Hazrath Umme Habeeba RadiAllahuTa'alaAnha

6:55 pm



Ye Sardaar e Makka Hazrath Abu Sufyaan RAdiAllahuTa'alaAnhu Ki Beti Aur Hazrat Ameer Mu'awiyah RAdiAllahuTa'alaAnhu Ki Behan Hain. Inki Maa "Safiyyah Bint Aas" Hain Jo Ameer ul Momineen Hazrat Usmaan Ghani RAdiAllahuTa'alaAnhu Ki Phupi Hain.

Hazrath Umme Habeeba RadiAllahuTa'alaAnha Ka Nikah Pehle Ubaydullah  Bin Jahash Se Huwa Tha. Aur Miyan Biwi Dono Islam Qubool Karke Habsha Ki Taraf Hijrat Karke Chale Gaye The. Magar Habsha Ja Kar Ubaydullah  Bin Jahash Nasrani Ho Gaya. Aur Isaiyoun Ke Sohbat Me Sharaab Pite Pite Mar Gaya. Lekin Hazrat Umee Habeeba RadiAllahuTa'alaAnha Apne Imaan Per Qayeem Rahe(n). Aur Badi Bahadduri Ke Sath Masaib O Mushkilaat Ka Muqabila Karti Rahe(n).

Jab Huzoor E Akram ï·º Ko Unke Haal Ki Khabar Huwi To Qalb e Nazuk Per Behad Sadmah Guzra. Aur Aap Ne Hazrath Amr Bin Umayyah Zamri RAdiAllahuTa'alaAnhu Ko Unki Dil Joyi Ke Liye Habsha Bheja Aur Najashi Badsha e Habsha Ke Naam Khat Bheja Ke Tum Mere Wakeel Ban Kar Hazrath Umme Habeeba Ke Sath Mera Nikah Kardo. Najashi Badsha Ne Apni Londi(Slave Girl)  Ke Zariye RasoolAllah ï·º Ka Paigham Hazrath Umme Habeeba RadiAllahuTa'alaAnha Ke Pass Bheja.

Jab Hazrath Bibi Umme Habeeba RadiAllahuTa'alaAnha Ne Ye Khushkhabri Ka Paigham Suna To Khush Ho Kar Abraha Londi Ko Inaam Ke Tour Per Apna Zewar Utaar Kar De Diya.

Phir Apne Mamu Zaad Bhai Hazrath Khalid Bin Sa'eed RadiAllahuTa'alaAnhu Ko Apne Nikah Ka Wakeel Bana Kar Najashi Badsha Ke Pass BhejDiya.

Aur Unhone Bahot Se Muhajireen Ko Jama Karke Hazrath Umme Habeeba RadiAllahuTa'alaAnha Ka Nikah Huzoor ï·º Ke Sath Kar Diya. Aur Apne Pass Se Mehar Bhi Ada Kar Diya.

Aur Phir Pure A'ezaaz Ke Sath Hazrath Sharhubeel  Bin Hasana RadiAllahuTa'alaAnhu Ke Sath Madina Munawwara Huzoor ï·º Ke Pass Bhej Diya.

Aur Ye Huzoor ï·º Ki Muqaddas Biwi Aur Tamaam Musalmaano Ki Maa Ban Kar Huzoor Ke Khana e Nabuwwat Me Rahne Lage(n).

Ye Sakhawat o Shuja'at, Deendari Aur Amanat O Diyanat Ke Sath Bahot Hi Qawi Imaan Wali Thi(n).

Ek Martaba Inke Baap Abu Sufyaan Jo Abhi Kafir The, Madine Me Inke Ghar Aaye Aur RasoolAllah ï·º Ke Bistar Per Baith Gaye. Hazrath Umme Habeeba RadiAllahuTa'alaAnha Ne Zara Bhi Baap Ki Parwah Nahi Ki Aur Baap Ko Bistar Se Utha Diya. Aur Kaha Ke My Hazgiz Isko Gawara Nahi Kar Sakti.Ke Ek Napaak Mushrik Rasool ï·º Ke Is Paak Bistar Per Baithe.

Isi Tarha Inke Joshe Imaani Aur Jazba E Islami Ke Waqi'aat Ajeeb Ajeeb Hain. Jo Tarikhiyoun Me Likhe Huwe Hain.

Bahut Hi Deendaar Aur Pakiza Awrat Thi. Bahot Si Hadeese Bhi Yaad Thi. Aur Intehayi Ibadat Guzaar, Aur Huzoor ï·º Ki Be-Inteha Qidmat Guzaar Aur Wafadaar Biwi Thi.

44 Hijri Me Madine Munawwara Ke Andar Inki Wafat Huwi. Aur Jannatul Baqi Ke Qabrastaan Me Dosre Azwaje Mutahrat Ke Khateerah Me Madfoon  Huwe..!
(Zarkhani, Jild 3 Safa 242,)


Tabsira :

Allahu Akbar..! Hazrath Bibi Umme Habeeba Radiallahuta'alaanha Ki Zindagi Kitni  Ibrat  Khaiz  Aur  Ta'ajub  Angez  Hai . Sardar E Makka Ki Shazadi Hoker Deen Ke Liye  Apna  Watan Chod  Kar  Habsha Ki Door  Daraaz  Jagah   Me  Hijrat Karke Chali Jati  Hain  Aur  Panhaguzen  Ki  Ek Jhonpdi  Me  Rehne  Lagti  Hain.
Phir Bilkul Nagahan Ye Musibat Ka Pahad Toot Padta Hai Ke Shohar Jo Pardes Ki Zameen Me Tanha Ek Sahara Tha. Isai Hokar Alag Thalag Hogaya.  Aur Dusra Koi Sahara Nahi Rahgaya. Magar Aise Nazuk Aur Khatarnaak Waqt Me Bhi Zara Bhi Unka Qadam Nahi Dagmagaya. Aur Pahad Ki Tarha Deen E Islam Per Qaim Rahe
Ek Zara Bhi Unka Housla Past Nahi Howa, Na Unhoun Ne Apne Kafir Baap Ko Yaad Kiya, Na Apne Kafir Bhaiyoun Bhatijoun Se Koi Madad Talab Ki Khuda Par Tawakkal Karke Ek Namanus Pardees Ki Zameen Me Badi Khuda Ki Ibadat Me Lagi Rahen. Yahan Tak Ke Khuda Ke Fazl O Karam Aur Rahmatul Lil Aalameen Ki Rahmat Ne Unki Dastagiri Ki. Aur Bilkul Achanak Khuda Wande Quddoos Ne Inko Apne Mehboob Ki Mehbooba Bibi Aur Sari Ummat Ki Maa Banadiya. Ke Qayamat Tak Sari Duniya Unko Ummul Momineen (Mominoun Ki Maa) Kehkar Pukarti Rahegi. Aur Qayamat Me Bhi Sari Khudai Khuda Ke Is Fazl O Karam Ka Tamasha Dekhegi.

Aye Musalman Auraton! Dekho Iman Per Mazbooti Ke Sath Qaim Rehne Aur Khuda Per Tawakkal Karne Ka Phal Kitna Mitha Aur Kitna Azeez Hota Hai! Aur Ye to Duniya Me Ajar Mila Hai Abhi Aakhirat Me Inko Kya Kya Ajar Milega? Aur Kaise Kaise Darjaat Ki Badshahi Milegi? Isko Khuda Ke Siwa Koi Nahi Janta. Ham Log to Un Darjoun Aur Martaboun Ki Bulandi O Azmat Ko Soch Bhi Nahi Sakte.. Allahu Akbar.. Allahu Akbar



















Hazrath Umme Salma RAdiAllahuTa'alaAnha

1:56 pm


In Ka Naam "Hind" Aur Kunniyat "Umme Salma" Hai. Lekin Ye Apni Kunniyat Hi Ke Sath Ziyadah Mashoor Hain. Inke Walid Ka Naam "Huzaifah" Ya "Suhail" Aur Unki Walida "Aatika Bint Aamir" Hain.

Ye Pehle Abu Salma Abdulla Bin Asad Se Biyahi Gayi Thi Aur Ye dono Miyan Biwi Musalmaan Ho Kar Pehle "Habsha" Hijrat Kar Gaye. Phir Habsha Se Makka Mukarrama Chale Aaya.Aur Madina e Munawwara Ki Taraf Hijrat Karne Ka Irada Kiya.

Chunanche Abu Salma Ne Oont Per Kajawah Bandha Aur Bibi Umme Salma Ko Oont Per Sawaar Karaya Aur Woh Apne Doodh Pite Bachche Ko Goad Me Le  Kar Oont Per Baith Gayen. To Ekdam Hazrath Umme Salma Ke Maike Wale Banu Mughaira Dhoudh Padhe Aur Un Logon Ne Ye Keh Kar Ke Hamare Khandaan Ki Ladki Madina Nahi Ja Sakti. Hazrath Umme Salma Ko Oont Se Utaar Liya. Ye Dekh Kar Hazrat Abu Salma Ke Khandaan Walon Ko Taish Agaya Aur Un Logon Ne Hazrath Umme Salma Ki Goad Se Bachche Ko Cheen Liya, Aur Ye Kaha Ke Ye Bachcha Hamare Khandaan Ka Hai Isliye Ham Is Bachche Ko Hargiz Hargiz Tumhare Pass Nahi Rehne Denge. Is Tarha Biwi Aur Bachche Dono Hazrath Abu Salma Se Juda Ho Gaye.

Magar Hazrath Abu Salma Ne Hijrat Ka Irada Nahi Choda Balke Biwi Aur Bachche Dono Ko Khuda Ke Supurd Karke Tanha Madine Munawwara Chale Gaye.

Hazrath Umme Salma Shohar aur Bachche Ki Judayi Per Din Raat Roya Karti Thi. Unka Ye Haal Dekh Kar Unke Ek Chacha Zaad Bhai Ko Raham Agaya Aur Usne Banu Mughaira Ko Samjhaya Ke Aakhir Is Gareeb Awrat Ko Tum Logon Ne Uske Shohar Aur Bachche Se Kyun Juda Kar Rakha Hai?

KYA Tum Log Ye Dekh Nahi Rahe Ho O Ek Patthar Ki Chataan Per Ek Hafte Se Akeli Baithi Huwi Bachche Aur Shohar Ki Judayi Me Roya Karti Hai.

Aakhir Banu Mughaira Ke Log Is Per Raza Mand HoGaye. Ke Umme Salma Apne Bachche Ko Lekar Apne Shohar Ke Pass Madina Chali Jayen. Phir Hazrath Abu Salma  Ke Khandaan Walaon Ne Bhi Bachche Ko Hazrath Umme Salma Ke Supurd Kar Diya.

Aur Hazarat Umme Salma RAdiAllahuTa'alaAnha Bachche Ko Goad Me Le Kar Hijrat Ke Irade Se Oont Per Sawaar Hogayeen.

Magar Jab Maqam "Taneem" Me Pahonchen To Usman Bin Talha Raste Me Mila Jo Makke Ka Mana Huwa Ek Nihayat Hi Shareef Insaan Tha.

Usne Pucha Ke..
Umme Salma..! Kahan Ka Irada Hai?

Inhone Kaha Ke My Apne Shohar Ke Pass Madina Ja Rahi Hoon.

Usne Kaha Ke Kya Tumhare Sath Koi Dosra Nahi Hai?

Hazrat Umme Salma Ne Dard Bhari Aawaaz Me Jawaab Diya..
 Nahi, Mere Sath Mera Allah Aur Mere Bachche Ke Siwa Koi Dosra Nahi Hai.

Ye Sun Kar Usman Bin Talha Ko Sharifana Jazba Agaya. Aur Usne Kaha Khuda Ki Qasam Mere Liye Ye Zaib Nahi Deta Ke Tumhari Jaisi Ek Shareef Zaadi Aur Shareef Insaan Ki Biwi Ko Tanha Choddon.

Ye Kehkar Usne Oont Ki Mihaar Apne Hath Me Li Aur Paidal Chalne Laga.

Hazrath Umme Salma ka Bayaan Hai Ke Khuda Ki Qasam Myne Usman Bin Talha Se Ziyadah Shareef Insaan Arab Me Kisi Ko Nahi Paya.
Jab Ham Kisi Manzil Per Utarte To O Alag Door Ja Kar Kisi Darakht Ke Niche So Rehta Aur My Apne Oont Per So Rehti.
Phir Chalne Ke Waqt O Oont Ki Mihaar Hath Me Le Kar Paidal Chalne Lagta.

Isi Tarha Usne Mujhe "Quba" Tak Pahoncha Diya Aur Ye Kehkar Wapis Makka Chala Gaya Ke.. Ab Tum Chali Jao Tumhara Shohar Isi Gaon Me Hai.

Chunanche Hazrath Umme Salma RAdiAllahuTa'alaAnha Ba Khairiyat Madina Pahonch Gayen.
(Zarqani, Jild :3,Safa :239)

Phir Dono Miyan Biwi Madine Me Rehne Lage. Chand Bachche Bhi Hogaye To Hazrath Umme Salma RAdiAllahuTa'alaAnha Badi Bekasi Me Padh Gayee(n). Chand Chote Chote Bachchon Ke Sath Bewagi (Bewa Ki Halat) Me Zindagi Basar Karna Dushwaar Ho gaya. Unka Ye Haal e Zaar Dekh Kar RasoolAllah صلى الله علیه و سلم Ne Unse Nikah Farma Liya. Aur Bachchon Ko Apni Parwarish Me Le Liya Is Tarha Ye Huzoor صلى الله علیه و سلم Ke Ghar Aagayee(n) Aur Tamam Ummat Ki Maa Ban Gayee(n).

Hazrath Bibi Umme Salma RAdiAllahuTa'alaAnha Aql O Fahem, Ilm O Amal, Diyanat O Shuja'at Ke Kamal Ka Ek Be-Misaal Namuna The(n). Aur Fiqha O Hadees Ki Malumaat Ka Ye Alam Tha Ke Teen Saw Athehattar(378)  Hadeesen Inhe Zubani Yaad Thi.

Madine Munawwara Me Chourassi(84) Baras Ki Umr Pa Kar Wafaat Payi. Inke Wisaal Ke Saal Me Bada Ikhtelaaf Hai. Baaz Morikheen Ne 53 Sane  Hijri Baaz Ne 59 Sane Hijri Baaz Ne 62 Sane Hijri Likha Hai.Aur Baaz Ka Qoul Hai Ke Inka Inteqaal 63 Sane Hijri Ke Baad Huwa Hai. Inki Qabr Mubarak Jannat ul Baqi Me Hai.
(Zarkhani Jild 3 Safa 238 - Safa 242)

Allahu Akbar..Hazrath Bibi Umme Salma RAdiAllahuTa'alaAnha Ki Zindagi Sabr O Isteqamat Jazba e Imaani Josh e Islami, Zahidana Zindagi, Ilm O Amal, Mehnat O Jafakashi Aql O Feham Ka Ek Aysa Shahkara Hai Jiski Misaal Mushkil Hi Se Mil Sakegi.

Inke Kaarnamon Aur Bahadduri Ki Dastanon Ko Tareekh e Islam Ke Awraaq Me Padh Kar Ye Kehna Padhta Hai Ke..

Aye Aasman..! Bol... Aye Zameen...! Bata.
Kya Tumne Hazrath Umme Salma RAdiAllahuTa'alaAnha Jaisi Sheer Dil Aur Paikar e Imaan Awrat Ko Unse Pehle Kabhi Dekha Tha.?

Maa -  Behno!
Tum Pyare Nabi Ki Piyari Biwiyoun Ki Zindagi Se Sabaq Hasil Karo.. Aur Khuda Ke Liye Socho Ke O Kya The(n)?
Aur Tum Kya Ho?
Tum Bhi Musalmaan Awrat Ho. Khuda Ke Liye Kuch To Unki Zindagi Ki Jhalak Dikhao!.






Hazrath e Hafsa RadiAllahuTa'alaAnha

5:51 pm



Ye Bhi RasoolAllah SallallahuAlaihiWaSallam Ki Muqaddas Biwi Aur Ummat Ki Maon Me Se Hai. Ye Hazrath Ameer Ul Momineen Hazrath Umar RadiAllahuTa'alaAnhu Ki Buland Iqbaal Sahebzadi Hai(n).Aur Inki Walidah KA Naam Zainab Bint Madh'oon HAi Jo Ek Mashoor Sahabiyah Hain.

Ye Pehle Hazrath Khunais ibn Hudhaifa Sahmi RadiAllahuTa'alaAnhu Ki Zoujiyat Me Thi Aur Miyan Biwi Dono Hijrat KArke Madinah Munawwara Chale Gaye THe.Magar Inke Shohar JAng e Uhad Me Zakhmi Ho KAr Wafaat Pa Gaye.To 3 Hijri Me RasoolAllah SallallahuAlaihiWaSallam Ne  Inse Nikah Farma Liya.

Ye Bhi Bahot Hi ShaanDaar,Buland Himmat Aur Sakhi Awrat Thi Aur Feham o Firast Aur Haq Goyi O Hazir Jawabi Me Apne Walid Hi Ka Mizaaj Paya Tha.

Aksar RozeDaar Raha KArti Thi. Aur Tilawat e  Qur'an Majeed Aur Dosri Qism Qism Ki Ibadaton Me Masroof Raha KArti Thi.Ibadat Guzaar Hone Ke Sath Sath Fiqh O Hadees ke Uloom Me Bhi Bahot Malumaat Rakhti Thi. Shabaan 45 Hijri Me Madinah Munawwara Ke Andar In Ki Wafaat Huwi.Hakim e Madina Marwaan Bin Hakim Ne Namaaz Janazah Padhayi Aur Inke Bhatijon Ne Qabr Me Utara. Aur Jannatul Baqi Me Dafan Huwee(n).Ba-Waqt e Wafaat In Ki Umr Sath(60) Ya Tirsath(63) Baras Ki Thi. 
(Zarkhani ,Jild:3,Safa:236)

Tabsira:

Gharelu Kaam Dhanda Sambhal Lete Huwe Rozana Itni Ibadat Bhi Karti Phir Hadees o Fiqha Ke Uloom Me Bhi Maharat Hasil Karti. Ye Is Baat Ki Daleel Hai Ke Huzoor E Aqdas SallahuAlaihiWaSallam Ki Bibiyan Aaraam Pasand Aur Khel Kood Me Zindagi Basar Karne Wali Nahi Thi. Balke Din Raat Ka Ek  Minute Bhi  O Zaya Nahi Karti Thi. Aur Din Raat Ghar Ke Kaam Dham, Ya Ibadat Ya Shohar Ki Khidmat Ya Ilm Hasil Karne Me Masroof Raha Karti Thi.

SubhanAllah..! In KhushNaseeb Biwiyoun Ki Zindagi Nabi E Rahmat Ke Nikah Me Hone ki Barkat Se Kitni Muqaddas, Kis Qadar Pakiza Aur Noorani Zindagi Thi. 

Maa - Behno..! 
Kash Tumhari Zindagi Me Bhi In Ummat Ki Maaon Ki Zindagi Ki Chamak Damak Ya Halki Si Bhi Jhalak Hoti To Tumhari Zindagi Jannat Ka Namuna Ban Jati Aur Tumhari Goad Me Ayse Bache Aur Bachiyan Parwarish Pate Jin Ki Islami Shaan Aur Zahidana Zindagi Ki Azmat Ko Dekh Kar  Aasmanon Ke Farishte Dua Karte Aur Jannat Ki Huren Tumhare Liye Aameen Kehten. 

Magar Haye Afsoos..! Ke Tum Ko To Achcha Khane, Achche Libas, Banao Singaar Karke Palang Per Din Raat Lete Radio Ka Gana Sunne Se Itni Fursat Hi Kahan Ke Tum Un Ummat Ki Maon Ke Naqshe Qadam Per Chalo.

KhudaWande Kareem Tumhe Hidayat De.Is Dua Ke Siwa Ham Tumhare Liye Aur Kya Kar Sakte Hain? 

Kaash Tum Hamari In Mukhlisana Nasihaton Per Amal Karke Apni Zindagi Ko Islami Sanche Me Dhal Lo  aur Ummat Ki Neek Bibiyoun Ki Fehrish Me Apna NAam Likha KAr Dono Jahan Me Sur-Khuru Ban Jao.
(Jannati Zewar)





Featured post

Sitamgaron Ka Bura Anjam

yazeed Ki Hilakat Ke Baad Ahle Hijaz O Yaman Aur Iraq O Khirasan Walon Ne To Hazrath Abdullah Bin Zubair Ke Hath Per Baiat Ki Aur Misr O Sh...