Islami Mahine

Sawaal O Jawaab

12:01 pm


Kya Safar ka Mahina Manhoos Hai?
Kya Is Mahine Me Balayen Nazil Hoti Hai?
Haqiqat Janiye
Answer by :
Allama Syed Shah Turabul Haq Qadri Saheb Qibla رحمة الله علیه

.....
Isi silsilay mein Baba Fariduddin Ganj Shakar Alaihir raHmah ka qoul bataya jata hay kAik saal mein 10 lakh 80 hazaar balaen naazil hoti hain aur sirf Safar mein 9 laakh 20hazaar balaen nazil hoti hain. Iss ki kia haqeeqat hay?

......
Maah-e-Safar al-Muzaffar k hawalay se aik hadees sharif pesh ki jati hay k Sarkar ne farmaya: "Jo mujhe safar ka maheena guzar janay ki khabar dega mein usay jannat mein jaanay ki basharat dunga." kia aisi koi hadees hazrat ne parrhi ya suni? aur agar aisi koi hadees sharif hay tou iski sharha farma dein.


.....


Kiy safar k mahine k aakhri buddh ko safar karne me koi harj hai?



Islami Mahine

Maah e Saffarul Muzaffar

5:30 pm



Aksar Log Khususan Aurate'n Maah e Saffar Ko Manhoos Janti Hai Koyi Naya Kaam Nahi Karti. Aur Unhi Main Kuch Jahil Aakhri Chahar Shamba Ko Khushi Manate Hain ke Huzoor Alaihissalam Ko Is Din Sihat Huwi. Lekin Haqiqat Ye Hai Ke Duno'n Baate Galat Hai.

Ahadees Se Saabit Hai Ke..
Na Ye Mahina Manhoos Hai,
Na Is Main Shadi Karna Mana,
Na Makaan Ki Ta'ameer Karna Ki Ibteda Baa'ise Takleef.
Saheeh Ye Hai Ke Huzoor Alaihissalam Ke Marz Main Iazafa Huwa Tha. Is Liye Musalmano'n Ko Chahiye Ke Is Raat Ko Ibadat Main Guzare'n Aur Nawafil-O- Tilawate QurAan Main Masroof Rahe.
(Iqbaal Ahmad Noori)

Dino'n Aur Mahino'n Ke Manhoos Hone Ka Islaam Se Qabl Ke Tasawwur -O- Aqaa'id Ka Jis Tarah Huzoor ﷺ Ne Muqabila Farmaya.Isse Huzoor Alaihissalam Ke Irshaadaat Ka Khulasa Ye Hasil Hota Hai Ke...Jis Tarah

Tarjuma: Ye Rasool Hain Ke Hamne In Main Ek Dusre Par Afzal Kiya. In Main Kisi Se Allah Ne Kalaam Farmaya. Aur Koyi Wo Hai Jise Sab Par Darjo'n Buland Kiya.
(Sure Al-Baqra:253)

Goya Sab Aala Hain Aur Koyi Aala Se Aala Hai Allah Ta'Aala Ke Fadl Se Koyi Nabi -O- Rasool Adna Nahi. Isi Tarah Din Aur Mahine Ko Ek Dusre Par Fazeelat To Hai Magar Koyi Din Ya Koyi Mahina Manhoos Nahi.Jis Tarah Huzoor Anwarﷺ Ka Noor Mubarak Hazrat Abdullah RadiYallahu Ta'Aala Anhu Se. Hazrat Aamina RadiyAllahu Ta'Aala Anha Ko Muntaqil Hone Se Jumu'atul Mubarak Aur Rajjab Ko Aur Aaqa -O- Maula Noore Mujassam ﷺ Ki Paida'ish Ki Waja Se Peer Ko Azmat-O- Buzrugi Haasil Huwi To Iska Ye Hargiz Matlab Nahi Ke Digar Paanch(5) Din Manhoos Qaraar Payege_. Ya Tamaam Eido'n Ki Jaan -O- Sabab Rabi-ul-Awwal Shareef Main Huzoor Alaihissalam Duniya Main Tashreef Laye To Rabi-ul-Awwal Shareef Ko Fazeelat Aur Buzrugi Hasil Huwi.Ramzan-ul-Mubarak Usi Ke Mahboobe Aazam Par Khaaliqe Kaainaat Ne QurAane Hakeem Nazil Farma Kar Apne Mahboobe Aazam Ka Nabi-O- Rasool Hone Ka Izhaar Farmaya Jiski Waja Se Ramzan-ul-Mubarak Ko Azmat Aur Buzrugi Haasil Huwi To Iska Ye Hargiz Matlab Nahi Ke Digar Nau(9) Ya Paanch(5) Mah Manhoos Hain. Yahi Wajah Hai Ke Huzoor Pur Noor ﷺ Ne Baar Baar Yahi Irshad Farmaya Ke  Koyi Din Aur Koyi Mahina Manhoos Nahi.
(Anees Ahmad Noori)

Aamileen Aakhri Chahar Shamba Ki Shab Ke Liye Farmate Hain Ke..

Is Raat Main 4_Rakat Namaaz Is Tarah Padhe Ke Pehli Rakat Ba'd Alhamd Shareef , Sure Kaafiroon 15 Baar Padhe.
Dusri Rakat Main Sure IkhLaas_____ 15 Baar Padhe.
Tisri Rakat Main Sure Falaq_____15 Baar Padhe.
Chauthi Rakat Main Sure Naas_____ 15 Baar Padhe.
Phir Namaaz Puri Karke Salaam Ke Ba'd 
Durood Shareef____70 Baar Padhe.
Kalima Tayyeba____70 Baar Padhe.
Phir Durood Shareef ___ 7 Baar Padh Kar Iska Sawaab Huzoor Sarware Du Aalam ﷺ Aur Aal-O- Ashaab Ki Arwah Ko Bataure Nazar Pesh Kare. Phir Apne Liye Dua Kare. In shaa Allah Jo Haa'jat Ho Puri Ho.

Wazifa Chahar Shamba: 


Kitaab-ul-Auraad Main Likha Hai Ke Jo Shakhs Aakhri Chahar Shamba Mahe Saffar Main Sure Inshirah ,Sure Atteen,Sure Nasar ,Sure IkhLaas 
80-80 Baar Padh Kar Dua Kare To Umar Uski Daraaz Ho  Aur Rizq Main Barkat Ho Dil Ghani Ho.

Ye Dua Yakam Saffar Se Aakhri Taareekh Tak Jitni Baar Padh Sake Padhe Aur Baccho'n Par Dam Kare 

لِیۡ خَمۡسَةࣱ اُطۡفِیۡ بِهَا حَرَّ الۡوَبَآءِ الۡحَاطِمَةࣱ 
اَلۡمُصۡطَفٰے وَ الۡمُرۡتَضٰے وَابۡنَاهُمَا وَالۡفَاطِمَةࣱ

19/20 Saffar Ko Daata Nagri Shaher Lahoor Main Hazrat Sayyad Ali Hijweri Daata Ganj Bakhsh Rahmatullahi Ta'Aala Alaih Ka Urs Mubarak Badi Aqeedat -O- Mohabbat Se Manaya Jata Hai.

25 Saffar Ko Imam Ahle_Sunnat Maulna Ash-Shah Ahmad Raza Khaan Fazile Bareillvi Rahmatullahi Ta'Aala Alaih Ka Urs Mubarak Duniya Bhar Main Jaha Jaha Sunni Rehte Hain Taqriro'n Aur Na'atiya Musha'iro'n.Khane Ke Langaro'n Ki Shakal Main Manate Hain. Aur Khususan Bareilly Shareef Bharat Main Teen(3) Roza 24 /25 / 26 Saffar Ko Ye Ruhani Taqreeb Bade Aehtamaam Se Ada Ki Jati Hain Jis Main Duniya Bhar Se Ulma Aur Mashyikh Shirkat Karte Hain.

(Ref>>> Pakistani Panj Surah Qadri Razvi , Safa:313 to 315)

Satr E Awrat

10:43 pm

Satr Kitna Farz Hai
Yani Namaazi Ke Liye Kam Se Kam Kitna Dhaka Rehna Zaruri Hai.

Mas’ala: Mard Ke Liye Naaf Ke Niche Se Le Kar Ghutno(N) Ke Niche Tak Awrat(Chpane Ki Cheez) Hai .
Yani Itne Badan Ka Chupana Farz Hai.
Naaf Ka Chupana Farz Nahi Lekin Ghutna Dhakna Farz Hai.

Mas’ala : Aazad Awraton Aur Khansa(Hijda,mukhnis) Mushkil Ke Liye Sara Badan Awrat Hai. Siwa E Muh Aur Hateliyoun Aur Paon Ke Talwon Ke.
Sar Ke Latakte Huwe Baal, Aur Gardan Aur Kalayiyan Bhi Awrat Hain. Inka Chupana Bhi Farz Hai.

Mas’ala : Agar Awrat Ne Itna Bareek Dupatta Jesse Baal Ki Siyahi Chamke Oodh Kar Namaaz Padhi to Namaaz Na Hogi.
(Qaroon e Shariat)

Mas’ala : Baandi Ke Liye Sara Pait Aur Peet Our Dono Pehlu Aur Naaf Se Ghutnon Tak Awrat Hai.
*Mas’ala* : Jin 'Aaza Ka Chupana Farz Hai, Inme Se Koi ‘azu Agar Couthayi Se Kam Khul Gaya to Namaaz Ho Jayegi. Aur Agar Couthayi ‘azu Khul Gaya Aur Fouran Chupaliya Jab Bhi Namaaz Ho Gayi , Aur Agar Ba-qadr Ek Rukn Yani 3 Martaba SubhanAllah Kehne Ke Bara Bar Khula Raha Ya Qasdan Khola Fouran Chupa Liya Namaaz Jati Rahi.
(Jannati Zewar)

Awrat Ke Aaza-e-Awrat Ka Shumaar:
Aazad Awraton Ke Liye Siwaye in Panch ‘azu Ke Jinka Bayan Piche Bayan Kiya Gaya Hai. Sara Badan Awrat Hai. Jisme in 30 Aaza Shamil Hain.
Inme Se Jis ‘azu Ki Chouthayi Khul Jaye Namaaz Ka Wahi Hukm Hai Jo Pichli Post Me Bayaan Huwa.

1. Sar Yani Mathe Ke Uper Se Gardan Ke Shuru Tak.
2. Baal Jo Latakte Ho.
3. 4. Dono Kaan.
5. Gardan
6, 7.Dono Shane(Kandhe) 
8,9. Dono Bazu Kohniyoun Samet
10, 11. Dono Kalayiyan Yani Kohni Ke Baad Se Gatton Ke Niche Tak
12. Sina Yani Gale Ke Jod Se Dono Pistan Ke Niche Tak.
13,14. Dono Hath Ki Peet.
15, 16. Dono Pistan(breast) 
17. Pait Yani Sine Ki Had Jo Uper Zikr Huwi. Is Had Se Le Kar Naaf Ke Nichle Kinare Tak Yani Naaf Ka Bhi Pait Me Shumaar Hai.
18. Peet Yani Piche Ki Janib Sine Ke Muqabil Se Kamar Tak.
19. Dono Shanon Ke Beech Me Jo Jagah Hai Baghal Ke Niche Sine Ki Nichli Had Tak.
20, 21. Dono Surain
22. Furj(Vagina) 
23. Dubur(Peet, Kisi Cheez Ka Pichla Hissa
24, 25. Dono Ranen Yani Har Raan Chadde Se Ghutne Tak . Yani Ghutno Samet Ek ‘azu Hai. Ghutna Ek ‘azu Nahi.
26. Naaf Ke Niche Pedu Aur Usse Mili Jo Jagah Hai Aur Inke Muqabil Peet Ki Taraf Sab Mil Kar Ek Awrat Hai.
27, 28. Dono Pindhliyan Tukhnon Samet.
29,30. Dono Talwe.

Baaz Ulma Ne Haath Ki Peet Aur Talwon Ko Awrat Me Dakhil Nahi Kiya.

Mas’ala: Awrat Ka Chehra Agar Che Awrat Nahi Lekin Gair Mahram Ke Samne Muh Kholna Mana Hai .. Yunhi Gair Mahram Ku Iska Dekhna Jaiz Nahi.

Mas’ala: Agar Kisi Mard Ke Pass Satr Ke Liye Jaiz Kapda Nahi Aur Reshmi Hai to Farz Hai Ke Isse Satr Kare , Aur Isi Me Namaaz Padhe Albatta Aur Kapde Hote Huwe Mard Ku Reshmi Kapda Pehanna Haram Hai. Aur Reshmi Kapde Me Namaaz Makru E Tehrimi Hoti Hai.

Mas’ala: Agar Nange Shakhs Ku Chatayi Ya Bichona Mil Jaye to Isi Se Satr Kare. Nanga Na Padhe .. Yunhi Agar Ghaas Ya Patton Se Satr Kar Sakta Hai to Yahi Kare.
(Aalamgiri)

Mas’ala: Kisi Ke Pass Bilkul Kapda Na Ho to Baith Kar Namaaz Padhe Aur Ruku O Sajda Ishare Se Kare Chahe Din Ho Ya Raat, Ghar Me Ho Ya Maidaan Me.
(Hidaya , Durr Al Mukhtaar Ya Rad Ul Muhtaar)

Mas’ala: Agar Dosre Ke Pass Kapda Hai Aur Ghalib Gumaan Hai Ke Mangne Se De Dega to Mangna Wajib Hai.
(Rad Ul Muhtaar)

Mas’ala: Agar Na-paak Kapde Ke Siwa Koi Aur Kapda Nahi Aur Paak Karne Ki Koi Surat Bhi Nahi to Na-paak Hi Kapde Se Satr Kare. Aur Nanga Na Padhe.
(Hidaya)

Mas’ala: Agar Pure Satr Ke Liye Kapda Nahi Aur Itna Hai Ke Baaz ‘aza Ka Satr Ho Jayega to Isse Wajib Hai Aur Is Kapde Se Awrat E Ghaliza Yani Aage Piche Chupaye , Aur Itna Ho Ke Ek Hi Chupa Sakta Hai to Ek Hi Ko Chupaye.

Mas’ala: Agar Khade Ho Kar Namaaz Padhne Se Couthayi Satr Khulta Hai to Baitn Kar Padhe.
(Dur E Mukhtar Rad Al Muhtaar)

Kin Logon Se Parda Farz Hai

5:22 pm

Har Gair Mehram Mard Khwa Ajnabi Ho Khwa Ristedaar Bahar Rehta Ho Ya Ghar Ke Andar Har Ek Se Parda Karna Aurat Par Farz Hai.

Han Un Mardo Se Jo Aurat Ke Mehram Hon Unse Parda Karna Aurat Par Farz Nahi.
Jaise Baap, Dada, Chacha, Mamu, Nana, Bhai, Bhatija , Bhanja , Pota, Nawasa, Khusr(father-in-law ) In Logon Se Parda Karna Jaruri Nahi Hai.

Dewar Aurat Ke Haq Me Esa Hi Khatarnak Hai Jaise Mout. Aur Aurat Ko Dewar Se Isi Tarah Door Bhagna Chahiye Jis Tarah Log Mout Se BhagTe Hain.
(Mishkat Shareef, jild:2,Safa:268)

Huzoor صلى الله عليه وسلم (Qur'an ki aayat) Se Aurton Ka Imtihan Farmate the Jo Aurat Is Ayat Ka Iqrar Kar Leti Thi to Aap صلى الله عليه وسلم Us Se Farmate the Ki Myne Tujh Se Yeh Bait Leli. Yeh Bait Ba-Jariye Kalam Hoti Thi Khuda Ki Qasam Khabhi Bhi Huzoor صلى الله عليه وسلم Ka Hath Kisi Aurat Ke Hath Se Bait Ke Waqt Nahi Laga ..


Mehram Woh Mard Hai Jin Se Aurat Ka Nikah Khabhi Bhi Aur Kisi Surat Me Bhi Jaiz Nahi Ho Sakta. 

Gair Mehram Woh Mard Hain Jin Se Aurat Ka Nikah Ho Sakta Hai
Jaise Chacha Zad Bhai, Mamu Zad Bhai, Fufi Zad Bhai, Khala Zad Bhai, Jaeth, Dewar Wagaira Yeh Sab Aurat Ke Gair Mehram Hain.aur In Sab Logon Se Parda Karna Aurat Par Farz Hai.

Hindustan me Ye Bohat Hi Galat Khilafe Shariat Riwaj Hai Ki Auraten Apne Dewar Se Bilkul Parda Nahi Karti Balki Dewaron Se Hansi Mazak Aur In Ke Sath Hatha Payi Tak Karne Ko Bura Nahi Samajti.

Halan Ke Dewar Aurat Ka Mehram Nahi Hai Is Liye Dusre Tamam Gair Mehram Mardon Ki Tarah Aurton Ko Dewaron Se Parda Karna Farz Hai Balki Hadees Shareef Me Toh Yaha Tak Dewaron Se Parde Ki Takeed Hai Ki...
 
Bahar Haal Khoob Achi Tarah Samaj Lo Ki Gair Mehram Se Parda Farz Hai Chahe Wo Ajnabi Mard Ho Ya Ristedar Dewar Jeth Bhi Gair Mehram Hai Isliye In Logon Se Bhi Parda Jaruri Hai Isi Tarah Kuffar Wa Musrikin Ki Aurton Se Bhi Musalman Aurton Ko Parda Karna Chahiye. Isi Tarha Hijdon aur Bad-Chalan Awraton Se Bhi Parda Karna Lazim Hai Aur Un Ko Gharo Me Aane Jane Se Rok Dena Chahiye.

Mas'ala - Aurat Ka Peer Bhi Aurat Ka Gair Mehram Hai Isi Liye Mureeda Ko Apne Peer Se Bhi Parda Karna Farz Hai Aur Peer Ke Liye Bhi Yeh Jaiz Nahi Ki Apne Mureeda Ko Be-Parda Dekhe Ya Tanhai Me Us Ke Paas Bethe Balki Peer Ke Liye Yeh Bhi Jaiz Nahi Ki Aurat Ka Hath Pakad Kar Us Ko Bait Kare Jaise Ki Hazrate Aaisha Siddeequa رضي الله عنها Ne Aurton Ki Bait Ke Mutalik Farmaya Ki....
(Sahih Bukhari)


Featured post

Sitamgaron Ka Bura Anjam

yazeed Ki Hilakat Ke Baad Ahle Hijaz O Yaman Aur Iraq O Khirasan Walon Ne To Hazrath Abdullah Bin Zubair Ke Hath Per Baiat Ki Aur Misr O Sh...