Musafaha aur Mu'aniqa

6:48 pm

Hadees Shareef Me Hai Ke Jab Do Musalmaan Milen Aur Musafaha Karen Aur Allah Ki Hamd Karen Aur Astaghfaar Karen To Dono Ki Maghfirat Ho Jayegi.
(Abu Dawood Jild Sani Safa 361 )

Mas'ala: Musafaha Sunnat Hai aur Us Ka Suboot Mutawatir Hadeeson Se Hai Aur AaHadees Me Iski Bahot Badi Fazeelat Aayi Hai.Ek Hadees me Hai Ke Jisne Apne Musalmaan Bhai Se Musafaha Kiya Aur Hath Ko Hilaya.To Us Ke Tamam Gunah Gir Jayenge.Jitni BAar Mulaqaat Ho Har Baar Musafaha Karna Mustahab Hai Mutlaqan Musafah Ka Jaiz Hona Ye Batata Hai Ke Namaz e Fajr Wa Namaaz e Asr Ke BAad Jo Aksar Jagah Musafaha Karne Ka Musalmano me Riwaj Hai Ye Bhi Jaiz Hai.Aur Fiqh Ki Baaz Kitabon Me Jo Is ko Biddat Kaha Gaya HAi Us Se Muraad Biddat e Hasanah Hai Aur Har Biddat e Hasana Jaiz Hi Huwa Karti hai.
(Bahar e Shari'at jild 16 Safa 98)

Mas'ala: Mu'aniqah Karna Bhi Sunnat Hai Kyunke Hadees Se Sabit Hai Ke RasoolAllah SallallahuTa'alaAlaihiWaSallam Ne Mu'aniqah Farmaya Hai.
(Abu Dawood jild:2 Safa:361)

Mas'ala: Baad Namaaz-e-Eidain Musalmano(n) Me Mu'aniqah Ka Riwaj Hai Aur Ye Bhi izhare Khushi Ka Ek Tariqa Hai.Ye Mu'aniqah Bhi Jaiz Hai Ba-Shart Ye Ke Fitnah Ka Khouf Aur Shohwat Ka Andesha Na Ho.
(Bahar-e-Shari'at)

Hazrath Abu Bakr Siddiq RadiAllahuTa'alaAnhu Ne Huzoor Aqdas SallallahuTa'alaAlaihiWaSallam Ki Dono Aankhon Ke Darmiyaan Ko Boosa Diya Aur Hazraat Sahaba Wa Tabi'een RadiAllahuTa'alaAnhum Ajmaeen Se Bhi Bosa Dena Sabit Hai.
(Abu Dawood Jild:2 Safa;362)

Mas'ala: Aalim e Deen Aur Badsha e Aadil Ke Hath Ko Bosa Dena Jaiz Hai Balke In Logon Ke Qadam Ko Choomna Bhi Jaiz Hai.Balke Agar Kisi Aalim-e -Deen Se Log Ye Khwahish Zahir Karen Ke Aap Apna Hath Ya Qadam Mujhe Dijiye Ke My Bosah Doon.To Logon Ki Khwahish Ke Mutabiq Wo Aalim Apna Hath Paon Bosah Ke Liye Logon Ki Taraf Badha Sakta Hai.
(Dur al-Mukhtar Jild:5 Safa:245)

You Might Also Like

0 comments

Featured post

Sitamgaron Ka Bura Anjam

yazeed Ki Hilakat Ke Baad Ahle Hijaz O Yaman Aur Iraq O Khirasan Walon Ne To Hazrath Abdullah Bin Zubair Ke Hath Per Baiat Ki Aur Misr O Sh...