Hazrath Umme Haraam RadiAllahuTa'alaAnha

9:01 pm

Ye Hazrath Bibi Umme Sulaym RadiAllahuTa'alaAnha Ki Behan Hain Jinka Zikr Tumne Pichli Post Me PAdha Hai. Inke MAkaan Per Bhi Kabhi Kabhi Huzoor ﷺ Dopaher Ko Qailulah (Mid day Nap) Farmaya Karte The. Ek Din Huzoor ﷺ Muskurate Huwe Neend Se Beedaar Huwe To Hazrath Bibi Umme Haraam Ne Arz Kiya Ke Ya RasoolAllah ﷺ..! Aap Ke Muskurane Ka Kya Sabab Hai?
To Irshaad Farmaya Ke Maine Abhi Abhi Apne Ummat Ke Kuch Mujahideen Ko Khwaab Me Dekha Hai Ke Woh Samandar Me Kashtiyoun Per Is Tarha Baithe Huwe Jihaad Ke Liye Ja Rahe Hain Jis Tarha Badsha Apne Takht Per Baithe Raha Karte Hain.
Hazrath Umme Haraam Ne Kaha Ke Ya RasoolAllah Dua Farmayiye Ke Allah Ta'ala Mujhe In Mujahideen Me Shamil Farmaye Phir Aap So gaye Aur Dubarah Phir Isi Tarha Haste Huwe Uthe Aur Yahi Khwaab Bayaan Farmaya.

To Umme Haraam Ne Kaha Ke Aap Dua Farmayen Ke Main In Mujahidon Me Shamil Rahon.
To Aap ﷺ Ne Farmaya Ke Tum Pehle Mujahideen Ki Jama'at Me Rahogi.
Chunanche Jab Hazrath Ameer Mu'awiyah RAdiAllahuTa'alaAnhu Ke Dour e Hukumat Me Behri Beda Tayyar Huwa Aur Mujahideen Kashtiyoun Me Sawaar Hone Lage. To Hazrath Bibi Umme Haraam RadiAllahuTa'alaAnha Bhi Apne Shohar Hazrath Ubadah RadiAllahuTa'alaAnhu Ke Sath In Mujahideen Ki Jama'at Me Shamil Ho Kar Jihaad Ke liye Rawana Ho Gaye(n).

Samandar Se Paar Ho Jane Ke Baad Ye Oont Per Sawaar Hone Lageen To Oont Per Se Gir Padeen, Oont Ke Paon Se Kuchal Kar Inki Ruh Parwaaz Kar Gayi. Is Tarha Ye Shahadat Ke Sharf Se Sarfaraz Ho Gayeen.

(Bukhari, Jild 1, Safa :403)

Tabsira :

MusalMaan Behno..!
Hazrath Bibi Umme Haraam RadiAllahuTa'alaAnha Ke Is Waqi'ah Se Jihaad Ka Shouq Aur Islam Per Qurbaan Hone Ka Jazba Sikho. Ke In Dono Budhe Miyan Biwi Ko Budhape Ke Bawajood Jihaad Ka Kis Qadr Shouq..! Aur Shahadat Ki Kitni Ziyadah Tamanna Thi..
Allahu Akbar.. Allahu Akbar..!

You Might Also Like

0 comments

Featured post

Sitamgaron Ka Bura Anjam

yazeed Ki Hilakat Ke Baad Ahle Hijaz O Yaman Aur Iraq O Khirasan Walon Ne To Hazrath Abdullah Bin Zubair Ke Hath Per Baiat Ki Aur Misr O Sh...