Hazrath Bibi Umme Ubays RadiAllahuTa'alaAnha

5:59 pm

Hazrath Bibi Nahdiyah RadiAllahuTa'alaAnha Ki Tarha Ye Bhi Londi (Slave Girl Thee(n) Aur Inko Bhi Kafiron Ne Bahot Sataya. Behad Zulm O Sitam Kiya. Loha Garam Karke Inke Badan Ke Nazuk Hisson Per Dagh Lagaya Karte The Kabhi Pani Me Is Qadr Duba Diya Karte The Ke Inka Dam Ghutne Lagta Tha. Aakhir Pyare Mustafa ﷺ Ke Yaare Ghaar Siddique Akbar Jaan Nisaar RadiAllahuTa'alaAnhu Ne Apna Khazana Khali Karke In Mazlumon Ko Khareed Kar Aazaad Kar Diya. To In Musibat Ke Maron Ko Kuch Sukoon Mila.

(Zarkhani Wa Seerate Ibn Hasham, Jild :1,Safa:218)

Hazrath Bibi Nahdiyah RadiAllahuTa'alaAnha

6:18 pm

Ye Bhi Londi(Slave Girl) Thee(n) Magar Islam Lane Per Kafiron Ne Unke Sath Kaise Kaise Zalimanah Sulook Kiye Uski Tasweer Kheenchne Se Qalam Ka Seena Shaq Ho Jata Aur Hath Kanpne Lagte Hain Lekin Yeh Allah Wali Badi Badi Maar Dhaadh Ko Bardasht Karti Rahi Aur Musibaten Jhelti Rahi Magar Islam Se Baal Bhar Bhi Unke  Qadam Kabhi Bhi Nahi Dagmagaye.

Yahan Tak Ke Woh Din Aagaya Ke Islam Ko Dhane Wale Khud Islam Ke Mu'ammaar Ban Gaye. Aur Islam Ke Khoon Ke Pyase Apne Khoonon Se Islam Ke Bagh Ko Seench Seench Kar SurKhuru Banne Lage.

(Zarkhani, Seerat e Ibn Hisham, Jild :1,Safah :319)

Hazrath Bibi Lubaynah RadiAllahuTa'alaAnha

7:18 pm

Ye Ek Londi(Slave Girl)  Thee(n), Ibtida e Islam Hi Me Islam Ki Haqqaniyat Ka Noor Inke Dil Me Chamak Utha. Aur Ye Islam Ke Daman Me Aagayen. Kuffaar e Makka Ne Inku Aysi Aysi DardNaak Takleefen Den Ke Agar Pahaad Bhi Inki Jagah Per Hota To Shayad Laraz Jata. Magar Is Paikar e Imaan Ke Qadam Nahi Dagmagaye. Khud Hazrath Umar RadiAllahuTa'alaAnhu Jab Tak Daman e Islam Me Nahi Aaye The Is Londi(Slave Girl) Ko Itna Marte The Ke Marte Marte Khud Thak Jate The. Magar Hazrath Lubaynah RadiAllahuTa'alaAnha Uff Nahi Karti Thee(n). Balke Nihayat Hi Jurrat O Isteqlal Ke Sath Kehti Thee(n) Ke Aye Umar! Tum Jitna Chaho Mujh Ghareeb Ko Marlo. Ke Agar Khuda Ke Sachche Rasool Per Imaan Nahi Laoge To Khuda Zaroor Tum Se Inteqaam Lega.
(Zarkhani, Jild 1,Safah:270)

Tabsira :

Hazrath Lubaynah RadiAllahuTa'alaAnha Ki Is Imaani Taqreer Ki Jahangiri To Dekho Ke Abhi Hazrath Lubaynah Ke Zakham Nahi Bhare The Ke Islam Ki Haqqaniyat Ne Hazrath Umar RadiAllahuTa'alaAnhu Ko Is Tarha Daboch Liya Ke Woh Be-Ikhtiyaar Daman e Islam Me Aagaye Aur Zindagi Bhar Apne Kiye Per Pachtate Rahe. Aur Hazrat Lubaynah Jaisi Ghareeb O Mazloom Londiyoun Ke Samne Sharm Se Sar Nahi Utha Sakte The Aur In Kamzoron Aur Ghareebon Se Mafi Manga Karte Yahan Tak Ke Hazrath Bilal RadiAllahuTa'alaAnhu Jinko Ko Yeh Garam Garam Jalti Huwi Reat Per Lita Kar Unke Seene Per Wazni Pathhar Rakha Huwa Dekh Kar Hiqarat Se Thokar Maar Kar Guzarte The. Thode Din Nahi Guzre Ke Ameer Ul Momineen Hote Huwe Apne Thakht E Shahi Per Baith Kar Ye Kaha Karte The Ke Sayyiduna Wa Moulana Bilal Yani Bilal To Hamare Sardaar Hain,Bilal To Hamare Aaqa Hain Aur Bilal Ki Surat Ko Kamal e Adab O Mohabbat Ke Sath Dekh Kar Zubaan e Haal Se Bhare Majmon Me Ye Kaha Karte The.

Badar Achcha Hai Falak Per Na Hilal Achcha Hai
Chasm e Bina Hoto Dono Se Bilal Achcha Hai.


Hazrath Bibi Sumay'yah RadiAllahuTa'alaAnha

1:30 pm

Ye Hazrath Am'mar Bin Yaasir Sahabi RAdiAllahuTa'alaAnhu Ki Walida Hain. Islam Lane Ki Wajah Se Makka Ke Kafiron Ne Inko Bahot Ziyada Sataya.

Ek Martaba Abu Jahel Ne Neza Taan Kar Inse Dhamka Kar Kaha Ke Tu Kalma Na Padh Warna Main Tujhe Yeh Neza Maronga. Hazrath Bibi Sumay'yah RadiAllahuTa'alaAnha Ne Sinah Taan Kar Zoor Zoor Se Kalma Padhna Shuru Kiya. Abu Jahel Ne Gusse Me Bhar Kar Inki Naaf Ke Niche Is Zoor Se Neza Mara Ke Woh Khoon Me Lat-Pat Ho Kar Gir Padee(n) Aur Shaheed Ho Gayee(n).
(Isti'ab, Jild :4,Safa:1863)

Tabsira :

Ye Ek JaanBaaz Musalmaan Awrat Ka Pehla Khoon Tha Jisse Khuda Ki Zameen Rangeen Ho Gayi. Magar Is Khoon Ki Garmi Ne Hazaaroon Mardon Aur Awraton Me Josh e Jihaad Ka Aysa Jazbah Paida Kar Diya Ke Badar O Uhad O Hunain Ka Maidaan Kuffaar Ka Qabrastaan Ban Gaya. Aur Makka O Khaibar Me Kufr O Shirk Ke Janglaat Kat Gaye Aur Har Taraf Islam Ka Bagh Phailne Phulne Laga.

(Jannati Zewer, Safa :389)

Hazrath Umme Umarah RadiAllahuTa'alaAnha

9:28 pm

Ye Jang e Ohad Me Apne Shohar Hazrath Zaid Bin Aasim Aur Apne Do Beton Hazrath Umarah Aur Hazarat Abdullah RadiAllahuTa'alaAnhum Ko Sath Lekar Maidaan e Jang Me Kood Paden. Aur Jab Kuffaar Ne Huzoor ﷺ Per Hamla Kar Diya. To Ye Ek Khanjar Le Kar Kuffaar Ke Muqabilah Me Khadi Ho Gayen. Aur Kuffaar Ke Teer O Talwaar Ke Har Ek Waar Ko Rokti Rahe(n). Yahan Tak Ke Jab Ibn e Qamay’yah Mal'oon Ne Rahmat e Aalam ﷺ Per Talwaar Chala Di To Hazrath Umme Amarah Ne Is Talwaar Ko Apne Peeth Per Rook Liya Chunanche Unke Khandhe Per Itna Gehra Zakham Laga Ke Ghaar Padh Gaya.Phir Khud Badh Kar Ibn Qamay’yah Ke Khandhe Per Zoor Se Talwaar Mari Ke Woh Do Tukde Ho Jata Magar Mal'oon Dohri Zarah Pehne Huwe Tha. Isliye Bach Gaya. Is Jang Me Bibi Umme Umarah Ke Sar o Gardan Per 13 Zakham Lage The.

Hazrath Bibi Umme Umarah Ke Farzand Hazrath Abdullah RadiAllahuTa'alaAnhu Ka Bayaan Hai Ke..
Mujhe Ek Kafir Ne Jang e Uhad Me Zakhmi Kar Diya. Aur Mere Zakham Se Khoon Band Nahi Hota Tha. Meri Walida Hazrath Umme Umarah RadiAllahuTa'alaAnha Ne Fouran Apna Kapda Phadh Kar Zakham Ko Bandh Diya. Aur Kaha Ke Beta Utho.. Khade Ho Jao.. Aur Phir Jihaad Me Maahghool Ho Jao.

Ittefaaq Se Wahi Kafir Samne Agaya To Huzoor ﷺ Ne Farmaya Ke Aye Umme Umarah Dekh Tere Bete Ko Zakhmi Karne Wala Yahi Hai. Ye Sunte Hi Hazrath Umme Umarah Ne Jhapat Kar Us Kafir Ki Taang Me Talwaar Ka Aysa Bharpoor Hath Mara Ke Woh Kafir Gir Pada. Aur Phir Chal Na Saka Balke Surain Ke Bal Ghaseethta Huwa Bhaga.
Ye Manzar Dekh Kar Rasool e Kareem ﷺ Hasn Pade. Aur Farmaya Ke Aye Umme Umarah Tu Khuda Ka Shukr Ada Kar Ke Usne Tujh Ko Itni Taqat Aur Himmat Ata Farmayi Ke Tune Khuda Ki Rah Me Jihaad Kiya.

Hazrath Umme Umarah RadiAllahuTa'alaAnha Ne Kaha Ke.. Ya RasoolAllah ﷺ Aap Dua Farmayen Ke Allah Ta'ala Ham Logon Ko Jannat Me Aap Ki Khidmatguzari Ka Sharf Ata Farmaye.Us Waqt Aapne ﷺ Unke Liye Aur Unke Shohar Aur Unke Beton Ke Liye Is Tarha Dua Farmayi Ke..

اللَّهُمَّ اجعلهم رفقائ في الجنة.
Ya Allah! In Sab Ko Jannat Me Mera Rafeeq Banade.

Hazrath Bibi Umme Umarah RadiAllahuTa'alaAnha Zindagi Bhar Eelaniya Ye Kehti Rahen Ke..
RasoolAllah ﷺ Ki Is Dua Ke Baad Duniya Me Badi Se Badi Musibat Bhi Mujh Per AaJaye To Mujh Ko Uski Koyi Parwah Nahi Hai.
(Madarijun Nabuwwat, Jild 2,Safa:126)

Tabsira :

Hazrath Bibi Safiyah Aur Ansariya Awrat Aur Bibi Umme Umarah Ke Teeno(n) Waqi'a at Ko Padh Kar Gour Karo Ke Madar-eIslam Ki Aaghosh Me Kaisi Kaisi Shair Dil Aur Bahaddur Awraton Ne Janam Liya Hai. In Bahaddur Khawateen e Islam Ke Karnamon Ko Gardish e Lail O Nahaar Qayamat Tak Kabhi Nahi Mita Sakti. Inke Sino(n) Me Pathhar Ki Chattaano(n) Se Ziyadah Mazboot Dil Tha Jisme Islam Ki Hararat Ka Josh Aur Muhabbat e Rasool Ki Aysi Masti Bhari Huwi Thi Ke Kuffaar Ke Lashkaron Ka Dal Ba Dal Unki Nazron Me Makkhiyoun Aur Maccharon Ka Jhond Nazar Aata Tha.

Aur Unke Dilon Me Sabr O Isteqamat Ka Aysa Samandar Lehren Maar Raha Tha Ke Uske Tufaan Me Badi Badi Musibaton Ke Pahad Pash Pash Ho Jaya Karte The.
 Magar Afsoos..! Ke Aaj Kal Ki Musalmaan Awraton Ke Dilon Me Muhabbat e Rasool Ka Charagh Is Tarha Bujh Gaya Hai Ke..
Islaam Ka Josh, Eemaan Ka Jazba, Muhabbat e Rasool Ki Masti, Jihaad Ka Nasha Sab Kuch Gharat Ho Gaya.
Aur Duniya Ki Muhabbat Aur Zindagi Ki Hawas Ne Badan Ke Rongte Rongte Me Khouf o Hiraas Aur Buzdili Ki Aysi Aandhi Chala Di Hai Ke Kuffaar Ke Muqabilah Me Har Musalmaan Awrat Rone Aur Girdhgidha Ne Ke Siwa Kuch Kar Hi Nahi Sakti. Aye Musalmaan Awraton Tum In Jaanbaaz Aur Sarfarosh Jihaad Karne Wali Awraton Ke Jazba e Imaani Aur Josh e Islami Se Sabaq Sikho. Tum Bhi Musalmaan Awrat Ho. Agar Kuffaar Ka Muqabila Ho To Apni Jaan Per Kheel Kar Aur Sar Hatheli Per Rakh Kar Kuffaar Se Ladhte Huwe Jaam e Shahadat Pi Lo. Aur Jannatul Firdose Me Pahonch Jao.

Khabardaar Khabardaar..! Kuffaar Ke Aage Rote Girgidhate Huwe Aur Raham Ki Bheek Mangte Huwe Buzdili Ki Mout Hargiz Na Maro. Aur Yaad Rakho Ke Waqt Se Pehle Hargiz Mout Nahi Aa Sakti. Lihaza Dar, Khouf Aur Hiraas O Buzdili Se Mout Nahi Tal Sakti. Isliye Bahaddur Bano. Shair Dil Bano Aur Bibi Safiyah Aur Bibi Umme Umarah Aur Bibi Ansariya Ki Mujahidana Sarfaroshiyoun Ka Kirdaar Pesh Karo.!

(Jannati Zewer, Safah :387,388)



Ek Ansariya Awrat RadiAllahuTa'alaAnha

1:12 pm

Madine Ki Ek Awrat Jo Ansaar Ke Qabile Ki The(n). Unko Ye Ghalat Khabar Phonchi Ke RasoolAllah ﷺ Jang e Ohad Me Shadeed Ho Gaye. To Yeh Beqarar Ho Kar Ghar Se Nikal Padeen Aur Maidaan e Jang Me Pahonch Gayen. Wahan Unko Logon Ne Bataya Ke Aye Awrat..! Tere Baap Aur Bhai Teeno(n) is Jang Me Shaheed Ho Gaye.
 Ye Sun Kar Usne Kaha Ke Mujhe Ye Batao Ke Pyare Rasool ﷺ Ka Kya Haal Hai.
Jab Logon Ne Bataya Ke Huzoor Agarche Zakhmi Ho Gaye Magar Alhamdulillah Zindah Salamat Hain. To Be-Ikhtiyaar Uski Zubaan Se Is Sheer Ka Mazmoon Nikal Pada Ke..!

Tasalli Hai Panahe Be-Kasaan Zinda
 Salamat Hai
Koyi Parwah Nahi Sara Jahan Salamat Hai.

Allahu Akbar... Is Sheer Dil Aur Bahaddur Awrat Kya Kehna..?
Baap aur Bhai Shohar Teenon Ke Qatal Ho Jane Se Sadmaaat Ke 3,  3 Pahaad Dil Per Gir Pade Hain. Magar Muhabbat e Rasool Ke Nashe Me Uski Masti Ka Ye Aalam Hai Ke Zabaan E Haal Se Ye Naara Uski Zaban Per Jari Hai Ke..

Main Bhi Aur Baap Bhi Shohar Bhi Biradar Bhi Fida
Aye Shahe Deen Tere Hote Huwe Kya Cheez Hai Ham.

(Tibri, Safah:1425)

Hazrath Safiyah Bint Abdul Mutallib RadiAllahuTa'alaAnha

7:02 pm

Ye Hamare Rasool Akram ﷺ Ki Phuphi Aur Jannati Sahabi Hazrath Zubair Bin Awaam RadiAllahuTa'alaAnhu Ki Walida Hain. Ye Bahut Sheer Dil Aur Bahaddur Khatoon Hain. Jang e Khandaq  Ke Mouqe Per Tamam Mujahideen e Islam Kuffaar Ke Muqabilah Me Saf Bandi Karke Khade The Aur Ek Mahfooz Maqaam Per Sab Awraton Aur Bachchon Ko Ek Purane Qilah Me Jam'a Kar Diya Gaya Tha Achanak Ek Yahudi Talwaar Le Kar Qilah Ki Diwaar Phaandte Huwe Awraton Ki Taraf Badha. Is Mouqe Per Hazrath Safiyah RadiAllahuTa'alaAnha Akeli Us Yahudi Per Jhapat Kar Pahonchen Aur Khaymah Ki Ek Choob Utha Kar Is Zoor Se Us Yahudi Ke Sar Per Mara Ke Uska Sar Phat Gaya Aur Woh Talwaar Liye Huwe Chakra Kar Gira Aur Mar Gaya.
Phir Usi Ki Talwaar Se Uska Sar Kaat Kar Baher Phenk Diya Ye Dekh Kar Jitne Yahudi Awraton Per Hamla Karne Ke Liye Qilah Ke Baher Khade The Bhaag Nikle.

Isi Tarha Jang e Uhad Me Jab Musalmanon Ka Lashkar Bikhar Gaya. Ye Akeli Kuffaar Per Neeza Chalati Rahe(n) Yahan Tak Ke Huzoor ﷺ Ko Inki Be-Panah Bahadduri Per Shakht Ta'ajuub Huwa Aur Aapne Inke Farzand Hazrath Zubair RadiAllahuTa'alaAnhu Se Farmaya Ke..
Aye Zubair..! Apni Maa Aur Meri Phupi Ki Bahadduri To Dekho Ke Bade Bade Bahaddur Bhaag Gaye. Magar Chattan Ki Tarha Kuffaar Ke Narghe Me Dati Huwi Akeli Ladh Rahi Hai(n).

Isi Tarha Jang e Uhad Me Huzoor ﷺ Ke Chacha Hazrath Sayyadus Shohdah Ameer Hamza RadiAllahuTa'alaAnhu Shaheed Ho Gaye. Aur Kafiron Ne Unke Kaan, Naak Kaat Kar Aur Aankhen Nikaal Kar Shikam Chaak Kar Diya. To Huzoor ﷺ Ne Hazrath Zubair RadiAllahuTa'alaAnhu Ko Man'a Kar Diya Ke..
Meri Phuphi Hazrath Safiyah Ko Mere Chacha Ki Lash Per Mat Aane Dena Warna Woh Apne Bhai Ki Laash Ka Ye Haal Dekh Kar Ranj O Gham Me Doob Jayegi. Magar Hazrath Safiyah RadiAllahuTa'alaAnha Dandanati Huwi Laash Ke Pass Pahonch Gayi(n). Aur Huzoor ﷺ Se Ijazat Le Kar Laash Ko Dekha To
لا إلهَ إلا أنتَ سُبْحَانَكَ إِنِّي كُنْتُ مِنَ الظّالِمِيْنَ
PAdha Aur Kaha Ke Main Khuda Ki Rah Me Isko Koyi Badi Qurbani Nahi Samajhti. Phir Maghfirat Ki Dua Mangte Huwe Wahan Se Chali Aayee(n).

20 Sane Hijri Me Tehattar Bars Ki Umr Pa Kar Madine Me Wafaat Payi Aur Jannatul Baqi Me Madfoon Huwe(n).

(Zarqani, Jild 3,Safa 287)

Hazrath Fatimah RadiAllahuTa'alaAnha

9:20 am

Ye Huzoor Shahensha e Konain ﷺ Ki Sab Se Choti Magar Sabse Ziyadah Chahiti Aur Ladli Shahzadi Hain. Inka Naam Fatimah Aur Laqab Zahra O Batool Hai. Allahu Akbar..! Inke Fazail Aur Manaqib Aur Inke Darjaat O Maratib Ka Kya Kehna?
Hadeeson Me Ba Kasrat Inke Fazail Aur Buzurgiyoun Ka Zikr Hai.

2 Sane Hijri Me Hazrath Ali Shair E Khuda RadiAllahuTa'alaAnhu Se Unka Nikah Huwa. Aur Inke Shikam e Mubarak Se Teen Sahebzadagaan Hazrath Imam Hasan O Hazrath Imam Hussain O Hazrath Imam Mohsin Aur Teen Sahebzadiyan Zainab O Umme Kulsum O Ruqayyah RadiAllahuTa'alaAnhum O Anhunna Paida Huwen.

Hazrath Mohsin O Ruqayyah Bachpan Hi Me Wafat Pagayen.

Hazrath "Umme Kulsum"  Ki Shadi Ameer ul Momineen Hazrat Umar RadiAllahuTa'alaAnhu Se Huwi. Jinke Shikam e Mubarak Se Ek Farzand Hazrath Zaid  Aur Ek Sahebzadi Hazrath e Ruqayyah Ki Paidaish Huwi.

Aur Hazrat "Zainab"  Ki Shadi Hazrath Abdullah Bin Jafar RadiAllahuTa'alaAnhu Se Huwi. Jinke Farzand "Aoun" O "Muhammad" Karbala Me Shaheed Huwe. Huzoor E Akram ﷺ Ke Wisaal Ke 6 Mah Baad 13 RamZan 11 Sane Hijri Mangal Ki Raat Me Aap Ki Wafat Huwi Aur Jannatul Baqi Me Madfoon Huwen.
(Madarijun Nabuwwat, Jild :1,Safa:461,Wagaira Zarqani, Jild :3,Safa :200)

Hazrath Umme Kulsum RadiAllahuTa'alaAnha

8:07 pm

Ye Bhi Pehle Abu Lahab Ke Dosre Bete Utaybah Se Biyahi Gayi Thi. Magar Surah Tabbat Yada Me Abu Lahab Ki Burayi Sun Kar Utaybah Is Qadr Taish Me Agaya Ke Usne Gustakhi Karte Huwe Huzoor ﷺ Per Jhapat Kar Aapke Pairahan Shareef Ko Phaad Dala. Aur Hazarat Umme Kulsum Ko Talaq Dedi.

Huzoor ﷺ Ke Qalb e Nuzuk Per Is Ghustakhi Aur Be-Adbi Se Intehayi Sadama Guzra. Aur Josh e Gham Me Aap Ki Zubaan Se Be-Ikhtiyaar Ye Alfaaz Nikal Gaye.

"Ya Allah Apne Kutton Me Se Kisi Kutte Ko Musallat Farma De".

Is Dua e Nabi Ka Ye Asar Huwa Ke Mulk e Shaam Ke Raste Me Ye Khafile Ke Beech Me Soya Tha Aur Abu Lahab Qafila Walon Ke Sath Pe'hra De raha Tha. Magar Achanak Ek Sheer Aaya Aur Utbah Ke Sar Ko Chaba Gaya. Aur Woh Mar Gaya.

Hazrath Ruqayyah RadiAllahuTa'alaAnha Ki Wafat Ke Baad Huzoor ﷺ Ne 3 Hijri Me Hazrath Umme Kulsum RadiAllahuTa'alaAnha Ka Nikah Hazrath Usman Ghani RAdiAllahuTa'alaAnhu Ke Sath Kar Diya. Magar Inke Shikam e Mubarak Se Koi Awlaad Nahi Huwi.

9 Sane Hijri Me Hazrath Umme Kulsum RadiAllahuTa'alaAnha Ki Wafat Huwi. Huzoor ﷺ Ne Inki Namaaz e Janaza Padhayi Aur Madina e Munawwara Ke Qabrastaan Jannatul Baqi Me Inko Dafan Farmaya.
(Zarqani, Jild :3, Safa :200)

Hazrath Ruqayyah RadiAllahuTa'alaAnha

2:35 pm

A'laan e Nabuwwat Se Saat (7) Bars Qabl Jab Ke Huzoor ﷺ Ki Umr Shareef Ka Tainteeswan (33) Saal Tha Ye Makka e Mukarrama Me Paida Huwe(n).

Pehle Inka Nikah Abu Lahab Ke Bete 'Utbah' Se Nikah Huwa Tha. Magar Abhi Ruksati Nahi Huwi Thi Ke "Surah Tabbat Yada" Nazil Huwi. Is Gusse Me Abu Lahab Ke Bete Utbah Ne Hazrath Ruqayyah RadiAllahuTa'alaAnha Ku Talaq Dedi. Iske Baad Huzoor ﷺ Ne Hazrath Usman Ghani RAdiAllahuTa'alaAnhu Se Nikah Kar Diya. Aur In Dono Miyan Biwi Ne Habsha Ki Taraf Phir Madine Ki Taraf Hijrat Ki Aur Dono Saahib ul Hijratain (Do Hijraton Wale) Ke Mua'azziz Laqab Se Sarfaraaz Huwe.

Jang e Badr Ke Dino(n) Me Hazrath Ruqayyah RadiAllahuTa'alaAnha Bahot Ziyadah Bimaar The(n). Chunanche, Huzoor ﷺ Ne Hazrath Usman Ghani RAdiAllahuTa'alaAnhu Ko Unki Teemadari Ke Liye Madine Me Rehne Ka Hukm Dediya. Aur Jang e  Badr Me Jane Se Rok Diya. Hazrath Zaid Bin Haris RadiAllahuTa'alaAnhu Jis Din Jang e Badr Me Fath Mubeen Ki Khushkhabri Le Kar Madina Pahonche Usi Din Bibi Ruqayyah RadiAllahuTa'alaAnha Ne Bees(20) Bars Ki Umr Pa Kar Madine Me Inteqaal Kiya. Huzoor ﷺ Jang e Badr Ki Wajah Se Inke Janaze Me Shareek Na Ho Sake.

Hazrath Usmaan Ghani RAdiAllahuTa'alaAnhu Agarche Jang e Badr Me Shareek Nahi Huwe Magar Huzoor ﷺ Ne Inku Jang e Badr Ke Mujahideen Me Shumaar Farmaya. Aur Mujahideen Ke Barabar Maal e Ghanimat Me Se Hissa Bhi Ata Farmaya.

Hazrath Bibi Ruqayyah RadiAllahuTa'alaAnha Ke Shikam e Mubarak Se Ek Farzand Paida Huwe The. Jin ka Naam "Abdullah" Tha. Magar Woh Apni Walida Ki Wafat Ke Baad 4 Sane Hijri Me Wafat Pagaye. Bibi Ruqayyah RadiAllahuTa'alaAnha Ki Qabr Bhi Jannatul Baqi Me Hai.

(Zarqani, Jild :3,Safa :198)

Featured post

Sitamgaron Ka Bura Anjam

yazeed Ki Hilakat Ke Baad Ahle Hijaz O Yaman Aur Iraq O Khirasan Walon Ne To Hazrath Abdullah Bin Zubair Ke Hath Per Baiat Ki Aur Misr O Sh...