Aqeeqah Ka Bayaan

7:41 pm


Bachcha Paida Hone Ke Shukriya Me Jo Janwar Zibah Kiya Jata Hai Us Ko Aqeeqah Kehte Hain.
Hanfiyah Ke Nazdeek Aqeeqah Mustahab Hai.

Aqeeqeh Ke Chand Aahadees Shareef

  • Rasoole Khuda SallallahuAlaihiWaSallam Ne Irshaad Farmaya Ke Ladke Ke Sath Aqeeqah Hai,Uski Taraf Se Khoon Bahao (Yani janwar Zibah Karo) Aur Usse Aziyat Door Karo Yani Uska Sar Mundha Do.
    (Bukhari Shareef)
  •  Habeeb e Khuda SallallahuAlaihiWaSallam Ne Farmaya Ke Ladke Ki Taraf Se Do Bakriyan Aur Ladki Ki Taraf Se Ek.Isme harj Nahi Ke Nar Ho Ya Maddah.
  • Mahboob e Khuda SallallahuAlaihiWaSallam Ne Farmaya Ladka Apne Aqeeqeh Me Girwi Hai. Saatwen Din Uski Taraf Se Janwar Zibah Kiya jaye Aur Uska Naam Rakha Jaye , Aur Sar Mundha Jaye. Tirmidhi,Nisai).

Faidah : 
 Girwi Hone Ka Matlab Ye Hai Ke Usse Pura Naf’a Hasil Na Hoga ,Jab Tak Aqeeqah Na Kiya Jaye Aur Baaz Hazraat Ne Farmaya ke Bachche Ki Salamati  Aur Uska Nasho Numa Aur Us Me Achche Awsaaf Hona Aqeeqah Ke Sath Wabasta Hain.


  • Habeeb e Kibriya SallallahuAlaihiWaSallam Ne Hazrat Hasan RadiAllahuAnhu Ki Taraf Se Aqeeqah me Bakri Zibah Ki Aur Ye Farmaya Ke Aye Fatimah Uska Sar Mundha Do Aur Baal Ke Wazan ke Barabar Chandi Sadqa Karo.Hazrat Ali RadiAllahuAnhu Farmate Hain Ke Hamne Balon Ka Wazan kiya To Ek Diram ya Kuch Kam The.
    (Tirmidhi)
  • Hazrat Ibn Abbas RadiAllahuAnhuma Se Riwayat hai Ke RasoolAllah SallallahuAlaihiWaSallam Ne Imam Hasan o Imam Husain RadiAlllahuAnhuma Ki Taraf se Ek Ek Mendhe Ka Aqeeqah Kiya.
    (Abu dawood)
    Aur Nisaai Ki Riwayat me Hai Ke Do Do Mendhe Zibah Kiye.
  • Hazrat  Buraidah RadiAllahuAnhu Farmate Hain ke Zamana -e-Jahiliyat Me Jab Hamme Kisi Ka Bachcha Paida Hota To Bakri Zibah Karta Aur Uska Khoon Bachche Ke Sar Per Laga Deta,
    Ab Jab Ke Islam Aaya To Satwen Din Ham Bakri Zibah Karte Hain Aur Bachche Ka Sar Mundhate Hain Aur Sar Per Zafraan Laga Dete Hain.
    (Abu Dawood)
  • Hazrat Abu Rafi’e RadiAllahuAnhu Farmate Hain Ke Jab Hazrat Imam Hasan Bin Ali RadiAllahuAnhu Paida Huwe To Maine Dekha Ke Huzoor e Aqdas SallallahuAlaihiWaSallam Ne Inke Kaan Me Wahi Azaan Kahi Jo Namaaz Ke Liye Kahi Jati Hai.
    (Tirmidhi Shareef)
  • Hazrat Ayesha Siddiqua RadiAllhuAnha Farmati Hain Ke RasoolAllah SallallahuAliahiWaSallam Ki Khidmat e Aqdas me Bachche Laye Jate, Huzoor Unke Liye Barkat Ki Dua Karte Aur Tahneek Karte Yani Koyi Cheez Maslan Khajoor Chaba Kar us Bachche Ke Talu(Muh Ke Andar Ki Chat) Me Laga Dete Ke Sabse Pehle Uske Pait Me Huzoor SallallahuAlihiWaSallam Ka Lu’aab e Dahan Pahonche.
    (Muslim Shareef)
  • Hazrat Asma Bint Abu Bakr RadiAllahuAnhuma Farmati Hain Ke Abdullah bin Zubair RadiAllahuAnhu Makka Hi Me Hijrat Se Pehle Mere Pait Me The, Hijrat Ke Baad Ye Quba Me Paida Huwe. Main Inko RasoolAllah SallallahuAlaihiwaSallam Ki Khidmat Me Layi Aur Huzoor SallallahuAlaihiwaSallam Ki Goad me Inko Rakh Diya .

    Phir Huzoor SallallahuAlaihiWaSallam Ne Khajoor Mangayi Aur Chaba Kar Unke Muh Me Daal Di, Aur Unke Liye Dua e Barkat Ki Aur Hijrat Ke Baad Musalmaan Muhajireen Ke Yahan Ye Sab Se Pehle Bachche Hain.
    (Bukhari, Muslim)

Reference : Noorani Zewar

Zibah Karne Ke Liye Janwar Ko Ghasito Mat

11:48 pm

No automatic alt text available.


لک الحمد یااللہ والصلوة السلام علیک یارسول اللہ 

Zibah Karne Ke Liye Janwar Ko Ghasito Mat

Ameerul Momineen Hazrat Sayyidna Farooq e Aazam RAdiAllahuTa'alaAnhu Ne Ek Shakshs Ko Dekha Jo Bakri Ko Zibah Karne Ke Liye Taang Se Pakad Kar Ghaseet Raha Hai,
Aap RadiAllahuTa'alaAnhu Ne Irshaad Farmaya :
Tere Liye Kharabi Ho, Use Mout Ki Taraf Achche Andaaz Me Le Kar Ja.
(📘 *Musannaf Abdur Razzaq, Jild 4, Safa:376,Hadees : 8939*)

- *Meraj Ahmad Misbahi*

Mureed

Peeri Mureedi Ka Bayaan

9:27 pm



Sabse Pehle Sufiya e keeram ka Ye Qoul Sunlo Ke Inhone Farmaya Ke Jis Ka Koyi Peer Na Ho Uska Peer Shaitaan Hota HAi .Ab Aur Baten suno..
Mureed Hone Ke Faide:
Mureed Banne Ke Bahot Faide Hain..

 Ek Faidah ye Hai Ke Waste Se Tumhara Hath Huzoor Sarwar e Kayinaat SallallahuAlaihiWaSallam Ke Mubarak Hath Me Pahonch Jayega.
Kyunke Tumhara Hath Tumhare Peer Ke Hath Me Aur Tumhare Peer Ka Hath Apne Peer Ke Hath Me Unka Hath Apne Peer Ke Hath Me Isi Tarha Waste Se Wo Hath Huzoor Aqdas SallallahuALaihiWaSallam Ke Mubarak Hath Me Pahonch Jayega .To Tumhara Hath Bhi Sarkar e Do-Aalam SallallahuAlaihiWaSallam Ke Hath Mubarak Me Pahonch Gaya.
Isse Badh KAr Tum Ko Aur Kounsi Khushi Hogi..!

Dosra Faida Ye Hai KE Peer Aysa Theek Rasta Batlata Hai Ke Dil Bilkul Sanwar Jata Hai Aur Uski Halat Bilkul Theek Ho Jati Hai.

Teesra Faida Ye Hai Ke Kitaab Ke Padhne Se Itna Faida Nahi  Hota Jitna Peer Ke Batlane Se Hota HAi.
Ek To Peer Ki Barkat Hoti Hai Sath Hi Ye Khouf Bhi Hota HAi Ke Agar Koyi Neek Kaam Me Kami Ya Koyi Buri Baat Ki To Peer Se Sharmindagi Hogi.

Chaoutha Faida Ye Ke Peer Se A’eteqaad Aur Muhabbat Ho Jati Hai Aur Youn Dil Chahta HAi Ke Jo Is Ka Tareeqa Hai Ham Bhi Uske Muwafiq Chalen.

Panchwan Faida Ye Hai Ke Peer Agar Naseehat KArne Me Sakhti ya Ghussa Karta Hai To Na-Gawaar  Nahi Hota ,Phir Us Naseehat Per Amal Karne Ki Ziyadah Koshish Ho Jati Hai.

Chatta(6th) Faida Ye Hai Ke Qiyamat Ke Roz Kamil Peer Apni Shafa’at Se Apne Mureedon Ko Bakshwayenge.

Sathwan Faida Ye HAi Ke Peer Ki Barkat Se Kayi Masaib Tal Jate Hain Aur Peer Kamil Apni Zahiri Hayaat Me Aur Wisaal Hone Ke baad Apne Mureedon Ki Madad Karte hain 

iske Ilawa Aur BAhot Se Faide Hain.


Kamil Peer Ki Shartain:

Jab Mureed Hone Ka Irada ho To Pehle Peer Me Ye Baten Dekh Lo .Jisme Ye Baten Na Hoon UsSe Mureed Na Ho.

  1. Ek Ye Ke Woh Peer Deen Ke Mas’ale Janta Ho Shari’a se Na Waqif Na Ho, Itna Ilm  Rakhta Ho Ke Deen Ka Har Mas’ala Kitabon Se Maloom Kar Sakta Ho.
  2. Dosra Ye Ke Uska Aqeedah Ahle Sunnat-Wal-Jam’at Ka Ho. Rafzi Ya Devbandi ,Wahabi Na Ho.
  3. Tesra Ye Ke Uska Koyi Qoul Wa Fe’al Sunnat Ke Khilaaf Na Ho.
  4. Choutha Ye Ke Kamane Khane ke Liye Peeri Mureedi Na Karta Ho.
  5. Panchwa kisi Ayse Buzurg Ka Mureed Ho Jis Ka Silsila-e-Ba’iat Sarkar e Madina SallallahuAlaihiWaSallam Tak Pahonchta Ho.
  6. Chata Ye Ke Us Peer Ko Achche Log Achcha Kehte Hoon .
  7. Sathwan Us Ki Ta’aleem Me Ye Asar Ho ke Deen Ki Muhabbat Aur Shouq Paida Ho Jaye ,Ye Baat Uske Aur Uske Mureedon Ka Haal Dekhne Se Maloom Ho Jayegi. Agar Das Mureedon Me Panch,(5) Che(6) Mureed Bhi Achche Hoon To Samjho Ke Ye Peer Taseer Wala Hai. 
  8. Us Peer Me Ye Baat Ho Ke Deen ki Naseehat Karne Me Mureedon Ka Lihaaz Mulahizah Na Karta Ho.Aur Jis Mureed Se Najaiz Dekhe Rook Deta Ho. Jab Aysa Peer Mil Jaye To Fouran Mureed Ho Jao.

Peeri Mureedi Ki Chand Zaruri Baten:

  1. Apne Peer Ka Khoob Adab Rakhe. Allah Ta’ala Ke Naam Lene Ka TAreeqa Wo Jis Tarha Batlaye Usko Pura Kare Aur Uski Nisbat Aysa A’eteqaad Rakhe Ke Jitna Faidah Mujhko Apne Peer Se Pahonch Sakta Hai Itna Is Zamane Me Kisi Aur Buzurg Se Nahi Pahonch Sakta.Lekin Kisi Buzurg Ki Touheen Hargiz Na Karen.
  2. Kisi Kitaab Me Koyi Wazifah Ya Koyi Faqeeri Ki Baat Dekh Kar Apni Aql Se Kuch Na Karen ,Apne Peer Se Puch Len Aur Jo Koyi Nayi Baat Bhali Ya Buri Dil Me Aaye Ya Kisi Baat Ka Iradah Paida Ho To Peer Se Puch Le.
  3. Peer Se Be-Pardah Na Ho Aur Mureed Hone Ke Waqt Uske Hath Me Hath Na De, Rumaal Ya Kisi Kapde Per Bai’at Ho Jaye.(Awrat ke Liye).
  4. Agar Ghalti Se Kisi Khilaaf e Shar’a Ya Bad-Aqeedah Rafzi Wahabi Se Mureed Ho Jaye To Mureedi Tod De Aur Kisi Sunni Buzurg Se Mureed Ho Jaye.
  5. Baaz Faqeer Kaha Karte Hain Ke Shari’a Ka Raasta Aur Hai Faqeeri Ka Rasta Aur Hai Ye Faqeer Gumrah Hain.
  6. Agar Peer Koyi Baat Khilaaf Shari’a Batlaye To Us Per Amal Durust Nahi Agar Wo Is Per Zid Kare To Bai’at Tod De.
  7. Agar Peer Ki Barkat Se Dil Me Koyi Achchi Halat Paida Ho Ya Achche Khwaab Nazar Aayen Ya Jagte Me Koyi Aawaaz Ya Roshni Maloom Ho To Siwaye Apne Peer Ke Kisi Aur Se Zikr Na Karen Aur Na Kabhi Apne Wazifon Aur Ibadat Ka Kisi Se izhaar Kare.Kyunke Zahir Karne Se Woh Doulat Jati Rehti Hai.
  8. Agar Peer Ne Koyi Wazifah Ya Zikr Batlaya Aur Kuch Muddat Tak Uska Asar Ya Mazah Dil Per Kuch Maloom Na Ho To Usse Tang Dil Ya Peer Se Bad-A’eteqaad Na Ho Balke Youn Samajhe Ke Bada Asar Yahi Hai Ke Allah Ka NAam Lene ka Iradah Dil Me Paida Hota Hai Aur Us Neek Kaam Ki Toufeeq Hoti Hai.
  9. Dosre Buzurgon Ki Ya Dosre Silsile Ke Buzurgon Ki Shaan Me Ghustakhi Na Kare Na Aur Jagah Ke Mureedon Se Youn Kahe Ke Hamare Peer Se Ya Hamara Silsila Badh Kar Hai,In Fuzool Baton Se Dil Me Andhera Paida Hota Hai.
  10. Agar Apni Kisi Peer Behan Per Peer Ki meharbai Ziyadah ho ya Usko Wazifa o Zikr Se Ziyadah Faidah Ho To Us Per Hasad Na Kare.

Peer e Kamil Har Mushkil Me Madad Karta Hai:

Meri Sunni Behno..! 
Jab Tum Kisi Kamil Peer Ki Mureed Ho Jaogi To In Sha Allah Ta’ala Duniya Me Kamiyaab Rahogi. Naz’a Ruh Ke Waqt Aur Hashr Nashr Ke Waqt Aur Pul Siraat Ke Pur Khatar Maqamaat Per Peer e Kamil Tumhari Madad karega.

Imam Aarif Billah Sayyidi Abdul Wahhab Quddas Sirrah  Mizaan us Shari’a-tul-Kubra me Farmate Hain Ke …
Peshwa e Deen Awliya Aur Ulma Apne PaironKaron Ki Shafa’at Karte Hain Aur 
Jab Unke PairoKaar Ki Roh Nikalti Hai, 
Jab Munkir -Nakeer Usse Qabr Me Sawaal Karte Hain Aur 
Uska Hashr Hota Hai,
Jab Uska Nama-e-Aamaal Khulta Hai, 
Jab Usse Hisaab Liya Jata Hai,
Jab Uske Amal Tulte Hain, 
Jab Woh Pul Siraat Per Chalta Hai
Har Waqt Har Haal Me Uski Nigahbani Karte Hain.
Aslan Kisi Jagah Usse Ghafil Nahi Hote.
Matlab Ye Hai Ke Murshid e Kamil Har KhatarNaak Maqam Per Apne Mureedon Ki Madad Karte Hain. 

Qazi Sanullah Panipati Apne Rislah “Tazkiratul Mouta" Me Likhte Hain Ke Awliya Allah Apne Doston Aur Aqeedat Mand Mureedon Ki Duniya Aur Aakhirat Me Madad Karte Hain.

Hikayat:

Shaikh ul Islaam Imam Nasireen Laqaani Maliki Jo Hazrat Imam Malik RadiAllahuAnhu Ke Aqeedat Mand Aur Niyaaz Mand The Jab Unka Inteqaal Ho Gaya To Baaz Hazraat Ne Unko Khwaab Me Dekha Aur Pucha Ke Allah Ta’ala Ne Tumhare Sath Kya Bartao Kiya Inhone Kaha Ke Munkir Nakeer Ne Mujh Ko Sawaal Ke Liye Bithaya ,
 To Mere Peshwa Hazrat Imam Malik RadiAllahuAnhu Qabr me Tashreef Laye Aur Farmaya 
Aysa Shakhs Bhi iski Hajat Rakhta Hai Ke Usse Allah O Rasool Per Imaan Ke Bare Me Sawaal Kiya Jaye, Unse Tum Alag Ho Jao.
To Farishte Unke Farmane Se Mujh Se Alag Hogaye.
(Mizaan ul Shari’at tul Kubra)

Islami Behno.. !

 Khud Aur Apni Awlaad Aur Deegar Rishte Daron Ko Bhi Targheeb Dila Kar Kisi Kamil Peer Ki Mureed Ho Jao To Deen O Duniya Me In Sha Allah Ta’ala Kamiyaab Rahegi.















Featured post

Sitamgaron Ka Bura Anjam

yazeed Ki Hilakat Ke Baad Ahle Hijaz O Yaman Aur Iraq O Khirasan Walon Ne To Hazrath Abdullah Bin Zubair Ke Hath Per Baiat Ki Aur Misr O Sh...