Hazrat Rubai’ Bint Muaw’wiz RadiAllahuTa'alaAnhuma

5:34 pm

Ye Ansariya Sahabiya Hain Aur Jang e Badr Me Abu Jahl Ko Qatil Karne Wale Sahabi Hazrath Muaw'wiz bin Afraah Ki Beti Hain. Inhone Bait ur Ridwaan Me Huzoor ï·º Ke Dast e Mubarak Per Bait Ki Thi. Huzoor ï·º Ka In Per Bada Khass Karam Tha.

Inki Shadi Ke Din Huzoor ï·º Inke MAkaan Per Tashreef Le Gaye. Aur Ek Riwayat Me Hai Ke Unhone Huzoor ï·º Ki Khidmat Me Khajoor Ka Ek Ghosha Nazr Kiya.
To Aapne Isko Qubool Farma Kar Kuch Sona Ya Chandi Unko Ata Farmaya.
Aur Irshaad Farmaya Ke Tum Iske Zewar Banwalo.

Imam Waqdi Ne Inka Ek Ajeeb Waqi'a Naql Farmaya Hai. Aur Woh Ye Hai Ke Ek Awrat Asma Bint Huzaimah Madine Munawwara Me Itr Becha Karti Thi. Woh Itr Le Kar Hazrat Ruba'i Bint Muaw’wiz Ke Pass Aayee(n) Aur Kaha Ke Tum Us Shakshs Ki Beti Ho Jisne Apne Sardaar Yani Abu Jahl Ko Qatl Kar Diya?
To Unhone Tadap Kar Jawaab Diya Ke Main Us Shakshs Ki Beti Hoon Jisne Apne Ghulam Yani Abu Jahl Ko Qatl Kar Diya.
Ye Jawaab Sun Kar Itr Bechnewali Awrat Jhulla Gayi. Mujh Per Haraam Hai Ke Main Tumhare Hath Itr Apna Bechon.
To Hazrat Ruba'i Ne Bhi Josh Me Aa Kar Ye Keh Diya Ke Mujh Per Haraam Hai Ke Main Tera Itr Kharidon. Tere Itr Se Ziyadah Badbudaar To Maine Kisi Ka Itr Nahi Paya.
Hazrat Ruba'i Kehti Hain Ke Iska Itr Badbudaar Nahi Tha. Magar Usko Jalne Ke Liye Uske Itr Ko Badbudaar Keh Diya Kyunke Woh Abu Jahl Ki  Maddah Thi.
(Istiaab, Jild 4, Safa :1837)

Tabsira :

Hazrat Ruba'i Bint Muaw’wiz RadiAllahuTa'alaAnhuma Ki Jurrat e Eemani Dekho Ke Abu Jahl Ko Sardaar Kehne Wali Awrat Ko Uske Muh Per Kaisa Dandane Shikan Jawaab Diya. Ke Uska Muh Band Ho Gaya Aur Woh La-Jawaab Ho Gayi.
Aur Bila Shubah Jo Kuch Kaha Woh Haq hi Kaha. Abu Jahl Hargiz Hargiz Kisi Musalmaan Ka Sardaar Nahi Ho Sakta. Balke Woh Har Musalmaan Ka Ghulaam Balke Ghulaam Se Bhi Hazaron Darje Badtar Aur Kamtar Hai.

MusalMaan Bibiyoun..! Kash Tum Bhi Allah Aur Rasool ï·º Ke Dushmano Se Aysi Hi Adawat Aur Nafrat Rakho Take Tum Sunnat e Sahaba Per Amal Karke Sawaab e Darain Ki Doulaton Se Mala Maal Ho Jao. 

Hazrat Umme Fazl RadiAllahuTa'alaAnha

10:02 pm

Ye Hamare Rasool Akram ï·º Ki Chachi Aur Hazrat Abdullah Abbas RadiAllahuTa'alaAnhuma Ki Waalidah Aur Huzoor Ke Chacha Hazrat Abbas RadiAllahuTa'alaAnhu Ki Biwi Hain.

Ye Hazrat Abbas Se Pehle Musalmaan Ho Gayi Thee(n). Aur Huzoor ï·º Bhi In Per Be-Had Meharbaan  The Aur Huzoor ï·º Ne Inko Deen O Duniya Ki Badi Badi Basharaten Deen.

Ye Hijrat Ke Liye Beqaraar Thee(n) Magar Ye Hijrat Ka Samaan Na Hone Se LA-Chaar Thee(n).

Chunanche Inke Bare Me Ye Aayat Nazil Huwi Ke Ye Hijrat Ka Samaan Na Hone Ki Wajah Se Hijrat Nahi Kar Sakti Hain To In Per Koyi Gunah Nahi.

(Bukhari, Jild 1, Safa :181)

Hazrat Fatimah Binte Khattab RadiAllahuTa'alaAnha

8:45 pm

Ye Hazrat Umar RadiAllahuTa'alaAnhu Ki Bahen Hain. Ye Aur Inke Shohar Hazrat Sa'eed Bin Zaid RadiAllahuTa'alaAnhu Islam Ke Shuru Hi Me Musalmaan Ho Gaye The. Magar Ye Dono Hazrat Umar Ke Dar Se Apna Islam Poshidah Rakhte The. Hazrat Umar Ku In Dono Ke Musalmaan Hone Ki Khabar Mili, To Ghusse Me Aag Babola Ho Kar Bahen Ke Ghar Pahonche. Kawad Band The. Magar Andar Se Qur'an Padhne Ki Aawaaz Aa Rahi Thi. Darwza Khat Khataya,To Hazrat Umar Ki Aawaaz Sun Kar Sab Ghar Wale Idhar Udhar Chup Gaye. Bahen Ne Darwza Khola To Hazrat Umar Chilla Kar Bole Ke..
Aye Apni Jaan Ki Dushman.. Kya Tune Bhi Islam Qubool Kar Liya Hai? 
Phir Apne Bahenvi Hazrat Sa'eed Bin Zaid RadiAllahuTa'alaAnhu Per Jhapte Aur Inki Dadhi Pakad Kar Zameen Per Pachaad Diya. Aur Marne Lage. Inki Bahen Hazrat Fatimah Binte Khattab Apne Shohar Ko Bachane Ke Liye Hazrat Umar Ku Pakadne Lageen. Inku Hazrat Umar Ne Aysa Tamacha Mara Ke Kaan Ke Jhumar Toot Kar Gir Pade. Aur Chehra Khoon Se Rangeen Ho Gaya. Bahen Ne Nihayat Jurrat Ke Sath Saaf Saaf Keh Diya Ke..
UMAR..! SUN LO TUM SE JO HO SAKE KARLO.. MAGAR AB HAM ISLAM SE KABHI HARGIZ HARGIZ NAHI PHIR SAKTE. 

Hazrat Umar Ne Bahen Ka Jo Lahu Luhaan Chehra Dekha Aur Inka Josh O Jazbaat Me Bhara Huwa Jumla Suna To Ek Dam Inka Dil Naram Padh Gaya. Thodi Dair Tak Chup Khade Rahe. Phir Kaha Ke.. 
Achcha Tum Log Jo Padh Rahe The Woh Mujhe Bhi Dikhao. Behan Ne Qur'an Shareef Ke Warqon Ko Saamne Rakh Diya.

Hazrat Umar Ne Sure Hadid Ki Chand Aayaton Ko Ba-Gour PAdha To Kanpne Lage. Aur Qur'an Ki Haqqaniyat Ki Taaseer Se Dil Be-Qabu Ho Kar Tharra Gaya. Jab Is Aayat Per Pahonche Ke
امنوا بالله و رسوله
Yani Allah Aur Uske  Rasool Per Imaan Lao. To Phir Hazrat Umar Zabt Na Kar Sake. Aankhon Se Aansu Jari Ho Gaye. Badan Ki Boti Boti Kaanp Uthi Aur Zoor Zoor Se Padhne Lage

اشهدُ أنْ لا إلهَ إلاَّ الله. واشهدُ أنَّ محمدًا عَبْدُÙ‡ُ Ùˆ  رسولُ الله

Phir Ekdam Uthe Aur Hazrat Zaid Bin Arqam Ke MAkaan Per Ja Kar RasoolAllah ï·º Ke Daman e Rahmat Se Chimat Gaye. Aur Phir Huzoor ï·º Aur Sab Musalmano Ko Apne Sath Le Kar Khane Ka'aba Me Gaye. Aur Apne Islam Ka Eelaan Kar Diya. 

Us Din Se Musalmanon Ko Khouf O Hiraas Se Sukoon Mila. Aur Haram e Ka'aba Me Eelaniya Namaaz Padhne Ka Mouqa Mila. Warna Log Pehle Gharon Me Chup Chup Kar Namaaz O Qur'an PAdha Karte The. 
(Zarqani) 

Tabsira :

Aye Islami Behno Hazrath Fatimah Binte Khattab Se Emaani Josh Aur Islami Jurrat Ka Sabaq Seekho. 

Hazrath Umme Haraam RadiAllahuTa'alaAnha

9:01 pm

Ye Hazrath Bibi Umme Sulaym RadiAllahuTa'alaAnha Ki Behan Hain Jinka Zikr Tumne Pichli Post Me PAdha Hai. Inke MAkaan Per Bhi Kabhi Kabhi Huzoor ï·º Dopaher Ko Qailulah (Mid day Nap) Farmaya Karte The. Ek Din Huzoor ï·º Muskurate Huwe Neend Se Beedaar Huwe To Hazrath Bibi Umme Haraam Ne Arz Kiya Ke Ya RasoolAllah ï·º..! Aap Ke Muskurane Ka Kya Sabab Hai?
To Irshaad Farmaya Ke Maine Abhi Abhi Apne Ummat Ke Kuch Mujahideen Ko Khwaab Me Dekha Hai Ke Woh Samandar Me Kashtiyoun Per Is Tarha Baithe Huwe Jihaad Ke Liye Ja Rahe Hain Jis Tarha Badsha Apne Takht Per Baithe Raha Karte Hain.
Hazrath Umme Haraam Ne Kaha Ke Ya RasoolAllah Dua Farmayiye Ke Allah Ta'ala Mujhe In Mujahideen Me Shamil Farmaye Phir Aap So gaye Aur Dubarah Phir Isi Tarha Haste Huwe Uthe Aur Yahi Khwaab Bayaan Farmaya.

To Umme Haraam Ne Kaha Ke Aap Dua Farmayen Ke Main In Mujahidon Me Shamil Rahon.
To Aap ï·º Ne Farmaya Ke Tum Pehle Mujahideen Ki Jama'at Me Rahogi.
Chunanche Jab Hazrath Ameer Mu'awiyah RAdiAllahuTa'alaAnhu Ke Dour e Hukumat Me Behri Beda Tayyar Huwa Aur Mujahideen Kashtiyoun Me Sawaar Hone Lage. To Hazrath Bibi Umme Haraam RadiAllahuTa'alaAnha Bhi Apne Shohar Hazrath Ubadah RadiAllahuTa'alaAnhu Ke Sath In Mujahideen Ki Jama'at Me Shamil Ho Kar Jihaad Ke liye Rawana Ho Gaye(n).

Samandar Se Paar Ho Jane Ke Baad Ye Oont Per Sawaar Hone Lageen To Oont Per Se Gir Padeen, Oont Ke Paon Se Kuchal Kar Inki Ruh Parwaaz Kar Gayi. Is Tarha Ye Shahadat Ke Sharf Se Sarfaraz Ho Gayeen.

(Bukhari, Jild 1, Safa :403)

Tabsira :

MusalMaan Behno..!
Hazrath Bibi Umme Haraam RadiAllahuTa'alaAnha Ke Is Waqi'ah Se Jihaad Ka Shouq Aur Islam Per Qurbaan Hone Ka Jazba Sikho. Ke In Dono Budhe Miyan Biwi Ko Budhape Ke Bawajood Jihaad Ka Kis Qadr Shouq..! Aur Shahadat Ki Kitni Ziyadah Tamanna Thi..
Allahu Akbar.. Allahu Akbar..!

Hazrath Umme Sulaym RadiAllahuTa'alaAnha

8:26 pm

Ye Hamare Pyare Nabi ï·º Ke Sabse Pyare Khadim Hazrath Anas Bin Malik RadiAllahuTa'alaAnhu Ki Maa Hain. Inke Pehle Shohar Ka Naam Malik Tha. Bewah Ho Jane Ke Baad Inka Nikah Hazrath Abu Talha Sahabi RadiAllahuTa'alaAnhu Se Ho Gaya. Ye Rishte Me Ek Tarha Se RasoolAllah ï·º Ki Khalah Hoti Thi(n). Aur Inke Ek Bhai Huzoor AlaihisSalatoSalam Ke Sath Ek Jihaad Me Shaheed Ho Gaye The.

In Sab Baton Ki Wajah Se RasoolAllah ï·º In Per Bahot Meharbaan The Aur Kabhi Kabhi Inke Ghar Bhi Tashreef Le Jaya Karte The.

Bukhari Shareef Waghaira Me Inka Ek Bahot Hi Nasihat Aamooz Aur Ibrat Khaiz Waqi'a Likha Huwa Hai. Aur Woh Ye Hai Ke Hazrath Umme Sulaym Ka Ek Bachcha Bimaar Tha. Jab Hazrath Abu Talha RadiAllahuTa'alaAnhu Subh Ko Apne Kaam Dhande Ke Liye Baher Jane Lage To Us Bachche Ka Saans Bahot Zoor Zoor Se Chal Raha Tha. Abhi Hazrath Talha Makan Per Nahi Aaye The Ke Bachche Ka Inteqaal Ho Gaya.

Hazrath Bibi Umme Sulaym Ne Socha Ke Din Bhar Ke Thake Mande Mere Shohar Makan Per Aayenge Aur Bachche Ke Inteqaal Ki Khabar Sunenge To Na Khana Khayenge Na Aaraam Kar Sakenge.

Isliye Inhone Bachche Ki Lash Ko Ek Alag Makan Me Lita Diya Aur Kapda Udha Diya Aur Khud Rozanah Ki Tarha Khana Pakaya, Phir Khoob Achche Tarha Bano Singaar Karke Baith Kar Shohar Ke Aane Ka Intezaar Karne Lageen.

Jab Hazrath Abu Talha Raat Ko Ghar Me Aaye To Pucha Ke Bachche Ka Kya Haal Hai..!
To Bibi Umme Sulaym Ne Keh Diya Ke Ab Uska Saans Tehar Gaya Hai.
Hazrath Abu Talha Mutamain Ho Gaye. Aur Unhone Ye Samjha Ke Saans Ka Khinchao Tham Gaya Hai. Phir Fouran Hi Khana Samne Aagaya Aur Unhone Shikam Sair Ho Kar Khana Khaya. Phir Biwi Ke Banao Singaar Ko Dekh Kar Unhone Biwi Se Sohbat Bhi Ki Jab Sab Kamon Se Farigh Ho Kar Bilkul Hi Mutamain Ho Gaye. To Bibi Umme Sulaym Ne Kaha Ke..
Aur Mere Pyare Shohar...! Mujhe Ye Mas'ala Batayiye Ke Agar Hamare Pass Kisi Ki Koi Amanat Ho. Aur Woh Apni Amanat Hamse Le Le. To Kya Ham Ko Bura Maanne Ya Naraaz Hone Ka Koi Haq Hai?

Hazrath Abu Talha Ne Farmaya Ke Hargiz Nahi.
Amanat Wale Ko Uski Amanat Khushi Khushi De Deni Chahiye.

Shohar Ka Ye Jawaab Sun Kar Hazrath Umme Sulaym Ne Kaha..
Aye Mere Sar Taaj..!
Aaj Hamare Ghar Me Yahi Mamla Pesh Aaya Ke Hamara Bachcha Jo Hamare Pass Khuda Ki Ek Amanat Tha Aaj Khuda Ne Apni Amanat Le Li Aur Hamara Bachcha Mar Gaya!
Biwi Ne Kaha Ke "Ji Haan".
Hazrath Abu Talha Ne Farmaya Ke Tumne To Kaha Tha Ke Uske Saans Ka Khinchao Tham Gaya Hai.
Biwi Ne Kaha Ke Ji Haan Marne Wala Khahan Saans Leta Hai.

Hazrath Abu Talha Ko Behad Afsoos Huwa Ke Haye..! Mere Bachche Ki Lash Ghar Me Padi Rahi Aur Maine Bhar Pait Khana Khaya Aur Sohbat Bhi Ki.
Biwi Ne Apna Khayal Zahir Kar Diya Ke Aap Din Bhar Ke Thake Huwe Ghar Aaye The,Main Fouran Hi Agar Bachche Ki Mout Ka Haal Keh Deti To Aap Ranj O Gham Me Doob Jate Na Khana Khate Na Aaraam Karte Isliye Maine Is Khabar Ko Chupaya.

Hazrath Abu Talha RadiAllahuTa'alaAnhu Subh Ko Masjid e Nabwi Me Namaaz e Fajr Ke Liye Gaye Aur Raat Ka Pura Majra Huzoor E Akram ï·º Se Arz Kar Diya.

Aapne Hazrath Abu Talha Ke Liye Ye Dua Farmayi Ke Tumhare Raat Ki Is Sohbat Me Allah Ta'ala Khair O Barkat Ata Farmaye.

Is Dua e Nabawi Ka Ye Asar Huwa Ke Isi Raat Me Hazrath Bibi Umme Sulaym ke Hamal Tehar Gaya. Aur Ek Bachcha Paida Huwa Jiska Naam Abdullah Rakha Gaya. Aur In Abdullah Ke Beton Me Bade Bade Ulama Paida Huwe.

(Bukhari Shareef, Jild :1, Safa :174)

Tabsira :

MusalMaan Maaon Aur Behno..! Hazrath Bibi Umme Sulaym RadiAllahuTa'alaAnha Se Sabr KArna Sikho. Aur Shohar Ko Aaraam Pahonchane Ka Tariqa Aur Saleeqa Bhi Is Waqi'ah Se Zahin Nasheen Karo. Aur Dekho Ke Bibi Umme Sulaym Ne Kaisi Achchi Misaal De Kar Shohar Ko Tasalli Di.

Agar Har Aadmi Is Baat Ko Achchi Tarha Samajh Le To Kabhi Be Sabri Na Karega.

Aur Dekho Ke Sabr Ka Phal KhudaWande Kareem Ne Kitni Jaldi Hazrath Bibi Umme Sulaym Ko Diya Ke Hazrath Abdullah Ek Saal Pura Hone Se Pehle Hi Paida Ho Gaye,Aur Phir Unka Ghar Aalimon Se Bhar Gaya...!


Hazrath Umme Ayman RadiAllahuTa'alaAnha

7:34 pm

Jab Hamare Pyare RasoolAllah ï·º Hazrath Bibi Halima RadiAllahuTa'alaAnha Ke Ghar Se Makka Mukarrama Pahonch Gaye Aur Apni Walida Mohtrama Ke Pass Rehne Lage To Hazrath Umme Ayman RadiAllahuTa'alaAnha Jo Aapï·º Ke Walid e Majid Ki Baandi Thi. Aapki Khatirdari Aur Khidmat Guzari Me Din Raat Jee-Jaan Se Masroof Rehne Lagi(n).
Yahi Aap ï·º Ko Khana Khilati Thi. Kapde Pehnati Thi(n)  Kapde Dhoti Thi(n). Jab Aap ï·º Bade Huwe To Aapne Apne Aazad Karda Ghulam Aur Muh Bole Bete Hazrath Zaid Bin Harith RadiAllahuTa'alaAnhu Se Inka Nikah Kar Diya. Jinse Hazrath Usama Bin Zaid RadiAllahuTa'alaAnhum Paida Huwe.

Hazrath Bibi Umme Ayman RadiAllahuTa'alaAnha Huzoor ï·º Ke Baad Kafi Dono Tak Madine Me Zinda Rahi(n). 
Hazrath Abbu Bakr Siddiq Aur Hazrat Umar RadiAllahuTa'alaAnhuma Apni Apni Khilafaton Ke Douraan Hazrath Bibi Umme Ayman Ki Ziyarat O Mulaqaat Ke Liye Tashreef Le Jaya Karte The Aur Unki Khabargiri Farmate The.

(Zarqani)

Tabsira :

Maa-Behno Gour Karo Ke Ameer ul Momineen Hote Huwe Apni Jalalat e Shaan Ke Bawajood Hazrath Abu Bakr Siddiq O Hazrath Umar Farooq RAdiAllahuTa'alaAnhuma Ek Budhiya Awrat Ki Ziyarat Ke liye Unke Ghar Jaya Karte The.
Aysa Kyun? Aur Kis Liye Tha? Sirf Isliye Ke Hazrath Umme Ayman RadiAllahuTa'alaAnha Ko Huzoor E Akramï·º Se Ta'aluq Tha Ke Inhone Bachpan Me Aap Ki Khatirdari Aur Khidmat Guzari Ka Sharf Paya Tha. Hazrath Abu Bakr Siddiq Aur Hazrat Umar Farooq RadiAllahuTa'alaAnhuma Ke Is Amal Se Sabit Huwa Ke Jin Jin Hastiyoun Ko Balke Jin Jin Cheezon Se Huzoor ï·º Se Ta'aluq Raha Ho Unse Muhabbat O Aqidat Aur Unki Ta'azeem O Takreem Aur Unka Adab O Ahteram Ye Imaan Ka Nishaan Aur Har Musalman Ki Imaani Shaan Hai.
Allah Ta'ala Har Musalmaan Ko Is Neek Amal Ki Toufeeq Ata farmaye.
Aameen

(Jannati Zewer) 

Hazrath Halima Sadiyah RadiAllahuTa'alaAnha

6:48 pm

Ye Woh Muqaddas Aur Khush Naseeb Awrat Hain Ke Inhone Hamare RasoolAllah ï·º Ko Doodh Pilaya Hai. Jab RasoolAllah ï·º Ne Makka Fatah Ho Jane Ke Ba'ad Taif Ke Shehar Per Jihaad Farmaya. Is Zamane Me Hazrath Bibi Halima RadiAllahuTa'alaAnha Apne Shohar Aur Bete Ko Lekar Bargah e Risalat Me Hazir Huwe(n). To RasoolAllah ï·º Ne Inke Liye Apni Chadar e Mubarak Ko Zameen Per Bicha Kar Inko Is Per Bithaya Aur In'aam O Ikraam Se Bhi Nawaza. Aur Ye Sab Kalma Padh Kar Musalmaan Ho Gaye.
( Istiaab, Jild :4,Safa :1812)

Tabsira :

Hazrath Bibi Halima RadiAllahuTa'alaAnha Ki Qabr e Anwar Madina Munawwara Me Jannatul Baqi Ke Andar Hai. 1959 Sane Iswi Me Jab My Madina Tayyaba Hazir Huwa Aur Jannatul Baqi Ke Mazaraat e Muqaddas Ki Ziyaraton Ke Liye Gaya. To Yeh Dekh Kar Qalb o Dimagh Per Zanj O Gham Aur Sadmaat Ke Pahaad Toot Pade Ke Zalim Najdi Wahabiyon Ne Tamam Mazaraat Ko Todh Phodh Kar Aur Qubbon Ko Gira Kar Phenk Diya Hai. Sirf Tuti Phuti Qabron Per Chand Patthar Ke Tukde Pade Huwe Hain. Aur Safai Suthrai Ka Bhi Koi Ahtimam Nahi Hai.

Beharhaal Sab Muqaddas Qabron Ki Ziyarat Karte Huwe Jab My Hazrath Bibi Halima RadiAllahuTa'alaAnha Ki Qabr e Anwar Ke Samne Khada Huwa To Dekh Kar Hairaan Rah Gaya Ke Jannatul Baqi Ki Kisi Qabr Per Maine Koyi Ghaas Aur Sabzah Nahi Dekha. Lekin Hazrat Bibi Halima RadiAllahuTa'alaAnha Ki Qabr Shareef Ko Dekha Ke Bahot Hi Hari Aur Shadaab Ghanson Se Puri Qabr Chupi Huwi Hai. Main Hairat Se Dair Tak Is Manzar Ko Dekhta Raha. Aur Aakhir Maine Apne Gujrati Sathiyoun Se Kaha Ke Logo..! Batao Tum Logon Ne Jannatul Baqi Ki Kisi Qabr Per Bhi Ghaas Jami Huwi Dekhi.
Logon Ne Kaha Ke "Ji Nahi" Maine Kaha Ke Hazrath Bibi Halima Ki Qabr Ko Dekho Ke Kaisi Hari Hari Ghason Se Ye Qabr Sar Sabz O Shadaab Ho Rahi Hai.
Logon Ne Kaha Ke "Ji Haan Beshak" Phir Maine Kaha Ke Kya Iski Koyi Wajah Tum Logon Ki Samajh Me Aa Rahi Hai..! Logon Ne Kaha Ke "Ji Nahi.Aap Hi Batayiye.To Maine Keh Diya Ke Is Waqt Mere Dil Me Ye Baat Aayi Hai Ke Inhone Huzoor Rahmatul Lil Aalameen ï·º Ko Apna Doodh Pila Pila Kar Seeraab Kiya Tha. To Rabbul Aalameen Ne Apni Rahmat Ke Paniyoun Se Inki Qabr Per Hari Hari Ghas Uga Kar Inki Qabr Ko Sar Sabz O Shadaab Kar Diya Hai.

Meri Ye Taqreer Sun Kar Tamam Hazireen Per Aysi Riqqat Taari Huwi Ke Sab Log Cheekh Maar Maar Kar Rone Lage Aur Main Khud Bhi Rote Rote Nidhaal Ho Gaya.

Phir Mere Muhhib e Mukhlis Seeth Al-Haaj Usmaan Ghani Ahmadabadi Ne Itr Ki Ek Badi Shishi Jis Me Se Do Do Teen Teen Qatara Woh Har Qabr Per Dalte The Ekdam Puri Shishi Unhone Hazrath Bibi Halima RadiAllahuTa'alaAnha Ki Qabr Per Undail  Di Aur Rote Rote Kaha Ke Aye Dayi Halima Khuda Ki Qasam Agar Aap Ki Qabr Ahmadabaad Me Hoti To Main Aap Ki Qabr Ko Itr Se Dho Deta. Phir Badi Dair Ke Baad Hamare Dilon Ko Sukoon Mila. Aur Maine Mudh Kar Piche Dekha To Lag Bhag Pachaas Aadmi Mere Piche Khade The Aur Sabki Aankhen Aansuon Se Tar The(n). Ya Allah Phir Dubara Ye Mouqa Naseeb Farma. 

Hazrath Zin'nirah RadiAllahuTa'alaAnha

2:23 pm

Ye Bhi Hazrath Umar RadiAllahuTa'alaAnhu Ke Gharane Ki Ek Londi Thee(n) .Inhone Bhi Jab Kalma PAdha To Sara Ghar Inki Jaan Ka Dushman Ho Gaya.Aur Inko Kafiron Ne Itna Mara Ke Inki Aankhon Ki Binayi Jati Rahi.  To Kafir Inko  Ye Ta'ana Dene Lage Ke..
Tune Hamare Dewtaon Ko Chodh Diya To Teri Aankhen Phut Gayeen Ab Kahan Hai Tera Ek Khuda. Tu Kyun Nahi Usko Bulati Ke Woh Teri Aankhon Ko Roshan Karde.

Ye Ta'ana Sun Kar Woh Nihayat Jurrat Ke Sath Kaha Karti Thee(n) Ke Main Jis Rasool Per Imaan Layi Hoon Yaqeenan Woh Khuda Ke Sachche Rasool Hain. Aur Mera Ek Khuda Agar Chahega To Zaroor Meri Aankhen Roshan Ho Jayengi. Aur Tumhare Sainkdon Dewta Mera Kuch Bhi Nahi Bigaad Sake.

Ek Din RasoolAllah ï·º Ne Kafiron Ka Ye Ta'ana Suna To Farmaya Ke Aye Zin'nirah! Tu Sabr Kar. Phir Huzoor ï·º Ne Dua Farmadi To Inki Aankhon Me Ek Dam Roshni Aagayi. Yeh Mo'ujizah Dekh Kar Kuffar Kehne Lage Ke Ye To Muhammad( ï·º) Ka Jadu Hai. Woh Rasool Nahi Hain Balke Woh To Arab Ke Sab Se Bade Jadugar Hain (Ma'azAllah).

Hazrath Abu Bakar Siddiq RadiAllahuTa'alaAnhu Ne Inko Khareed Kar Aazaad Kar Diya.

(Zarkhani, Jild :1,Safa :270)

Tabsira:

Aye Musalmaan Maa Behno..! Tumhen Khuda Ka Wasta De Kar Kehta Hoon Ke Hazrath Lubaynah O Hazrath Nahdiyah O Hazrath Umme Ubays O Hazrath Zin'nirah Waghaira RadiAllahuTa'alaAnhun Ki Jaan-Sooz O Dil-Dooz Hikayaton Ko Ba-gour Aur Baar Baar Padho. Aur Socho Ke Allah Waliyoun Ne Islam Ke Liye Kaisi Kaisi Musibaten Uthayen Magar Ek Second Ke Liye Bhi Islam Se Unke Qadam Nahi Dagmagaye.
Ek Tum Hoke Zara Koyi Takleef Pahonchi To Tum Ghabra Kar Apne Hosh O Hawaas Kho Baithti Ho. Aur Khuda O Rasool Ki Shaan Me Na-Shukri Ke Alfaaz Bolne Lagti Ho Aur Zara Kafiron Ne Dhons (Takleef) Di To Kafiron Ki Boliyan Bolne Lagti Ho.

 Khuda Ke Liye Aye Musalmaan Mardon Aur Musalmaan Awraton...!
Tum In Allah Ki  Muqaddas Bandiyoun Ka Kirdaar Pesh Karo Ke Apne Imaan O Islam Per Itni Mazbooti Ke Sath Qayeem Raho Ke Tumhe Dekh Kar Kafiron Ki Duniya Pukaar Uthe Ke..

Binaye Aasman Bhi Is Zameen Per Dagmagaye
Magar Momin Ke Qadmon Me Kabhi Lagzish Na Aayegi.


Ghusl

Kya Lipstick Lagana Jaiz Hai?

6:41 pm

Kya Lipstick Lagana Jaiz Hai?
Jawaab
Lipstick Aisi Hai Ke Woh Bilkul Jam Jati Hai Aur Jiski Wajah Se Honton Per Pani Nahi Pahonchta To Wazu Hi Nahi Hoga,Aur Agar Usme Haraam Cheez Ki Milawat Ho To Uska Mutlaqan Lagana Najaiz O Haraam Hai.
-🌹Mufti Maqsood Akhtar Qadri Amjadi
Darul Ifta Radawi Amjadi

Fatawa e Europe

Image may contain: text




Featured post

Sitamgaron Ka Bura Anjam

yazeed Ki Hilakat Ke Baad Ahle Hijaz O Yaman Aur Iraq O Khirasan Walon Ne To Hazrath Abdullah Bin Zubair Ke Hath Per Baiat Ki Aur Misr O Sh...