Zabaan Ki Hifazat

7:45 pm


◆ Baat Cheet Me Hamesha Iska Dhyan Rakho Ke Tumhari Zubaan Se Koi Gunah Ki Baat Na Nikal Jaye.
Hadees Shareef Me Hai Ke Bahot Se Logon Ko Un Ki Zubano Se Nikli Huwi Baten Jahannum Me Le Jayegi , Isliye Khaas Tour Per Baat Cheet Karne Me In Baton Ka khayal Rakho..!!

1.Be-Soche Samjhe Hargiz Baat Mat Kaho.Jab Soch Kar Tumhe Yaqeen Ho Jaye Ke Ye Baat Kisi Tarha Buri Nahi Hai,Tab Bolo, Warna Bolne Se Chup Rehna Behtar Hai. !!

2. Kisi Ko Be-Emaan Kehna , Ya Ye Kehna Ke Falan Per Khuda Ki Maar.Khuda Ki Phatkaar, Khuda ki Lanat Khuda Ka Ghazab Padhe. Falan Ko Dozakh Naseeb Ho.Is Tarha Se Bolna Gunah Ki Baat Hai Jis Ko Aysa Kaha Hai Agar Waq'e Wo Aysa Na Ho.To Ye Sari Lanat Aur Phatkaar Lout Kar Kehne Wale Per Padhegi.!

3. Agar Tum Ko Kisi Ne Dukh Dene Wali Baat Kehdi Hai To Tum Sabr KAro Aur MAaf Kardo Tumhe Bahot BAda Ajar-o-Sawaab Milega. Aur Agar Tum Us Ka JAwaab Dena Chaho To Tum Bas Itna Hi Keh Sakte Ho Jitna Usne Tum Ko Kaha Hai.Agar Usse Ziyada KAhoge to GunahGaar HoJaoge.

4. Dughli Baat Kabhi Hargiz Hargiz Mat Karo Ke Uske Muh Per Uski Si baat Karo. Aur Dosre Ke Muh Uski Si Baat Karo.Ke Ye Dono Jahan Me Ruswayi Ka Samaan Hai.!

5. Na Kisi ki Chughli (Backbiting) Karo Na Kisi Ki Chughli (Backbiting) Suno.Ke Ye Bade Bade Fasadon Ki Jad Aur Gunah e Kabeera Hai.

6.Jhooth Kabhi Hargiz Na Bolo Ke Ye Bada Hi Sakht Gunah e KABEERA Hai.

7.Khushamad (flatter) Ke Tour Pe Na Kisi Ke Muh Par Uski Tareef Karo Na Peeth Ke Peeche Bhi Had Se Zyada Kisi Ki Tareef Karo.

8.NA Kisi Ki Gheebat(Chugli/BackBiting) Karo Na Kisi Ki Gheebat Suno Ye Gunah e KABEERA Hai,Aur Gheebat Ye Hai Ki Kisi Ki Peeth Ke Peeche Uski Koi Aysi Baat Kehna Ki Agar Wo Sune To Usko Rang Ho Agarche Wo Baat Sachi Hi Ho,Aur Agar Wo Baat Hi Galat Ho To Us Ko Kehna Ye Bohtaan Hai Isme Gheebat Se Bhi Zyada Gunah Hai.

9..Jis Shakshs Ki Gheebat Ki Hai Agar Ussse Maaf Na Karwa Sako To Uske Liye Maghfirat Ki Duaen Kiya Karo.Umeed Hai Ke Qayamat Me O Maaf Karde.

10.Kabhi Hargiz Kisi Se Jhootha Waada Na Karo.

11.Mahez APNI Baat Ko Unchi Rakhne Ke Liye Kisi Se Behas(Argue) Na Karo.

12.KAbhI Aysi Hasi Mat Haaso Jisse Dusra Zaleel Ho Jaye.

13.Suni Sunayi Baato Ko Bina Tehkeek Kiye Huwe Mat Kaha Karo.Kyuki Aksar Aysi Baate Jhuthi Hoti Hai.

14.Kisi Ki Buri Surat Ya Buri Baat Ki Nakal Mat Karo.(SayNoToMockery)

15.Hamesha Achchi Baate Logo Ko Batate Raho Aur Buri Baato Se Logo Ko Maana Karte Raho.

You Might Also Like

0 comments

Featured post

Sitamgaron Ka Bura Anjam

yazeed Ki Hilakat Ke Baad Ahle Hijaz O Yaman Aur Iraq O Khirasan Walon Ne To Hazrath Abdullah Bin Zubair Ke Hath Per Baiat Ki Aur Misr O Sh...