Salam Ka Bayaan

8:33 pm


Musalmaan Ke Musalmaan Per Che (6) HaQ :

 RasollAllah SallallahuTa'alAlaihiWaSallam Ne Farmaya Ek Momin Ke Dosre Momin Per Che (6) Haq Hai..

 Jab Wo Beemar Ho To Iyadat Kare Aur 
Jab Wo Mar Jaye To Uske Janaze Me Hazir Ho Aur
Jab O Bulaye To Ijabat Kare Yaani Hazir Ho Aur
JAb O Usse Mile To Salam KAre Aur
Jab Cheenke To Jawaab De Aur
Hazir O Gaib Uski Khair Kwahi KAre
(Nisai)

 Aur Farmaya Jo Shaksh Pehle Salam KAre Wo Rahmate Ilahi Ka Ziyada Mustahaq Hai.
(Imam Ahmad O Tirmizi Shareef)

 Aur Farmaya Jab Koi Shaksh Apne Bhai Se Mile To Use Salam Kare Phir In Dono Ke Darmiyaan Darakht Ya Diwaar Ya Pathar Hail HoJaye Aur Phir Mulaqaat Hoto Phir Salam Kare 
(Abu Dawood)

 Aur FArmaya Ke Sawaar Paidal Ko Salam KAre Aur ChalneWala Baithe Huwe Ko Salaam Kare Aur Thode Aadmi Ziyada Aadmiyoun Ko Salaam Kare Yaani ek Taraf Ziyada Hoon Aur Dosri Taraf Kam To Salaam Wo Log KAren Jo KAm Hain.
Aur ek Riwayat Me Hai Ke Chota Bade Ko Salaam Kare Aur Guzarnewala Baithe Huwe Ko aur Thode Ziyada Ko 
(Bukhari O Muslim)

 Hazrath Anas RadiAllahuTa'alaAnhu Kehte Hain ke RasoolAllah SalllallahuTA'alaAlaihIwaSallam Bachchon Ke Samne Se Guzare To Bachchon Ko Salaam Kiya.

(Bukhari O Muslim)
Raaste Per Baithne Walon Per Aath (8) Kaam:

Aur Farmaya Ke RAaste Per Baithne Se Bacho.Logon Ne Arz Kiya Ya RasoolAllah(SallallahuTA'alAlaihiWaSallam) Hame Raaste Me Baithne Se Chara Nahi Ham Wahan Aapas Me Baat Cheet Karte Hain Farmaya Jab Tum Nahi Mante Aur Baithna Hi Chahte Ho To Raaste Ka Haq Ada KAro.
Logon Ne Arz Ki Raaste Ka Haq Kya HAi.
Farmaya Ke...
Nazar Neechi Rakhana Aur
Aziyat Ko Door KArna Aur
Salaam Ka Jawaab Dena Aur
Achchi Baat ka Hukm Karna Aur
Buri Baton Se Mana KArna.
Aur Ek Riwayat Me Hai Ke Raasta Batana ,
Ek aur Riwayat Me Hai Faryaad Karnewaale Ki Faryaad Sunna
Aur Bhule Huwe Ko Hidayat Karna
(Bukhari O Muslim)

Aur Farmaya Jo Shakshs Hamare Gair Ke Sath Tashbah Kare o HammeSe Nahi Yahood wa Nasara Ke Sath Tashbah Na Karo.
Yahudiyoun ka Salaam Ungliyon ke Ishare se Hai aur Nasara Ka Salaam Hatheliyon ke Ishare Se HAi.
(Tirmizi Shareef)


Salaam KArne Me Kya Niyyat Ho:

Masla: Salaam Karne Me Ye Niyyat Ho Ke Uski Izzat Wa Aabru Aur Maal Sab Kuch Uski Hifazat Me Hai.In Cheezon Se Ta'ariz Karna HAraam Hai.
(Rad Al Muhtaar)

Sirf Usi Ko Salaam Na Kare Jisko Pehchanta Ho Balke Har Musalmaan Ko Salaam Kare Chahe Pehchanta ho Ya Na Pehchanta Ho Balke Baaz Sahaba e Keraam Isi Irade se Bazaar Jate the Ke Kasrat Se Log Milenge Aur Ziyada Salaam Karne Ka Mouq'a Milega.

Masla: Salaam Ka JAwaab Fouran Dena Wajib Hai Bila Uzr Takheer ki to Gunahgaar Hoga Aur Ye Gunah Jawaab Dene Se Dafa'a Na Hoga Balke Toba KArni Hogi. 
(Durr Al Mukhtaar wa Rad Al Muhtaar)

Masla: Ek Jama'at Dosri Jama'at Ke Pass Aayi Aur Kisine Salaam Na kiya To Sab Ne Sunnat Ko Tark Kiya Sab Par Ilzaam Hai Aur Agar Unmese Ek ne Salaam Kar liya to Sab Bari Ho Gaye.Aur Afazl Ye HAi Ke Sab Hi Salaam Karen YonHi Agar Unme Se Kisi ne Jawaab Na Diya To Sab Gunahgaar Huwe Aur Agar Ek Ne Jawaab De Diya To Sab Bari Hogaye Aur Afzal Ye Hai Ke Sab Jawaab Den.
(Aalamgeer)

MAsla: Sa'ail Ne Darwazah Per Salaam Kiya Uska Jawaab Dena Wajib Nahi .Kacheri Me Qazi JAb Ijlaas Kar Raha Ho Us Ko Salaam Kiya Gaya Qazi Per Jawaab Dena Wajib Nahi.


Koun Kisko Salaam KAre:

Masla: Ek Shaksh Shaher Se Aa Raha Hai, Dosra Dihaat Se Dono me Koun Salaam Kare.Baaz Ne Kaha Shehri Dihati Ko Salaam KAre Aur BAaz Ulma Farmate Hain Ke Dihati Shehri Ko Salaam Kare .
Ek Shaksh Baitha Huwa Hai Dosra Yahan Se Guzra To Ye Guzarne Wala Baithe Huwe Ko Salaam Kare.
Aur Chota Bade Ko Salaam Kare,
Aur Sawaar Paidal Ko Salaam Kare 
Aur Thode Se Ziyada Ko Salaam karen.
Ek Shaksh Peeche Se Aaya Ye Aagewale Ko Salaam KAre .
(Aalamgeeri)

Masla:Mard Aur Awrat ki Mulaqaat Ho to Mard Awrat Ko Salaam KAre, Aur Agar Awrat Ajnabiya Ne Mard Ko Salaam kiya Aur Wo Budhi Hoto Is Tarha JAwaab De Ke Wo Bhi Sune Aur Wo Jawaan Hoto Is Tarha Jawaab de Ke Wo Na Sune .

Masla: Jab Apne Ghar Me Jaye To GharWalon Ko Salaam Kare , Bachchon Ke Samne Guzre To Un Bachchon ko Salaam Kare.
(AalamGeeri)


Kab Aur Kis Niyyat Se Kafir Ko Salaam KAr Sakta Hai:

Masla: Kafir Ko Salaam Na Kare Aur Wo Salam Karen To Jawaab De Sakta Hai, Magar Jawaab me Sirf Alaikum (عليكم) Kahe.
Agar Aysi Jagah Guzarna Ho Jahan Muslim Wa Kafir Dono Hoon To AssalamuAlikum Kahe Aur Musalmano Per Salaam Ka Irada Kare Aur Ye Bhi Ho Sakta Hai Ke "اَسَّلاَمُ على مِنَ اتبّع الهُدى"
Kahe. 
(AalamGeeri)

Masla: Kafir Ko Agar Hajat Ki Wajah Se Salaam Kiya (Maslan Salaam Na Karne Me Isse Andesha Hai) To Harj Nahi Aur Ba-Qasad Tazeem Kafir Ko Hargiz Hargiz Salam Na Kare Ke Kafir Ki Ta'azeem Kufr Hai.
(Durr Al Mukhtaar)

Masla:Salam Is Liye Hai Ke Mulaqaat Karne Ko Jo Shaksh Aaye Wo Salaam Kare Ke Zair Aur Mulaqaat Karne Wale Ki Ye Tahiyat hai, Lihaza Jo Shaksh Masjid Me Aaya Aur HAzireen e Masjid Tilawat e Qur'an Wa Tasbeeh Wa Darood me Mashghool Hai Intezaar e Namaaz me Baithe Hain To Salaaam Na KAre Ke Ye Salaam Ka Waqt NAhi Isi Waste Fiqha Ye FArmate HAin Ke In Ko Iqtiyaar hai ke Jawaab den Ya Na Den.
Haan Agar Koi Shaksh MAsjid Me Isliye Baitha Hai Ke Log Iske Pass Mulaqaat Ko Aayen To Aanewale Salaam KAren. 
(AalamGeeri)

Masla: Koi Shaksh Tilawat Me Mashghool Hai Ya Dars O Tadrees Ya Ilmi Guftagu Ya Sabaq Ki Takrar Me Hai To In Ko Salaaam Na Kare Isi TArha Azaan O Iqamat O Khutba e Jumma O Eidain Ke Waqt Salaam Na KAre. 
Sab Log Ilmi Guftagu Kar Rahe Hain Ya Ek Shaksh Bol Raha Hai Baqi Sun Rahe Hoon Dono Suraton Me Salaam Na KAre.
Maslan Aalim Wa'az Kar Raha HAi Ya Deeni Masla Per Taqreer Kar Raha Hai Aur Hazreen Sun Rahe Hain To AaneWala Sakhsh Chupke Se Aa KAr Baith Jaye Salaam Na KAre.
(AalamGeeri).


Masla: Log Khana Kha Rahe Hoon Us Waqt Koi Aaya To Salam Na Kare.Haan Agar Ye Bhuka Hai Aur Janta Hai Ke Use Wo Log Khane Me Shareek KarlenGe To Salam Kare.Ye Is Waqt Hai Ke Khane Wale Ke Muh Me Luqma Hai Aur Wo Chaba Raha Hai Ke Us Waqt Jawaab Dene Se A'ajiz Hai Aur Agar Abhi Khane Ke Liye Baitha Hi Hai Ya Kha Chuka Hai To Salam Kar Sakta HAi Ke Ab Wo A'ajiz Nahi.
(Durr e Mukhtaar)

Jo Shaksh Zikr Me Mashghool Ho Uske Pass Koi Shaksh Aaya To Salam Na KAre Aur Kiya To Zakir Par Jawaab Wajib Nahi.
(Aalamgeer)

Masla: Jo Shaksh Elaniya Fisq Karta Hai Use Salam Na Kare Kisi Ke Pados Me Fassaq Rehte Hain Unse Agar Ye Sakhti BartTa Hai To Wo Usko Ziyada Pareshan Karenge Aur Agar Narmi Karta HAi Un Se Salam Kalam Jari Rakhta Hai To O Iza(Takleef) Pahonchane Se Baaz Rehte Hain To Inke Sath Zahiri Tour Per Meel-Jol Rakhne Me Ye Ma'azoor Hai.
(Aalamgeer)

Masla: Jo Log Shatranj Khel Rahe Hon Unko Salam Kiya JAye Ya Na Kiya JAye. Jo Ulma Salam Karne Ko Jaiz Farmate Hain wo Ye Kehte Hain ke Salam Is Maqsad se Kare Ke Itni Der Tak Ke Wo Jawaab Denge Khel Se Baaz Rahenge,Ye Salam UnKo M'asiyat Se Bachane Ke Liye Hai, Agar Che itni Hi Der Tak Sahi Aur Jo FArmate Hain Ke Salam KArna Na-Jaiz Hai Un Ka Maqsad Zajar o Toubeekh Hai Ke Isme In Ki Tazleel Hai.
(Aalamgeer).


Kab Dusre Ka Salam Pahonchana Wajib Hai:

Masla:. Kisi Ne Keh Diya Ke Fala(n) Ko Mera Salam Keh Dena Us Per Salam Pahonchana Wajib He.
Aur Jab Usne Salam Pohonchaya To Jawab Yu De Ke Pehle Us Pahonchane Wale Ko Uske Baad Usko Jisne Salam Bheja He
Yaani Ye Kahe 

وعلیک و علیہ السلام
WaAlaika Wa Alaihissalam 

( AalamGiri)

Ye Salam Pahonchana Us Waqt Wajib He Jab Usne Uska ILtizaam Ker Liya Ho
Yaani Keh Diya Ho Ke Haan Tumhara Salam Keh Duga Ke Us Waqt Ye Salam Uske Paas Amanat He Jo Uska HaqDaar He Usko Dena Hi Hoga 
Warna Ba-Manzila-o- Di'at He Ke Us Per Ye Laazim Nahi Ke Salam Pahonchane Waha Jaye .
Isi Tarah Hajiyo Se Log Keh Dete Hai Ke 
HuzoorAqdasﷺ
Ke DarBaar Mai Mera Salam Arz Ker Dena Ye Salam Bhi Pahonchana Wajib He.
(Al-Rudul Muhtaar )


Likhe Huwe Salaam Ka Jawaab Kis Tarha Se De:

Masla: Khat(Letter) Me Salaam Likha Hota hai Uska Bhi Jawaab Dena Wajib Hai.Aur Yahan jawaab Do(2) Tarha Hota HAi Ek ye Ke Zabaan Se Jawaab De Dosri Surat Ye HAi Ke Salaam KA JAwab Likh KAr Bhejen.
(Durr Al Mukhtaar Wa Rad Al Muhtaar))

Magar Chunke Jawaab e Salaam Fouran Dena Wajib HAi Jaisa Ke Pichli Post Me Mazkoor Huwa, Agar Fouran Tehriri Jawaab Na Ho jaisa Ke Umuman Yahi Hota Hai Ke Khat Ka Jawaab Fouran Hi Nahi Likha Jata Kwah Makhwah Kuch der Hoti Hai To Zubaan Se jawaab Fouran Dede take Takheer Se Gunah Na Ho, Isi Wajah Se Allama Sayyad Ahmad Tahtawi Ne IS Jagah Farmaya. 
وَالنَّاسُ عَنهُ غَافِلُونَ

Yani Log usse Ghafil Hain.
Aala Hazrath Qibla Quddasirrahu Jab Khat padha Karte To Khat me Jo Salaam Alaikum Likha Hota Hai Us Ka Jawaab Zabaan Se De KAr baad Ka MAzmoon Padhte.
(RadiAllahuTa'alaAnhum)


Jab Tak Salam e Alfaaz Sahi Na Hon Jawaab Wajib NAhi:

Masla: Salam Ki Meem Ko Sakin Kaha Jaisa Ke Aksar Jahil Isi Tarha Kahte Hain Ya Meem Ki Pesh Ke Sath Kaha In dono Suraton Me Jawaab wajib Nahi Ke Ye Masnoon Salaam Nahi.
((Durr Al Mukhtaar Wa Rad Al Muhtaar))

Salam Kitne Zor Se Ho:

Masla: Salam Itni Aawaz Se Kahe Ke Jisko Salam Kiya Hai Wo Sunle Aur Agar Itni Aawaz Na Ho To JAwaab Dena Wajib Nahi Jawab e Salam me Bhi Itni Aawaaz Ho Ke Salaam Karnewala Sunle Aur Agar Itna Aahista Kahe Ke Wo sun Na Saka To Jawaab Saqit Na Huwa Aur Agar wo Behra Hai To Uske Samne Hont Ko Jumbish De Ke Us Ki Smajh Me Aajaye Ke Jawaab DeDiya Cheenk Ke Jawaab Ka Bhi Yahi Hukm Hai.

Masla: Baaz Log Salam Karte Waqt Jhuk Bhi Jate HAin Ye Jhukna Agar Had e Ruku Tak Hai To Haraam Hai Aur Usse Kam Ho To Makruh Hai.


Salam Ke Alfaaz Kya Ho Sakte Hain:

Masla: Is Zamane me Kayi Tarha ke Salam Logon ne Ejaad Kar Liye Hain Inme Sab Se Bura Ye Hai Jo Baaz Log Kehte hain "Bandagi Arz" Ye Lafz Hargiz Na KAha Jaye. 
Baaz "Aadab Arz" kehte Hain Agar Che Usme Itni burayi Nahi Magar Sunnat Ke Khilaaf Hai Baaz Log "Tasleem" Ya "Tasleemat Arz" Kehte Hain, Is Ko Salam Kaha Ja Sakta HAi Ke Ye Salam Hi Ke Maani me Hai Baaz Kehte Hain "Salam" Isko Bhi Salam Kaha JaSakta Hai Yaani Agar Kisine Kaha Salam To Salam Kehdene Se Jawaab Ho Jayega. Baaz Log Is Qism Ke Hain Ke Wo Khud To Kya Salam Karenge Agar Unko Salam Kiya Jata Hai To Bigadte Hain kehte Hain Kya Hame BArabar Ka Samajh Liya Hai Yaani Koi Gair Aadmi Salam Masnoon Kare To Wo Apni Kasr e Shaan Samjhe Aur Baaz Ye Cahte Hain Inhe "Aadab Arz" Kaha Jaye Ya Jhuk Kar Hath se Ishara Kiya Jaye Aysa Na Karna Chahiye ke Ye Tariqa Khuda Se Na Darne Wale Mutakabbireen Ka HAi.


AlaihisSalam Nabi Aur Farishte Ke Liye Khaas Hai:

Masla: Kisi Ke Naam Ke Sath AlaihisSalam Kehna Ye Ambiya Wa Malaika AlaihisSalam Ke Sath Khaas Hai. Maslan Musa AlaihisSalam , Isa AlaihisSalam , Jibrail AlaihisSalam .
Nabi Aur Farishte Ke Siwa Kisi Dosre Ke Naam Ke Sath Youn Na Kaha Jaye.
(Bahare Shari'at waghaira).

Salam Ke Jawaab Me Jeete Raho Kehna Kuffar Ka Tariqa Tha:


Masla: Aksar Jagah Ye Tariqa Hai Ke Chota Bade Ko Salam Karta Hai To Wo Jawaab Me Kehta Hai Jeete Raho Ye Salam Ka Jawaab Nahi Hai Balke Ye Jawaab Jahalat Me Kuffar Diya Karte The , Wo Kehte The حياك الله (Hayaak Allah). Islam Ne BAtaya Ke Jawaab Me WaalaikumAssalam
(وعليكم اسلام) Kaha Jaye.



You Might Also Like

0 comments

Featured post

Sitamgaron Ka Bura Anjam

yazeed Ki Hilakat Ke Baad Ahle Hijaz O Yaman Aur Iraq O Khirasan Walon Ne To Hazrath Abdullah Bin Zubair Ke Hath Per Baiat Ki Aur Misr O Sh...