Ye Ameerul Momineen Hazrath- E-Abu Bakr Siddiq RadiAllahuTa'alaAnhu Ki Sahebzadi Hain.Inki Maa Ka Naam Umme Ruman Hai.Inka Nikah Huzoor E Aqdas SallahuAlaihiWaSallam Se Qable Hijrat Makka-e-Mukarrama Me Huwa Tha.Lekin, Kashana-e-Nabuwwat Me Ye Madine Munawwara Ke Andar Shawwal 2 Hijri Me Aaye.Ye Huzoor Ki Mehbuba Aur Bahot Hi Chahiti Biwi Hain.Huzoor E Aqdas SallahuAalaihiWasallam Ka Inke Bare Me Irshad Hai Ke Kisi Biwi Ke Lihaaf Me Mere Opar Wahi Nahi Utri Magar Hazrath Ayesha Jab Mere Sath Nabuwwat Ke Bistar Per Soti Rehti Hain to Is Halat Me Bhi Mujh Per Wahi Utarti Rehti Hai.
(Bukhari,Jild 1 ,Safa 532)
Fiqha Wa Hadees Ki Uloom Me Huzoor Ke Bibiyoun Ke Darmiyan Unka Darja Bahot Oncha Hai.Bade Bade Sahaba Inse Masail Pucha Karte the.Ibadat Me Bhi Inka Ye Aalam Tha Ke Namaz e Tahajjud Ki Behad Paband Thi.aur Nifli Roze Bhi Bahot Ziyada Rakhti Thi.
Sakhawat Wa Sadqaat Ke Maamle Me Bhi Huzoor Ki Sab Bibiyoun Me Khaas Tour Per Bahot Mumtaz Thi.
Umme Durra RadiAllahuTalaAnha Kehti Hain Ke Ek Martaba Kaheen Se Ek Laakh Dirham Unke Paas Aaye Aap Ne Usi Waqt Un Sab Dirhamon Ku Khairaat Kar Diya.Us Din O Rozedaar Thi ,My Ne Arz Kiya Ke Aap Ne Sab Dirhamon Ku Baant Diya Aur Ek Dirham Bhi Aapne Baaqi Nahi Rakha Ke Usse Aap Gosht Khareed Kar Roza Iftiyar Karti .To Aapne Farmaya Agar Tumne Pehle Kaha Hota to My Ek Darham Ka Gosht Maga Leti.
Aap Ke Fazail Me Bahot Se Hadeesen Aaye Hain. 17 Ramzan Mangal Ki Raat Me Sane 57 Ya Sane 58 Hijri Me Aap Ki Wafat Huwi.
Hazrath Abu Hurrairah RadiAllahuTalaanhu Ne Aap Ki Namaze Janaza Padhayi.Aur Raat Me Dosri Azwaje Mutahara Ke Sath Jannatul Baqi Ke Andar Madfoon Huwe.
(Zarkhani Jild 3 Safa 234 Waghaira)
Tabsira:
Ye Umr Me Huzoor Ki Tamam Bibiyoun Se Sabse Choti Thi.Magar Ilm O Fazal Zohad O Taqwa Sakhawat O Shuja'at ,ibadat O Riyazat Me Sabse Badh Kar Huwen.Isku Fazle Khudawandi Ke Siwa Aur Kya Kaha Ja Sakta Hai?.
Behre Haal Pyari Behno Hazrath Ayesha RadiAllahuTalaAnha Ki Zindagi Se Sabaq Hasil Karo .Aur Achche Achche Amal Karti Raho Apne Souharon Ku Khush Rakho.
(Jannati Zewar)