Hazrath Umme Ayman RadiAllahuTa'alaAnha

7:34 pm

Jab Hamare Pyare RasoolAllah ﷺ Hazrath Bibi Halima RadiAllahuTa'alaAnha Ke Ghar Se Makka Mukarrama Pahonch Gaye Aur Apni Walida Mohtrama Ke Pass Rehne Lage To Hazrath Umme Ayman RadiAllahuTa'alaAnha Jo Aapﷺ Ke Walid e Majid Ki Baandi Thi. Aapki Khatirdari Aur Khidmat Guzari Me Din Raat Jee-Jaan Se Masroof Rehne Lagi(n).
Yahi Aap ﷺ Ko Khana Khilati Thi. Kapde Pehnati Thi(n)  Kapde Dhoti Thi(n). Jab Aap ﷺ Bade Huwe To Aapne Apne Aazad Karda Ghulam Aur Muh Bole Bete Hazrath Zaid Bin Harith RadiAllahuTa'alaAnhu Se Inka Nikah Kar Diya. Jinse Hazrath Usama Bin Zaid RadiAllahuTa'alaAnhum Paida Huwe.

Hazrath Bibi Umme Ayman RadiAllahuTa'alaAnha Huzoor ﷺ Ke Baad Kafi Dono Tak Madine Me Zinda Rahi(n). 
Hazrath Abbu Bakr Siddiq Aur Hazrat Umar RadiAllahuTa'alaAnhuma Apni Apni Khilafaton Ke Douraan Hazrath Bibi Umme Ayman Ki Ziyarat O Mulaqaat Ke Liye Tashreef Le Jaya Karte The Aur Unki Khabargiri Farmate The.

(Zarqani)

Tabsira :

Maa-Behno Gour Karo Ke Ameer ul Momineen Hote Huwe Apni Jalalat e Shaan Ke Bawajood Hazrath Abu Bakr Siddiq O Hazrath Umar Farooq RAdiAllahuTa'alaAnhuma Ek Budhiya Awrat Ki Ziyarat Ke liye Unke Ghar Jaya Karte The.
Aysa Kyun? Aur Kis Liye Tha? Sirf Isliye Ke Hazrath Umme Ayman RadiAllahuTa'alaAnha Ko Huzoor E Akramﷺ Se Ta'aluq Tha Ke Inhone Bachpan Me Aap Ki Khatirdari Aur Khidmat Guzari Ka Sharf Paya Tha. Hazrath Abu Bakr Siddiq Aur Hazrat Umar Farooq RadiAllahuTa'alaAnhuma Ke Is Amal Se Sabit Huwa Ke Jin Jin Hastiyoun Ko Balke Jin Jin Cheezon Se Huzoor ﷺ Se Ta'aluq Raha Ho Unse Muhabbat O Aqidat Aur Unki Ta'azeem O Takreem Aur Unka Adab O Ahteram Ye Imaan Ka Nishaan Aur Har Musalman Ki Imaani Shaan Hai.
Allah Ta'ala Har Musalmaan Ko Is Neek Amal Ki Toufeeq Ata farmaye.
Aameen

(Jannati Zewer) 

You Might Also Like

0 comments

Featured post

Sitamgaron Ka Bura Anjam

yazeed Ki Hilakat Ke Baad Ahle Hijaz O Yaman Aur Iraq O Khirasan Walon Ne To Hazrath Abdullah Bin Zubair Ke Hath Per Baiat Ki Aur Misr O Sh...