Chand Dekhne Ka Tariqa

10:08 pm




Mas'ala : 5 Mahino Ka Chaand Dekhna Wajib e Kifaya Hai.
Shaaban , Ramzaan , Shawwal , Zil Qaida, Zil Hajj.
(FAtawa e RAzviyah Shareef)

Mas'ala : Shabaan Ki 29 Tareekh Ku Shaam Ke Waqt Chaand Dekhen.Dikhayi De To KaL Roza Rakhen.Warna Shabaan Ke 30 Din Pura KArke Roza Rakhen.
(AalamGiri Jild 1 Safa 184)

Matla Na Saaf hone Me Yaani Aasmaan Me Abar O Ghubaar Hone Ki Halat me Sirf Ramzaan Ke Chaand Ka Suboot Ek Musalmaan Aaqil O BAligh Mastoor Ya Aadil Ki Gawahi Ya Khabar Se Ho Jata HAi.Chahe MArd Ho Ya Awrat Aur Ramzaan Ke Siwa Tamam Mahino Ka Chaand Us Waqt Sabit Hoga JAb Do Mard, Ya Ek MArd Aur 2 Awraten Gawahi Den.Aur Sab Paband Shara Hon.Aur Ye Kahen Ke My Shahadat Deta Hon Ke Myne Is Mahine Ka Chaand FAlaan Din Khud Dekha HAi.
(Hidaya O Radd Al Muhtar O Bahar e Shari'at) 

 Aadil Hone Ka ye Matlab HAi Ke Kabeera Gunahon Se Bachta Ho, Aur Sagheera Gunahon Per Israr Na Karta Ho, Aur Aysa Kaam Na KArta Ho Jo Tahzib O Murawwat ke Khilaaf ho..Jaise BAzaron Me Saadkon Per Chalte Phirte Khana, Peena.

Mastoor Se Ye Muraad Hai ke Jis Ka Zahir Haal Sh'ara Ke Mutabiq Hai.Magar Batin Ka Haal Maloom Nahi
 (Radd Al Muhtar)

Mas'ala : Jis Aadil Shakhs Ne Chaand Dekha He Us Per Wajib He Ke Usi Raat Mai Shahadat De.
( AalamGiri , J-1 ,S-185)

Mas'ala :. Gao(n) Mai Chaand Dekha Aur Waha Koyi Haakim Ya Qaazi Nahi
Jiske Samne Gawahi De 
To Gao(n) Walo Ko Jama Ker Ke Unke Samne Chaand Dekhne Ki Gawahi De.
Agar Ye Gawahi Dene Wala Aadil Hai.Logo Per Roza Rakhna Laazim Hai.
( AalamGiri , J-1 , S- 185)

Matla Agar Saaf Ho To Jab Tak Bahot Se Log Shahadat Na De Chaand Ka Saboot Na Hoga.
( Chahe Ramzan Ka Chaand Ho.. Ya Eid Ka Ya Kisi Aur Mahine Ka )
Raha Ye Ke Kitne Logo Ki Gawahi Is Surath Mai Chahiye.
To Ye Qaazi Ki Raay Per He Jitne Gawaho(n) Se Use Galib Gumaan Hojaye
Utne Gawaho(n) Ki Shahadat Se Chaand Hone Ka Hukm Dega 

Lekin Agar Shaher Ke Bahar Kisi Onchi Jaga Se Chaand Dekhna Bayaan Kare.
To Ek Mastoor Ka Bhi Qual Sirf Ramzan Ke Chaand Mai Maan Liya Jayega.
( Durre Mukhtar , J-2 ,S-93 -o-
Bahare Shari'at , J-5 , S-106 )

Mas'ala : Agar Kuch Log Aaker Ye kahe Falaa(n) Jagah Chaand Huwa.
Balke Agar Shahadat Bhi De Ke Falaa(n) Jagah Chaand Huwa.
Balke Agar Ye Shahadat De Ke Falaa(n) Falaa(n) Ne Dekha.
Balke Agar Ye Shahadat De Ke Falaa(n) Jaga Ke Qaazi Ne Roza Ya Iftar Ke Liye Logo(n) Se Kaha.
Ye Sab Tariqe Chaand Ke Saboot Ke Liye Naa-Kafi Hai.
Aur Is Qism Ki Shahadato(n) Se Chaand Ka Saboot Na HosakeGa.
( Durre-Mukhtar-o- Radd-Ul-Muhtar-o- Bahare Shari'at)

Mas'ala :Kisi Shaher Mai Chaand Huwa.
Aur Waha Se Chand Jama'Ate(n) Dusre Shaher Mai Aaye Aur Sab Ne Khabardi Ke Waha Falaa(n) Din Chaand Huwa He Aur Tamam Shaher Mai Ye Baat Mash'hoor He Aur Waha Ke Logo(n) Ne Chaand Nazar Aane Ke Bina Per Falaa(n) Din Se Roze Shuru Ker Diye Hai
To Yaha Walo Ke Liye Bhi Saboot Hogaya.
( Radd-Ul-Mukhtar -o-Bahare Shari'at , J-5 , S-107 )



Mas'ala :.Kisi Ne Akele Ramdan Ya Eid Ka Chaand Dekha Aur Gawahi Di.
Magar Qaazi Ne Uski Gawahi Qubool Nahi Ki 
To Khud Us Shakhs Per Roza Rakhna Laazim He.
Agar Na Rakha Ya Tod Dala To Qaza
Lazim.
( Hidaya , Durre Mukhtar , AalamGiri ,J-1 , S-185 ) 

Mas'ala : Agar Din Me Chaand Dikhayi Diya Chahe Dopaher Se Pehle Ya Dopaher Ke Baad BaharHaal Wo Aane Wali Raat Ka Chaand Mana JAyega.Yaani Jo Raat Aayegi Usi Se Mahina Shuru Hoga. Maslan, Tees(30) Ramzaan Ko Din Me Chaand Nazar Aaya. To Ye Din Ramzaan Hi Ka Hai Shawwal Ka NAhi . Aur Roza Pura Karna Farz HAi Aur Agar Shaaban Ki Tees(30) Tareekh Ko Din Me Chaand Nazar AaGaya To Ye Din Shaaban Hi Ka Hai Ramzaan Ka NAhi.Lihaza Aaj Ka Roza Farz Nahi.
(Dur Al Muqtaar Wa Rad Al Muhtaar)

Mas'ala : Taar, TelePhone, Radio Se Chaand Dekhna Sabit Nahi Ho Sakta. Isliye Agar In Khabron Ko Har Tarha Sahi Maan Liya Jaye Jab Bhi Ye Mehaz Ek Khabar Hai.Shahadat NAhi Hai.Aur Mehaz Ek Khabar Se Chaand Ka Suboot NAhi Hota.Aur Isi Tarha Bazaari Afwahon Se Aur Jantariyoun Aur Akhbaron me Chapne Se Bhi Chaand Nahi Ho Sakta.

Mas'ala : Chaand Dekh Kar Uski Janib Ishara Karna Makruh HAi.Agarche Dosron Ko Batane Ke Liye Ho.
(AalamGiri Wa Durr Al Muqtaar Jild 2 Safa 97)


You Might Also Like

0 comments

Featured post

Sitamgaron Ka Bura Anjam

yazeed Ki Hilakat Ke Baad Ahle Hijaz O Yaman Aur Iraq O Khirasan Walon Ne To Hazrath Abdullah Bin Zubair Ke Hath Per Baiat Ki Aur Misr O Sh...