Roza Todne Wali Chizen

11:05 pm

Khane Peene Ya Jima'a Karne Se Roza Toot Jata HAi Jab Ke Rozahdaar Hona YAad Ho.Aur Agr Rozahdaar Hona Yaad Na RAha aur Bhool Ke Kha Liya Ya Pee Liya Ya Jima'a To Roza NAhi Tootta.
(Hidayah,Aalamgeer,J:1,Safa:189 )

Mas'ala: Huqqah, Beedi,Cigratte, Segar, Churt ,Segar Peene Se Rozah Toot JAta hai.

Mas'ala: Daanton Me Koi Cheez Ruki Huwi Thi Chane BArabar Ya Usse Ziyada Thi Use Khagaya Ya Chane Se Kam Hi Thi MAgar Usko Muh Se Nikal Kar Phir Kha Gaya To Roza Toot Gaya.
(AalamGiri J:1 S:189)

Mas'ala: Nathon Me Dawa Chadhayi Ya Kaan Me Tel Dala Ya Tel Chala Gaya To Roza Toot Gaya. Aur Agar Pani Kaan ME Dala Ya Chala GAya To Roza NAhi Tuta.
(Aalamgiri j:1 S:190)

Mas'ala: Kulli Kerne Mai Bila Qasad Paani Halaq Se Neeche Chala Gaya Ya Naak Mai Paani Cchadha Raha Tha Bila Qasad Paani Dimag Mai Cchadh Gaya To Roza Toot Gaya.
( AalamGiri , J-1 , S- 189 )

Mas'ala: Dusre Ka Thook Nigal Gaya. Ya Apna Hi Thook Haath Per Rakh Ker Nigal Gaya To Roza Jata Raha.
( AalamGiri , J-1 , S-190 )

Mas'ala: Qasdan Muh Bhar Ker Qay Ki Aur RozaDaar Hona Yaad He To Roza Toot Gaya. Aur Agar Muh Bhar Se Kam Ki To Roza Nahi Tota.
( AalamGiri , J-1 , S-190 )

Mas'ala:. Bila Qasad Aur Be-Ikhtiyaar Qay Hogayi To Roza Nahi Tota. Thodi Qay Ho Ya Zyada RozaDaar Hona Yaad Ho Ya Na Ho
Behre Haal Roza Nahi Tote Ga.
( AalamGiri , J-1 , S-190 )

Mas'ala:. Muh Mai Rangeen Dhaaga Ya Koyi Rangeen Cheez Rakhi Jis Se Thook Rangeen Hogaya Phir Us Rangeen Thook Ko Nigal Gaya To Uska Roza Toot Gaya.
( AalamGiri , J-1 , S-190 )

Reference >> Jannati Zewar

Mas'ala:. Sote Mai Paani Piliya Ya Kuch Kha Liya Ya Muh Khula Tha Aur Paani Ka Qatra Ya "Aula" Halaq Mai Chala Gaya To Roza Toot Gaya.
( AalamGiri-o- Bahare Shari'at )

Mas'alah:. Aanso Muh Mai Chala Gaya Aur Nigal Liya Agar Boond 2 Boond He To Roza Na Gaya 
Aur Agar Zyada Tha Ke Uski Namkini Pure Muh Mai Maloom Huwi To RozaToot Gaya....Pasine Ka Bhi Yahi Hukm He.
( AalamGiri-o- Bahare Shariat )

Mas'ala:. Daanto(n) Se Khoon Nikal Ker Halaq Se Neeche Utra Aur Khoon Thook Se Zyada Ya Baraber Tha Ya Kam Tha Magar Uska Maza Halaq Mai maloom Huwa To Un Surton Mai Roza Jata Raha Aur Agar Khoon Kam Tha Aur Maza Bhi Maloom Na Huwa To Roza Na Gaya.
( Durre Mukhtar-o- Bahare Shariat )

Reference>> Qanoon e Shari'at




You Might Also Like

0 comments

Featured post

Sitamgaron Ka Bura Anjam

yazeed Ki Hilakat Ke Baad Ahle Hijaz O Yaman Aur Iraq O Khirasan Walon Ne To Hazrath Abdullah Bin Zubair Ke Hath Per Baiat Ki Aur Misr O Sh...