Wazu ke Chand Aahadees

7:29 pm

Tahaarat Imaan Ka Kitna Hissa Hai

1. Hazrat Abu Maalik Ash'ari RadiAllahuTa'alaAnhu Ne Kaha Ke Rasoole Kareem SallallahuAlaihiWaSallam Ne Farmaya Ke ..
Pakizgi Nisf Imaan Hai.
(Muslim Shareef)

Kya Wazu Se Gunah Dhul Jate Hain

2. Hazrat Usmaan RadiAllahuTa'alaAnhu Ne Kaha Ke Sarkar e Aqdas SallallahuAlaihiWaSallam Ne Farmaya Ke ..
Jo Shakshs Wazu Kare Aur Achcha Wazu Kare To Uske Gunah Uske Jism Se Nikal Jate Hain. Yahan Tak Ke Uske Nakhoonon Ke Niche Se Bhi Nikal Jate Hain.
(Bukhari , Muslim)

Baghair Bismillah Wazu Kamil Nahi

3. Hazrat Sa'eed Bin Zaid RadiAllahuTa'alaAnhu Ne KAha Ke Rasool e Kareem SallallahuAlaihiWaSallam Ne Farmaya Ke
Jisne Wazu Ke Shuru Me "Bismillah" Na Padhi Uska Wazu (Kamil) Nahi.
(Tirmidhi,Ibn-Majah)

Dahine Hath Se Shuru Karna Sunnat Hai

4. Hazrat Abu Hurairah RadiAllahuTa'alaAnhu Ne Kaha Ke Huzoor AlaihisSalam Ne Farmaya Ke Jab Kapda Pehno Ya Wazu Karo To Apne Dahine Se Shuru Karo.
(Ahmed , Abu Dawood)

5. Hazrat Usmaan RadiAllahuTa'alaAnhu Ne Farmaya Ke Rasoole Kareem SallallahuAlaihiWaSallam Ne
Teen(3) Teen(3) Martaba Wazu Farmaya Aur Farmaya Ke Ye Mera Aur Mujh Se Pehle Jo Ambiya e Keraam AlaihisSalam The Unka Wazu Hai.
(Mishkaat Shareef)


6. Hazrat Aayesha RadiAllahuTa'alaAnha Ne Kaha Ke Sarkar e Aqdas SallallahuAlaihiWaSallam Ne Farmaya Ke
Miswaak Muh Ko Paak Karne Wali Aur Parwardigaar Ko Razi KArne Wali Cheez Hai.
(Ahmed , Darmi)

7. Hazrat Abu Hurairah RadiAllahuTa'alaAnhu Ne Kaha Ke Rasool e Kareem SallallahuAlaihiWaSallam Ne Farmaya Ke
Agar Main Apni Ummat Ke Liye Dushwaar Na Samajhta To Unhe Hukm Deta Ke Woh Isha Ki Namaaz Dair Se Padhen Aur Har Namaaz Ke Liye Miswaak KAren.
(Bukhari , Muslim) 

Featured post

Sitamgaron Ka Bura Anjam

yazeed Ki Hilakat Ke Baad Ahle Hijaz O Yaman Aur Iraq O Khirasan Walon Ne To Hazrath Abdullah Bin Zubair Ke Hath Per Baiat Ki Aur Misr O Sh...