Aqeeqah Ka Bayaan
7:41 pm
Bachcha Paida Hone Ke Shukriya Me Jo Janwar Zibah Kiya Jata Hai Us Ko Aqeeqah Kehte Hain.
Hanfiyah Ke Nazdeek Aqeeqah Mustahab Hai.
Aqeeqeh Ke Chand Aahadees Shareef
- Rasoole Khuda SallallahuAlaihiWaSallam Ne Irshaad Farmaya Ke Ladke Ke Sath Aqeeqah Hai,Uski Taraf Se Khoon Bahao (Yani janwar Zibah Karo) Aur Usse Aziyat Door Karo Yani Uska Sar Mundha Do.
(Bukhari Shareef)
- Habeeb e Khuda SallallahuAlaihiWaSallam Ne Farmaya Ke Ladke Ki Taraf Se Do Bakriyan Aur Ladki Ki Taraf Se Ek.Isme harj Nahi Ke Nar Ho Ya Maddah.
- Mahboob e Khuda SallallahuAlaihiWaSallam Ne Farmaya Ladka Apne Aqeeqeh Me Girwi Hai. Saatwen Din Uski Taraf Se Janwar Zibah Kiya jaye Aur Uska Naam Rakha Jaye , Aur Sar Mundha Jaye. Tirmidhi,Nisai).
Faidah :
Girwi Hone Ka Matlab Ye Hai Ke Usse Pura Naf’a Hasil Na Hoga ,Jab Tak Aqeeqah Na Kiya Jaye Aur Baaz Hazraat Ne Farmaya ke Bachche Ki Salamati Aur Uska Nasho Numa Aur Us Me Achche Awsaaf Hona Aqeeqah Ke Sath Wabasta Hain.
- Habeeb e Kibriya SallallahuAlaihiWaSallam Ne Hazrat Hasan RadiAllahuAnhu Ki Taraf Se Aqeeqah me Bakri Zibah Ki Aur Ye Farmaya Ke Aye Fatimah Uska Sar Mundha Do Aur Baal Ke Wazan ke Barabar Chandi Sadqa Karo.Hazrat Ali RadiAllahuAnhu Farmate Hain Ke Hamne Balon Ka Wazan kiya To Ek Diram ya Kuch Kam The.
(Tirmidhi) - Hazrat Ibn Abbas RadiAllahuAnhuma Se Riwayat hai Ke RasoolAllah SallallahuAlaihiWaSallam Ne Imam Hasan o Imam Husain RadiAlllahuAnhuma Ki Taraf se Ek Ek Mendhe Ka Aqeeqah Kiya.
(Abu dawood)
Aur Nisaai Ki Riwayat me Hai Ke Do Do Mendhe Zibah Kiye. - Hazrat Buraidah RadiAllahuAnhu Farmate Hain ke Zamana -e-Jahiliyat Me Jab Hamme Kisi Ka Bachcha Paida Hota To Bakri Zibah Karta Aur Uska Khoon Bachche Ke Sar Per Laga Deta,
Ab Jab Ke Islam Aaya To Satwen Din Ham Bakri Zibah Karte Hain Aur Bachche Ka Sar Mundhate Hain Aur Sar Per Zafraan Laga Dete Hain.
(Abu Dawood) - Hazrat Abu Rafi’e RadiAllahuAnhu Farmate Hain Ke Jab Hazrat Imam Hasan Bin Ali RadiAllahuAnhu Paida Huwe To Maine Dekha Ke Huzoor e Aqdas SallallahuAlaihiWaSallam Ne Inke Kaan Me Wahi Azaan Kahi Jo Namaaz Ke Liye Kahi Jati Hai.
(Tirmidhi Shareef) - Hazrat Ayesha Siddiqua RadiAllhuAnha Farmati Hain Ke RasoolAllah SallallahuAliahiWaSallam Ki Khidmat e Aqdas me Bachche Laye Jate, Huzoor Unke Liye Barkat Ki Dua Karte Aur Tahneek Karte Yani Koyi Cheez Maslan Khajoor Chaba Kar us Bachche Ke Talu(Muh Ke Andar Ki Chat) Me Laga Dete Ke Sabse Pehle Uske Pait Me Huzoor SallallahuAlihiWaSallam Ka Lu’aab e Dahan Pahonche.
(Muslim Shareef) - Hazrat Asma Bint Abu Bakr RadiAllahuAnhuma Farmati Hain Ke Abdullah bin Zubair RadiAllahuAnhu Makka Hi Me Hijrat Se Pehle Mere Pait Me The, Hijrat Ke Baad Ye Quba Me Paida Huwe. Main Inko RasoolAllah SallallahuAlaihiwaSallam Ki Khidmat Me Layi Aur Huzoor SallallahuAlaihiwaSallam Ki Goad me Inko Rakh Diya .
Phir Huzoor SallallahuAlaihiWaSallam Ne Khajoor Mangayi Aur Chaba Kar Unke Muh Me Daal Di, Aur Unke Liye Dua e Barkat Ki Aur Hijrat Ke Baad Musalmaan Muhajireen Ke Yahan Ye Sab Se Pehle Bachche Hain.
(Bukhari, Muslim)
Reference : Noorani Zewar
0 comments