Hazrat Umme Saleet RadiAllahuTa'alaAnha
7:11 pm
Ye Madine Munawwara Ki Ek Ansariya Awrat Hain. Badi Bahadduri Aur Islam Per Jaan Dene Wali Sahabiya Hain.
Hazrat Umar RadiAllahuTa'alaAnhu Apni Khilafat Ke Zamane Me Madinah Ki Awraton Ke Darmiyaan Chadaren Taqseem Kar Rahe The. Ek Bahot Hi Umda Chadar Bach Gayi. To Aapne Logon Se Mashwarah Kiya Ke Yeh Chadar Main Kisko Doon?
To Logon Ne Kaha Ke Ye Chadar Aap Hazrat Ali ( RAdiAllahuTa'alaAnhu) Ki Sahebzadi Bibi Umme Kulsum Ko De dijiye Jo Aap Ki Biwi Hain.
To Aapne Farmaya Ke Nahi Hargiz Nahi Main Ye Chadar Umme Kulsum Ko Nahi Donga. Balke Meri Nazar Me Is Chadar Ki Haqdaar Bibi "Umme Saleet" Hain.
Khuda Ki Qasam..! Maine Apni Aankhon Se Dekha Hai Ke Jang e Uhad Ke Din Ye Aur Ummul Momineen Bibi Aayisha Dono Apne Kandhon Per Mashk Bhar Bhar Kar Laati Thee(n) Aur Mujahideen Aur Zakhmiyoun Ko Pani Pilati thee(n). Aur Phir Umme Saleet Un Khush Naseeb Awraton Me Se Hain Jo RasoolAllah ﷺ Se Ba'iat Kar Chuki Hain.
Hazrat Ameer ul Momineen Hazrat Umar RadiAllahuTa'alaAnhu Ne Ye Farma Kar Woh Chadar Hazrat Umme Saleet RadiAllahuTa'alaAnha Ko Ata Farmaya Di.
(Bukhari, Jild 1, Safa :403)

0 comments