Hazrat Umme Saa’ib RadiAllahuTa'alaAnha

7:54 pm

Ye Ek Budhiya Aur Nabina Sahabiya Hain. Jo Khuda Ki Rah Me Apna Watan Chod Kar Aur Hijrat Karke Madina Munawwara Aa Kar Rehne Lageen Theen.

Inki Bhi Ek Karamat Ajeeb O Ghareeb Hai. Aur Woh Ye Hai Ke Inka Ek Beta Jo Abhi Bachcha Tha Achanak Inteqaal Kar Gaya.
Logon Ne Uski Laash Ko Kapda Udha Diya Aur Hazrat Umme Saa'ib Ko Khabar Di Ke Aapka Bachcha  Inteqaal Kar Gaya.  Ye Sun Kar Inhone Aab Deedah Ho Kar Dono Hath Utha Kar Is Tarha Dua Mangi Ke..

"Ya Allah..! Main Tujh Per Imaan Layi Aur Main Ne Apna Watan Chod Kar Tere Rasool Ki Taraf Hijrat Ki Hai  Isliye Aye Mere Allah.! Main Tujh Se Dua Karti Hoon Ke Tu Mere Bachche Ki Mout Ki Musibat Mujh Per Mat Daal !."

Hazrat Anas Bin Malik Sahabi RadiAllahuTa'alaAnhu Ka Bayaan Hai Ke Hazrat Umme Sa'aib RadiAllahuTa'alaAnha Ki Dua Khatam Hote Hi Ek Dam Unka Bachcha Apne Chehre Se Kapda Utha Kar Uth Baitha Aur Zinda Ho Gaya.

Tabsira :

Islami Behno ! Ghour Karo Ke Huzoor E Aqdas ï·º Se Muhabbat Karne Waliyoun Aur Ibadat Guzaar Awraton Ko Khuda Wande Kareem Ne Kaisi Kaisi Karamaton Se Sarfaraaz Farmaya Hai. Tum Bhi Rasool e Paak Se Sachchi Muhabbat Rakho  Aur Qism Qism Ki Nekiyoun Aur Ibadaton Me Apni Zindagi Guzaar Do. KhudaWande Quddus Bada Raheem O Kareem Hai.
Ho Sakta Hai Ke Woh Apne Fazl O Karam Farma De Aur Tum Ko Bhi Sahib e Karamat Bana De.
(Jannati Zewer ) 

Hazrat Umme Shurayk RadiAllahuTa'alaAnha

10:26 pm

Ye Qabila 'Daws' Ki Ek Sahabiya Hain Jo Apne Watan Se Hijrat Karke Madina Munawwara Aagayi Theen. Ye Bahut Hi Ibadat Guzaar Aur SaHib e Karamat Bhi Theen. Inki Do Katamaten Bahot Mashoor Hain . Jinko Hamne Apni Kitaab "Karamat e Sahaba" Me Bhi Likha Hai

Ek Karamat To Ye Hai Ke Ye Hijrat Karke Madina Munawwara Ja Rahi Theen. Aur Rozadaar Theen. Raste Me Ek Yahudi Ke MAkaan Per Pahonchi Take Roza Iftiyaar Kar Len.Us Dushman e Islam Ne Inko Ek MAkaan Me Band Kar Diya Take Inko Roza Iftiyaar Karne Ke Liye Ek Qatar Pani Bhi Na Mil Sake. Jab Suraj Ghuroob Ho Gaya Aur Inko Roza Iftiyaar Karne Ki Fikr Huwi To Andheri Band Kothdi Me Achanak Kisine Thande Pani Ka Bhara Huwa Dool Unke Seene Per Rakh Diya. Aur Inhone Roza Iftiyaar Kar Liya.

Dosri Karamat Ye Hai Ke Unke Pass Chamde Ka Ek Kuppa Tha.Ek Din Unhone Us Kuppe Me Phoonk Maar Kar Usko Dhoop Me Rakh Diya. To Woh Kuppa Ghee Se Bhar Gaya. Phir Hamesha Us Kuppe Me Se Ghee Nikalta Raha. Yahan Tak Is Karamat Ka Charcha Ho Gaya Ke Log Kaha Karte The Ke Umme Shurayk Ka Kuppa Khuda Ki Nushaniyoun Me Se Ek Nishani Hai.

(Jannati Zewer, safa:411)

Hazrat Rubai’ bint Nadhr RadiAllahuTa'alaAnha

8:37 pm

Ye Mashoor Sahabi Hazrat Anas Bin Maalik RadiAllahuAnhu Ki Phuphi Hain.Bahot Hi Bahaddur aur Buland Housla Sahabiya Hain. Inke Farzand Harith Bin Suraqa RaiduAllahuAnhuma Bhi Bahot Ba-Kamaal Huwe.

Ansari Qaandaan Me Qabil e Fakhr Awrat Theen. Jab Unke Bete Harith Shaheed Ho Gaye To Unhone Kaha Ke
Ya RasoolAllah !
Agar Mera Beta Jannat Me Hai To Main Sabr Karongi Warna Itna Gham Manaoongi Ke Aap Bhi Dekhenge To Aapne Farmaya Ke Tera Jannatul Firdose Me Hai.

(Isti'aab, Jikd:4,Safa:1838)

Hazrat Umme Darda RadiAllahuTa'alaAnha

10:07 pm

Ye Mashoor Sahabi Hazrat Abu Darda RadiAllahuTa'alaAnhu Ki Biwi Hain  Bahot Samajhdaar, Nihayat Hi Aqalmand Sahabiya Hain.Ilmi Fazilat Ke Ilawa Ibadat Me Bhi Be-Misaal Theen. Apne Shohar Abu Darda RadiAllahuTa'alaAnha Se Do Saal Pehle Mulk e Shaam Me Hazrat Usmaan RadiAllahuTa'alaAnhu Ki Khilafat Ke Douraan Inki Wafat Huwi .!

(Isti'aab, Jild :4,Safa:1934)

Hazrat Shifa Bint Abdullah RadiAllahuTa'alaAnha

9:33 pm

Ye Hijrat Se Pehle Hi Musalmaan Ho Gayi Theen  Bahot Hi Aqalmand Aur Fazl O Kamaal Wali Awrat Theen.
Huzoor Akram ï·º In Per Bahot Ziyadah Shafaqqat O Karam Farmate The.Inhone Huzoor Akram ï·º Ke Liye Ek Makhsoos Bistar Bana Rakha Tha Ke Jab Aap ï·º Dopaher Me Kabhi Kabhi Unke MAkaan Per Qailullah (Mid-day Nap)  Farmate The To Woh Is Bistar Ko Bicha Deti Theen. Dosra Koyi Shakshs Bhi Na Us Bistar Per So Sakta Tha Na Baith Sakta Tha.

(Isti'aab, Jild :4,1868)

Tabsira:

SUBHANALLAH....
Inke Qalb Me Kis Qadar Huzoor ï·º Ki Azmat Aur Kitna Nubuwwaat Ka EhteraAm Tha Ke Jis Bistar Per Huzoor Akram ï·º Ne Aaraam Farma Liya inhone Dosre Kisi Shakshs Ko Bhi Us Per Baithne Nahi Diya  Ye Bistar Hazrat Shifa RadiAllahuTa'alaAnha Ke Baad Inke Sahebzada Hazrat Sayyiduna Sulayman bin Abi Huthma Ke Pass Ek Yaadgaari Tabarruk Hone Ki Haisiyat Se Mehfooz Raha.
Magar Hakim e Madina Marwaan Bin Hakim Amwi Ne Is Muqaddas Bichone Ko Inse Cheen Liya  Is Tarha Ye Tabarruk Lapata Ho Kar Zaye Ho Gaya.

Huzoor Akram ï·º Ne Hazrat Shifa RadiAllahuTa'alaAnha Ko Jageer Me Ek Ghar Bhi Ata Farmaya Tha. Jis Me Ye Apne Bete Sulayman Ke Sath Raha Karti Theen. Hazrat Ameerul Momineen Umar RadiAllahuTa'alaAnhu Inki Bahot Qadr Karte The Balke Bahot Se Malumaat Me Inse Mashwara Talab Kiya Karte The Inko Bichu Ke Dank Ka Zaher Utaarne Wala Ek Mantar Bhi Yaad Tha. Aur Huzoor ï·º Ne Inse Farmaya Tha Ke Tum Ye Mantar Meri Biwi Hazrat Hafsah RadiAllahuTa'alaAnha Ko Bhi Sikha Do. Algharz Ye Bargah e Nubuwwat Me Muqarrab Theen. Aur Huzoor AlaihisSalatoSalam Ke Ishq O Muhabbat Ki Doulat Se Mala Maal Theen.
(Isti'aab  Jild :4,Safa:1868)

Hazrat Umme Kulthum Bint Uqba RadiAllahuTa'alaAnha

6:44 pm

Ye Makka Mukarrama Me Musalmaan Huween  Aur Chunki Muflisi Ki Wajah Se Sawari Ka Intezaam Na Ho Saka  Isliye Paidal Chal Kar Inhone Hijrat Ki. Aur Madina Munawwara Pahonch Kar Huzoor ï·º Se Bai’at Huween.

Madine Me Inse Hazrat Zaid bin Haaritha  RadiAllahuTa'alaAnhu Nikah Farmaya Liya. Phir Jab Jang Mawta  Me Shaheed Ho Gaye. To Inse Jannati Sahabi Hazrat Zubair RadiAllahuTa'alaAnhu Ne Inse Nikah Farmaya  Phir  Talaq Dedi To Dosre Jannati Sahabi Hazrat Abdur Rahman Bin Awf RadiAllahuTa'alaAnhu Ne Inse Nikah Farma Liya  Inke Shikam Se Ibrahim O Humaid  Do  Farzand Paida Huwe.

Phir Jab Hazrat  Abdur Rahman Bin Awf RadiAllahuTa'alaAnhu Ki Wafat Hogayi To Fateh Misr Hazrat Amr  Bin A'as RadiAllahuTa'alaAnhu Ne Inse Nikah Kiya Aur Chand Mahine Zinda Rah Kar Wafat Pagayeen.

Ye Hazrat  Usmaan Ghani RadiAllahuTa'alaAnhu Ki Maa Ki Taraf Se Behan Hain.

(Isti'aab  Jild :4,Safa:1953)

Tabsira :

MusalMaan Behno.. .  !
Ghour Karo Ke Inhone Islam Ki Muhabbat Me Apne Ghar Ko Chohda Aur Watan Ko Chohd Kar Paidal Hijrat Ki Aur Madina  Ja Kar Huzoor ï·º Se Bai'at Huween. Phir Ye Bhi Ghour Karo Ke ...
Inhone Eke Baad Deegare Chaar Shoharon Se Nikah Kiya Isme Un Awraton Ke Liye Bahot Bada Sabaq Hai Jo Dosra Nikah Karne Ko Aaib Samajhti Hain Aur Puri Umr Bila Shohar Ke Guzaar Deti Hain . 

Hazrat Umme Haani Bint Abu Talib RadiAllahuTa'alaAnha

12:13 am

Ye Hazrat Ali RadiAllahuTa'alaAnhu Ki Behan Hain. Fath Makka Ke Saal 8 Sane Hijri Me Inhone Islam Qubool Kar Liya Tha. Zuhoor e Islam Se Pehle Hi Inki Shadi Hubayra bin Abi Wahb Ke Sath Ho Gayi Thi. Hubayra Apne Kufr Per Ada Raha. Aur Musalmaan Nahi Huwa. Isliye Miyan Biwi Me Judayi Ho Gayi. Huzoor E Aqdas ï·º Ne Inke Zakhmi Dil Ko Taskeen Dene Ke Liye Inke Pass Kehla Bheja Ke Agar Tumhari Khwahish Ho To Main Khud Tumse Nikah Karlon.
Unhone Jawaab Me Arz Kiya Ke.
Ya RasoolAllah ï·º Jab Main Kufr Ki Halat Me Aapse Muhabbat Karti Thi. To Phir Islam Ki Doulat Mil Jane Ke Baad Me Kyun Na Aapse Muhabbat Karongi. Lekin Badi Mushkil Ye Hai Ke Mere Chote Chote Bachche Hain. Mujhe Khouf Hai Ke Mere In Bachchon Ki Wajah Se Aap Ko Koyi Takleef Na Pahonch Jaye. Huzoor ï·º Unka Jawaab Sun Kar Mutmain Ho Gaye.
(Isti'aab, Jild :4)

Hazrat Umme Haani Radi RadiAllahuTa'alaAnha Ki Ye Do Khususiyat Bahot Ziyadah Ba'ais E Sharaf Hain.

Ek Ye Ke Fatah e Makka Ke Din Hazrat Umme Haani RadiAllahuTa'alaAnha Ne Ek Kafir Ko Amaan Aur Panah Dedi Iske Ba'ad Hazrat Ali RadiAllahuTa'alaAnhu Ne Us Kafir Ko Qatl Karna Chaha.Jab Hazrat Umme Haani Ne Huzoor ï·º Se Arz Kiya.
To Aap ï·º Ne Farmaya Ke Jisko Tumne Amaan Dedi Usko Ham Ne Bhu Amaan Dedi.

Dosri Ye Ke Fatah Makka Ke Din Huzoor ï·º Ne Inke MAkaan Per Ghusl Farmaya Aur Khana Nosh Farmaya Phir Aath(8)Raka'at Namaaz e Chasht Ada Farmayi.

(Tirmidhi , JuldJ1,Safa :62,
Bukhari , Jild:1,Safa:446)

Hazrat Umme Khaalid RadiAllahuTa'alaAnha

6:31 pm

Ye Bhi Sahabiya Hain. Jab Musalmano Ne Habsha Ki Taraf Hijrat Ki To Ye Habsha Me Paida Huween Jab Unke Walid Habsha Se Hijrat Karke Madinah Munawwara Aaye To Inke Baap Inko Le Kar Huzoor ï·º Ki Bargah e Aqdas Me Gaye.
Ye us  Waqt Pile (Yellow) Rang Ka Kapda Pehne Huwe Theen. Aap ï·º  Ne Inko Dekh Kar Farmaya Ke.. Bahot Achcha Libaas Hai Bahot Achcha Kapda Hai.
Phir Ek Phooldaar Chadar Jo Bahot Hi Khoobsurat Thi Aapne Pyar O Muhabbat Se Inko Udha Di Aur Ye Farmaya Ke..
Isko Purani Kar, Isko Phaad, Ye Bahot Achchi Lagti Hai.

Is Dua Ka Matlab Ye Tha Ke Teri Umr Khoob Badi Ho Take Isko Oodhte Oodhte Purani Karde Aur Ye Bilkul Phat Jaye.

Chunancha Is Dua e Nabawi Ka Ye Asar Huwa Ke Hazrat Umme Khaalid RadiAllahuTa'alaAnha Ki Umr Is Qadr Lambi Huwi Ke In Ki Badi Umr Ka Logon Me Charcha Hota Tha. Aur Log Kaha Karte The Ke Hamne Nahi Suna Ke Jitni Lambi Umr Inhone Payi Hai Utni Badi Umr Madine Me Kisine Payi Ho.

(Bukhari Ùˆ Isti'aab, Jild :4,Safa:1790)

Tabsira :

SUBHANALLAH..
Umr Lambi Ho Aur Phir Sari Umr Nekiyoun Ke Kamane Me Guzari Jaye. Isse Badh Kar Khush Naseebi Aur Kya Ho Sakti Hai?
Isliye Isme Koyi Shak Nahi Ke Hazrat Umme Khaalid RadiAllahuTa'alaAnha Neek Bakht Aur Khush Naseeb Theen Ke Huzoor ï·º Ne Apne Dast e Mubarak Se Inko Chadar Udhayi Aur Apni Mubarak Duawon Se Inko Sarfaraaz Farma Diya Jiska Ye Asr Huwa Ke Umr Lambi Huwi. Aur Zindagi Ka Ek Ek Lamha Nekiyoun Aur Ibadaton Ki Chaon Me Guzra.

Deeni Behno..! Tum Bhi Koshish Karo Ke Jitni Bhi Umr Guzre Woh Nekiyoun Me Guzre. Ye Yaqeenan Woh Tijarat e Aakhirat Hai Ke Jis Me Naf'a Ke Siwa Kabhi Koyi Ghata Nahi Ho Sakta..! 

Hazrat Asma' Bint Yazid RadiAllahuTa'alaAnha

5:21 pm

Ye Hazrat Mu'adh Ibn Jabal RadiAllahuTa'alaAnhu Ki Phuphi Zaad Bahen Hain. Aur Inki Kunniyat Umme Salma Hai Qabilah e Ansaar Se Ta'aluq Rakhne Wali Sahabiyah Hain. Ye Bahot Aqalmand Aur Hosh Gosh Wali Awrat Thee(n).

Ek Martaba Huzoor AlaihisSalatoSalam Ki Khidmat Me Hazir Huwen Aur Kehne Lageen. Ke Ya RasoolAllah..! Me Bahot Si Awraton Ki Numaindah Ban Kar Aayi Hoon.

Sawaal Ye Hai Ke Allah Ta'ala Ne Aap Ko Mardon Aur Awraton Dono Ki Taraf Rasool Bana Kar Bheja Hai.
Chunancha Ham Awraten Aap Per Imaan Layi Hain. Aur Aap Ki Pairwi Ka Ahad Kiya Hai. Ab Surat e Haal Ye Hai Ke Ham Awraten Parda Nasheen Bana Kar Gharon Me Bitha Di Gayi Hain. Aur Apne Shoharon Ki Khwahishaat Puri Karti Hain Aur Unke Bachchon Ko Goud Me Liye Phirti Hain. Aur Unke Gharon Ki Rakhwali Karti Hain Aur Unke Malon Aur Samano Ki Hifazat Karti Hain Aur Mard Log Janazon Aur Jihadon Me Shirkat Karke Ajar e Azeem Hasil Karte Hain To Sawaal Ye Hai Ke In Mardon Ke Sawabon Me Se Kuch Ham Awraton Ko Hissa Milega Ya Nahi.?

Ye Sun Kar Huzoor Ne Sahaba e Keeram Se Farmaya Ke Dekho Is Awrat Ne Apne Deen Ke Bare Me Kitna Achcha Sawaal Kiya Hai. Phir Aapne Farmaya Ke Aye Asma' Tum Sunlo Aur Ja Kar Awraton Se Kehdo Ke Awraten Agar Apne Shoharon Ki Khidmat Guzari Karke Unko Khush Rakhen. Aur Hamesha Apne Shoharon Ki Khushnudi Talab Karti Rahen. Aur Unki Farmabardaari Karti Rahen To Mardon Ke A'amaal Ke Barabar Hi Awraton Ko Bhi Sawaab Milega.

Ye Sun Kar Hazrat Asma' Bint Yazid Mare Khushi Ke Nara e Takbeeer Lagati Huwi Baher Niklen.

(Isti'aab,  Jild 4,Safa1787)

Tabsira :

Asma' Bint Yazid Ko Sawaab e Aakhirat Hasil Karne Ka Kitna Shouq Aur Jazbah Tha. Ye Tamam Musalmaan Awraton Ke Liye Ek Qabil e Taqleed Namuna Hai. Kaash Is Zamane Ki Awraton Me Bhi Ye Shouq Aur Jazba Hota To Yaqeenan Ye Awraten Bhi Neek Bibiyoun Ki Fehrist Me Shamil Ho Jateen Aur Sawaab Se Mala Maal Ho Jateen.

Featured post

Sitamgaron Ka Bura Anjam

yazeed Ki Hilakat Ke Baad Ahle Hijaz O Yaman Aur Iraq O Khirasan Walon Ne To Hazrath Abdullah Bin Zubair Ke Hath Per Baiat Ki Aur Misr O Sh...