Qurbani

Qurbani Ke Gosht Aur Khaal

4:56 pm



Agar Janwar Mushtarik Hai To Gosht Taul Kar Taqseem Kiya Jaye Utkal Se Na Baate'n Ke Agar Kisi Ko Zyada Pohach Gaya To Dusre Ke Mu'af Karne Se Bhi Jaaiz Na Hoga Ke Haq Sharaa Hai. 
(📓Rudul Muhtar -O- Bahar)

Phir Apne Hisse Ke Teen(3) Hisse Karke Ek Hissah Faqiro'n Ko Dede'n Aur Ek Hissah Dosto'n Ko Aur Azeezo'n Ko De. Aur Ek Hissah Apne Ghar Walo'n Ke Liye Rakhe Khud Bhi Khaye Baal Baccho'n Ko Bhi Khilaye Agar Ghar Wale Zyada Hoto Kul Ghar Ke Sarf Main La-Sakta Hai. Aur Kul Sadqa Bhi Kar Sakta Hai Agarche Ek Hissah Apne Liye Behtar Hai.

Mas'alah: Agar Mayyat Ki Taraf Se Qurbani Ki To Uske Gosht Ka Bhi Yahi Hukm Hai. Albatta Agar Mayyat Ne Kaha Tha Ke Meri Taraf Se Qurbai Kar Dena To Is Surath Main Kul Gosht Sadqa Karde.

Mas'alah: Qurbani Agar Mayyat Ki Hai To Uska Gosht Na Khud Kha Sakta Hai Na Gani Ko Khila Sakta Hai Balke Usko Sadqa Kar Dena Wajib Hai.

Mas'alah: Qurbani Karne Wala Baqra-Eid Ke Din Sab Se Pehle Qurbani Ka Gosht Khaye Ye Mustahab Hai.
(📓Behrul Raa'yiq)

Mas'alah: Qurbani Ka Gosht Kafir Ko Na De (Ke Yaha'n Ke Kuffar Harbi Hai). 

Mas'alah: Chamda , Jhoul , Rassi , Haar , Sab Sadqa Karde Chamde Ko Khud Apne Kaam Main Bhi La-Sakta Hai. 
Maslan :Doul Ja-Namaz Bichona Waghera Bana Sakta Hai Lekin Bech Kar Qimat Apne Kaam Main Lana Jaaiz Nahi Agar Bech Diya To Us Qimat Ko Sadqa Karna Wajib Hai. 
(📓Durre Mukhtar -O-Rudul Muhtar)

Mas'alah: Aaj Kal Aksar Log Khaal Dini Madrasa Main Diya Karte Hai Ye Jaaiz Hai Agar Madrasa Main Dene Ki Niyyat Se Khaal Bech Kar Qiamat Madrasa Main Dede'n To Ye Bhi Jaaiz Hai.
(📓AalamGiri-O-Bahar)

Mas'alah: Qurbani Ka Gosht Ya Chamda Qasaab Ya Zibah Karne Wale Ko Mazduri Main Nahi De Sakta Haan Agar Dosto'n Ki Tarah Hadyatan Hissa Diya To De Sakta Hai Jabke Use Ujrat Main Shumar Na Kare.
(📓Hidaya Waghera) 

Mas'alah: Ba'z Jaga Qurbani Ka Chamda Masjid Ke Imam Ko Dete Hai Agar Tankhwa Main Na Diya Jaye Balke Bataure Madad Ke De'n To Harj Nahi.
(📓Bahar Waghera)
(📓Ref>>> Qanoon-E-Shari'at) 

●Note:- Shari'at Ke Mutabiq Zibah Kiye Huwe Halaal Janwar Ke Mandarjazail Aaza Khane Mana Hain.
Dum Masfookh (Zibah Ke Waqt Behne Wala Khoon) , 
Zakar (Nar Janwar Ka Aala-E- Tanasul) , 
Gaay , Bakri Ke Peshaab Ki Jaga (Farj) ,
Khasitain (Kapure) 
Masana , Dubar (Janwar Ke Pakhane Ki Jaga) , 
Haraam Magraz , Ojhdi Aur Aante'n In Main Dume Masfooh Haraam Qatayi Aur Qurbani Makruhe Tehreemi Hai.

Qurbani

Qurbani Ka Jaanwar

4:55 pm


Kin Janwaro'n Ki Qurbani Ho Sakti Hai : 

Qurbani Ka Janwar... Oont(Camel) , Gaaye , Bhains , Bakri , Bhed Nar -O- Maadah. Khasi, Gair-Khasi Sab Ki Qurbani Ho Sakti Hai.
(📓AalamGiri) 

Mas'alah: Wehshi Janwar Jaise Hiran , Neel-Gaay , Bara-Singha Waghera Ki Qurbani Nahi Ho Sakti.
(📓AalamgGiri)

Mas'alah: Dumba Bhed Hi Main Dakhil Hai.

Mas'alah:
Onnt -- 5 Saal 
Gaay , Bhains  -- 2 Saal
Bhed , Bakri     -- 1 Saal
Ki Ho Ya Zyada Ki Isse Kam Ki Na-Jaaiz Hai.
Haan Agar Dumba Ya Bhed Ka Cheh(6) Maha Ka Baccha Itna Bada Hoke Door Se Dekhne Main Saal Bhar Ka Ma'aloom Hota Ho To Uski Qurbani Jaaiz Hai.
(📓Durre Mukhtar)

Mas'alah:: Qurbani Ka Janwar Mota Taaza Aur Accha Hona Chahiye Aibi Na Hona Chahiye Agar Thoda Sa Aeb Hoto Qurbani Hojayegi Magar Markruh Hogi Aur Agar Zyada Aeb Hai To Hogi Hi Nahi.
(📓Durre Mukhtar -O- AalamGiri)

Mas'alah: Munda Jiske Paidaishi Seeng Na Hon Jaaiz Hai. Albatta Agar Seeng The Aur Toot Gaye Aur Meng (Goda) Tak Toot Gaye To Jaaiz Nahi Isse Kam Tota Hai To Jaaiz Hai.
(📓AalamGiri)


Mas'alah: Andha , Langda , Kaana , Behad Dubla , Kaan Kata , Dum Kata, Be-Daant Ka , Than Kata , Than Sokha , Naak Kata , Paidaishi Be-Kaan Ka Biamr , Khansa (Jiske Duno'n Nishaniya'n Hon) ,Jalala ( Jo Sirf Ghaleez Khata Ho) In Sab Ki Qurbani Jaaiz Nahi.
(📓Durre Mukhtar -O- Bahar)


Mas'alah:: Bimari Agar Khafeef Hai Aur Langda Pan Halka Hai Ke Chal Phir Leta Hai Qurban'Gah Tak Ja Sakta Hai. Ya Kaan Naak Dum Tehayi Se Zyada Nahi Kate To Jaaiz Hai.
(📓Durre Mukhtar , Hidaya , AalamGiri)


Mas'alah:: Qurbani Karte Waqt Janwar Uchla Quda Aur Usse Aebi Hogaya To Harj Nahi.
(📓Durre Mukhtar , Rudul Muhtar)


Mas'alah:: Qurbani Ki Aur Peth Main Zinda Baccha Hai To Use Bhi Zibah Karde Aur Kaam Main La Sakta Hai Aur Mara Hoto Phenk De.
(📓Bahare Shari'at)


Mas'alah: Khareed Ne Ke Ba'd Qurbani Se Pehle Janwar Ne Baccha De Diya To Use Bhi Zibah Kar Dale Aur Agar Bech Diya To Uski Qimat Ko Sadqa Kare Aur Agar Ayyame Qurbani Main Zibah Na Kiya To Zinda Sadqa Karde.
(📓AalamGiri-O-Bahar)


Mas'alah: Agar Janwar Sahi Saalim Kharida Tha Phir Us Main Koyi Aeb Mane'a Qurbani Paida Hogaya To Agar Khareed Ne Wala Gani Sahabe Nisaab Nahi Hai To Uske Liye Isi Aeb'Daar Janwar Ki Qurbani Jaaiz Hai. Aur Agar Ye Shakhs Gani Sahabe Nisaab Hai To Us Par Laazim Hai Ke Us Janwar Ke Badle Dusre Janwar Ki Qurbani Kare 
(📓Durre Mukhtar Waghera)


FaidahHamare Aaqa-O-Maula Hazrat Ahmad Mujtaba Muhammad Mustafa (Sallallahu Ta'Aala Alaihi Wa Sallam) Ke Karame Ameem Ko Dekho Ke Khud Us Ummate Marhuma Ki Taraf Se Qurbani Ki Aur Us Moqa Par Bhi Ummat Ka Khayaal Farmaya 
Lijaza Jis Musalman Se Ho Sake Wo Hazrat Ke Naam Ki Qurbani Kare To Kaisi Khush Naseebi Hai.
(📓Bahare Shari'at)
Reference: Qanoon-E-Shari'at



Qurbani

Qurbani Ka Tariqa

4:52 pm



Qurbani Ke Janwar Ko Zibah Se Pehle Chaara Paani Dede Pehle Se Cchuri Tez KarLe Lekin Janwar Ke Samne Nahi Janwar Ko Baaye Pehlu Par Is Tarah Litaye Ke Qiblah Ki Taraf Uska Muh Ho Aur Zibah Karne Wala Apna Dahna Paao'n Uske Pehlu Par Rakh Kar Tez Cchuri Se Jald Zibah Karde Aur Zibah Se Pehle Ye Dua PadhLe: 
انی وجهت وجهي للذى فطر السموات والارض حنيفا وما انا من المشركين ان صلاتى ونسكي ومحياى ومماتى لله رب العالمين○ لا شريك له وبذلك امرت وانا من المسلمين اللهم لك ومنك بسم الله الله اكبر.
Dua Khatam Karte Hi Cchuri Chala De Qurbani Apni Taraf Se Ho To Zibah Ke Ba'd Ye Padhe: 
اللهم تقبل منى كما تقبلت من خليلك ابراهيم عليه السلام و حبيبك محمد صلى الله عليه و سلم.
Zibah Main Charo'n Rage'n Kate'n Ya Kam Se Kam Teen(3) Isse Zyada Na Kaate'n Ke Churi Mohra Tak Pohach Jaye Ke Ye Be-Waja Ki Takleef Hai Thanda Hone Par Paao'n Kaate'n Khaal Utare'n Agar Dusre Ki Taraf Se Zibah Kiya Hai To 
منی Ki Jaga من فلا ںKahe. (Yaani Uska Naam Le) Aur Agar Mushtarik Janwar Ho Jaise Gaay , Oont , Bhains To Falaa'n Ki Jaga Sab Shariko'n Ka Naam Le.

Mas'lah: Agar Dusre Se Zibah Karaye To Behtar Hai Ke Khud Bhi Hazir Rahe.
(📓Qanoon-E- Shari'at)

Qurbani

Qurbani Me Shirkat ke Masa'il

4:45 pm

Mas'alah: Jab Qurbani Ki Sharte'n Payi Jaye (Qurbani Kis Per Wajib) To Ek Bakri Ya Bheed Ka Zibah Karna Ya Oont , Gaay , Bhains Ka Saatwa'n (7wa) Hissah Wajib Hai. Isse Kam Nahi Ho sakta.

Yaha Tak Ke Agar Kisi Shareek Ka Hissah Saatwe'n (7we) Se Kam Hai To Kisi Ki Qurbani Sahi Na Hogi.
Haan Saat(7) Se Kam Shareek Hon Aur Hisse Bhi Kam-o-Besh Hon Lekin Kisi Ka Hissah Saatwe'n (7we) Se Kam Na Ho To Jaaiz Hai.

Mas'alah: Qurbani Ke Sab Shariko'n Ki Niyyat Taqarrub (Yaani Sawaab Pana) Hona Chahiye Khaali Ghosht Haasil Karna Na Ho 
Lihaza Aqeeqah Karne Wala Shareek Ho Sakta Hai (Ke Aqeeqah Bhi Taqarrub Ki Ek Surat Hai.
(📓Durre Mukhtaar)

Qurbani

Qurbani Ka Waqt

4:38 pm

Hazrat Jundub Bin Sufyaan RadiyAllahu Ta'Aala Anhu Se Riwayat Hai Ke Hamne RasoolAllah ﷺ 
Ke Sath Qurbani Ki. So Kuch Logo Ne Namaz Se Pehle Hi Qurbaniyaa'n Karli. Huzoor ﷺ Ne Jab Unko Dekha To Farmaya Jisne Namaz Se Pehle Qurbani Karli Usko Dubara Qurbani Dena Hogi.
(📓Nisaayi, Al-Sunan)

10vi Zil_Hajjah Ki Subah Sadiq Se 12vi Ke Ghuroob Aaftaab Tak Hai. Yaani 3-Din Aur 2-Raate'n Lekin 10vi Sab Main Afzal Hai Phir 11vi Phir 12vi. 

Mas'alah: Shahar Main Qurbani Ki Jaye To Shart Ye Hai Ke Namaze Eid Ke Ba'd Ho Aur Dihaat Main Chunke Namaze Eid Nahi Isliye Subah Sadiq Se Ho Sakti Hai.


Mas'alah: Qurbani Ke Waqt Main Qurbani Hi Karni Laazim Hai Itni Qimat Ya Itni Qimat Ka Janwar Sadqa Karne Se Wajib Ada Na Hoga.
(📓AalamGir) 


Mas'alah: Qurbani Ke Din Guzar Jane Ke Ba'd Qurbani Faut Hogi Ab Nahi Hosakti 
Lihaza Agar Koyi Janwar Qurbani Ke Liye Khareed Rakha Hai To Usko Sadqa Kare Warna Ek Bakri Ki Qimat Sadqa Kare.
(📓Durre Mukhtar)

Qurbani

Qurbani Ka Wujoob

4:35 pm

QURABNI KE MASA'IL


Qurbani :
Ye Ek Maali Ibadat Hai Jo Har Gani Par Wajib Hai Khaas Janwar Ko Khaas Din Main Allah Ke Liye Sawab Ki Niyyat Se Zibah Karna Qurbani Hai.Musalman , Muqeem , Malike Nisaab , Aazaad Par Qurbani Wajib Hai.
Jis Tarah Qurbani Mard Par Wajib Hai Isi Tarah Aurat Par Bhi Wajib Hai.(📓Durre Mukhtar)

Mas'alah: Musafir Par Qurbani Nahi Lekin Agar Nafil Ke Taur Par Kare To Kar Sakta Hai. Sawab Payega.(📓Durre Mukhtar)
Malike Nisaab Hone Se Muraad Itna Maal Hona Ke Jitna Maal Hone Se Sadqa Fitr Wajib Hota Hai. Yani Haa'jate Asliyah Ke Aelawa 200-Dirham (Sadhe 52 Taula Chandi) Ya 20-Dinar (Sadhe 7 Taula Sona) Ka Maalik Ho.(📓Durre Mukhtar -O- AalamGiri)

Jo Shakhs 200-Dirham Ya 20-Dinar Ka Malik Ho Ya Haajate Asliyah Ke Aelawa Kisi Aisi Cheez Ka Malik Ho Jiski Qimat 200-Dirham Ho To Wo Gani Hai Us Par Qurbani Wajib Hai.(📓Aalamgiri)

Agar Musafir MaalDaar Ho Aur Kisi Jaga 15-Din Qayaam Ki Niyyat Kare, Ya 12vi Tareekh Ko Suraj Ghuroob Hone Se Pehle Ghar Pohach Jaye, Ya Kisi NaDaar Aadmi Ke Pass12vi Tareekh Ko Ghuroob Shams Se Pehle Itna Maal Aajaye Ke Sahibe Nisaab Hojaye To In Tamam Surtho Main Us Par Qurbani Wajib Hojati Hai.

Hamare Haan Aam Taur Par Dekha Gaya Hai Ke KhanDaan Ya Ghar Ke Bade Ki Taraf Se Ya Ba'z Log Ghar Ke Har Fard Ki Taraf Se Qurbani Karte Hai.Shara'ee Ta'alimaat Ye Hain Ke Jo Shakhs Nisaab Ka Malik Hai , Qurbani Usi Par Wajib Hai. Is Liye Apni Wajib Qurbani Karne Ba'd Agar Mazeed Iste'taa'at Hai To Ghar Ke Jis Fard Ki Taraf Se Chahe Nifli Qurbani KarLeJab Tak Sahebe Nisaab Hai Har Saal Qurbani Karna Wajib Hai

Qurbani

Qurbani Ke Fazail

4:33 pm

Qurbani Ke Fazail Qur'aan Majeed

 Aur Ahadees-e-Mubarak Se


Allah Ta'Aala Ne Hazrat Ibraheem Alaihissalam Aur Hazrat Ismail Alaihissalam Ke Waqi'a Qurbani Ko Apne Kalame Paak Main Is Andaaz Se Bayaan Farmaya Hai.

Elaahi Mujhe Laayiq Aulaad De ,
To Hamne Use Khush Khabri Sunayi Ek Aqal'Mand Ladke Ki ,
Phir Jab Wo Uske Sath Kam Ke Qabil Hogaya...
Kaha Ae Mere Bete Main Ne Khwab Dekha.
Main Tujhe Zibah Karta Hon. Ab To Dekh Teri Kya Ray Hai. Kaha Ae Mere Baap Ki Jaise Jis Baat Ka Aapko Hukm Hota Hai , Khuda Ne Chaha To Qareeb Hai Ke Aap Mujhe Sabir Payege,
To Jab In Duno Ne Hamare Hukm Par Gardan Rakhi Aur Baap Ne Bete Ko Maathe Ke Bal Litaya Us Waqt Ka Haal Na Poch,
Aur Hamne Use Nida Farmayi Ke Ae Ibraheem ,
Beshak Tune Khwab Sach Kar Dikhaya Ham Aisa Hi Sila Dete Hain Neko'n Ko ,
Beshak Ye Roshan Jaanch Thi,
Aur Hamne Ek Bada Zabiha Iske Fidya Main De Kar Use Bachaliya,
Aur Ham Ne Pichlo'n Main Uski Taareef Baqi Rakhi,
Salaam Ho Ibraheem Par.

(Sure Al-Saaffaat , Ayat:100 to 109 , Kanzul Eemaan)


• Hazrat Zaid Bin Arqam RadiyAllahu Ta'Aala Anhu Ne Farmaya Huzoor Alaihissalato Wassalam Ke Sahaba Ne Arz Kiya Ke Yaa RasoolAllah !
Ye Qurbaaniya'n Kya Hain..??
Aapn Ne Farmaya Ye Tumhare Baap Hazrat Ibraheem Alaihissalam Ki Sunnat Hain.
Sahaba Ne Arz Kiya... Yaa RasoolAllah !
Kya Isse Hamko Sawaab Milega..??
Farmaya Har Baal Ke Badle Ek Neki Hai..
Arz Kiya Aur Oon Yaa RasoolAllah !
To Aapne Farmaya Ke Oon Ke Har Baal Main Bhi Ek Neki Milegi.
(📙Ahmad , Ibne Maaja)

• Hazrat Aaisha RadiyAllahu Ta'Aala Anha Ne Kaha Ke Rasule Kareem Alaihissalato Wassalam Ne Farmaya Ke
Qurbaani Ke Ayyam Main Ibne Aadam Ka Koyi Amal Khuda-E-Ta'Aala Ke Nazdeek Khoon Bahane (Yaani Qurbaani Karne) Se Zyada Pyara Nahi.
Aur Wo Janwar Qayamat Ke Din Apne Singo'n Baalo'n Khuro'n Ke Sath Aayega Aur Qurbaani Ka Khoon Zameen Par Girne Se Qabl Khuda-E- Ta'Aala Ke Nazdeek Maqame Qubool Main Pahoch Jata Hai.
(📙Tirmazi , Ibne Maaja)

• Hazrat Khash RadiyAllahu Ta'Aala Anhu Ne Farmaya Ke Main Ne Hazrat Ali Karamallahu Wajahu Ko Du(2) Dumbe Zibah Karte Huwe Dekha Main Ne Pocha Ye Kya Hai..?
Unhone Farmaya Ke Huzoor Alaihissalato Wassalam Ne Mujhe Wasiyat Farmayi Hai Ke Main Huzoor Ki Janib Se Qurbaani Kiya Karo'n To Main (Dusra Dumba Huzoor Ki Janib Se) Qurbaani Kar Raha Hon.
(📙Abu Dawood)

• Hazrat Abu Hurerah RadiyAllahu Ta'Aala Anhu Ne Kaha Ke Huzoor Alaihissalato Wasalam Ne Farmaya Ke Jis Main Us'at Ho Aur Qurbani Na Kare To Wo Hamari Eid'Gah Ke Qareeb Hargiz Na Aaye.
(📙Ibne Maja)

• Hazrat Umme Salma RadiyAllahu Ta'Aala Anha Se Riwayat Hai Ke Nabi Kareem Alaihissalat Wa Tasleem Ne Farmaya Ke Jab Tum Baqra'Eid Ka Chand Dekho Aur Tum Main Ka Koyi Qurbani Karna Chahe To Usko Chahiye Ke Baal Mundwane , Tarshawane Aur Nakhun Katwane Se Ruka Rahe.
(📙Muslim)
(📙Ref>> Anwarul Hadees , S-361 to 362)

Books

11:28 pm


Naat Books:


 Download
Download

Featured post

Sitamgaron Ka Bura Anjam

yazeed Ki Hilakat Ke Baad Ahle Hijaz O Yaman Aur Iraq O Khirasan Walon Ne To Hazrath Abdullah Bin Zubair Ke Hath Per Baiat Ki Aur Misr O Sh...