Makan Me Jane Ke Liye ijazat
6:42 pm
Qur'an e Majeed Me Allah Ta'ala Ne Irshad Farmaya Ke Aye Imaan Walo..!! Apne Gharon Ke Siwa Dosre Gharon Me Dakhil Na Ho.Jab Tak ijazat Na LeLo,Aur Gharwalon Ko Salam Na KArlo.Ye Tumhare Liye Behtar Hai Take Tum Nasihat Pakdo Aur Agar Un Gharon Me Kisi Ko Na Pao To Andar Mat Jao Jab Tak Tumhe Ijazat Na Mile.Aur Agar Tumse Kaha Jaye Ke Lout(Wapas) Jao to Wapas Chale Aao. Ye Tumhare Liye Ziyada Pakiza Hai .Aur Jo Kuch Tum Karte Ho Allah Us Ko Janta Hai.Us Me Tum Par Koi Gunah Nahi Ke Ayse Gharon Ke Andar Chale Jao Jin Me Koi Rehta Nahi Hai Aur Unme Tumhara Samaan Moujood Hai.Aur Allah Janta Hai Tamam Un Baton Ko Jin Ko Tum Zahir Karte Ho Aur Jin Ko Tum Chupate Ho.
(Qur'an Majeed)
Mas'ala: Jab Koi Shakshs Dosre Ke Makan Par Jaye To Pehle Andar Aane Ki Ijazat Hasil Kare.Phir Jab Andar Jaye To Pehle Salam Kare Phir Uske Baad Baat Cheet Shuru Kare Aur Agar Jis Shakshs Ke Paas Gaya Hai Wo Makan Se Baher Hi Mil Gaya Ho To Ab Ijazat Talab Karne Ki Zarurat Nahi.Salam Kare Phir Kalam Shuru Karde.
Mas'ala: Kisi Ke Darwaze Per Ja Kar Awaaz Di.Aur Usne Andar Se Kaha "Koun" To Uske Jawaab Me Ye Na Kahe Ke "My" Jaisa Ke Aaj Kal Bahot Se Log "My" Kaha Kar Jawaab Dete Hain Us Jawaab Ko Huzoor Aqdas ﷺ Ne Na-Pasand Farmaya.Balke Jawaab Me Apna Naam Zikr Kare. Kyunke "My" Ka Lafz To Har Shaksh Apne Ko Keh Sakta Hai.Phir Jawaab Hi Kab Huwa?
Mas'ala: Agar Tumne Kisi Ke Makan Par Ja Kar Andar Dakhil Hone Ki ijazat Mangi.Aur Gharwale Ne Ijazat Na Di To Naraaz Hone Ki Zarurat Nahi.Khushi Khushi Wahan Se Wapas Chale Aao.Ho Sakta Hai Ke Wo Us Waqt Kisi Zarurat Kaam Me MAshgool Ho, Aur Us Ko Tum Se Milne Ki Fursat Na Ho.
Mas'ala: Agar Ayse Makan Me Jana ho Ke Us Me Koi Na Ho To Ye Kaho Ke
اسلام علينا وعلي’ عبادالله الصالحين
Farishte us Salam Ka Jawaab Denge.
(Dur e mukhtar Jild:5 Saa: 227)
Ya Is Tarha KAhen Ke
اسّلام عليكَ ايها النبى
Kyunke Huzoor Aqdas ﷺ Ki Ruh Mubarak Musalmano Ke Gharon Me Tashrif Farma Huwa Karti Hai.
(Bahar e Shari'at Jild:16 Safa:84)

0 comments