Jin Cheezon Se Roza NAhi Tootta

11:08 pm

Bhool KAr Khaya , Piya Ya Jima'a Kar Liya To Rozah NAhi TootTa.
(Aalamgiri J1 S 189)

Mas'ala: Makkhi Ya Dhuwaan Ya Ghubaar Be-Ikhtiyaar Halq Ke Andar Chale JAane Se Roza Nahi TootTa. Isi Tarha Surmah Ya Tel Lagaya Agarche Tel Ya Surmah Ka MAza HAlq ME Maloom Hota Ho Phir Bhi Roza Nahi TootTa.Yunhi Dawa Ya Mircha Kuta Ya Aata Chana Aur Halq Me Iska Asar Aur MAza MAloom Ho To Bhi Roza NAhi Tota.
(AalamGiri J: 1 S: 190)


Mas'ala:
Kulli Ki Aur Paani Bilkul Ugal Diya Sirf Kuch Tari Muh Me Baqi Rah Gayi Thi Thook ke Sath Usko Nigal Gaya. Ya Kaan Me Paani Chala Gaya , Ya Ehtelaam Ho Gaya,Ya Gheebat ki, Ya Janabat ki Halat Me Subh ki Balke Agar Sare Din Janabat Ki Halat Me Rah Gaya Aur Ghusl nahi Kiya To Roza Nahi Gaya. Lekin Itni Der Tak Bila Uzr qasdan Ghusl na Karna Ke Namaaz Qaza ho Jaye Gunah Aur Haram Hai Hadees Me Aaya HAi ke Junub (Jis Per Ghusl Farz Hai) Jis Ghar me Rehta Hai Usme Rahmat Ke FArishte Nahi Aate.

(AalamGiri Waghaira) 


Ref :Jannati Zewar

Mas'ala: Baat Karne Me Thook Se Hont Tar(Gila) HoGaye Aur Use Pi Gaya Ya KhaKaar Muh Me Aaya Aur Kha GAya Roza Na Tuta.MAgar In Baton Se EhtiYaat Chahiye.
(AalamGiri WA Dur Al Muqtaar Wa Rad Al Muhtaar)

Mas'ala: Daant Se Khoon Nikal Kar Halq TAk Pahoncha MAgar HAlq Se Neeche Na Utra To Roza Na Toota.

Mas'ala:Bhool Kar Khana Kha Raha Tha Yaad Aate Hi Fouran Niwala Thook Diya To Roza Na GAya Aur Nigal Liya To Roza Jata Raha.
(AalamGiri)

Mas'ala: Subh Sadiq Shuru Hone Se Pehle Sehri Khana Shuru Kiya Khate Khate Subh Sadiq Shuru Hone Lagi .Subh Shuru Hote Hi Agar Niwala Ugal Diya To Rozah Na Toota Aur Nigal GAya To Roza Toot Gaya.
(AalamGiri)

Mas'ala: Til Ya Til KE BArabAr Koi Cheez Chabayi Aur Wo Thook Ke Sath HAlq Me Utar Gayi To Roza Na Gaya.Lekin Agar Us Ka MAza Halq Me MAloom Huwa to Roza Jata Raha.

Mas'ala:Gheebat Ki To Roza Na Tuta Agar Che Gheebat BAhot Sakht Gunah e Kabeera HAi Qur'an Shareef Me Gheebat Karne Ke BAre Me Farmaya GAya Jaise Apne Murde Bhai Ka Ghoost Khana Aur Hadees Me Aaya Ke Gheebat Zina Se Bhi Badh KAr HAi. Gheebat Ki Wajah Se Roze Ki Nooraniyat Jati Rehti hai.
(Dur Al Muqtaar)

 Ref : Qanoon e Shari'at

You Might Also Like

0 comments

Featured post

Sitamgaron Ka Bura Anjam

yazeed Ki Hilakat Ke Baad Ahle Hijaz O Yaman Aur Iraq O Khirasan Walon Ne To Hazrath Abdullah Bin Zubair Ke Hath Per Baiat Ki Aur Misr O Sh...