Personalities

Shaan E Huzoor TajushShari'Ah

11:36 pm

Huzoor Tajush'Shari'ah Arbaab-E-Ilm-Wa-Daanish Ki Nazar Mei'n



Huzoor Mufti-E-Azam Aalam-E-Islam :
(Radi ALLAHU Ta'ala Anhu)

”AKHTAR MIYAN Ab Ghar Mein Baithne Ka Waqt Nahi, Yeh Log Jinki Bheed Lagi Huee Hai Kabhi Sukoon Se Baithne Nahi Dete, Ab Tum Is Kaam Ko Anjam do, Main Tumhare Supurd Kerta Hoon,

Logon se Mukhatib Hoker Mufti-e-Azam Ne Farmaya,

Aap Log Ab Akhtar Miyan Sallamahu Se Ruju Kiya Karein Unhe Mera Qayem Maqam Aur JaNasheeen Janein
(Mufti-e-Azam Aur Unke Khulfaa jild1 P152)


Huzoor Qutub-e-Madeenah :
Mujhe Mere Murshid Huzoor Aalahazrat Radi Allahu Anhu Se Jo Kuch Mila Un Khanwade Ke Shehzaado Moulana Ibrahim Raza khan Moulana Rehan Raza Khan 
Aur Moulana Akhtar Raza Khan ko Ataa Ker Diya 
(Qutub-e-Madeenah)

Huzoor Sayyad-ul-Olma :
Huzoor Sayyad-ul-Olma Mufti Shah Aal-e-Mustafa Barkati Marehrawi AlehiRehmah Ne Huzur TajushShariah Ko Jamee’a Salaasil Ki Ijazat Wa Khilaafat Ataa Farmaai Aur Duaa’n se Nawaza
(Mufti-e-Azam Aur Unke Khulfa P162)


Huzoor Mujahid-e-Millat Rehmatullah Alaihi :
Eik Saheb Ki Walida Huzoor Mujahid-e-Millat Se Mureed Hona Chahi to Aapne Farmaya,



Miyan Sarkar Aalahazrat AlehiRehma Ke Shehzade Hazrat Azhari Miyan Ki Moujoodgi Mein Aisa Kaise Ho Sakta Hain Ke Main Mureed Karoon Unhi Se Mureed Kerwaiye,



Dusari Riwayat Hai Ke Huzur Mujahid-e-Millat ne Farmaya Ke Main Hazrat Azhari Miyan Saheb Ke Samne Se Hoker Kaise Guzar Sakta Hoon

Akheer Kaar Pichhle Darwaze Se Hoker Andar Tashreef Le Gaye Aur Farmaye Ke Koi Tez Aawaz Mein Na Bole Ke Hazrat Azhari Miyan Tashreef Farma Hain Aahista Bolo Shehzade Qayam Farma Hain
( Raawi Hazrat Moulana Abdul Mustafa Hashmati Rudoli Shareef)

Qazi Shamsh-ul-Olma:
Eik Din Hum Tamam Talib-e-Ilm Hazrat Qazi Sham-ul-Olma Allama Shamsuddin Razvi Jounpuri Talmeez Huzur SadrusShariah AlehiRehma Ke Dars Mein Moujood The Aur Hazrat Padha Rahe The,

Eik Buzurg Sifat Insaan Tashreef Laaye, Qazi Saheb Ne Khade Hoker Unka Isteqbaal Kiya,

Aane Waale ko Apni Masnad Per Bithaya,

Aur Khud Muwaddab Ho Ker Baith Gaye

Us waqt Talba Ke Zehen-o-Dimagh Mein Kiya Ta’assur Ubhra? usko Main Nahi Bata Sakta,

Albatta Maine Mehsoos Kiya Qazi Saheb Jaisi Shakhsiyat ,,, Allah Allah Unki ilmi Shaan-o-Shoukat Ka Yeh Aalam Tha Ke Bade Bade Unke Saamne Tifl-e-Maktab Maloom Hote The Apne Asaataza Mein Se Kisi Se Daryaaft Kiya Ke Yeh Hazrat Koun Hain????

Unhone Farmaya,

” Yeh Azhari Miyan Qibla Hain”

(Moulana SHAMSHAD HUSSAIN RAZVI BADAYOON SHAREEF)


Huzoor Ahsan-ul-Olma:
14-15 Novembar 1984 Ko Marehrah Shareef Mein Urs-e-Qasimi Ke Taqreeb Mein Hazrat Ahsan-ul-Olma Moulana Mufti Sayed Hasan Miyan Barkati Sajjada Nasheen khanqah-e-Barkatiya Marehra Shareef Ne Jansheen-e-Mufti-e-Azam Ka Isteqbaal Qayem Maqam Mufti-e-Azam allama Azhari Zindabad Ke Naare Se Kiya Aur Majma-e-Kaseer Mein Olma Wa Mashayekh Aur DanishWaro Ki Moujoodgi Mein JaNasheen-e-Mufti-Azam Ko Yeh Keh Ker

Faqeer Aastana-e-Aaliya Qadriyah Barkatiya Nooriya Ke Sajjada Ki Haisiyat Se Qayem Maqam Mufti-e-Azam Allama Akhtar Raza Khan Saheb Azhari Ko Silsila-e-Qadriya Barkatiya Nooriya Ki Tamam Khilafat Wa Ijazat Se Mazoon Wa Majaz Kerta Hoon,

Poora Majma Sun Le

Tamam Barkati Bhai Sun Lein

Aur Yeh Olma-e-Kiram Jo Urs Mein Moujood Hai Is Baat Ke Gawaah Rahein

(Mufti-e-Azam Or Unke Khulfa P162)


Huzoor Mufassir-e-Azam Hind
Dr Abdul Naeem Azeezi Likhte Hain:..

Walid Majid Mufassir-e-Azam Hind Ne Apne Farzand Arjmand Ko Qabl-e-Faraghat ilm-e-Aalahazrat Ka JaNasheen Banaya Aur Eik Tehreer Bhi Inaayat Farmaai,

Bawajhe Ilaalat Yeh Tawaqqo Nahi Ke Ab Ziyada Zindagi ho, Zaroorat thi Ke Dusara Qayem Maqam Ho Lihaza Akhtar Raza Sallamahu Ko Qayem Maqam Wa JaNasheen-e-Aalahazrat Bana Diya Gaya Janasheeni Ka Amama Bandha Gaya Aur Ibaa Pehnaai Gayi

(Mahnama Aalahazrat or Mufti-e-Azam Aur Unke Khulfa P163)


Sadr-ul-Olma Allama Tehseen Raza Khan :
Al-Humdulillah Ke Hazrat Allama Azhari Miyan Sallamahu Ne Bawajood Gonaagu’n Masroafiyaat Aur Ilaalat-e-Taba iska(Al-Motaqid) Tarjuma Farmaya Ta Ke Uske Fayeda Aam Ho Jaye,

Iska Bil-istiaab Mutala to Main Na Ker Saka Magar Jasta Jasta Jo Maqamaat Meine Dekha Usse Badi Khushi Haasil Huee Ke Bahut Siles Aur Ba Muhawarah Tarjuma Kiya Hai

(Al-Motaqid p38) 


Shareh Bukhari Mufti Shareef-ul-Haq :
Hazrat Mufti Shareeful Haq Amjadi AlehiRehma Jo Taqreeban 11 Saal Tak Bareily Shareef Mein Huzur Mufti-e-Azam hind Ki Sarparasti Mein Fatawa Likhte Rahe Aur Jinhe Mufti-e-Azam Ki Umr hi Main Nayeb Mufti-e-Azam Kaha Aur Likha Jata Raha Unki Zubani Raqim-us-Sutoor Ne Kai Baar Unka Yeh Ta’assur Suna Ke “Hazrat Mufti-e-Azam hind ko Apni Zindagi Ke Aakhri 25 Saalo Mein Jo Maqbooliyat Wa Her Dil Azeezi Hasil Huee Woh Aap Ke Wisaal Ke Baad Azhari Miyan Ko Badi Tezi Ke Sath Ibtidaai Saalon hi Mein Haasil Ho Gayi Aur Bahut Jald Logon Ke Dilo Mein Azhari Miyan Ne Apni Jagah Banaa Li

( Allama Yaseen Akhtar Misbahi)




Allama Arshad-ul-Qadri 
Allah Ta’ala Ne Huzoor Azhari Miyan Ko Zabardast Maqbooliyat Di Hai,

Aisi Maqbooliyat to Dekhne Mein Nahi Aai,

Dekho to Sahi Ke Azhari Miyan Ko Mukhtalif Jagah Progaram Mein Jana Tha Ranchi Airport Per Utre Phir Bazariya Car Fulaa’n Jagah Pahunchna Tha Magar Ranchi Mein Unse Milne Ke Liye Hazaro Mai-Kasho’n Ki Bheed Jama Ho Gayi Thi,

Jab Ke Ranchi Mein Rukna Na Tha,

Sirf Wahaan Se Guzarna Tha,

Magar Aanan Fanan Mein Itne Logon Ka Jama Ho Jana Badi Baat Hai,

Maloom Hota Hai Ke Koi Dusari Makhlooq Logon Ke Kaano Tak Baat Pahuncha Deti Hai,

Aur Aanan Fanan Sub Jama Ho Jaate Hain,

( Raawi Mufti Aabid Hussain Noori)


Allama Mohummed Mushahid Raza Khan Hashmati :
Faqeer Haqeer Ne Kitab Banam “Tie Ka Masla”(Musannifa Huzur TajushShariah) BaGhour-O-Khoj Mutala Kiya Apne Dalayel Ke Lihaaz Se Woh Fatwa Kisi Ki Tasdeeq Ka Mohtaj Nahi Fir Bhi Imtishal-e-Amr Ke Liye Faqeer Tasdeeq Kerta Hai

( Tie Ka Malsa)



Allama Khawaja Muzaffar Hussain Razvi :
Hazrat TajushShariah Ne In Ahem Mubaahis Ka Siles Urdu Zubaan Mein Aisa Barjasta Tarjuma(Al-Motaqid) Farmaya Hai Ke Tarjuma Hi se mafhoom Waze Ho Jata Hai Uske Bawajood Ja Baja Paicheeda Masayel Ki Aisi Uqda Kashai Ki Hai Ke Be Ikhtiyaar Zubaan se Nikal Padta Hai Ke Yeh Aalahazrat Aur Mufti-e-Azam Ke Faiz Se TajushShariah Hi Ka Khaasa hai

(AlMotaqid =P46)



Allama Abdul Hakeem Sharaf Qadri :
Huzoor TajushShariah Se Hazrat Ke Rawabit Bahut Gehre The Safar-e-Pakistan Ke Mouqe Per Walid-e-Girami AlehiRehma Se Masayel-e-Shariya Per Sanjeeda Mahoul Mein Guftagu Hua Kerti Thi,

Hazrat Walid-e-Maajid Huzur TajushShraih Ke ilm-o-Fazl Fiqhi Baseerat Aur Hadees Daani Ke Motarif The

(BaRiwayat Doctor Sudedi)



Mufti-e-Azam Rajisthan :
Allah Rabbul Izzat Ne Hazrat Allama Mufti Akhtar Raza Qadri Azhari Madazillahul Aali Ko BeShumar Fazayel Aur Manaqib-e-Jaleelah Se Nawaaza hai,

Main aapke Ilm-o-Fazl Hizm-o-Ittiqa Tasneefi Fiqhi Tableeghi Khidmaat Se Bahut Mutaasir Hoon,

Arbi Adab Mein Aap Huzoor Hujjat-ul-Islaam Hazrat Allama AsShah Mufti Hamid Raza Khan Qadri Alehirehma Ke Par-to hain,

Neez Huzur Sayyudna Aalahazrat imam Ahmed Raza Qadri Bareilvi Ka Aap Per Khusoosi Faizan Hai Jiski Waaze Nazar Yeh Hai Ke “Asia Europe” Ki Buland Aahang Chotiyo Per Aap Ki Azmato Ke Parcham Lehra Rahe Hain,

Aur Aap Ki Ilmi Jalaalat Wa Shakhshi Wajaahat Ke Aage Bade Badon Ke Sar Khameeda Nazar aate Hain

( Ma’arif-e-Mufti-e-Azam RajisThan-P383)



Musannif Tasaaneef-e-Kaseerah Hazrat Allama Faiz Ahmed Owesi :
Hazrat TajushShariah Ne Al-Motaqid Ka Tarjuma Farmaya Faqeer Ne Sa’adat Samjh Ker Kitab-e-Mazkoor Ka Mutalaa Kiya,

Usse Se Faqeer Ilmi Tor se Khoob Mustafeed Huaa

Faqeer Yaqeen Or Nihayat Wasooq Se Arz Kerta Hai Ke Awaam Ke Liye to Aqayed Ke Muaamilat Mein Bila Shubah Yeh Tarjuma Shareef Rehbar Wa Haadi Hai Lekin Olma e kiram ke Liye Bhi Behtareen Dastawez hai

(Al-Motaqid-P52)


Mufti Abdul Lateef Saheb Qibla :
Faqeer Ne Kitab ka Urdu Tarjuma Kahin Kahin Se Mulahiza kiya,

Al-Humdulillah JaNasheen-e-Mufti-e-Azam hind TajushShariah Hazrat Allam Mufti Akhtar Raza Khan Qadri Madazillahul Aali Ne Badi Arq Rezi Se Yeh Tarjuma Farmaya Hai,

Yaqeenan Huzoor TajushShariah Her Hawale se Apne Aaba Wa Ajdaad Ke Sachche JaNasheen Hain,

Allah Ta’ala Unka Sayaa Ahlesunnat Per Daraaz Kare Aameen

(Almotaqid P-66)



Hazrat Allama Abdullah Khan Azeezi :
Hazrat Allama Wa Moulana Mufti Akhtar Raza Khan Azhari Saheb Qibla Madazillahul Aali JaNasheen-e-Huzur Mufti-e-Azam hind AlehiRehma Ke Risla-e-Mubarika Banam “Tie Ka Masla” ke Mutala Ka Sharaf Hasil Hua Huzur Mufti-E-Azam Ka Fatwa Aur Hazrat Musannif Allama Ke Dalayel Wa Baraheen Se Ahqar Ko Inshiraah-e-Sadr Hasil Huaa Ke Tie Ka Istemal Kerna NaJayez Wa Haram Hai Musalmano Ko Aihtaraz Kerna Chahiye

(Tie Ka Masla P41)
.

Moulana Sayed Owes Mustafa Waasti :
Faqeer Qadri Ko JaNasheen-e-Mufti-e-Aazam hind Hazrat Allama Azhari Miyan Saheb Qibla Se Baraha Mulaqat Ka Sharf Hasil Hota Rehta Hai Yeh Mulaqat Wa Raabte Direenah Ta’alluqat Ke Bayes Hain Jo Khanqah-e-Bilgiraam Aur Khanqaah-e-Bareily Mein Hamesha Se Raha Hai,

Mousoof Ko Khaanwada-e-Razviyat Mein Woh Maqam Hasil Hai Ke TajushShariah Aur Qazi-ul-Quzaat Jaise Aala Khitaab se Yaad Kiye Jaate Hain

(Al-Motaqid-P43)


Allama AbunNasr Khalifa-e-Huzoor Qutub-e-Madinah :
Hazrat Allama Akhtar Raza Khan Saheb Khandan-e-Aalahazrat Ke Fazil Mohaqqiq Hain Jinke Faizan Se Eik Zamana Mustafeed Wa Mustafeez Ho Raha Hai Ab Ahlesunnat Ka Yeh Fareeza Hai Ke Wo Is Kitab Ka Mutala Kar ke Usse Dusaro Tak Pahunchane ki koshish Karein
.
(Al-Motaqid-P55)



Mufti Naeem Akhtar Naqshbandi Lahori :
Huzoor Mufti Akhtar Raza Saheb Ka Ilmi Maqam Ka Kiya Kehna Iss Kitab Ke Baare Mein Sirf Itna Kahunga Ke Yeh Kitab Hazrat Ke Arbi Adab Per Maharat Ki Daleel Hai,

Aur Yeh Kitab Sabit Kerti Hai Ke Aap Waqa’ee JaNasheen-e-Mufti-e-Aazam Hain

(Al-Motaqid-P58)



Allama Syed Alvi Maliki :
JaNasheen-e-Mufti-e-Azam Allama Mohummed Akhtar Raza Khan Azhari Qadri Bareilvi Damat Barakatuhumul Qudsiya 1988 Mein Jab Hajj-o-Ziyarat Ke Liye Tashreef Le Gaye to Allama Syed Mohummed Alvi Maliki Ne Apni Tasneef Kerda Kitabein Inayat Farmaai Aur Bahut hi Qadr-o-Manzilat Ke Nazar se Dekha,

Imam Ahmed Raza Qadri Bareilvi Ke Pote hone ki Haisiyat e Aur Huzur Mufti-e-Aazam KeJaNasheen Ki Wajeh se Bahut Izzat Afzaai Farmaai Aur Duaaiya Kalimat se Nawaza

(Mufti-e-Azam Or Unke Khulfa p-517)



Mahir-E-Razviyat Hazrat Allama Prof Mas’ood Ahmed Mazhari :
Us Imam Ahmed Raza Ke JaNasheen Unke Parpote Allama Akhtar Raza Khan Azhari Hain Bade Muttaqi Aur Aalim-e-Ba-Amal,

1983 mein Pakistan Tashreef Laaye,

Az-Raah-e-Karam Ghareeb Khane Per Bhi Tashreef Laaye,

Eik Arbi Naat Ki Farmaaish ki,

Qalam Bardashta Ussi Waqt Likh Di,

Usse Andaza Hota Hai Ke Arbi Zubaan ne Imam Ahmed Ke Gharane Mein Ghar Ker Rakha Hai Yeh Ussi Gharane Ka Imtiyaaz-e-Khaas Hai

(Ujala-p26)



Shaikh Abu Bakar Qadri Kerla :
Samahatul Mufqi Hazrat Allama Shaikh Mufti Mohummed Akhtar Raza Khan Qadri Al-Azhari Saheb Ki Shakhsiyat Aalam-e-Islaam Mein Markazi Haisiyat Rakhti Hai, Aap Imam AhleSunnat Mujaddid-e-Aazam Ki Masnad Ke Sachche JaNasheen Aur Qabil-e-Aitamaad Mufti Hain,

Aap Ne Jamiatur Raza Bareily Shareef Mein Qayem Kerke Ahlesunnat Per Ahsaan-e-Azeem Farmaya,

( Taqreer Urse Razvi)



Allama Mohummed Ghufraan Siddiquie America :
Faqeer Haqeer Aaj Aastana-e-Razvia Hazir Hua To Huzur Janasheen-e-Sarkar Mufti-e-Azam Radi Allahu Anhu Sarkar Mufti-e-Azam Ahlesunnat Hazrat Allama Azhari Miyan Saheb Damat BarakatuhumulAali Ne Fatwa Tie Ke Muta’alliq Ataa Farmaya,

Haqeeqat Yeh Hai Ke Hazrat Ne “ENCYLPEDIA GROLIER” ki Asal photo state Copy deker Ahle Islam Per Hujjat Qayem Kerdi Hai Aur Fir Shar’ee Haisiyat Se Jo Hukm Farmaya Hai Woh Aapka hi Hissa Hai,

Moula Ta’ala Ahle Islam Ko Apna Zahir Or Batin Apne Sarkaron Ki Tarah Banane Ki Toufiq Or Himmat Ataa Kare,

(Tie Ka Masla-P36)






Aala Hazrath

Aala Hazrat Ka Maqsad E Zindagi

8:49 am

Imaam Ahmed Raza Barielvi(RadiAllahu Ta'ala Anhu) Ne Apni Zindagi Ki Garz Khud Batayi 
Aap Ne Aailaan Farma Diya Ke Mujhe 3/Teen Kaamo Se Dilchaspi Hai
Aur Unki Lagan Mujhe Aata Ki Gayi Hai'n

1. Tahafuz E Namoos E Risaa'lat Sayyed-Ul Mursal'een Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam Ki Himayat Karna.
2. Inke Ilawa Deegar Biddati'o Ki Baikh Kooni (Jadh Se Ukhadna) Jo Deen Ke Daawe Daar Hai'n Halanke Mufaasid (Fasaad Karne Wale) Hai'n.
3.Hasb E Istita'at Aur Wazeh Mazhab Hanfi Ke Mutabik Fatwa Nawesee.

Aapni Aazeem Tasneef Me Bhi Yahi Farmaya Ke
Faqeer Ke Supurd Namoos E Risaa'lat Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam Ka Tahafuz Aur Khidamat E Fiqah Ki Gayi Jisko Ye Hasbe Istita'at Anjam De Raha Hai.


Aala Hazrat RadiAllahu Ta'ala Anhu Ne Un Gustakhan E Risaa'lat Wahabi'o Aur Deobandio Wagaira Ke Aqaid E Batila Ke Rad Me 200 Se Ziada Kitabe'n Tasneef Farmayi'n.
(Ad-Daulat Ul Makkiyah, page.169)

Aala Hazrath

1 Namaz Ke Liye Rs.30,000

8:36 am

Aala Hazrat Imam Ahmed Raza Radi Allaho Ta’ala Anho Ke Aakhri Safar e Haj Wo Ziyarat Ke Mauqa Par Aap Ke Sab Aziz Aur Ghar Wale Aap Se Pehle Mumbai Pahonch Chuke They. Jab Aap Ne Mumbai Jaane Ka irada Kiya To Maamla Yeh Tha Ke AGRA Station Par Train🚊Badalne Aur Samaan Muntaqil Karne Mein Fajar Ki Namaz Ka Waqt Chala Jata Tha Aur Namaz Nahi Milti Thi. Agarche Yeh Bhi Ho Sakta Tha Ke AGRA Mein Us Train Ko Chor Diya Jaye Aur Namaz Ada Kar Lene Ke Baad Kisi Doosri Train Mein Safar Kiya Jaye Lekin is Soorat Mein Woh JAHAAZ  Na Milta Jis Mein Ghar Ke Deegar Log Ja Rahe They. Ab Ek Hi Rasta Tha, Woh Yeh Ke Bareli Sharif Se Second Class Ka 1 Dabba  Hi Reserve (Book) Kar Liya Jaye. is Soorat Mein Train Badalne Ki Zaroorat Nahi Hoti Balke Second Class Ka Woh Dabba Hi Kaat Kar Mumbai Jaane Wali Gaari Mein Jor Diya Jata Aur Namaz Ba-Jamaat Ada Ho Jati. Bawajood Yeh Ke Aala Hazrat Akele They Aur Ghar Ke Logon Mein Koi Bhi Sath Na Tha Kyun Ke Woh Sab Mumbai Rawana Ho Chuke They, Sirf Ek Khadim Haji Kifayatullah Aur Ek Shagird Sath They Lekin 235 Rupiye 13 Aane Jo is Zamane Ke Taqreeban 30 Hazaar Rupiye Ke Barabar Hote Hain, itni Badi Raqam Mein Second Class Ka Ek Dabba Book Kiya Gaya. Aala Hazrat Ke Bhai Nannhe Miyan Ne Mukhalefat Bhi Ki Aur Aala Hazrat Apne Dono Bhaiyon Ko Bahot Ziyada Chahte They Aur Un Ki Dil-Shikni Nahi Chahte They Magar Namaz Ke Mamle Mein Un Ki Mukhalfat Ki Parwah Na Ki Aur itni Badi Raqam Kharch Kar Ke Sirf Namaz e Fajar Ba-Jamaat Ada Karne Ke Liye Second Class Ka Dabba Mumbai Tak Reserve Kar Ke Safar Kiya. Jab Aap Agra Pahonche Aur Namaz e Fajar Ba-Jamaat Ada Farma Li To Station Hi Se Khat Likha Ke:
 "Alhamdu-Lillah! Namaz Ba-Jamaat Ada Ho Gai, Mere Rupiye Wasool Ho Gaye, Aage Muft Mein Ja Raha Hoon "
Subhanallah! is Ke Baad Aala Hazrat Mumbai Pahonch Kar Apne Sab Azeezon Ke Sath Mil Gaye Aur Usi JAHAAZ Mein Rawana Hue.
is Waqia Se Hamein Ye Sabaq Milta Hai Ke Sirf 1 namaz Ke Liye Sayyadina Aala Hazrat Ne itni Badi Raqam Kharch Ki Aur Namaz Ko Us Ke Waqt Me Ba-Jamaat Ada Kiya Magar Aaj Hum Mein Se Kitney Log Aisey Hain Jo Kuch Der Ki Neend Ke Liye Namaz e Fajar Ko Rozana Qaza Kar Dete Hain.
Doosra Sabaq Yeh Milta Hai Ke Sayyadina Aala Hazrat Ke Nazdeek Agar Chalti Train Mein Namaz Jaaiz Hoti To itni Badi Raqam Kharch Na Karte Balke Chalti Train Mein Namaz Ada Farma Lete Magar Aap Ne Aisa Nahi Kiya Aur Apne Maan-Ne Walon Ko Pegham De Diya Ke Mere Baad Koi Aeye Aur Kuch Kahe, Hargiz Mere Fatwe Aur Mere Amal Se Na Hatna Kyun Ke Yahi Quran Wo Sunnat Ke Mutabiq Hai.

Kar Di Zinda, Sunnat e Murda,
Deen e Nabi Farmaya Taaza,
Maula Mujaddid e Deeno Millat,
Mohiye Sunnat Aala Hazrat

Aala Hazrath

Bedaari Me Didaar e Mustafa SallallahuAlaihiWasallam

8:32 am

''Mere A'laHazrat RadiAllahu Taala Anhu Dusri Baar Haj Ke Liye Hazir Huwe''' ,
''To Madina E Munawara Me Nabi E Rahmat Sallallahu Taala Alaihi Wasallam Ki Ziarat Ki Arzoo Liye Roza E Mubarak Ke Saamne Der Raat Tak Salat O Salam Padhte Rahe'''''Magar Pehli Raat Kismat Me Yeh Sahadat Na Thi'''' ''Is Mauke Par Wo Maroof Natiya Gazal Likhi''' ,
''Jiske Matlah Me Daman E Rahmat Se Bawastagi Ki Ummid Dikhai Hai'''

Wo Suye Lala Zaar Firtey Hai'n
Tere Din E Bahar Firte Hai'n.


Shara'h Kalam E Raza:-
'''Aye Bahaar Jhoom Ja !!
Ke Tujh Par Bahaaro'n Ki Bahaar Aane Wali Hai
Wo Dekh! Madine Ke Tajdaar Huzoor Sallallhu Ta'ala Alaihi Wasallan Su'ey Lala Zaar
Yani Janab E Gulzaar Tashrif La Rahe Hai'''''
.
''Maqta'h Me Bargah E Risalat Me Apni Azizi Aur Mishkini ka Naqsha Yun Kheencha Hai'n......'''

Koi Kyu'n Pooche Teri baat Raza
Tujh Se Shaida Hazaar Phirte Hai'n


''A'laHazrat Rahmatullahi Ta'ala Alaihe Ne Misrah E Saani Me Ba'Taur Azizi Apne Liye " Sag " Ka Lafz Istemal Farmaya Hai'''
''Magar Adban Yahan " Shaida " Likha Hai'''


Shara'h Kalam E Raza:-
'''Iss Maqta Me Ashiq E Mahe Risalat Sarkaar A'laHazrat Kamal E Inkesari Ka Izhar Karte Hue Apne Aap Se Farmate Hain'''


Aye Ahmed Raza! Tu Kya Aur Teri
Haqiqat Kya'
Tujh jaise To Hazaaro Sagane Madina
Galio Me Yu'n Phir Rahe Hai'n!

''''Yeh Ghazal Arz Kar Ke Didaar Ke Intezar Me Muaddab Baithe Hoye The Ke Qismat Angrayi Le Kar Jaag Uthi'''
''Aur Chashmane Sar Yani Sar Ki Khuli Aankho Se Bedaari Me Ziyarat E Mehboobe Baari Sallallaho Ta'ala Alaihi Wasallam Se Musharraf Huwe''''...
''Qurbaan jayein Inn Aankho Par Ke Jo Aalame Badaari Me Janab E Risalat Ma'ab Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam Ke Didaar Se Sharafiyat Huyi
''Aur Kyu Na Ho Apke Dil Me Ishq E Rasool Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam Bhara Huwa Tha.''''
(Tazkeera Imam Ahmed Raza)

Aala Hazrath

Allah Ka Kalaam Aur Rasool SallahuAlaihiwaSallam Me Zyadah Afzal Koun

8:23 am

ALLAH KI KALAAM YANI QURAN E AZEEM AUR ALLAH KE RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ME
ZYADAH AFZAL KON !!!!!.........

Aaiye aaj ek bahaut hi naazuk nukte pe Aalahazrat azeemul barkat faazil e bareilvy k qalam ki karishma saazi mulahizah karte hai.....

AHLE ILM K DARMYAN EK SAWAAL PAIDA HUA KE ALLAH K KALAAM YANI QURAN E AZEEM AUR ALLAH KE RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ME ZYADAH AFZAL AUR BEHTAR KAUN HAI QURAN E AZEEM YA RASOOL E AZEEM ?

BADE BADE OLAMA KA IS NAZUK. NUKTE PE QALAM KHAMOSH RAHA QK EK TARAF KALAM E ILAHI H EK TARAF RASOOL E ILAHI ...ZYADAH BEHTAR KAHEN
TO KISE KAHEN ?

TAB MERE AALAHAZRAT KA QALAM E MOHTAAT PUKAR UTHTA HAI.....
Garche Quran hai na Quran ki barabar lekin
Kuch to hai jispe hai woh madah nigaar e Ariz
Tarjuma hai yeh sifat ka woh khud aayina e zzaat
Q na mas'haf se zyadah ho waqaar e aariz

Aalahazrat ka kalaam khud unhi ki tashreeh par dalalat krte hue batata hai k...

ALLAH KA KALAAM yani Quran zaati sifat hai yani Jo asal kalam e ilahi h woh khas ALLAH ki khaas sifat hai Jisse afzal kuch nhi qk kalam e ilahi sifat e ilahi h Jo humesha se h humesha rahegi aur jise hum Quran kehte h woh khas khuda k kalam ko kehte h na k us kitaab ko jisme kalam Likha h na us siyahi ko jisse likha gaya na us Awaz ko jisme padha gaya bulki kalame ilahi woh hai Jo Likha gaya Jo padha gaya to kul milaakar baat yeh hui k ALLAH k ain kalam ko nabi e pak se afzal kaha Jayega ..yeh hua pehle sher ka khulaasa ab chalte h doosre sher ki janib Doosre sher me yeh smjhaya gaya hai k woh mas'haf yani woh kitab jisme kalam likha gaya aur woh siyahi jisse Likha gaya aur woh aawaz o kaifiyat jisme padha gaya aur woh quwwat e samaa't jisse suna gaya yeh sb makhlooq hai sifaat e ilaahi nhi to huzoor in sb maqlookhat se afzal hai qk huzoor sab maqlookh se behtar h Ain kalam e ilahi humesha se h abadi o azali hai aur sifat e ilahi hai Aur mere pyare aaqa khuda ki sifat nhi h bulki khuda k bande aur maqlookh h to huzoor ka maqaam saari maqlookh se afzal to hai magar khuda ki sifat se afzal nhi qk khuda to khuda h aur huzoor rasool e khuda
banda e khuda h Magar huzoor ALLAH k siwa sabse afzal o behtar hai.
SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM WALLAHU AALA

Aala Hazrath

Bad-Mazhabo Ke Qile'n Dha Diye !

8:17 am

Aala Hazrat RadiAllahu Ta'ala Anhu Ne
Ikhlaki Masa'eel Me Aqaeed E Huq'qa Ahle Sunnat Ko Sabit Karne Ke Liye
Aur Aqaeed E Batila Ke Rad Ke Liye Quran Kareem, Ahadees e Nabwiya Aur Fuqara wa Ulma wa Saliha Se Dala'eel Ke Ambaar Laga Diye
Baaz Masa'eel Par 200 Se Zayad Dalile Pesh Kee'n Ke Dushman E Deen Ke Farar Ke Tamam Raste Band Kar Diye.
Imaam E Ahle Sunnat RadiAllahu Anhu Ne Un Be-Adab Wahabi'o Aur Deobandi'o Ke Be-Adbi Ke Qeela'on Aur Markazo Par Quran wa Hadees Aur Aqwal E Fuqah E Kiram Se Aazmat E Mustafa Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam Ke Wo Teer Barsaye Ke
Un Be-Adbo'n Ke Qeela'on Ki Eint Se Eint Bajadi
Unke Farar Ke Tamam Raste Band Kar Diye Phir Unke Tamam Aqwal e Batila Aur Aqa'eed E Zala'a Ki Dhajiya Uda Dee.
Firqa E Batila Ba'alUmoom aur Wahabi Deobandi Sab Hi Ko Imaam Ahle Sunnat Fazil E Barielvi RadiAllahu Taala Anhu Ne Aisa Raeega Kar Diya Tha Ke Bachcha Bachcha Pehchan Gaya Tha Ke Ye Tamam Batil Parast Aur Gumrah Aqeede Wale Aur Tamam Wahabi Aur Deobandi Toheed wa Risaa'lat Ki Toheen Karne Wale Hai'n.
Allah Azwajal Aur Uske Rasool E Mu'azzam Huzoor Sarwar E Kainaat Sallallahu Taala Alaihi Wasallam ki Janaab Me Bad-Tareen Be-Adbi aur Gustakhi Karne Wale Hai'n.

Aazmat E Ilahi Aur Ta'azeem E Musatafa Sallallahu Taala Alaihi Wasallam Par Dala'eel Ka Ambaar Lagate Huwe Aala Hazrat Ne Qadam Badhaya Aur Dushman E Deen Ko Lalkara Ke

''KILKE RAZA HAI KHANJAR E KHUNKHWAR BARQ BAAR
AADA SE KEH DO KHAIR MANAYE NA SHAR KARE''

Aala Hazrat Ne Nihayat Jura'at wa Bahaduri Se Namoos e Risaa'lat Ke Dushmano'n Par Wazeh Kar Diya Ke Un Ke Saath Koi Ri'ayat Nahi Ki Jaigi.
Bargaah E Mustafa Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam Me Gustakhiya'n Karne Walo'n Ko UNke Kefar Kirdaar Tak Pahonchaya Jaiga.
Aala Hazrat Ne Haq Parasto Ko Aawaz Dee:

DUSHMAN E AHMED PE SHIDDAT KIJIYE
MULAHIDO'N KI KYA MURAWAT KIJIYE

Aala Hazrat Ne Is Jihad Me Qalm E Mubarak Ke Wo Johar Dilkhlaye
Aur Aada'ien Islam Par Aisi Kaari(Bhari) Zarbe'n Lagayi'n Ke Mumkeen Talwar Bhi Aise Karnaame Sar Anjaam Na De Sakti.

Heavenly Womens

HAzrath Saudah RAdiAllahuTA'alaAnha

11:25 am


Ye Bhi Hamare Huzoor Sallallahualaihiwasallam Ki Muqaddas Biwi Aur Tamam Ummat Ki Maa Hain. Inke Baap Ka Naam Zam'ah Aur Maa Ka Naam Shamoos Hai.Ye Bhi Quraishi Khandaan Ki Bahot Hi Naamwar Aur Moa'azziz Aurat Hain.

Ye Pehle Apne Chacha Zad Bhai Sakran Se Biyahi Gayi Thi.aur Islam Ki Shuruwaad Hi Me Ye Dono Miyan Biwi Musalmaan Ho Gaye The.aur Kuffar Ke Zulm O Sitam Se Tang Aa Kar Habsha Ku Hijrat Bhi Kar Chuke The.lekin Jab Habsha Se Wapas Ho Kar Dono Miya Biwi Makke Mukarrama Me Aa Kar Rehne Lage To Inke Shohar Ka Inteqal Ho Gaya Aur Huzoor Akram Sallallahualaihiwasallam Bhi Hazrath Khadijah Ke Inteqaal Ke Baad Din Raat Maghmoom Raha Karte The.Ye Dekh Kar Hazrath Khaula Binte Hakeem Radiallahuta'alaAnha Ne Baargahe Risalat Me Ye Darkhwast Pesh Ki Ke Ya RasoolAllah Hazrath Saudah Binte Zam'ah Se Nikah Farmalen Take Aapka Khana E Ma'aishat Aabaad Ho Jaye. Hazrath Saudah Bahot Hi Deendaar Aur Wafa Sh'uaar Khatoon Hain Aur Behad Khidmat Guzar Bhi Hain.

Aap Ne Hazrath Khaula Ke Is Mukhlisana Mashware Ku Qubool Farma Liya. Chunanche Hazrath Khawla Radiallahuta'alaAnha Ne Hazrath Saudah RadiAllahuanha Ke Baap Se Baat Cheet Karke Nisbat Tay Kara Di Aur Nikah Ho Gaya.aur Ye Umr Bhar Huzoor AlaihisSalatoSalam Ki Zoujiyat Ki Sharf Se Sarfaraz Rahen.aur Jis Walihana Mohabbat O Aqidat Ke Sath Wafadari  Wa Khidmat Guzari Ka Haq Ada Kiya O Unka Bahot Hi Shandaar Karnama Hai.

Hazrath Bibi Ayesha Radiallahuta'alaAnha Ke Sath Huzoor Ki Mohabbat Ko Dekh Kar Unhone Apni Baari Ka Din Hazrath Ayesha Ku De Diya Tha .Hazrath Ayesha RadiAllahuta'alaAnha Farmaya Karti Thi Ke Kisi Aurat Ku Dekh Kar Mujhko Ye Hirs Nahi Hoti Thi Ke My Bhi Waisi Hi Hoti Magar My Hazrath Saudah RadiAlalhuanha Ke Jamaal E Soorat O Husn E Seerat Ku Dekh Kar Ye Tamanna Kiya Karti Thi Ke Kash My Bhi Hazrath Sauda Jaisi Hoti.Ye Apni Dosri Qisam Qisam Ki Khubiyon Ke Sath Bahot Fay'yaz O Aala Darje Ki Sakhi Thi.

Ek Martaba Ameerul Momineen Hazrath Umar RadiallahuTa'alaAnhu Ne Apni Khilafat Ke Zamane Me Darhamon Se Bhara Huwa Ek Thaila Hazrath Bibi Sauda Radialalhuta'ala Anha Ke Paas Bhej Diya. Unhone Us Thaile Ku Dekh Kar Kaha Ke Waah Bhala Khajuroon Ke Thaile Me Kaheen Dirham Bheje Jate Hain?? Ye Kaha Aur Uth Kar Usi Waqt In Tamam Darhamon Ku Madine Munawwara Ke Fuqra O Masakeen Ku Ghar Me Bula Kar Bant Diya Aur Thaila Khali Kar Diya.

Imam Bukhari Aur Imam Zahbi Ka Qoul Hai Ke 23 Hijri Me Madine Munawwara Ke Andar Inki Wafat Huwi .Lekin, Waqdi Aur Sahebe Akmaal Ke Nazdeek Inki Wafat Ka Saal Choupan (54) Sane Hijri Hai. Magar Allama Ibn Hajar Al-sqalani Ne "Taqreebut Tahzeeb" Me Inki Wafat Ka Saal Pachpan (55) Hijri Shawwal Ka Mahina Likha Hai . Inki Qabre Munawwar Madine Munawwara Ke Qabrastaan Jannatul Baqi Me Hai.
(Zarkhani 599)

Tabsira:

Gaur Karo Ke Hazrath Bibi Khadijah RadiAllahuanha Ke Baad Hazrath Saudah RadiAllahuanha Ne Kis Tarha Huzoor AlaihisSalatoSalam Ke Gham Ko Door Kiya Aur Kis Tarha Kashane Nabuwwat Ku Sambhala Ke Qalbe Mubarak Mutma'in Ho Gaya.

Aur Phir Inki Mohabbat E Rasool(SallallahuAlaihiWasallam) Per Ek Nazar Dalo Ke Unhone Huzoor Ki Khushi Ke Liye Apni Baari Ka Din Kis Khush Dili Ke Sath Apni Sauth Hazrath Bibi Ayesha Ku Dediya.

Phir Inki Fayyazi Aur Saqawat Ku Bhi Dekho Darhamon Se Bhare Huwe Thaile Ku Chand Minton Me Fuqra Aur Masakeen Ke Darmiyaan Taqseem Kar Diya.aur Apne Liye Ek Darham Bhi Na Rakha.

Maa Behno..! Khuda Ke Liye In Ummat Ki Maaon Ka Tarze Amal Se Sabaq Sekho Aur Neek Biwiyoun Ki Fehrist Me Apna Naam Likhao.Hasad Aur Kanjoosi Na Karo Aur Kaam Choor Na Bano.

(Jannati Zewer:pg-368)

Allah In Neek Biwiyoun Ke Sadqe Se Hamko Gunahon Se Bachne Ki Toufeeq Ata Kare.....

Aameen.....

Gouse Aazam

Shaykh Abd al-Qadir al-Jilani

9:00 pm

[Radi Allahu Ta'ala Anhu] 




11 Exalted Names of Sultan al-Awliya, Shaykh Abd al-Qadir al-Jilani [Radi Allahu Ta'ala Anhu]

There are 11 names from amongst the blessed names of Hadrat Ghawth al-Aa'zam (Radi Allahu Ta'ala Anhu) that are a means of gaining blessings and freedom from hardships. If these names are recited during calamities, illness or in one's home and business then the reciter will gain much benefit.

Mere Lab Pe Raat Din Ho Tera Naam Gouse Aazam
Tere Zikr Se Bane Hain Mere Kaam Gouse Aazam
RadiAllahuTa'alaAnhu

Rabi-us-Sani Ki Gyarweehn Shab (Yani Badi Raat) Sara Saal Musibaton Se Hifazat Ki Niyyat Se Sarkar Gouse Aazam RadiAllahuAnhu ke Gyarah (11) Naam, Awwal o Aakhir Darood Shareef Padh Ker Gyarah Khajooron Per Dam Karke Usi Raat Kha Lijiye, In Sha ALlah Sara Saal Musibaton Se Hifazat Hogi.

These names are as follows:-
سيد محي الدين
1. Sayyid Muhaiyyuddeen
سلطان محي الدين
2. Sultaan Muhaiyyuddeen
قطب محي الدين
3. Qutub Muhaiyyuddeen
خواجه محي الدين
4. Khwaja Muhaiyyuddeen
مخدوم محي الدين
5. Makhdoom Muhaiyyuddeen
ولي محي الدين
6. Walee Muhaiyyuddeen
بادشاه محي الدين
7. Baadshah Muhaiyyuddeen
شيخ محي الدين
8. Shaykh Muhaiyyuddeen
مولانا محي الدين
9. Mawlana Muhaiyyuddeen
غوث محي الدين
10. Gawth Muhaiyyuddeen
خليل محي الدين
11. Khalil Muhaiyyuddeen
[Fatawa Radawiyyah, Vol. 26, Page 432]

Note: Names like Faqeer Muhaiyyuddeen and Durwesh Muhaiyyuddeen should not be read and referred to Gawth al-Azam (Radi Allahu Anhu) as they are against the exalted honor and respect. [Taaj al-Shariah Mufti Akhtar Rida al-Qadiri]

Ramzan

Kab Roza Chodne Ki Ijazat Hai

11:15 pm

Shar'ie Safar,
Hamila Awrat Ko Nuqsaan Pahonchne Ka Andesha,
Doodh Wali Awrat Ke Doodh Sookh Jane Ka Dar,
Beemari, Budhapa,
Kamzori ki Wajah Se Hilaak HoJane Ka Khouf
Ya Kisi ne Gardan Per Talwaar Rakh Kar Majboor Kar diiya Ke Roza Na Rakhe Warna Jaan Se Maar dalega Ya Koi Aa'zu Kaat Lega
Ya Pagal Ho Jana Ya Jihad Karna.
Ye Sab Roza Na Rakhne Ka Uzr Hai,
In Baton Ki Wajah Se Agar Koi Rozah NA Rakhe To GunahGaar Nahi.Lekin Baad Me Jab Uzr Jata Rahe To Chode Huwe Roze ko Rakhna Farz Hai.
(Durr Al Mukhtaar wa Rad Al Muhtaar Safa 115)

Mas'ala:Shaikh Fani Yani Wo Budha Ke Na Ab Roza Rakh Sakta HAi. Aur NA Hi Aainda Us Me Itni TAqat Aane Ki Umeed Hai Ke Rakh Sakega To Use Roza Chodne Ki Ijazat Hai.Aur Us Ko Lazim HAi Ke HAr Rozah Ke Badle Dono Waqt Ek Miskeen Ko Bhar Peet(Stomach) Khana Khilaye.Ya HAr Rozah Ke Badle Sadqa e Fitr Ki Miqdaar Miskeen Ko Diya kare.
(Durr e Mukhtaar J:2 S:119)

Mas'ala:Jin Logon Ko Rozah Na Rakhne Ki Ijazat Hai Unko elaniya Khane , Peene Ki Ijazat Nahi Hai.O Logon ki Nigahon Se Chup KAr Kha,Pi, Sakte hain.
(Jannati Zewar.)


Ramzan

Roza Tood Dalne Ka Kaffara

11:12 pm

Agar Kisi Wajah Se Ramzan Ka Ya Koi Dosra Roza Toot Gaya. To Us Roza Ki Qaza LAzim Hai.Lekin Bila Uzr Ramzaan Ka Roza Qasdan Kha, Pee KAr Ya Jima'a Karke  Tood Dalne Se Qaza Ke Sath Kaffara Ada Karna Bhi Wajib hai.Roza Tood Dalne Ka Kaffara Ye HAi Ke Ek Ghulaam Ya Loundi Ko Khareed KAr Aazad KAre, Aur NA HO Sake to Lagataar Saath (60) Roze Rahe.Aur Agar Is Ki Bhi Taqat Na ho To, Saath (60) Miskeeno ko Dono Waqt Bahr Bhar Pet(Stomach) Khana Khilaye.KAffarah me Roza Rakhna Ki Surat me Lagataar Roza Rakhna Zaruri Hai.Agar Darmiyaan Me Ek (1) Din Ka Bhi Roza Choot Gaya to Phir se Saath (60) Roze Rakhne PAdenge.
(Rad Al Muhtaar)

Unsaath (59) Rakh Chuka Tha Aur Saathwaan (60th) NA Rakh Saka Beemari Waghaira Kisi Uzr Se To Phir Se Saath (60) Pure Lagataar Rakhe.Pehle Ke Unsaath (59) Beekaar gaye.Albatta Awrat Ko Agar HAiz Aajaye To Haiz Ki wajah Se Jitne Nagha Huwe Ye NAgha Nahi Gine Jayenge Yaani Pehle Ke Roze Aur Haiz Ke BAad wale Roze Dono Mil KAr Saath(60) Ho Jane Se Kaffara Ada Ho Jayega.
(Rad Al Muhtaar wa BAhaar , Aalamgeer Waghaira)
Ref:Qanoon e Shariat.

Ramzan

Roze Ke Makruhaat

11:11 pm

Mas'ala:. Jhoot.. Gibat .. Chugli.. Gali Dena.. Behuda Baat Kehna.. Kisi Ko Takleef Dena
Ye Cheeze Waise Bhi Najaiz-o- Haram Hai
Roza Mai Aur Zyada Haram Aur Inki Waja Se Roza Makruh Hota He.

Mas'ala: RozaDaar Ko Bila Uzr Kisi Cheez Ko Chakhna Ya Chabana Makruh He...
Chankhne Ke Liye Uzr Ye He Ke 
Maslan:....Shuhar Bad Mizaaj He Namak Kam-o-Besh Hoga To Uski Narazgi Ka Baa'is Hoga.
To Is Waja Se Chakhne Mai Harj Nahi...
Chabane Ke Liye Ye Uzr He Ke Itna Chota Baccha He Ke Roti Nahi Kha Sakta Aur Koyi Naram Giza Nahi
Jo Use Khilayi Jaye
Na Aur Koyi Be-Roz Aisa He Jo Use Chaba Ker De De 
To Baccha Ko Khilane Ke Liye Roti Wagera Chabana Makruh Nahi He.
( Durre Al-Mukhtar -o- Bahare Shari'at )

Mas'ala:. Chakhne Ke Maanaa Wo Nahi Jo Aaj Kal Bola Jata He Ke Kisi Cheez Ka Maza Maloom Kerne Ke Liye Us Mai Se Thodi Khaliya Ke Aisa Chakhne Se Makruh Hona Kaisa Roza Hi Jata Rahega 
Balke Agar Kaffarah Ke Shara'it Paye Jaye To Kaffarah Bhi Lazim Hoga
Balke Chakhne Se Murad Ye He Ke Zaban Per Rakh Ker Maza Pehchaan Le Aur Use Thook De Us Mai Se Halaq Mai Kuch Na Jane Paye Nahi To Roza Jata Rahega.

Mas'ala:. Muh Mai Thook Ekattha Kerke Nigal Jana Bagair Roza Ke Bhi Accha Nahi Aur Roze Mai To Ye Makruh He.
( AalamGiri-o- Bahare Shari'at )

 Ref:Qanoon-E- Shari'at 

Mas'ala:. RozaDaar Ke Liye Kulli Kerne Aur Naak Mai Paani Chadane Mai Mubaliga Karna Bhi Makruh Hai.

Mas'ala:. RozaDaar Ko Ghusl Kerna Ya Thanda Paani Thandak Ke Liye Sar Per Dalna Ya Gila Kapda Oodhna ,Ya Bar Bar Kulli Kerna, Ya Miswak Kerna, Ya Sar Aur Badan Mai Tail Ki Malish Kerna Ya Surma Lagana 
Ya Khushbo Soonghna Makruh Nahi Hai.
( AalamGiri -o- Durre Al-Mukhtar -o- Rudul Al-Muhtar )
 Ref:Jannati Zewer

Ramzan

Jin Cheezon Se Roza NAhi Tootta

11:08 pm

Bhool KAr Khaya , Piya Ya Jima'a Kar Liya To Rozah NAhi TootTa.
(Aalamgiri J1 S 189)

Mas'ala: Makkhi Ya Dhuwaan Ya Ghubaar Be-Ikhtiyaar Halq Ke Andar Chale JAane Se Roza Nahi TootTa. Isi Tarha Surmah Ya Tel Lagaya Agarche Tel Ya Surmah Ka MAza HAlq ME Maloom Hota Ho Phir Bhi Roza Nahi TootTa.Yunhi Dawa Ya Mircha Kuta Ya Aata Chana Aur Halq Me Iska Asar Aur MAza MAloom Ho To Bhi Roza NAhi Tota.
(AalamGiri J: 1 S: 190)


Mas'ala:
Kulli Ki Aur Paani Bilkul Ugal Diya Sirf Kuch Tari Muh Me Baqi Rah Gayi Thi Thook ke Sath Usko Nigal Gaya. Ya Kaan Me Paani Chala Gaya , Ya Ehtelaam Ho Gaya,Ya Gheebat ki, Ya Janabat ki Halat Me Subh ki Balke Agar Sare Din Janabat Ki Halat Me Rah Gaya Aur Ghusl nahi Kiya To Roza Nahi Gaya. Lekin Itni Der Tak Bila Uzr qasdan Ghusl na Karna Ke Namaaz Qaza ho Jaye Gunah Aur Haram Hai Hadees Me Aaya HAi ke Junub (Jis Per Ghusl Farz Hai) Jis Ghar me Rehta Hai Usme Rahmat Ke FArishte Nahi Aate.

(AalamGiri Waghaira) 


Ref :Jannati Zewar

Mas'ala: Baat Karne Me Thook Se Hont Tar(Gila) HoGaye Aur Use Pi Gaya Ya KhaKaar Muh Me Aaya Aur Kha GAya Roza Na Tuta.MAgar In Baton Se EhtiYaat Chahiye.
(AalamGiri WA Dur Al Muqtaar Wa Rad Al Muhtaar)

Mas'ala: Daant Se Khoon Nikal Kar Halq TAk Pahoncha MAgar HAlq Se Neeche Na Utra To Roza Na Toota.

Mas'ala:Bhool Kar Khana Kha Raha Tha Yaad Aate Hi Fouran Niwala Thook Diya To Roza Na GAya Aur Nigal Liya To Roza Jata Raha.
(AalamGiri)

Mas'ala: Subh Sadiq Shuru Hone Se Pehle Sehri Khana Shuru Kiya Khate Khate Subh Sadiq Shuru Hone Lagi .Subh Shuru Hote Hi Agar Niwala Ugal Diya To Rozah Na Toota Aur Nigal GAya To Roza Toot Gaya.
(AalamGiri)

Mas'ala: Til Ya Til KE BArabAr Koi Cheez Chabayi Aur Wo Thook Ke Sath HAlq Me Utar Gayi To Roza Na Gaya.Lekin Agar Us Ka MAza Halq Me MAloom Huwa to Roza Jata Raha.

Mas'ala:Gheebat Ki To Roza Na Tuta Agar Che Gheebat BAhot Sakht Gunah e Kabeera HAi Qur'an Shareef Me Gheebat Karne Ke BAre Me Farmaya GAya Jaise Apne Murde Bhai Ka Ghoost Khana Aur Hadees Me Aaya Ke Gheebat Zina Se Bhi Badh KAr HAi. Gheebat Ki Wajah Se Roze Ki Nooraniyat Jati Rehti hai.
(Dur Al Muqtaar)

 Ref : Qanoon e Shari'at

Ramzan

Roza Todne Wali Chizen

11:05 pm

Khane Peene Ya Jima'a Karne Se Roza Toot Jata HAi Jab Ke Rozahdaar Hona YAad Ho.Aur Agr Rozahdaar Hona Yaad Na RAha aur Bhool Ke Kha Liya Ya Pee Liya Ya Jima'a To Roza NAhi Tootta.
(Hidayah,Aalamgeer,J:1,Safa:189 )

Mas'ala: Huqqah, Beedi,Cigratte, Segar, Churt ,Segar Peene Se Rozah Toot JAta hai.

Mas'ala: Daanton Me Koi Cheez Ruki Huwi Thi Chane BArabar Ya Usse Ziyada Thi Use Khagaya Ya Chane Se Kam Hi Thi MAgar Usko Muh Se Nikal Kar Phir Kha Gaya To Roza Toot Gaya.
(AalamGiri J:1 S:189)

Mas'ala: Nathon Me Dawa Chadhayi Ya Kaan Me Tel Dala Ya Tel Chala Gaya To Roza Toot Gaya. Aur Agar Pani Kaan ME Dala Ya Chala GAya To Roza NAhi Tuta.
(Aalamgiri j:1 S:190)

Mas'ala: Kulli Kerne Mai Bila Qasad Paani Halaq Se Neeche Chala Gaya Ya Naak Mai Paani Cchadha Raha Tha Bila Qasad Paani Dimag Mai Cchadh Gaya To Roza Toot Gaya.
( AalamGiri , J-1 , S- 189 )

Mas'ala: Dusre Ka Thook Nigal Gaya. Ya Apna Hi Thook Haath Per Rakh Ker Nigal Gaya To Roza Jata Raha.
( AalamGiri , J-1 , S-190 )

Mas'ala: Qasdan Muh Bhar Ker Qay Ki Aur RozaDaar Hona Yaad He To Roza Toot Gaya. Aur Agar Muh Bhar Se Kam Ki To Roza Nahi Tota.
( AalamGiri , J-1 , S-190 )

Mas'ala:. Bila Qasad Aur Be-Ikhtiyaar Qay Hogayi To Roza Nahi Tota. Thodi Qay Ho Ya Zyada RozaDaar Hona Yaad Ho Ya Na Ho
Behre Haal Roza Nahi Tote Ga.
( AalamGiri , J-1 , S-190 )

Mas'ala:. Muh Mai Rangeen Dhaaga Ya Koyi Rangeen Cheez Rakhi Jis Se Thook Rangeen Hogaya Phir Us Rangeen Thook Ko Nigal Gaya To Uska Roza Toot Gaya.
( AalamGiri , J-1 , S-190 )

Reference >> Jannati Zewar

Mas'ala:. Sote Mai Paani Piliya Ya Kuch Kha Liya Ya Muh Khula Tha Aur Paani Ka Qatra Ya "Aula" Halaq Mai Chala Gaya To Roza Toot Gaya.
( AalamGiri-o- Bahare Shari'at )

Mas'alah:. Aanso Muh Mai Chala Gaya Aur Nigal Liya Agar Boond 2 Boond He To Roza Na Gaya 
Aur Agar Zyada Tha Ke Uski Namkini Pure Muh Mai Maloom Huwi To RozaToot Gaya....Pasine Ka Bhi Yahi Hukm He.
( AalamGiri-o- Bahare Shariat )

Mas'ala:. Daanto(n) Se Khoon Nikal Ker Halaq Se Neeche Utra Aur Khoon Thook Se Zyada Ya Baraber Tha Ya Kam Tha Magar Uska Maza Halaq Mai maloom Huwa To Un Surton Mai Roza Jata Raha Aur Agar Khoon Kam Tha Aur Maza Bhi Maloom Na Huwa To Roza Na Gaya.
( Durre Mukhtar-o- Bahare Shariat )

Reference>> Qanoon e Shari'at




Chand Dekhna

Chand Dekhne Ka Tariqa

10:08 pm




Mas'ala : 5 Mahino Ka Chaand Dekhna Wajib e Kifaya Hai.
Shaaban , Ramzaan , Shawwal , Zil Qaida, Zil Hajj.
(FAtawa e RAzviyah Shareef)

Mas'ala : Shabaan Ki 29 Tareekh Ku Shaam Ke Waqt Chaand Dekhen.Dikhayi De To KaL Roza Rakhen.Warna Shabaan Ke 30 Din Pura KArke Roza Rakhen.
(AalamGiri Jild 1 Safa 184)

Matla Na Saaf hone Me Yaani Aasmaan Me Abar O Ghubaar Hone Ki Halat me Sirf Ramzaan Ke Chaand Ka Suboot Ek Musalmaan Aaqil O BAligh Mastoor Ya Aadil Ki Gawahi Ya Khabar Se Ho Jata HAi.Chahe MArd Ho Ya Awrat Aur Ramzaan Ke Siwa Tamam Mahino Ka Chaand Us Waqt Sabit Hoga JAb Do Mard, Ya Ek MArd Aur 2 Awraten Gawahi Den.Aur Sab Paband Shara Hon.Aur Ye Kahen Ke My Shahadat Deta Hon Ke Myne Is Mahine Ka Chaand FAlaan Din Khud Dekha HAi.
(Hidaya O Radd Al Muhtar O Bahar e Shari'at) 

 Aadil Hone Ka ye Matlab HAi Ke Kabeera Gunahon Se Bachta Ho, Aur Sagheera Gunahon Per Israr Na Karta Ho, Aur Aysa Kaam Na KArta Ho Jo Tahzib O Murawwat ke Khilaaf ho..Jaise BAzaron Me Saadkon Per Chalte Phirte Khana, Peena.

Mastoor Se Ye Muraad Hai ke Jis Ka Zahir Haal Sh'ara Ke Mutabiq Hai.Magar Batin Ka Haal Maloom Nahi
 (Radd Al Muhtar)

Mas'ala : Jis Aadil Shakhs Ne Chaand Dekha He Us Per Wajib He Ke Usi Raat Mai Shahadat De.
( AalamGiri , J-1 ,S-185)

Mas'ala :. Gao(n) Mai Chaand Dekha Aur Waha Koyi Haakim Ya Qaazi Nahi
Jiske Samne Gawahi De 
To Gao(n) Walo Ko Jama Ker Ke Unke Samne Chaand Dekhne Ki Gawahi De.
Agar Ye Gawahi Dene Wala Aadil Hai.Logo Per Roza Rakhna Laazim Hai.
( AalamGiri , J-1 , S- 185)

Matla Agar Saaf Ho To Jab Tak Bahot Se Log Shahadat Na De Chaand Ka Saboot Na Hoga.
( Chahe Ramzan Ka Chaand Ho.. Ya Eid Ka Ya Kisi Aur Mahine Ka )
Raha Ye Ke Kitne Logo Ki Gawahi Is Surath Mai Chahiye.
To Ye Qaazi Ki Raay Per He Jitne Gawaho(n) Se Use Galib Gumaan Hojaye
Utne Gawaho(n) Ki Shahadat Se Chaand Hone Ka Hukm Dega 

Lekin Agar Shaher Ke Bahar Kisi Onchi Jaga Se Chaand Dekhna Bayaan Kare.
To Ek Mastoor Ka Bhi Qual Sirf Ramzan Ke Chaand Mai Maan Liya Jayega.
( Durre Mukhtar , J-2 ,S-93 -o-
Bahare Shari'at , J-5 , S-106 )

Mas'ala : Agar Kuch Log Aaker Ye kahe Falaa(n) Jagah Chaand Huwa.
Balke Agar Shahadat Bhi De Ke Falaa(n) Jagah Chaand Huwa.
Balke Agar Ye Shahadat De Ke Falaa(n) Falaa(n) Ne Dekha.
Balke Agar Ye Shahadat De Ke Falaa(n) Jaga Ke Qaazi Ne Roza Ya Iftar Ke Liye Logo(n) Se Kaha.
Ye Sab Tariqe Chaand Ke Saboot Ke Liye Naa-Kafi Hai.
Aur Is Qism Ki Shahadato(n) Se Chaand Ka Saboot Na HosakeGa.
( Durre-Mukhtar-o- Radd-Ul-Muhtar-o- Bahare Shari'at)

Mas'ala :Kisi Shaher Mai Chaand Huwa.
Aur Waha Se Chand Jama'Ate(n) Dusre Shaher Mai Aaye Aur Sab Ne Khabardi Ke Waha Falaa(n) Din Chaand Huwa He Aur Tamam Shaher Mai Ye Baat Mash'hoor He Aur Waha Ke Logo(n) Ne Chaand Nazar Aane Ke Bina Per Falaa(n) Din Se Roze Shuru Ker Diye Hai
To Yaha Walo Ke Liye Bhi Saboot Hogaya.
( Radd-Ul-Mukhtar -o-Bahare Shari'at , J-5 , S-107 )



Mas'ala :.Kisi Ne Akele Ramdan Ya Eid Ka Chaand Dekha Aur Gawahi Di.
Magar Qaazi Ne Uski Gawahi Qubool Nahi Ki 
To Khud Us Shakhs Per Roza Rakhna Laazim He.
Agar Na Rakha Ya Tod Dala To Qaza
Lazim.
( Hidaya , Durre Mukhtar , AalamGiri ,J-1 , S-185 ) 

Mas'ala : Agar Din Me Chaand Dikhayi Diya Chahe Dopaher Se Pehle Ya Dopaher Ke Baad BaharHaal Wo Aane Wali Raat Ka Chaand Mana JAyega.Yaani Jo Raat Aayegi Usi Se Mahina Shuru Hoga. Maslan, Tees(30) Ramzaan Ko Din Me Chaand Nazar Aaya. To Ye Din Ramzaan Hi Ka Hai Shawwal Ka NAhi . Aur Roza Pura Karna Farz HAi Aur Agar Shaaban Ki Tees(30) Tareekh Ko Din Me Chaand Nazar AaGaya To Ye Din Shaaban Hi Ka Hai Ramzaan Ka NAhi.Lihaza Aaj Ka Roza Farz Nahi.
(Dur Al Muqtaar Wa Rad Al Muhtaar)

Mas'ala : Taar, TelePhone, Radio Se Chaand Dekhna Sabit Nahi Ho Sakta. Isliye Agar In Khabron Ko Har Tarha Sahi Maan Liya Jaye Jab Bhi Ye Mehaz Ek Khabar Hai.Shahadat NAhi Hai.Aur Mehaz Ek Khabar Se Chaand Ka Suboot NAhi Hota.Aur Isi Tarha Bazaari Afwahon Se Aur Jantariyoun Aur Akhbaron me Chapne Se Bhi Chaand Nahi Ho Sakta.

Mas'ala : Chaand Dekh Kar Uski Janib Ishara Karna Makruh HAi.Agarche Dosron Ko Batane Ke Liye Ho.
(AalamGiri Wa Durr Al Muqtaar Jild 2 Safa 97)


Featured post

Sitamgaron Ka Bura Anjam

yazeed Ki Hilakat Ke Baad Ahle Hijaz O Yaman Aur Iraq O Khirasan Walon Ne To Hazrath Abdullah Bin Zubair Ke Hath Per Baiat Ki Aur Misr O Sh...