Roza

9:45 pm

Namaaz Ki Tarha Rozah Bhi Farz e A'ain Hai .Is Ki Farziyat Ka Inkaar Karne wala Kafir Aur Bila Uzur Chodne Wala Saqt GunahGAar Aur Aazab e Jahannam KA Sazawaar HAi.

Mas'ala
Shari'at Me Rozah Ke Maani me Allah TA'ala Ki Ibadat Ki Niyyat Se Subh Sadiq Se Lekar Suraj Doobne Tak Khane , Peene Aue Jima Se apne Ko Roke Rehna.

Mas'ala:-
Ramzan Ke Ada Roze ,
Aur Nazre Mu'aiyan
( Minnat Ke Roze) ,
Aur Nafil-o- Sunnat ,
Mustahab Roze
Aur Makruh Roze.
In Rozo(n) Ki Niyyat Ka Waqt Suraj Doobne Se Le Ker Dahwaye Kubra
( Yane Dupehar Se Taqriban Dedh Ghanta Pehle( 10 Baje Ka Waqt) ,
Tak He).
Us Darmiyan Mai Jab Bhi Rozah Ki Niyyat Kare Ye Roze Hojayenge.
Lekin Raat Hi Mai Niyyat Ker Lena Behtar He.

in 6 Rozo(n) Ke Elawa Jitne Roze Hai
Maslan - Ramzan Ki Qaza Rozah,
Nazre Muaiyan Ki Qaza Rozah ,
Kaffarah Ka Rozah ,
Hajj Mai Kisi Jurm Kerne Ka Rozah Wagera
In Sab Rozo(n) Ki Niyyat Ka Waqt
Guroob Aaftaab Se Leker
Subah Sadiq Tulua Hone Tak He
Us Ke Baad Nahi.



Mas'ala: Jis Tarha Aur Ibadaton Me bataya Gaya HAi Ke Niyyat Dil Ke Irade Ka NAam Hai Zabaan Se Kehna Kuch Zaruri Nahi.Isi TArha Rozeh Me Bhi Niyyat Se Muraad Dil Ka Pukhta Irada HAi. Lekin Zabaan Se Bhi Keh Lena Achcha Hai.Agar Raat Me Niyyat Kare to Youn Kahe -
نَوَيتُ اَن اصُؤمَ غَداً لِلّهِ تَعَالى مِن فَرَضِ رَمَضَان.
Aur Agar Din Me Niyyat Kare to Youn Kahe
نَوَيتُ اَن اصُؤمَ هذَا اليَؤمَ مِن فَرَضِ رَمَضَان.

Mas'ala: Qazaye Ramzaan Waghaira Jin Rozon Me Raat Se Niyyat KAr Leni Zaroori Hai Un Rozon Me Khaas Us Rozeh Ki Niyyat Bhi Zaruri HAi Jo Roza Rakkha JAye. Maslan Youn Niyyat Kare Ke KAl My Apni Pehli Ramzaan Ke Rozeh Ki Qaza Rakhonga YA Myne Jo Ek Din Rozah Rakhne Ki Minnat Mani Thi Kal My O Roza Rakhoonga.


Mas'ala:. Eid-o- Baqra Eid Aur Zil-hijja Ki
11 , 12 , 13 Tareekh
In 5 Dino Mai Roza Rakhna Makruh Tehreemi Aur Gunah He.

(Dare Mukhtaar, J:2,Safa:83)

Mas'ala:. Kisi Kam Ki Minnat Maani To Pura Hojane Per Us Roza Ko Rakhna Wajib Hogaya
Agar Nafil Ka Roza Rakh Ker Us ko Tod Diya.
To Uski Qaza Wajib He.

(Dare Mukhtaar, J:2,Safa:120 )

Mas'ala:. Aurat Ko Nafil Ka Roza Bila Shuhar Ki Ijazat Ke Rakhna Mana He.

(AAlamgeer,J;1,Safa:188)

You Might Also Like

0 comments

Featured post

Sitamgaron Ka Bura Anjam

yazeed Ki Hilakat Ke Baad Ahle Hijaz O Yaman Aur Iraq O Khirasan Walon Ne To Hazrath Abdullah Bin Zubair Ke Hath Per Baiat Ki Aur Misr O Sh...