Musalmaan Awraton Ka Parda

10:31 pm


Allah O Rasool (جل جلاله, صلى الله عليه و سلم) Ne Insani Fitrat Ke Taqazoo(N) Ke Mutabiq Badkari Ke Darwazon Ko Band Karne Ke Liye Awraton Ko Parde Me Rakhne Ka Hukm Diya Hai. Parde Ki Farziyat Aur Us Ki Ahmiyat Qur'an Majeed Aur Hadison Se Sabit Hai. Chunanche Qur'an Majeed Me Allah Ta'ala Ne Awraton Per Parda Farz Farmate Huwe Irshaad Farmaya Ke..

"Tum Apne Apne Gharon Ke Andar Raho. Aur Be-Pardah Ho Kar Baher Na Niklo Jis Tarha Pehle Zamane Ke Dour E Jahiliyat Me Awraten Be-Parda Baher Nikal Kar Ghoomti Phirti Thee(N)"
(Para: 22, Ruku 1)


Is Aayat Me Allah Ta'ala Ne Saaf Saaf Awraton Per Pardah Farz Karke Ye Hukm Diya Hai Ke Wo Gharon Ke Andar Raha Karen.aur Zamana Jahiliyat Ki Be-hayayi O Be-Pardagi Ki Rasm Ko Chod Den. Zamana Jahiliyat Me Kuffar E Arab Ka Ye Dastoor Tha Ke Unki Awraten Khoob Ban Sawar Kar Be-Parda Nikalti Thi. Aur Bazaron Aur Melon Me Mardon Ke Dosh Ba-dosh Ghoomti Phirti Thi. Islam Ne Is Be-Pardagi Ki Be-Hayayi Se Roka. Aur Hukm Diya Ke Awraten Gharon Ke Andar Rahen. Aur Bila Zarurat Baher Na Nikle Aur Agar Kisi Zarurat Se Unhe Ghar Se Baher Nikalna Hi Pada to Zamana E Jahiliyat Ke Mutabiq Banao Singaar Karke Be-Parda Na Nikle. Balke Parde Ke Sath Baher Niklen.


Hadees Shareef Me Hai 
RasulAllah صلى الله عليه و سلم Ne Farmaya Hai Ke "Awrat Parde Me Rehne Ki Cheez Hai Jis Waqt Wo Be-Parda Ho Kar Baher Nikalti Hai to Shaitaan Usko Jhaank Jhaank Kar Dekhta Hai"
(Tirmizi Jild: 1 Safa: 140)

Aur Ek Hadees Me Hai Ke "Banao Singaar Karke Itar Itar Kar Chalne Wali Awrat Ki Misaal Us Tariki Ki Hai Jis Me Bilkul Roshni Hi Na Ho"
(Tirmizi ,Jild:1,Safa 139)

Isi Tarha Hazrath Abu Musa Ashari RadiAllahuAnhu Se Riwayat Hai Ke..
"Huzoor Aqdas صلى الله عليه و سلم Ne Farmaya,
Jo Awrat Khushbu Laga Kar Mardon Ke Pass Se Guzre take Log Uski Khushbu Soonghen Wo Awrat Bad-Chalan Hai."

(Nisai)

Pyari Behno !
Aaj Kal Jo Awraten Banao Singhaar Karke Aur Uryaan Libaas Pehan Kar, Khushbu Lagaye Bila Pardah Bazaron Me Ghoomti Phirti Hain Aur Cinema Thretharon Me Jati Hain O in Hadeeson Ki Roshni Me Apne Bare Me Khud Hi Faisla Karlen Ke Wo Koun Hain?
Aur Kaisi Hain?
Aur Kitni Badi Gunahgaar Hain.
Alah Ki Bandiyoun ! Tum Khuda Ke Fazl Se Musalmaan Ho . Allah O Rasool Ne Tumhe Imaan Ki Doulat Se Mala Maal Kiya Hai. Tumhare Imaan Ka Taqaza Ye Hai Ke Tum Allah O Rasool Ke Ahkaam Ko Suno Aur Un Per Amal Karo. Allah O Rasool Ne Tumhe Parde Me Rehne Ka Hukm Diya Hai . Is Liye Tum Ko Lazim Hai Ke Tum Parde Me Raha Karo. Aur Apne Shohar Aur Apne Baap Dadaon Ki Izzat O Azmat Aur Unki Namoos Ko Barbaad Na Karo.
Ye Duniya Chand Rooz(Din) Ki Aani Fani Hai Yaad Rakho! Ke Ek Din Marna Hai. Aur Phir Qayamat Ke Din Allah O Rasool Ko Muh Dikhana Hai. Qabr Aur Jahannum Ke Azabon Ko Yaad Karo.
Hazrath Khatoon E Jannat Bibi Fatimah Zahra(RadiAllahuTa'alaAnha) Aur Ummat Ki Maaon Yani Rasoolallah Sallallahualaihiwasalalm Ki Muqaddas Biwiyoun Ki Nakshe Qadam Per Chal Kar Apni Duniya O Aakhirat Ko Sawaro. Aur Khuda Ke Liye Yahoood O Nasara Aur Mushrikeen Ki Awraton Ke Tareeqon Per Chalna Chodo.

Parda Izzat He Be Izzati Nahi

Aaj Kal Baaz Mulhind Qism Ke Dushman E Islam Musalman Aurto Ko Yeh Keh Kar Behkaya Karte He Ki Islam Ne Aurton Ko Parde Rakh Kar Aurton Ki Be Izzati Ki He Is Liye Aurto Ko Pardon Se Nikal Kar Har Medan Me Mardo Ke Dosh Ba Dosh Khadi Ho Jana Chahiye ! 
Magar Pyari Behno khoob Achi Tarah Samaj Lo Ki In Mardo Ka Yeh Propaganda Itna Ganda Aur Ginona Fareb Aur Dhoka He Ki Sayad Shaitan Ko Bhi Na Sujha Hoga. 

Aye ALLAH ki Bandiyo Tumhi Insaaf Karo Ki Tamam Kitaben Khuli Padi Rehti Hain Aur Be-Parda Rehti He Magar Quraan Shareef Par Hamesha Gilaf Chada Kar Is Ko Parde Me Rakha Jata He Toh Batao Kya Quraan Majid Par Gilaf Chadhana Yeh Quraan Ki Izzat Hai Ya Be-Izzati ?


Isi Tarah Tamam Duniya Ki Masjide Be-Parda Rakhi Gayi Hai Magar Khanaye Ka'aba Per Gilaf Chadha Kar Is Ko Parde Me Rakha Gaya Hai To Batao Kya Ka'aba E Mukaddasa Par Gilaf Chadhana Is Ki Izzat hai Ya Be-Izzati ?

Tamam Duniya Ko Malum He Ki Quraan E Majeed Aur Ka'aba E Muaazama Par Ghilaaf Chada Kar In Dono Ki Izzat-o-Azmat Ka Elan Kiya Gaya Hai Ki... Tamam Kitabon Me Sab Se Afzal-o-Aala Quraan Hai Aur Tamam Masjido Me Afzal O Aala Ka'aba E Muaazama Hai.
Isi Tarah Musalman Aurton Ko Parde Ka Hukm De Kar ALLAH wa RASOOL SallallahuTaala AlahiWaSallam Ki Taraf Se Is Baat Ka Elan Kiya Gaya Hai Ki Akhwame Aalam Ki Tamam Aurton Me Musalman Aurat Tamam Aurton Se Afzal-o-Aala Hai Pyari Behno Ab Tumhi ko Is Ka Faisla Karna He Ki Islam Ne Musalman Aurton Ko Pardo Me Rakh Kar In Ki Izzat Badhai hai Ya In Ki Be-Izzati Ki Hai ??


(Jannati Zewar)

You Might Also Like

0 comments

Featured post

Sitamgaron Ka Bura Anjam

yazeed Ki Hilakat Ke Baad Ahle Hijaz O Yaman Aur Iraq O Khirasan Walon Ne To Hazrath Abdullah Bin Zubair Ke Hath Per Baiat Ki Aur Misr O Sh...