Hazrat Asma' Bint Abi Bakr RadiAllahuTa'alaAnha

11:08 pm

Ye Hazrat Ameerul Momineen Hazrat Abu Bakr Siddique RadiAllahuTa'alaAnha Ki Sahebzadi Hazrat Ummul Momineen Ayesha RadiAllahuTa'alaAnha Ki Behan. Aur Jannati Sahabi Hazrat Zubair Bin Awwam RadiAllahuTa'alaAnhu Ki Biwi Hain.

Hazrat Abdullah Bin Zubair Inhi Ke Shikam Se Paida Huwe. Hijrat Ke Baad Muhajareen Ke Yahan Kuch Dino Tak Awlaad Nahi Huwi. To Yahudiyoun Ko Badi Khushi Huwi. Balke Baaz Yahudiyoun Ne Ye Bhi Kaha Ke Ham Logon Ne Aysa Jadu Kar Diya Hai Ke Kisi Muhajir Ke Ghar Me Bachcha Paida Nahi Hoga. Is Fiza Me Sabse Pehle Jo Bachcha Muhajireen Ke Yahan Paida Huwa Woh Yahi Hazrat Abdullah Bin Zubair RadiAllahuTa'alaAnhuma The.

Paida Hote Hi Hazrat Bibi Asma' Ne Apne Is Farzand Ko Bargah e Risalat Me Bheja.

Huzoor Aqdas ﷺ Ne Apni Muqaddas Goad Me Le Kar Khajoor Mangayi. Aur Khud Khajoor Ko Cahaba Kar Is Bachche Ke Muh Me Daal Diya Aur Abdullah Naam Rakha. Aur Khair O Barkat Ki Dua Farmayi.

Ye Is Bachche Ki Khush Naseebi Hai Ke Sabse Pehli Ghiza Jo Unke Shikam Me Gayi Woh Huzoor AlaihisSalatoSalam Ka Lua'ab e Dahan Tha. Chunancha Hazrat Asma' RadiAllahuTa'alaAnha Ko Apne Bachche Ke Is Sharf Per Bada Naaz Tha.

Inke Shohar Hazrat Zubair Rishte Me Huzoor ﷺ Ke Phuphi Zaad Bhai Hain. Muhajir Me Bahot Hi Ghareeb The. Hazrat Bibi Asma' Jab Inke Ghar Me Aayen To Ghar Me Na Koyi Londi (Slave Girl) Thi Na Koyi Ghulaam.
Ghar Ka Sara Kaam Yahi Kiya Karti Thee(n). Yahan Tak Ke Ghode Ka Ghaas Dana Aur Uski Malish Ki Khidmat Bhi Yahi Anjaam Diya Karti Thi, Balke Oont Ki Khuraak Ke Liye Khajuroon Ki Guthliyaan Bhi Baghon Se Chun Kar Aur Apne Sar Per Ghathri Rakh Kar Laya Karti Thi. Inki Ye Mashaqqat Dekh Kar Hazrat Abu Bakr Siddique RadiAllahuTa'alaAnhu Ne Inko Ek Ghulaam Ata Farma Diya. To Inke Kamon Ka Bojh Kuch Halka Ho Gaya. Aap Farmaya Karti Thee(n) Ke Ek Ghulaam De Kar Goya Mere Walid Ne Mujhe Aazad Kar Diya.
(Bukhari, Jild 2, Safa:786)

Ye Mehnati Hone Ke Sath Sath Badi Bahaddur Aur Bade Dil Girdah Wali Awrat Thi.Hijrat Ke Waqt Hazrat Abu Bakr Siddique RadiAllahuTa'alaAnhu Ke MAkaan Me Jab Huzoor ﷺ Ka Tosha e Safar Ek Thaile Me Rakha Gaya. Aur Is Thaile Ka Muh Bandhne Ke Liye Kuch Na Mila. To Hazrat Bibi  Asma' Ne Fouran Apni Kamar Ke Patke Ko Phadh Kar Usse Tosha Daan Ka Muh Bandh Diya. Usi Din Se Unko Zaatun Nitaaqain (Do Patke Wali) Ka Mu'azziz Laqab Mila. Hazrat Abu Bakr Siddique RadiAllahuTa'alaAnhu Ne Huzoor AlaihisSalatoSalam Ke Sath Hijrat Ki. Lakin Hazrat Asma' Ne Uske Baad Apne Ghar Walon Ke Sath Hijrat Ki.

(Bukhari, Jild 1,Safa:5.55.waghaira)

63 Sane Hijri Me Waqi'ah Karbala Ke Baad Jab Yazeed Paleed Ki Foujon Ne Makka Mukarrama Per Hamla Kiya. Aur Hazrat Abdullah Bin Zubair RadiAllahuTa'alaAnhu Ne In Zalimon Ka Muqabila Kiya. Aur Yazeedi Lashkar Ko Kutton Aur Chuhon Ki Tarha Douda Douda Kar Maar Dala. Us Waqt Bhi Hazrat Aama' Makka Mukarrama Me Moujood Rah Kar Apne Farzand Hazrat Abdullah Bin Zubair Ki Himmat Badhati Aur Unki Fatah O Nusrat Ke Liye Duawen Maangti Rahen. Aur Jab Abdul Malik Bin Marwaan Ke Zamana e Hukumat Me Hujjaaj Bin Yusuf Saqfi Zalim Ne Makka Mukarrama Per Hamla Kiya. Aur Hazrat Abdullah Bin Zubair RadiAllahuTa'alaAnhu Ne Is Zalim Ki Foujon Ka Bhi Muqabila Kiya To Is Khoon Rez Jang Ke Waqt Bhi Hazrat Asma' Makka Mukarrama Me Apne Farzand Ka Housla Badhati Rahee(n) Yahan Tak Ke Jab Abdullah Bin Zubair ko Shaheed Kar Ke Hujjaaj Bin Yusuf Ne Unki Muqaddas Laash Ko Suli Per Latka Diya Aur Is Zalim Ne Majboor Kar Diya Ke Bibi Asma' Chal Kar Apne Bete Ki Laash Ko Suli Per Latki Huwi Dekhen To Aap Apne Bete Ki Laash Ke Pass Tashreef Le Gayee(n).
Jab Laash Ko Suli Per Dekha To Na Royee(n), Na Bil Bilayee(n) Balke Nihayat Jurrat Ke Sath Farmaya Ke..
"Sab Sawaar Ghode Se Utar Gaye. Lekin Ab Tak Ye Sawaar Ghode Se Nahi Utra".
Phir Farmaya Ke..
"Aye Hujjaaj..! Tune Mere Bete Ki Duniya Kharaab ki. Aur Usne Tere Deen Ko Barbaad Kar Diya".

Is Waqi'a Ke Baad Bhi Chand Dino Tak Hazrat Asna' Zinda Rahee(n). Makka Mukarrama Ke Qabrastaan Me Maa-Bete Dono Ki Muqaddas Qabren Ek Dosre Ke Barabar Bani Huwi Hain. Jin Ko Najdiyoun Ne Tood Phood Dala Hai. Magar Abhi Nishaan Baqi Hai.

1959 Sane Iswi Me In Dono Mazaron Ki Ziyarat Maine Ki Hai RadiAllahuTa'alaAnhauma.

(Istiaab, Jild :4,Safa:1781,Waghaira)

Tabsira :

Islami Behno..!
Hazrat Bibi Asma' RadiAllahuTa'alaAnha Ki Gharibi Aur Apne Shohar Ki Khidmat Aur RasoolAllah ﷺ Se Inki Mohabbat, Phir Inki Bahadduri Aur Jurrat O Isteqlaal Ke In Waqi'aat Ko Baar Baar Padho. Aur Inke Naqshe Qadam Per Chalne Ki Koshish Karo. Aur Ye Bhi Sun Lo..! Ke Pehle To Asma' RadiAllahuTa'alaAnha Ke Shohar Ghareeb The. Magar Bahot Hi Bade Mujahid The. Bahot Ziyadah Maal e Ghanimat Me Se Hissa Paya. Yahan Tak Ke Bahot Maaldaar Ho Gaye. Aur Phir Unke Malon Me Se Is Qadr Khair O Barkat Huwi Ke Shayad Hi Kisi Sahabi Ke Maal Me Itni Khair O Barkat Hasil Huwi Hogi.
(Bukhari, Jild :1,Safa :449)

Ye Inki Islam Ke Khidmaton, Aur Ibadaton Ki Barkaton Ke Mithe Mithe Phal The Jo Inko Duniya Ki Zindagi Me Mile. Aur Aakhirat Me Allah Ta'ala Ne In AllahWaliyoun Ke Liye Jo Ne'maton Ke Khazane Tayyar Farmaye Hain. In Ko Na Kisi Aankh Ne Dekha Hai Na Kisi Kaan Ne Suna Hai.Na Kisi Ke Khayal Me Aa Sakta Hai.

Aye Allah Ki Bandiyoun..! Himmat Karo. Aur Koshish Karo. Aur In Neek Bandiyoun Ke Tariqe Per Chalne Ka Natija Iradah Kar Lo. In Sha Allah Ta'ala Allah Ki Imdad O Nusrat Tumhara Bazu Thaam Legi. Aur In Sha Allah Duniya O Aakhirat Me Tumhara Beda Paar Ho Jayega. Bas Shart Ye Hai Ke Ikhlaas Ke Sath Ye Azm Kar Lo Ke Ham In Allah Wali Muqaddas Bibiyoun Ke Naqshe Qadam Per Apni Zindagi Ki Aakhri Saans Tak Chalti Rahengi. Aur Islam Ke Aqaid O A'amaal Per Puri Tarha Kaarband Rah Kar Dosri Awraton Ki Islah e Haal Ke Liye Bhi Apni Taqat Bhar Koshish Karti Rahengi...! 

Hazrat Umee Atiy’yah RadiAllahuTa'alaAnha

4:31 pm

Ye Bahot Hi Jaan Nisaar Sahabiyah Hain. Aur RasoolAllah ﷺ Ke Sath 6 Ladayiyoun Me Gayeen. Mujahideen Ko Paani Pilaya Karti Thee(n) Aur Zakhmiyoun Ka Ilaaj Aur Inki Teemaardaari Kiya Karti Thee(n).

Aur Inko RasoolAllah ﷺ Se Itni Aaahiqanah Muhabbat Thi Ke Jab Bhi Ye Huzoor E Akram Ka Naam Leti Thee(n) To Har Martaba Ye Zaroor Kaha Karti Thee(n) Ke..
"MERE BAAP AAP PER QURBAAN".
(Bukhari O Isti'aab, Jild :4, Safa :1947)

Tabsira

MusalMaan Behno..!
Tum In Allah o Rasool Wali Awraton Ki In Hikayaton Se Sabaq Sikho. Aur RasoolAllah ﷺ Se Isi Tarha Ishq O Muhabbat Rakho Ke Muhabbat e Rasool Imaan Ka Nishaan Balke Imaan ki Jaan Hai. KhudaWande Kareem Har Musalman Ko Ye Karaamat Naseeb Farmaye.. Aameen

Rajab

4:37 pm



Rajab Me Ye Dua Padhna Sunnat Hai







1حضرت خواجہ عبد الرحیم مشرقی
1- Hazrat Khwaja Abdur Raheem Mashriqi
2 حضرت خواجہ عبد الکریم مغربی
2- Hazrat khwaja Abdul Kareem Maghribi
3 حضرت خواجہ عبد الرشید شمالی
3- Hazrat Khwaja Abdur Rasheed Shumali
4حضرت خواجہ عبد الجلیل جنوبی
4- Hazrat Khwaja Abdul Jaleel Junubi
یہ چار بزرگ رزق کی تقسیم پر مامور ہیں 4 رجب المرجب ان کا یوم ہے اس تاریخ کو ان کے نام کی فاتحہ دلاکر دعا کی جائے تو رزق روزگار میں برکت ہوتی ہےاللہ تعالی ان بزرگوں کے وسیلہ سے ہمارے رزق میں برکت عطا فرمائے
Yeh Chaar Buzurg Rizq ki Taqseem par Maamoor hai.
4 Rajab unka Yaum hai.
Is taareekh ko Inke naam ki Fateha dilaker Dua ki jaae to Rizq Rozgaar mai Barkat hoti hai. Allah Ta'ala In Buzurgo ke waseele se Hamare Rizq mai Barkat ataa farmae.
[ منجانب- شہزادہ حضور محدث کبیر حضرت مولانا مفتی عطاء المصطفی صاحب قادری-
Minjanib- Shehzada e Huzoor Muhaddis e kabeer Hazrat Maulana Mufti Ataa ul Mustafa Saheb Qadri.

***********


Some Questions Regarding Koonday Ki Niyaaz And the Month Of Rajab ul Murrajab

Bahot Logon Ke Dil Me Koonday Ki Niyaaz Aur Rajab Ke Mahine Ke Mutaliq Sawalaat Paida Hote hain ke.... 
◆ 22 Rajab ko Koonday (Kheer Puri) ki Niyaaz karnay ki asl kiya hai ?
◆ Kya ye Jaiz Hai ?
◆ Kya ye Shiyoun Ka Tariqa Hai ?
◆ 22 Rajab ko hi khaas kyoun ?
◆ Kya Ye Niyaaz jis jagah pakega usi jagah khana hai ?
◆ Kya Awraten ye Niyaaz kha Sakti hai ?
◆ Kya Ye Niyaaz ka Tabarruk Ghar Ke Baher Le Jaya Ja Sakta hai ?

Aur La-Ilmi Ki Wajah Se Bahot Sare Log Ayse Kaam Karte Hain Jaise ...Koonday Ki Niyaaz Ko Awrat na Khaye, Niyaaz Ke Tabarruk Ko Ghar Ke Bahar Na Le Jaye, Ghost Na Pakaye, etc...

In Sab ke Bare Me Haq Janne Ke liye Plz neeche ke Session Ko Zaroor zaroor Sune...Aur Dosron Tak Bhi Pahonchaye...Plz SHARE...




● 22nd Rajab ko Koonde ki Niyaaz karne ki asl kiya hai?
► http://jamiaturraza.com/session/17Jul08/3.mp3

● Rajab ul Murrajab ke mahine me koondo ki niyaz ki shar'ee haisyat kya hai aur kis tarikh me nazr o niyaz karna behtar hai?
► http://jamiaturraza.com/session/24Jun12/8.mp3

● Hamaray yahan 22 Rajjab ko Imam-e-Jafar Sadiq Alaihir raHma ki Niyaz ki jati hay jub k Unn ka URS Sharif 15 Rajab Sharif ko hay. Kaha ye jata hay k 22 Rajab ki Riwayat Shi'on ki Mash'hoor karda hay aur ye bhi kaha jata hay k 22 Rajab ko Ma'azAllah Shia Hazrat-e-Ameer-e-Muwaiya k Wisal k Jash k tour par manatay hain? Iski kia Haqeeqat hay aur Sunniyon k liye Hazrat ki kia Naseehat hay?
► http://jamiaturraza.com/session/4July11/13.mp3

● Islami tehvaar kitnay hain? 22 rajab, 10 muharram 6 rajab aur 11vee shareef ka manana kaisa hay?
► http://jamiaturraza.com/session/16Aug09/16.mp3

● Rajab ke poore maheene mein goosht na khaane kaisa hai?
► http://jamiaturraza.com/session/10Jul08/9.mp3

● Koondon ke baray kaha jata hay ke 22 Rajab ko Shion ne dilawi thi?
► http://jamiaturraza.com/session/17Jul08/19.mp3


Answered by two of the Most Pious, Authentic and Senior Scholars of our Era,Huzoor Taaj al-Shariah Mufti Akhtar Rida al-Qadiri and Huzoor Muhaddith al-Kabeer Allamah Ziyaul Mustafa (May Allah Preserve them). Listen & Share!!

Hazrat Haala Bint Khuwailid RadiAllahuTa'alaAnha

3:55 pm

Ye Hamare Huzoor ﷺ Ki Sali Aur Hazrat Khadija RadiAllahuTa'alaAnha Ki Behan Hain. Hazrat Bibi Khadija RadiAllahuTa'alaAnha Ki Wajah Se Huzoor ﷺ Un Per Badi Muhabbat Farmate The. Ek Martaba Inhone Darwaze Ke Baher Khade Ho Kar MAkaan Me Aane Ki Ijazat Talab Ki. Inki Aawaaz Hazrat Khadija RadiAllahuTa'alaAnha Ki Aawaaz Se Milti Jhulti Thi.Jab Huzoor ﷺ Ne Inki Aawaaz Suni To Hazrat Khadija Ki Yaad Aagayi. Aur Aapne Jaldi Se Uth Kar Darwaaza Khola. Aur Khush Ho Kar Farmaya Ke Ya Allah,Ye To Haala Aagayen.

(Bukhari, Jild :1,Safa :539)

Kya Awrat Apne Shohar Ka Naam Le Sakti HAi

6:04 pm

Kya Biwi Apne Khawind Ko Naam Se Pukaar Sakti Hai?

Jawaab :

Huzoor SadrushSharia Hazrat Allama MuftiAmjadAli Aazmi  AlaihirRahma Tehreer Farmate Hain Ke ..

Awrat Ko Ye Makruh Hai Ke Apne Shohar Ka NAam Le Kar Pukare.
(Dur al-Mukhtaar)

Baaz Jahilon Me Ye Mashoor HAi Ke Awrat Agar Shohar Ka Naam lele To Nikah Toot Jata HAi Ye Ghalat Hai Shayad Ise Is Liye Ghada Ho Ke Is Dar Se Ke Talaq Ho Jayegi Shohar Ka Naam Na Legi.
(Bahar e Shari'at, Jild:3, Safa:657)

 Wallahu Aalam BisSawaab



Hazrat Umme Rumaan RadiAllahuTa'alaAnha

8:38 pm

Ye Ameerul Momineen Hazrat Abu Bakr Siddiq RadiAllahuTa'alaAnha Ki Biwi Hain Aur Hazrat Ayesha Aur Hazrat Abdur Rahman Bin Abu Bakr Ki Maa Hain. Inki Shakl O Surat Aur Unki Behtareen Aadaton Aur Khaslaton Ki Bina Per Huzoor Akram ﷺ Farmaya Karte The Ke Duniya Me Agar Kisi Ko Hoor Dekhne Ki Khwahish Ho To Woh Umme Rumaan Ko Dekh Le Ke Woh Jamaal Surat Aur Husn Seerat Me Bilkul Jannat Ki Hoor Jaisi Hai.

Huzoor AlaihisSalatoSalam In Per Bada Khass Karam Farmaya Karte The. 6 Sane Hijri Me Jab Hazrat Umme Rumaan RadiAllahuTa'alaAnha Ka Inteqaal Huwa To Huzoor ﷺ Inki Qabr Me Utre Aur Apne Dast e Mubarak Se Inko Supurd e Khaak Farmaya. Aur Inki Maghfirat Ke Liye Dua Farmayi Aur Ye Irshaad Farmaya Ke Ya Allah.! Umme Rumaan Ne Tere Aur Tere Rasool Ke Sath Jo Behtareen Mamla Kiya Hai Woh Tujh Per Poshida Nahi Hai.
Lihaza Tu Inki Maghfirat Farma.

(Istia'ab Jild:4, Safa 1936)

Tabsira :

Khuda Ki Ibadat Aur Pyare Rasool ﷺ Ki Mohabbat O Ita'at Ki Ba-Doulat Hazrat Umme Rumaan RadiAllahuTa'alaAnha Ko Kitni Azeem Sa'adat Aur Kitni Badi Fazeelat Naseeb Ho Gayi Ke Huzoor E Akram ﷺ Ne Apne Dast Mubarak Se Inko Qabr Me Utara Aur Behtareen Andaaz Se Inki Maghfirat Ke Liye Dua Farmayi Yaqeenan Ye Hazrat Umme Rumaan RadiAllahuTa'alaAnha Ki Bahot Badi Khush Naseebi Hai. Aur Usse Ye Sabaq Milta Hai Ke KhudaWande Kareem Ki Ibadat Aur Rasool Ki Mohabbat O Ita'at Se Deen O Duniya Ki Kitni Badi Badi Nematen Aur Doulaten Milti Hain. KhudaWande Quddus Tamam Musalmaan Mardon Aur Awraton Ko Apni Ibadat Aur Rasool Ki Mohabbat O Ita'at Ki Toufeeq Ata Farmaye.
Aameen Allahumma Aameen 

Hazrat Asma' Bint Umays RadiAllahuTa'alaAnha

5:11 pm

Ye Bhi Sahabiya Aur RasoolAllah ﷺ Per Jaan Chidhakne Wali Awrat Hai. Makkah Me Jab Kafiron Ne Musalmanon Ko Behad Satana Shuru Kar Diya. To RasoolAllah ﷺ Ne Habsha Ki Taraf Hijrat Ka Hukm Diya. Chunanche Jab Logon Ne Habsha Ki Taraf Hijrat Ki To Asma' Bint Umays RadiAllahuTa'alaAnha Ne Bhi Apne Shohar Jafar Bin Abi Talib Ke Saath Habsha Ka Safr Kiya.

Aur Jab RasoolAllah ﷺ Ne Madinah Munawwara Ki Taraf Hijrat Farmayi To Habsha Ke Muhajireen Habsha Se Madina Munawwara Chale Aaye.

Jab Bibi Asma' Bint Umays Bargahe Risalat Me Hazir Huwen To Huzoor ﷺ Ne Inko SaHib ul Hijratain (Do Hijraton Wali) Ke Laqab Se Sarfaraz Farmaya. Aur Ajr e Azeez Ki Basharat Di.

(Isti'aab, Jild :4,Safa:1874)
(Bukhari) 

Hazrat Hawla RadiAllahuTa'alaAnha

5:20 pm

Ye Khaandaan Quraysh Ki Ek Ba-Waqaar Awrat Hain. Sharf e Sahabiyat Paya Aur Hijrat Ki Fazilat Bhi Inko Mili.

Ye Bahot Hi Ibadat Guzaar Sahabiya Hain. Chunanche Ek Hadees Me Hai Ke Ye Raat Bhar Jaag Kar Ibadat Karti Thee(n). Inka Ye Haal Sun Kar Huzoor E Aqdas ﷺ Ne Farmaya Ke Sunlo.
Allah Ta'ala Nahi Uktayega, Balke Tumhi Log Ukta Jaoge. Isliye Tum Log Itne Hi A'amaal Karo Jitne A'amaal Ki Taqat Rakhte Ho.Apni Taqat Se Ziyadah Koyi Amal Mat Karo.

Hazrat Ayesha RadiAllahuTa'alaAnha Ka Bayaan Hai Ke Ek Martaba Hazrat Hawla RadiAllahuTa'alaAnha Ne Huzoor ﷺ Ke Ghar Me Dakhil Hone Ki Ijazat Talab Ki. To Huzoor ﷺ Ne Inko MAkaan Ke Andar Aane Ki Ijazat Ata Farmayi.

Aur Jab Jab Ye Ghar Me Aayen To Huzoor ﷺ Ne Inki Taraf Bahot Khususi Tawajjah Farmayi. Aur Inki Mizaaj Pursi Farmayi.

Hazrat Ayesha Farmati Hain Ke Ye Dekh Kar Maine Arz Kiya Ya RasoolAllah.! (ﷺ)
Aap Un Per Is Qadr Ziyadah Tawajjah Farmate Hain Iski Wajah Kya Hai?

To Aap (ﷺ) Ne Irshaad Farmaya Ke Ye Hazrat Khadijah Ke Zamane Me Bhi Hamare Ghar Bahot Ziyadah Aaya Jaya Karti Thee(n). Aur Purane Mulaqaton Ke Sath Achcha Sulook Karna Ye Imaani Khaslat Hai.
(Isti'aab, Jild :4,Safa :1815)

Tabsira:

Aye Islami Behno..!
Hazrat Hawla RadiAllahuTa'alaAnha Ki Ibadat Aur Apni Marhuma Biwi Ki Sehliyoun Ke Sath Huzoor Ke Achche Batao Se Sabaq Seekho.
Allah Ta'ala Tum Per Fazl Farmaye.
Aameen
(Jannati Zewer, Safa :401)

Hazrat Umme Saleet RadiAllahuTa'alaAnha

7:11 pm

Ye Madine Munawwara Ki Ek Ansariya Awrat Hain. Badi Bahadduri Aur Islam Per Jaan Dene Wali Sahabiya Hain.

Hazrat Umar RadiAllahuTa'alaAnhu Apni Khilafat Ke Zamane Me Madinah Ki Awraton Ke Darmiyaan Chadaren Taqseem Kar Rahe The. Ek Bahot Hi Umda Chadar Bach Gayi. To Aapne Logon Se Mashwarah Kiya Ke Yeh Chadar Main Kisko Doon?

To Logon Ne Kaha Ke Ye Chadar Aap Hazrat Ali ( RAdiAllahuTa'alaAnhu)  Ki Sahebzadi Bibi Umme Kulsum Ko De dijiye Jo Aap Ki Biwi Hain.

 To Aapne Farmaya Ke Nahi Hargiz Nahi Main Ye Chadar Umme Kulsum Ko Nahi Donga. Balke Meri Nazar Me Is Chadar Ki Haqdaar Bibi "Umme Saleet"  Hain.
Khuda Ki Qasam..! Maine Apni Aankhon Se Dekha Hai Ke Jang e Uhad Ke Din Ye Aur Ummul Momineen Bibi Aayisha Dono Apne Kandhon Per Mashk Bhar Bhar Kar Laati Thee(n) Aur Mujahideen Aur Zakhmiyoun Ko Pani Pilati thee(n). Aur Phir Umme Saleet Un Khush Naseeb Awraton Me Se Hain Jo RasoolAllah ﷺ Se Ba'iat Kar Chuki Hain.
Hazrat Ameer ul Momineen Hazrat Umar RadiAllahuTa'alaAnhu Ne Ye Farma Kar Woh Chadar Hazrat Umme Saleet RadiAllahuTa'alaAnha Ko Ata Farmaya Di.

(Bukhari, Jild 1, Safa :403)

Featured post

Sitamgaron Ka Bura Anjam

yazeed Ki Hilakat Ke Baad Ahle Hijaz O Yaman Aur Iraq O Khirasan Walon Ne To Hazrath Abdullah Bin Zubair Ke Hath Per Baiat Ki Aur Misr O Sh...