Imaan (Faith)

5:58 pm


Kitab-ul-Imaan

Hadees 1 :
Hadees e Jibraeel عليه السلام : 

Hazrath Umr Bin Khattab رضي الله عنه Ne Farmaya Ke Ek Roz Ham RasoolAllah ﷺ Ki Khidmat Me Hazir The Ke Achanak Ek Shakshs Hazir Huwa Jiske Kapde Bahot Safed(White) The (Aur) Baal Nihayat Siyah(Black) Na Us Shakshs Per Safar Ka Koi Nishaan Tha Aur Na Ham Se Koi Pehchanta Tha Yahan Tak Ke O Huzoor ﷺ ke Samne Baith Gaya Aur Do-Zanu Ho Kar Apne Ghutne(Knee) Huzoor ﷺ Ke Ghutne Se Mila Diye Aur Apne Dono Hath Apni Rano(n) Per Rakh Liye Aur Arz Kiya

Aye Muhammad (ﷺ) Mujh Ko Islam Ki Haqiqat Ke Bare Me Aagah Farmaye 
Islam Ye Hai Ke Tu Gawahi De Us Amr Ki Ke Khuda e Ta'ala Ke Siwa Koi M'abood Nahi Aur
Muhammad (ﷺ) Khuda e Ta'ala ke Rasool Hain Aur
Tu Namaaz Ada Kare,
Zakaat De,
Ramzaan Ke Roze Rakhe Aur
Khana e Ka'aba Ka Hajj Kare Agar Tu Uski Istita'at Rakhta Ho
Us Shakshs Ne (Ye Sun Kar) Arz Kiya Aapne Sahi Farmaya
(Raavi Kehte Hain Ke) Ham Logon Ko Ta'ajjub Huwa Ke Ye Shakshs Daryaaft Bhi KArta Hai Aur (Khudhi) Tasdeeq Bhi Karta Hai.
Phir Usne Pucha Imaan Ki Haqiqat Bayaan Farmayen.
Aap Ne Farmaya.
(Imaan Ye Hai) Ke Tu Khuda e Ta'ala Aur Uske Farishton Neez Uski Kitaabon Aur Uske Rasoolon Aur Qayamat Ke Din Per Yaqeen Rakhe Aur Taqdeer Ki Bhalayi Ko Dil Se Mane.
(Muslim Shareef)

Sharah Hadees :
Hazrath Shaikh Muhaqqiq Dehelvi رحمة الله عليه Is Hadees Ke Tahat Farmate Hain Ke ...
(Tarjuma)
Yani Islam Zahiri A'amaal (Maslan Namaaz Padhne,Roza Rakhne,Zakaat Dene Waghaira) Ka Naam Hai Aur Imaan Naam Hai Aeteqaad-E-Batin Ka.(Yani Allah Ta'ala Aur Uske Pyare Rasool ﷺ Ku Dil Se Manne Ka Naam Imaan Hai)Aur Islam Aur Imaan Ke Majmu'e Ka Naam Deen Hai Aur Wo Jo Aqaid (Ki Kitabon) Me Mazkoor Hai Ke Islam Aur Imaan Dono Ek Hain To Iska Matlab Ye Hai Ke Har Moin Musalmaan Hai Aur Har Musalmaan Momin Hai Aur In Dono Me Se Kisi Ek Ki Nafi Musalmaan Se Nahi Kar Sakte. Aur Haqiqat Me Islam Imaan Ka Natija Aur Iski Far'a Hai . Ulma E Keram Ke Kalam Is Masle Me Bahot Hain. Lekin Tahqeeq Yahi Hai Jo Bayan Kiya Gaya.(Aash'atul Lam'aat, Jild ,Awwal Safa 38)
Phir Hazrath Shaikh Muhaqqiq Ne Farmaya Ke Imaan Ki Haqiqat Ye Hai Ke Tu Khuda E Ta'ala Ki Zaat Aur Uski Sif'aat Subutiya O Salbiya Ku Dil Se Mane Aur Tamam Aaibon Aur Hudoos Ki Alamaton Se Usku Paak O Munazza Yaqeen Kare. (Aash'atul Lam'aat, Jild Awwal, Safa 38)
(Aash'atul Lam'aat, Jild Awwal Safa 40)

Aur Farmaya Ke .. Yani Tamam Ambiya E Keram عليه السلام Per Imaan Lana Wajib Hai Is Tarha (Par Ke Kisi Ke Darmiyaan) Asl Nabuwwat Me Tafreeq Na Kare Aur Tazeem O Touqeer Karna Neez Nuqs Ke Aaib Se In Hazraat Ki Bargahe Izzat Ku Paak Samajhna Aur Qabl E Nabuwwat Aur Baad E Nabuwwat Chote Bade Tamam Gunahon Se Inhe Masoom Janna Wajib Hai. Yahi Qoul E Muqtaar Hai. Aur Jo Qur'an E Majeed Me Hazrath Adam عليه السلام Ki Taraf Isiyan Ki Nisbat Ki gayi Aur Itaab Farmaya Gaya To Unki Shaan E Qurb Ki Bulandi Per Mabni Hai. Aur Malik Ko Haq Pahonchta Hai Ke Awla O Afzal Ke Tark Per Agarche O Gunah Ki Had Tak Na Pahonche Hoon In Per Apne Bande Ku Jo Chahe Kahe Aur Itaab Farmaye , Dosre Ki Majal Nahi Ke Kuch Kah Sake Aur Is Maqam Per Ek Miyaar E Adab Hai Jiski Riaayat Zaruri Hai, Aur O Ye Hai Ke Agar Khuda E Ta'ala Ki Taraf Se Baaz Ambiya عليه السلام Per Jo Ke Bargahe Ilahi Ke Muqarrib Hain Koi Itaab Ya Khitaab Nazil Ho Ya In Hazraat Ki Janib Se Jo Ke Khuda E Ta'ala Ke Maqsoos Bande Hain Koi Tawaze Aajizi Aur Inkisari Ka Izhaar Ho.. Jise Nuqs Ka Waham Hota Ho To Ham Ko Jaiz Nahi Ke Isme Dakhal Den.
Aur In Kalmaat E Itaab Ya Tawaze Ku Unke Haq Me Bolen Aur Sayyadul Ambiya ﷺ Ke Bare Me Ijmali Eteqaad Ye Hai Ke Martaba E Uluhiyat Aur Huda Ki Sifaat Ke Ilawa Jo Kuch Hai Huzoor ﷺ Ke Liye Sabit Hai Aur Aan Hazrath ﷺ Tamam Fazail O Kamalat E Bushra Ke Jam''e Aur Sab me Rasikh O Kamil Hain.
(Aash'atul Lam'aat, Jild Awwal Safa 40)
Hadees 2 :
Hazrath Ubadah Bin Samat  رضي الله عنه Ne Kaha Ke Myne Rasool e Kareem ﷺ Ko Farmate Huwe Suna ke Jo Shakshs is Baat Ki Gawahi de Ke Khuda e Ta'ala  Ke Siwa Koi M'abood Nahi Aur Muhammad ﷺ Khuda e Ta'ala Ke Rasool Hain. To Allah Ta'ala us Per Dozakh Ki Aag Haram Farma Deta Hai.

(Muslim Shareef)

Wazeh Huwa Ke Touheed O Risalat Ki Gawahi Ke Bawajood Agar Aadmi Se Koi Aysa Qoul Ya Faeal(Act) Paya Gaya Jo Kufr Ki Nishani Ho To Ba-Hukm E Shariat E Mutahirah Wo Kafir Ho Jayega. 
Aash'atul Lam'aat Jild Awwal Kitabul Imaan Ke Shuru Me Hai. Touheed O Risalat Ki Tasdeeq O Iqraar Ke Bawajood Agar Koi Aysa Kaam Kare Jisko Shaari'e AlaihiisSalam Ne Kufr Ki Nishani Aur Alamat Tehrayi Ho Jaise But Ko Sajda Karna(idolatry) Aur Zunnar  Bandhna Waghaira To Ayse Kamon Ka Karne Wala Bhi Ba-Hukm E Shar'a Kafir Hai Agarche Bazahir (Touheed O Risalat Ki) Tasdeeq O Iqraar Karta Ho.


Hadees 3:

Hazrath Anas رضي الله عنه Ne Kaha Ke Sarkaar ﷺ Ne Farmaya Ke
Koi Shakshs Us Waqt Tak Momin NAhi Ho Sakta Jab Tak Ke My Uske Maa- Baap ,Bete Aur Tamam Logon Se Ziyadah Mahboob Na Ho Jaon.

(Bukhari Shareef , Muslim Shareef)

Sharah Hadees:

Hazrath Shaikh Muhaqqiq Shah Abdul Haq Muhaddis Dehelvi رحمة الله عليه Is Hadees Ke Tehat Farmate Hain Ke..
Momin E Kamil Ke Imaan Ki Nishani Ye Hai Ke...
Momin Ke Nazdeek RasoolAllah صلى الله عليه و سلم Tamam Chizon Aur Tamam Logon Se Ziyadah Mahboob O Muazzam Ho.
Is Hadees Me Huzoor ﷺ Ke Ziyadah Mahboob Hone Ka Matlab Ye Hai Ke Huqooq Ki Adayegi Me Huzoor ﷺ Ko Ooncha Mane Is Tarha Ke...
Huzoor ﷺ Ke Laye Huwe Deen Ko Tasleem Kare .
Huzoor ﷺ Ki Sunnaton Ki Pairwi Kare ,
Huzoor ﷺ Ki Tazeem O Adab Baja Laye Aur 
Har Shakshs Aur Har Cheez Yani Apni Zaat, Apni Awlaad , Apne Maa-Baap, Apne Azeez O Aqarib Aur 
Apne Maal O Asbaab Per Huzoor ﷺ Ki Raza O Khushi Ko Muqaddam Rakhe
Jis Ke Mani Ye Hai Ke Apni Har Pyari Cheez Yahan Tak Ke Apni Jaan Ke Chale Jane Per Bhi Razi Rahe Lekin Huzoor ﷺ Ke Haq Ko Dobta Huwa Gawara Na Kare.
(Aash'atul Lam'aat, Jild Awwal)

Aur Mulla a'ali Qari" Aleyhi Rahmatul Baari Us Hadees Shareef Ki Sharah Me Farmate Hain Ke..
Yani Is Hadees Me Huzoor صلى الله عليه و سلم Se Muhabbat Rakhne Ka Hukm Hai Usse Muraad Muhabbat E Tibbi'e Nahi Isliye Ke O Ikhteyaar Se Baher Hai (Aur Insaan Aysi Cheez Ka Mukallaf Nahi Banaya Jata Jo Uske Ikhtiyar Se Baher Ho.) 
(كما قال الله ثعلا) لا يكليف الله نفساً الّاوسعها 
Balke Usse Muraad Muhabbat E Aqli Hai Jo Us Amr Ki Taqdeem Ko Zaruri Qarar Deti Hai Jiski Tarji Ka Aql Taqaza Kare Aur Jiske Iktiyaar Kar Lene Ka Aql Mutalbah Kare Agar Che Wo Amr Khwahish Nafsi Ke Khilaaf Hi Kyun Na Ho Maslan Bimaar Aadmi Ka (Kadwi) Dawa Se Muhabbat Rakhna (Ye Muhabbat Aqli Hai) Chunanche Wo Dawa Ko Pasand Karke Uski Taraf Mail Hota Hai Aur Usko Bar Binaye Taqaza E Aql Pita Hai Uske Liye O Yaqeen Rakhta Hai Ya Andaza Karta Hai Ke Meri Tandrusti Is (Dawa Ke Pine) Me Hai Agarche Is Dawa Se Uski Tabi'at Mutanfar Rehti Ho.

Maslan Agar Huzoor صلى الله عليه و سلم Kisi Ko Hukm De Ke Apne Kafir Walidain Aur Awlaad Ko Qatl Karde. Ya Ye Hukm Deden Ke Kuffar Se Ladayi Kare Aur Ladte Huwe Shaheed Hojaye to Wo Uske Kar Guzarne Ka Zaroor Shaidayi Rahe Kyunke Az-ruye Aql Wo Itna Bahar Haal Janta Hai Ke Aap Ki Ita'at Hi Me Aafat Hai.

Ya Is Hadees Me Muhabbat Se Muraad Muhabbat-e-Imaani Hai Jo Aap Ki Buzurgi Qadar O Azmat Aur Aap Ke Ehsaan O Meharbani Ke Sabab (Qalb E Momin Me) Paida Hoti Hai.Muhabbat E Imani Ka Taqaza Ye Hai Ke Muhib Apne Mahboob Ki Tamam Khwahishon Ko Dosre Logon Yahan Tak Ke Apne Azeez Aur Khud Apni Zaat Ki Aghraz Per Tarji De . Aur Chunke Huzoor صلى الله عليه و سلم Muhabbat Kiye Jane Ke Tamam Asbaab Yani Khoobsurti, Khush Khalqi, Kamal E Buzurgi Aur Kamal E Ehsaan Ke Jama'a Hai Aur Ayse Jama'a Hain Ke Aap Ke Siwa Koi Dosra Is Jam'iyat Ko Nahi Pahonch Sakta Lihaza Aap Har Momin Ke Nazdeek Uske Nafs Se Bhi Ziyadah Mahboob Hone Ke Mustahaq Hain. To Momin Ke Liye Us Ke Gair Se Badarja E Oola Aap Mahboob Honge. Khass Kar Us Surat Me Ke Aap Us Mahboob E Haqiqi Yani Khuda E Ta'ala Ki Taraf Se Rasool Hain. Aur Khuda Tak Pahonchane Wale Aur Us Tak Rasayi Ka Rasta Banane Wale Aur Unki Bargah Jabroot Me Izzat O Azmat Wale Hain.
( Mirqat Sharh Mishkat Jild 1)

Intebah(Note):
1. Khuda e Ta'ala Zamaan O Makaan Se Paak Hai Uske Liye Zamaan O Makan Sabit Karna Kufr Hai.

2. Khuda e Ta'ala Ko Allah Paak Ya Allah Ta'ala Kehna Chahiye. Allah Miyan Kehna Mamn'o o Na-Jaiz Hai.

3 Agar Kisi Ne Khuda e Ta'ala Ke Bare Me Badhio(Budhe) Ka Lafz Istemaal Kiya To O Kafir Hojayega.

4. Koi Shakshs Bimaar Nahi Hota Ya Bahot Budha Hai MArta NAhi Iske Liye Ye Na Kaha Jaye Ke Allah Use Bhool Gaya Hai.

5. Jo Ba -Tour e Tamaskhar Aur Thatte Ke Kufr Karega O Bhi Kafir o Murtad Ho Jayega. AgarChe Kehta Ho Ke My Aysa Ateqaad Nahi Rakhta .

6. Kisi Nabi Ki Shaan Me Gustakhi Ya  Be-Adbi Karna Ya Inke Liye Koi Aayeb Sabit Karna Kufr HAi.


============
Meanings:
Faeal : Kaam  ,(Act).
Shaari'e : Shari'at Banane Wala.

Zunnar : O Taga Jo Hindu Gale Aur Baghal Ke Darmiyaan Dalte Hain,
O Taga Ya Zanjeer Jo Isayi, Majusi Aur Yahudi Kamar Me Bandhte Hain.

Aghraz : Garz Ki Jama,Maqasid , Irade. 


Jabroot : Qudrat

Zamaan : Zamana,Waqt.

Tamaskhur : Mazaaq 

Thatte : HAsi Mazaaq

You Might Also Like

0 comments

Featured post

Sitamgaron Ka Bura Anjam

yazeed Ki Hilakat Ke Baad Ahle Hijaz O Yaman Aur Iraq O Khirasan Walon Ne To Hazrath Abdullah Bin Zubair Ke Hath Per Baiat Ki Aur Misr O Sh...