Maah e Saffarul Muzaffar

5:30 pm



Aksar Log Khususan Aurate'n Maah e Saffar Ko Manhoos Janti Hai Koyi Naya Kaam Nahi Karti. Aur Unhi Main Kuch Jahil Aakhri Chahar Shamba Ko Khushi Manate Hain ke Huzoor Alaihissalam Ko Is Din Sihat Huwi. Lekin Haqiqat Ye Hai Ke Duno'n Baate Galat Hai.

Ahadees Se Saabit Hai Ke..
Na Ye Mahina Manhoos Hai,
Na Is Main Shadi Karna Mana,
Na Makaan Ki Ta'ameer Karna Ki Ibteda Baa'ise Takleef.
Saheeh Ye Hai Ke Huzoor Alaihissalam Ke Marz Main Iazafa Huwa Tha. Is Liye Musalmano'n Ko Chahiye Ke Is Raat Ko Ibadat Main Guzare'n Aur Nawafil-O- Tilawate QurAan Main Masroof Rahe.
(Iqbaal Ahmad Noori)

Dino'n Aur Mahino'n Ke Manhoos Hone Ka Islaam Se Qabl Ke Tasawwur -O- Aqaa'id Ka Jis Tarah Huzoor ﷺ Ne Muqabila Farmaya.Isse Huzoor Alaihissalam Ke Irshaadaat Ka Khulasa Ye Hasil Hota Hai Ke...Jis Tarah

Tarjuma: Ye Rasool Hain Ke Hamne In Main Ek Dusre Par Afzal Kiya. In Main Kisi Se Allah Ne Kalaam Farmaya. Aur Koyi Wo Hai Jise Sab Par Darjo'n Buland Kiya.
(Sure Al-Baqra:253)

Goya Sab Aala Hain Aur Koyi Aala Se Aala Hai Allah Ta'Aala Ke Fadl Se Koyi Nabi -O- Rasool Adna Nahi. Isi Tarah Din Aur Mahine Ko Ek Dusre Par Fazeelat To Hai Magar Koyi Din Ya Koyi Mahina Manhoos Nahi.Jis Tarah Huzoor Anwarﷺ Ka Noor Mubarak Hazrat Abdullah RadiYallahu Ta'Aala Anhu Se. Hazrat Aamina RadiyAllahu Ta'Aala Anha Ko Muntaqil Hone Se Jumu'atul Mubarak Aur Rajjab Ko Aur Aaqa -O- Maula Noore Mujassam ﷺ Ki Paida'ish Ki Waja Se Peer Ko Azmat-O- Buzrugi Haasil Huwi To Iska Ye Hargiz Matlab Nahi Ke Digar Paanch(5) Din Manhoos Qaraar Payege_. Ya Tamaam Eido'n Ki Jaan -O- Sabab Rabi-ul-Awwal Shareef Main Huzoor Alaihissalam Duniya Main Tashreef Laye To Rabi-ul-Awwal Shareef Ko Fazeelat Aur Buzrugi Hasil Huwi.Ramzan-ul-Mubarak Usi Ke Mahboobe Aazam Par Khaaliqe Kaainaat Ne QurAane Hakeem Nazil Farma Kar Apne Mahboobe Aazam Ka Nabi-O- Rasool Hone Ka Izhaar Farmaya Jiski Waja Se Ramzan-ul-Mubarak Ko Azmat Aur Buzrugi Haasil Huwi To Iska Ye Hargiz Matlab Nahi Ke Digar Nau(9) Ya Paanch(5) Mah Manhoos Hain. Yahi Wajah Hai Ke Huzoor Pur Noor ﷺ Ne Baar Baar Yahi Irshad Farmaya Ke  Koyi Din Aur Koyi Mahina Manhoos Nahi.
(Anees Ahmad Noori)

Aamileen Aakhri Chahar Shamba Ki Shab Ke Liye Farmate Hain Ke..

Is Raat Main 4_Rakat Namaaz Is Tarah Padhe Ke Pehli Rakat Ba'd Alhamd Shareef , Sure Kaafiroon 15 Baar Padhe.
Dusri Rakat Main Sure IkhLaas_____ 15 Baar Padhe.
Tisri Rakat Main Sure Falaq_____15 Baar Padhe.
Chauthi Rakat Main Sure Naas_____ 15 Baar Padhe.
Phir Namaaz Puri Karke Salaam Ke Ba'd 
Durood Shareef____70 Baar Padhe.
Kalima Tayyeba____70 Baar Padhe.
Phir Durood Shareef ___ 7 Baar Padh Kar Iska Sawaab Huzoor Sarware Du Aalam ﷺ Aur Aal-O- Ashaab Ki Arwah Ko Bataure Nazar Pesh Kare. Phir Apne Liye Dua Kare. In shaa Allah Jo Haa'jat Ho Puri Ho.

Wazifa Chahar Shamba: 


Kitaab-ul-Auraad Main Likha Hai Ke Jo Shakhs Aakhri Chahar Shamba Mahe Saffar Main Sure Inshirah ,Sure Atteen,Sure Nasar ,Sure IkhLaas 
80-80 Baar Padh Kar Dua Kare To Umar Uski Daraaz Ho  Aur Rizq Main Barkat Ho Dil Ghani Ho.

Ye Dua Yakam Saffar Se Aakhri Taareekh Tak Jitni Baar Padh Sake Padhe Aur Baccho'n Par Dam Kare 

لِیۡ خَمۡسَةࣱ اُطۡفِیۡ بِهَا حَرَّ الۡوَبَآءِ الۡحَاطِمَةࣱ 
اَلۡمُصۡطَفٰے وَ الۡمُرۡتَضٰے وَابۡنَاهُمَا وَالۡفَاطِمَةࣱ

19/20 Saffar Ko Daata Nagri Shaher Lahoor Main Hazrat Sayyad Ali Hijweri Daata Ganj Bakhsh Rahmatullahi Ta'Aala Alaih Ka Urs Mubarak Badi Aqeedat -O- Mohabbat Se Manaya Jata Hai.

25 Saffar Ko Imam Ahle_Sunnat Maulna Ash-Shah Ahmad Raza Khaan Fazile Bareillvi Rahmatullahi Ta'Aala Alaih Ka Urs Mubarak Duniya Bhar Main Jaha Jaha Sunni Rehte Hain Taqriro'n Aur Na'atiya Musha'iro'n.Khane Ke Langaro'n Ki Shakal Main Manate Hain. Aur Khususan Bareilly Shareef Bharat Main Teen(3) Roza 24 /25 / 26 Saffar Ko Ye Ruhani Taqreeb Bade Aehtamaam Se Ada Ki Jati Hain Jis Main Duniya Bhar Se Ulma Aur Mashyikh Shirkat Karte Hain.

(Ref>>> Pakistani Panj Surah Qadri Razvi , Safa:313 to 315)

You Might Also Like

0 comments

Featured post

Sitamgaron Ka Bura Anjam

yazeed Ki Hilakat Ke Baad Ahle Hijaz O Yaman Aur Iraq O Khirasan Walon Ne To Hazrath Abdullah Bin Zubair Ke Hath Per Baiat Ki Aur Misr O Sh...