen Hain,
Sahi Musalmaan Aur Gumrah.

Sahi Musalmaan Woh Hai Jo Zaruriyaat-e-Deen ko Tasleem Karne Ke Sath tamam Zaruriyaat e Ahle Sunnat Ko Bhi Maanta ho .

Gumrah Musalmaan Woh Bad-Mazhab Hai Jo Zariyaat e Ahle Sunnat Me Se Kisi baat Ka Inkaar Karta Ho Magar Uski Bad-Mazhabi Hadd-e-Kufr Ko na Pahonchi Ho.



Bad-Mazhab Aur Ahadees-e-Kareema

1.Hazrat Ibraheem Bin Maysarah RadiAllahuTa'alaAnhu Ne Kaha Ke Rasool e Kareem ﷺ Ne Farmaya Ke....
Jisne Kisi Bad-Mazhab Ki Ta'azeem O Touqeer Ki To Usne Islam Ke Dhane Per Madad Di.
(Mishkaat Shareef)

2. Hazrat Anas RadiAllahuTa'alaAnhu Se Riwayat Hai Ke Inhone Kaha Ke Sarkar e Aqdas ﷺ Ne Farmaya Ke
 Jab Tum Kisi Bad-Mazhab Ko Dekho To Uske Saamne Tursh-ruyi Se Pesh Aao. Isliye Ke Khuda e Ta'ala Har Bad-Mazhab Ko Dushman Rakhta Hai 
(Ibn-Asakar)

3. Hazrat Abu Amama RadiAllahuTa'alaAnhu Ne Kaha Ke Rasool e Kareem ﷺ Ne Farmaya Ke
Bad-Mazhab Dozakh Walon Ke Kutte Hain.

4. Hazrat Huzaifah RadiAllahuTa'alaAnhu Se Riwayat Hai Inhone Kaha Ke Rasool e Kareem ﷺ Ne Farmaya Ke
Khuda e Ta'ala Kisi Bad-Mazhab Ka Na Roza Qubool Karta Hai 
Na Namaaz,
 Na Zakat
 Na Hajj
 Na Umrah
 Na Jihaad
 Na Farz.
Bad-Mazhab Deen E Islam Se Aysa Nikal Jata Hai Jaisa Ke Gundhe Huwe Aate Se Baal Nikal Jata Hai.
(Ibn Maajah)

5. Sarkar e Aqdas ﷺ Ne Farmaya Ke
Bad-Mazhab Se Door Raho Aur
 Unhe Apne Qareeb Na Aane Do.
 Kaheen Woh Tumhe Gumrah Na Karden, Kaheen Woh Tumhe Fitne Me Na Daal den.
Agar Woh Bimaar Padhen To Unki Iyadat Na Karo,
Agar Mar Jayen To Unke Janaze Me Shareek Na Hoon.
Unse Mulaqaat Ho To Unhe Salaam Na Karo,
Unke Pass Na Baitho,
Unke Sath Paani Na Piyo,
Unke Sath Khana Na Khao,
Unke Sath Shadi-Biyah Na Karo 
Unke Janaze Ki Namaaz Na Padho
Aur
Na Unke Sath Namaaz Padho 

(Ye Hadees Muslim,Abu Dawood, Ibn Maja,Aqeel Aur Ibn Habban Ki Riwayat Ka Majmu'ah hai.)


Shawwal

8:28 am

Shawwal Ke 6 Roze

RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya 
Jisne Ramdan Ke Roze Rakhe, Phir Inke Ba'ad Che (6)Din Shawwal Ke Roze Rakhe To Woh Aysa Hai Jisne Hamesha Roza Rakha.

Aur Farmaya
Jisne Eid Ke Ba'ad Che (6) Roze Rakhe To Usne Pure Saal Ka Roza Rakha.

(Muslim O Mishkaat, Jild:1,Safa:179)


Sadqa e Fitr

6:42 pm

Hadees Shareef

Hazrat Ibn Umar RadiAllahuTa'alaAnhuma Ne Kaha Ke Rasool e Kareem ﷺ Ne Wajib Tehraya Sadqa e Fitr Ko Ghulaam, Aazaad  Mard  Awrat  Bachche Aur Budhe Har Musalmaan Per Ek Saa'a Jou Ya Khajoor,,
Aur Hukm Farmaya Ke Namaaz (Eid) Ke Liye Niklne Se Pehle Isko Ada Kiya Jaye.
(Bukhari, Muslim)

2. Hazrat Ibn Abbas RadiAllahuTa'alaAnhuma Ne Ramzan Ke Aakhir Me Logon Se Farmaya Ke Tum Log Apne Rozon Ka Sadqa Ada Karo.
Kyunke Huzoor ﷺ Ne Is Sadqe Ko Har Musalmaan Per Muqarrar Farmaya Hai  Khwah Woh Aazaad Ho Ya Ghulam, Mard Ho Ya Awrat, Chota Ho Ya Bada. Har Ek Ki Taraf Se Ek Saa'a Khajoor Ya Jou Ya Nisf Saa'a Gyahoon.
(Abu Dawood, Nisa'i)

3.Hazrat Abdulla Bin Sa'alabah Ya Sa'alabah
(ثعلبہ) Bin Abdullah Bin Abu Sagheer Apne Walid Se Riwayat Karte Hain Ke Huzoor AlaihisSalatoSalam Ne Farmaya Ke
Ek Saa'a Gyahoon Do (2) Aadmi Ki Taraf Se Kafi Hai. Khwah Woh Baligh Ho Ya Na-Baligh, Aazaad ho Ya Ghulaam  Mard Ho Ya Awrat.Khuda e Ta'ala Is Ki Ba-Doulat Tumhare Ghani Ko Paak Karta Hai Aur Faqeer Ko Isse Ziyadah Deta Hai. Jitna Ke Isne Diya
(Abu Dawood)

4.Hazrat Ibn E Abbas RadiAllahuTa'alaAnhuma Ne Kaha Ke Rasool e Kareem ﷺ Ne Sadqa e Fitr Isliye Muqarrar
Kiya Ke Lagho aur Be-Huda Kalaam Se Roza Ki Tahaarat Ho Jaye Aur Dosri Taraf Masakeen Ke Liye Khuraak Ho Jaye.
(Abu Dawood)

5.Hazrat Amr Bin Shu’aib RadiAllahuTa'alaAnhu Apne Baap Se Riwayat Karte Hain Ke Nabi Kareem ﷺ Ne Ek Shakshs Ko Bheja Ke Makka Shareef Ki Galiyoun Me A'elaan Karde Ke Sadqa e Fitr Har Musalmaan Per Wajib Hai Khwah Woh Mard Ho Ya Awrat  Aazaad Ho Ya Ghulam , Na-Baligh Ho Ya Baligh.
(Tirmidhi)

Masa'il:

1. Sadqa e Fitr Malik e Nisaab Per Wajib Hai Ke Apni Taraf Se Aur Apne Chote Bachchon Ki Taraf Se Nikale Jabke Bachcha Malik E Nisaab Na Ho. Aur Agar Ho To Bachche Ka Sadqa Usi Ke Maal Se Ada Kiya Jaye
(Dar e Mukhtaar , Bahaar)

2. Sadqa e Fitr Ke Masle Me Malik e Nisaab Woh Shakshs Hai Jo Shadhe Bawan Tola Chandi Ya Sadhe Saat Tola Sona Ka Malik Ho.
Ya Inme Se Kisi Ek Ki Qeemat Ka Samaan e Tijarat Ya Samaan e Ghair Tijarat Ka Malik Hi. Aur Mamlukah Cheezen Hajat E Asliya Se Zayid Hoon.

3. Sadqa e Fitr Wajib Hone Ke Liye Roza Rakhna Shart Nahi  Agar Kisi Uzr Maslan Safar, Marz, Budhape Ki Wajah Se Ya Ma'azAllah Bila Uzr Roza Na Rakha Jab Bhi Wajib Hai.
(Bahaar e Shariat)

4. Agar Baap Ghareeb Ho Ya Mar Gaya Ho To Dada Per Apne Ghareeb Yateem Pote, Poti Ki Taraf Se Sadqa e Fitr Dena Wajib Hai.
(Dar e Mukhtaar)

5. Gyahoon, Jao, Khajoor, Munaqqa Ke Ilawa Agar Kisi Dosri Cheez Se Fitra Ada Karna Chahe Maslan Chawla, Bajrah aur Koyi Ghalla To Aadha Sa'a Gyahoon Ya Ek Sa'a Jao Ki Qeemat Ka Lihaaz Karna Hoga.
(Bahar e Shariat)

6. Eid Ke Din Tulu e Fajr Ke Baad Idgah Jane Se Pehle Sadqa e Fitr Nikalna Mustahab Hai.
(Fatawa Aalamgeer)

7. Mah e Ramadan Aur Ramadan Se Beshtar Sadqa e Fitr Ada Karna Jaiz Hai.
(Fatawa Aalamgeer) 

The Battle of BADR

7:34 am

*بسم الله الرحمن الرحيم* *الصــلوة والسلام عليك يارسول الله ﷺ
Kaafiro ke khilaf Musalmano ki sab se pehli jang. Taarikh : 17 Ramazaan 2 Hijri (13 March 624 A.D.). Maqam : Madina Shareef se 130 km (80 miles) door Badr ka maidaan. Ta’adaad : Musalman 313, Kaafiro ka lashkar 1000.
Natija : Musalmano ki fateh.14 Musalman Shaheed Hue. Abu Jahl, Umayyah Bin Khalaf Aur Walid Ibn Mugheera Samet 70 Kaafir Qalt Hue Aur 70 Qaid Kiye Gaye.
Martaba : Jange Badr Me Saamil Hone Wale Ashaba Ka Martaba Ashra E Mubashara Ke Baad Sab Se Afzal Hai.2 Hijri (624 A.D.) Me Huzoor Sallallahu Alaihi Wa Sallam Ki Baargah Me Hazrate Jibreil Alaihis Salaam Ne Khabar Di Ki ‘Abu Sufyan Ki Sardari Me 30-40 Logo Ka Kaafila Shaam Se Makka Ja Raha Hai. ALLAH Ke Hukm Se Aap Un Par Hamla Karo.’

Badr Madina-E-Munawwara Se Takreeban 80 Meel Ke Fasile Par Ek Gaaon Ka Naam Hai Jahan Zamana-E-Jahilliyat Me Salana Mela Lagta Tha Yahan Ek Kuwaan Bhi Tha Jiske Malik Ka Naam Badr Tha Usi Ke Naam Par Is Jagah Ka Naam Badr Rakh Diya Gaya .
Allah Ta’ala Ne Jung-E-Badr Ke Din Ka Naam Youmul Furqan Rakha Quran Ki Surah Anfaal Me Tafseel Ke Saath Aur Doosri Suraton Me Ijmalan Baar Baar Is Ma'rike Ka Zikr Farmaya Aur Is Jung Me Musalmano Ki Fatah Mubeen Ke Baare Me Ehsaan Jatate Hue Khudawande Aalam Ne Quran-E-Majeed Me Irshad Farmaya
Tarjuma-E-Kanzul Imaan :Aur Yakeenan Khudawande Ta’ala Ne Tum Logon Ki Madad Farmayi Badr Me Jab Ki Tum Log Kamzor Aur Be-Saro-Saman The Toh Tum Log Allah Se Darte Raho Taaki Tum Log Shukr Guzar Ho Jaao !
Refe:( Al Qur’an: Surah Al Imran: Ayat: 123)
Huzoor Sallallahu Alaihi Wa Sallam Ne 313 Ashaba Ka Lashkar Tayyar Kiya Jin Me Hazrat Abu Bakr Siddeeq, Hazrat Umar Farooq, Hazrat Ali, Hazrat Ameer Hamza, Hazrat Mus’Ab Ibn Umair, Hazrat Zubair Bin Awwam, Hazrat Ammar Ibn Yasir, Hazrat Abu Zarr Ghifari, Hazrat Ubayy Ibn Ka’Ab, Hazrat Abdullah Ibn Mas’Ood Aur Hazrat Bilal Ibn Rabah Al-Habashi RadiAllahu Ta’Ala Anhuma Saamil The.Hazrat Usmaan Ghani RadiAllahu Ta’Ala Anhu Huzoor Sallallahu Alaihi Wa Sallam Ke Hukm Se Apni Beemar Biwi Ruqayyah Bint RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wa Sallam Ki Khidmat Ke Liye Madina Me Rooke. Is Liye Saamil Na Ho Sake.Hazrat Salman Faarsi Bhi Gulam Hone Ki Wajah Se Saamil Nahi Ho Sake
Ye Khabar Kisi Tarah Makka Ke Kaafiro Ko Mil Gai Aur Abu Jahl Qurish Ke Kaafiro Ka Bada Lashkar Saath Lekar Makka Se Nikla Jis Me Umayyah Ibn Khalaf, Utba Ibn Rabi’Ah, Shaiba Ibn Rabi’Ah, Walid Ibn Utba, Walid Ibn Mugheera Aur Hind Al-Hunnud Saamil The.Hazrate Jibreil Alaihis Salaam Ne Phir Se Huzoor Sallallahu Alaihi Wa Sallam Ki Baargah Me Haazir Hokar Khushkhabari Sunai ‘ALLAH Ta’Ala Aap Ki Madad Farmaega Aur Aap Ko Is Jang Me Fateh Haasil Hogi.’
17 Ramazaan Ko Badr Ke Maidan Me Jab Dono Lashkar Ka Saamna Hua To Kaafiro Ki Taraf Se Shaiba, Utba Aur Walid Ibn Mugheera Ko Bheja Gaya.
Huzoor Sallallahu Alaihi Wa Sallam Ne Abdullah Ibn Rawah, Awf Ibn Haaris Aur Mas’Ood Bin Haaris Ko Muqabale Me Bheja.
Kaafiro Ne Kaha ‘Aye Mohammad, Hamare Muqabale Me Hamare Hamsar Ko Bhejo.’
Phir Huzoor Sallallahu Alaihi Wa Sallam Ne Hazrate Ameer Hamza, Hazrate Ali Ibn Abi Taalib Aur Ubaida Ibne Haaris RadiAllahu Ta’Ala Anhuma Ko Muqable Ke Liye Bheja.
Hazrate Hamza Ne Shaiba Ko Qatl Kiya Aur Hazrate Ubaida Ke Buri Tarah Jakhmi Hone Ke Baad Utba Ko Bhi Qatl Kiya Aur Hazarte Ali Ne Walid Ibn Mugheera Ko Qatl Kar Diya.Phir Jab Jang Shuru Hui To Huzoor Sallallahu Alaihi Wa Sallam Ne Teerandajo Ko Aage Rehkar Muqabala Kiya. Is Se Bahut Saare Kaafir Halaaq Ho Gaye.
Jang Me Abu Jahl Ko Abdullah Ibn Mas’Ood RadiAllahu Ta’Ala Anhu Ne Aur Umayyah Bin Khalaf Ko Hazrate Bilal Al-Habashi Ne Qatl Kiya.Is Tarah Jang Me 70 Kaafir Qalt Hue Aur 70 Qaid Kiye Gaye Aur Baaqi Apni Jaan Bachakar Bhag Gaye.
14 Musalman Shaheed Hue Aur Musalmano Ko Fateh Haasil Hui.

We should remind ourselves that Asma' Ahl Badr (the names of the Muslim warriors of the Battle of Badr) are Jalali (Majestic). They need the Jamal (Beauty) of Salawat (Invocation of Blessings) to cool them.
So before we recite these, and after completing the recitation, it is recommended to recite Durood Shareef 100 times. Or instead, we can recite Qasidah al-Burda.... May Allah bless us with the faiz of Ashaab e Badr... Aameen

Shohada E Badr :
(1) Umair Bin Abi Waqqas Al-Muhajiri RadiAllahu Ta’Ala Anhu
(2) Safwan Bin Wahb Al-Muhajiri RadiAllahu Ta’Ala Anhu
(3) Zush-Shimaalain Ibn Abdi Amr Al-Muhajiri RadiAllahu Ta’Ala Anhu
(4) Mihja Bin Saalih Al-Muhajiri RadiAllahu Ta’Ala Anhu
(5) Aaqil Bin Al-Bukair Al-Muhajiri RadiAllahu Ta’Ala Anhu
(6) Ubaida Bin Al-Haris Al-Muhajiri RadiAllahu Ta’Ala Anhu
(7) Sa’Aad Bin Khaisama Al-Awsi RadiAllahu Ta’Ala Anhu
(8) Mubashshir Bin Abdul Munzir Al-Awsi RadiAllahu Ta’Ala Anhu
(9) Harisa Bin Suraaqa Al-Khazraji RadiAllahu Ta’Ala Anhu (10) Raafi' Bin Al-Mu’Alla Al-Khazraji RadiAllahu Ta’Ala Anhu
(11) Umair Bin Al-Humam Al-Khazraji RadiAllahu Ta’Ala Anhu
(12) Yazeed Bin Al-Haris Bin Fus-Hum Al-Khazraji RadiAllahu Ta’Ala Anhu
(13) Muaawwiz Bin Al-Haris Al-Khazraji RadiAllahu Ta’Ala Anhu
(14) Awf Bin Al-Harith Al-Khazraji RadiAllahu Ta’Ala Anhu.


Jaa'n Nisaaraane BADR-O-UHUD Par Durood...
Haq Guzaarane BAI'AT Pe Lakho'n Salaam!!!
Ashaba RadiAllahu Ta’Ala Anhuma Ne ALLAH Ta’Ala Ki Raza Ke Liye Ishqe Rasool Ke Saath Islaam Ki Hifazat Ke Liye Apne Jaano Maal Ki Qurbani Di Hai.
Is Ka Natija Hai Ke ALLAH Ke Karam Se Aaj Musalmano Ko Islaam Ki Hifazat Ke Liye Jang Ke Maidan Me Jaakar Apni Jaan Ki Qurbani Nahi Deni Padti.
Magar Hame Chahiye Asl Jihad Jaari Rakhen Ya’Ni Apne Nafs Ka Muqabala Karke Khwahishat Par Qaboo Rakhen Aur Gunaho Se Bachne Ki Aur Nek Amal Karne Ki Koshish Karen Aur Sahi Ilme Deen Sikhen Aur Us Par Khud Bhi Amal Karen Aur Dusro Ko Bhi Sikhayen.Aur Koi Bhi Aisa Amal Na Karen Jiski Wajah Se Kisi Ko Ye Kehna Ka Mauqa Mile Ki Musalman Sahi Amal Nahi Karte.ALLAH Ta’Ala Uske Habeeb Sallallahu Alaihi Wa Sallam Ke Sadqe Me
Aur Shohada E Badr RadiAllahu Ta’Ala Anhuma Aur Ashaba Ke Waseele Se
Sab Ko Mukammal Ishqe Rasool Ata Farmae Aur Sab Ke Eimaan Ki Hifazat Farmae Aur Sab Ko Nek Amal Karne Ki Taufiq Ata Farmae Aur Sab Ko Dunya Wa Aakhirat Me Kaamyabi Ata Farmae Aur Sab Ki Nek Jaiz Murado Ko Puri Farmae. Aameen Summa Aameen.
Hadees e Mubaraka
KAHAAÑ MARENGE ABU JAHAL O UTBA O SHEEBA_ KE JUNG E BADR KA NAQSHA HUZOOR ﷺ JAANTE HAI

KAHAAÑ MARENGE ABU JAHAL O UTBA O SHEEBA_ _KE JUNG E BADR KA NAQSHA HUZOOR ﷺ JAANTE HAI_Picture taken in 7/29/2012
Hazrate Anas رضي الله عنه Riwayat Farmate hain RasoolAllah ﷺ neMaidan e Jung me Jung se Pehle Zameen par Apna Haath Rakh kar Farmaya ki yeh falañ kaafir ke marne ki Jagah hai aur yeh falañ ki, Raawi kehte hai ki jis ko RasoolAllah ﷺ ne jahañ Haath Rakh Kar farmaya tha wahi par woh maara gaya.
Muslim Shareef, Jild 2, Safah 102.* Sunan Nasaai, Jild 1, Safah 226.*
Is Hadees Ko Padh Kar Yeh Andaza Lagana Mushkil Hai Ki Allah Ta'Ala Ne Apne Habib ﷺ Ko Kis Qadar Ilm Ata Farmaya Hai Ki Abhi Jung Nahi Huwi Hai Aur Aap ﷺ Ne Ek Ek Kaafir Ke Maare Jaane Ki Jagah Ki Nishandehi Farma Di Goya Aap ﷺ Yeh Bhi Jaante The Ki Kaun Kaun Maara Jaaega Aur Yeh Bhi Jaante The Ki Kahañ Maara Jaaega.
Jaa'n Nisaaraane BADR-O-UHUD Par Durood... ...Haq Guzaarane BAI'AT Pe Lakho'n Salaam!!!


Asma e Ashab e Badar RadiAllahuTa’alaAnhum >>

Download Pdf

Huzoor Durwesh Baba RahmatullahiTa'alaALai

8:29 am



Huzur Mufti e Azam o Alam RadiAllahu Anhu in his tour to South India have met Abba Huzur Hazrat Darvesh Baba Rahmatullahi Alaihi in Mundgod, when they both met for the first time they both understood the Maqam of one another. They greeted each other and handshake for very long time.

It's also the karamat of Abba Huzur Hazrat Darvesh Baba Rahmatullahi Alaihi that when he was going to Hajj, a photographer came to take Hazrat's photo to get the passport. He started taking photos of Hazrat however the camera roll couldn't capture Hazrat's photos, he continued to click until the whole camera roll finished but Hazrat's photo was not captured. He understood the reason and sought permission from Hazrat to let the camera capture his photo, upon insisting that without passport he won't be able to do Hajj only then Hazrat granted the permission and then in the first click the camera was able to capture Hazrat's photo.

Ye Woh Salaam Hai Jo Huzoor Abba Dua Go Durwesh Baba RahmatullahiTa'alaAlai Ne Hajj Ke Douraan Qiyaam e madina Me Sarkaar SallalalhuAlaihiWaSallam Ke Pass Se Qubuliyat Karke Aaye The.



-------------

Aur Kuch Karamaten Ba-Zuban Jo Aksar Hazrat Ki Bargah Me Hazri Diya Karte The Aur Hazrat ki Sohabat me kafi dair apni zindagi guzari hai Aur unke fuyuzo barkat se nawaze Gaye hain aur unki dhair sari duwayen b Lee hain.

Kya Baat Bataon Main Hazrat Durwesh Sha Ki,
Seerat Bhi jamali Hai surat Bhi Jamali Hai.

Hazarat Darvesh Baba Rahmuttallahi Tala Alaih Namaz Ada Kr Ne K Liye Masjid Me Aaye Jub Namaz Ka Waqat Huwa to Imam Sahab Mussalle Ki Aur Badhne Lage Imam Sahab Galti Se Mussalle Per Apne Dahina Kadam Pahale Rakha Ye Dekh Kr Darvesh Baba Ko Jalal Aagaya Fouran Darvesh Baba Ne Unn Imam Sahab Ko Aik Hi Hat Se Giraban Pakad Kr Phek Diya Jante Ho O Sahab Mussalle Se Masjid K Mussalle Se Masjid K Bahar Aaker Gire 
Isse Janiye Auliya Allah Ka Power Kya Hota Hai Ager Aik Bada Pailwan B Hota to Itni Door Tak Aik Hat Se Giraban Pakad Kr Nahi Phaik Sakta Kisi Ko B Uss Me Itni Taqat Nahi Hogi
Aur O Masjid Aaj B Mazar K Piche Hi Hai Bahut Shandar Masjid Hai

Aur Khurban Jao Unn Imam Sahab K Jumloun Pr Jub O Gire to Unhoune Kya Farmaya

Imam Sahab Ne Farmaya Ki Mujhe Jub Huzur Darvesh Baba Rehamuttallah Hi Tala Ne Phekha Tha to Mujhe Girne K Bad Aisa Ahsas Huwa Ki My Kisi Phuloun Ki Chadar Pr Aram Kr Raha Hon Aur Mery Tamam Thakan Door Horahi Hai Aur Mujhe Zarra Baraber B Nato Chot Aayi Nahi Dard Huwa.

(Front Side Of Masjid)

---------------


(Mazaar Paak Huzoor Durwesh Baba RahmatullahiTa'alaAlai)

Aik Martaba Huzur Darwesh Baba Asar Ki Namaz Padhi Aur Wahan Unke Kashane K Bahar 3 Log Unse Mulaqat Kr Ne K Liye Dihat Se Aaye Huwe the 
Darvesh Baba Ne Unn Tino Me Se 2 Logoun Ki Aur 3 Admi K Nishandahi Alag Kr Wayi Aur Unn Dono Logoun Ko Apne Se Qareeb Ane Se Roka Jo 3 Admi the Unko Apne Pas Bula Kr Unke Liye Duwa Ki 
Bad Logoun Ko Pata Chala Ki Unn Dono Logoun Ki Niyyat Sahi Nahi Thi

Isi Liye Buzurugane Deen Aur Ulma Ne Kaha Ki Wali K Samne Apne Dil Ko Sanbhalo Q K Unki Nazar Tumahare Dill Pr Hoti Hai Aur Ulma K Samne Apni Zaban Ko Sambhalo Q Ki Unki Nazar Tumahare Zuban Se Nikalne Wale Jumloun Pr Hoti Hai 

Darvesh Baba Ka Alam Ye Tha Ki O Apne Kashane Me Hi Baith Kr Malum Kr Lete the Kisi K Bina Bataya K Koun Bahar Hai O Kahan Se Aaye Hain Aur Unke Dilon Me Kya Hai

Subhan Allah 

Aaye Huzur Nabiye Kareem Sallalahu Alaihi O Sallam K Ilme Gaib K Munkiroun Ye to Wali Hain Jo Unke Gulam Hain 
Gulaman Ka Ye Hal Hai to Aqa Ka Kya Hal Hoga 

Beshak Allah Ne Sarkare Kareem Sallalahu Alaihi O Sallam Ko Har Cheez Ka Ilm Ata Kiya Hai.


Allah ke Waliyoun Ki Kya Shaan Nirali Hai,
Hai Koyi Jalali To Hai koyi Jamali.






----------
Woh Zindah karamat Thi Is Masjid E Aazam me,
Woh Matka Agar Rakhte Jo Hamne Ganwali Hai.

Hazarat Jub Hamare Shahar Aaye the Yahan Per Hamare Shahar Ki Pahali Masjid Ki Tamari Kam Chal Raha Tha Paison Ki Kami Thi Ye Bat Hazarat Ko Pata Chali Tub Hazarat Ne Aik Handi Di Usko Pack Kiya Aur Kaha K Jub Paison Ki Zarurat Padhe Jitne Chahiye Niyyat Kr K Handi K Ander Hat Dal Kr Kad Len Magar Kabhi Usme Jhank Kr Mat Dekhen Hazarat K Farman K Mutabiq Waise Hi Chalta Raha Jitne Ki Zarurat Hoti Sirf Utne Hi Paise Milte Pr Khuch Shor Machane Waloun Ne Hangama Kiya K Handi Me Kitne Paise Hain Unki Hat Darmi Ki Wajah Se Jub Handi Khol Kr Dekha Gaya to Usme Kuch Nahi Tha Aur Hangal Shareef Me Maqbool Ahmed Sha Qadri O B Aik Wali Hain Unko Ala Hazarat E Karnataka Kaha Jata Hai Wahan Pr Hangal Shareef Me Darvesh Baba Mufti E Azam Aur Shair Beshahare Ahale Sunnat Aaye Huwe the Sub Aik Dusre Se Mulaqat Ki Aur O Sabhi Aik Dusre Ka
Maqam O Martaba Jan Gaye

-----------

Ye Woh Shajra Mubaraka Hai Jo Huzoor Durwesh Baba RahmatullahiAlai Ka Hai.




Sha Ho Badesha Ho Kaisa Bi Ho Dar Pe Tere       
  Mangata Hi Ban Ke Aaya Mere Durwaish Baba




Featured post

Sitamgaron Ka Bura Anjam

yazeed Ki Hilakat Ke Baad Ahle Hijaz O Yaman Aur Iraq O Khirasan Walon Ne To Hazrath Abdullah Bin Zubair Ke Hath Per Baiat Ki Aur Misr O Sh...