Hazrath Abu Hurairah رضي الله عنه Ne Kaha Ke ...
Rasool Allah ï·º Ne FArmaya Ke Batao Agar Tum Logon Me Kisi Ke Darwaze Per Naher(Canel/Channel) Ho Aur O Is Me Rozana Panch(5) Martaba Ghusl Karta Ho To Kya InKe Badan Per Kuch Mail Baqi RahJayega?
Sahaba e Karam Ne Arz Kiya Aysi Halat Me Uske Badan Per Kuch Bhi Mail Baqi Na Rahega.
Huzoor ï·º Ne Farmaya Bas Yahi Kaifiyat Hai Panchon Namazon Ki.Allah Ta'ala Inke Ke Sab Gunah Ko Mita Deta Hai.
(Bukhari , Muslim)
Hadees Shareef 2:
Hazrath AbuZar رضي الله عنه ne Farmaya Ke Ek Roz Sardi ke Mosam Me Jab Ke Darakhton ke Patte Gir Rahe The (Yani Pat-Jhad Ka Mosam Tha ) Huzoor ﷺ Baher Tashreef Le Gaye To Aap Ne Ek Darakht Ki Do Tehniyan Pakde(n) (Aur Unhe Hilaya) to Us Shakhon Se Patte Girne Lage.
Aap Ne Farmaya Aye AbuZar!
Hazrath AbuZar رضي الله عنه Ne Arz Kiya Hazir Hoon Ya RasoolAllah.
Aap ï·º Ne Farmaya Jab Musalmaan Banda Khalis Allah Ta'ala Ke Liye Namaaz Padhta Hai To Uske Gunah Is Tarha Jhad Jate HAin Jaisa Ke Ye Patte Darakht Se Jhad Rahe Hain.
(Ahmed)
Hadees Shareef 3:
Hazrath Salman رضي الله عنه Ne Kaha ke Myne Rasool e Kareem ﷺ ko Ye Farmate Huwe Suna Ke..
Jo Shakshs Fajar Ki Namaaz Ko Gaya Wo Imaan Ka Jhanda Le Kar Gaya.
Aur Jo Subh Sawere Bazaar ki Taraf Gaya To O Shaitan Ka Jhanda Le Kar Gaya.
(Ibn e Maja)
Hadees Shareef 4:
Hazrat Abdullah Bin Umru Bin Al-'Aas رضي الله عنهما Se Riwayat Hai Ke Nabi Kareem ﷺ Ne Ek Roz Namaaz Ka Zikr Kiya To Farmaya Ke ...
Jo Shakshs Namaaz Ki Pabandi Karega To Namaaz Uske Liye Noor Ka Sabab Hogi, Kamal-e-Imaan Ki Daleel Hogi Aur Qayamat Ke Din Bakshish Ka Zariya Banegi.
Aur Jo Namaaz Ki Pabandi Nahi Karega Uske Liye Na To Noor Ka Sabab Hogi Na Kamal-e-Imaan Ki Daleel Hogi Aur Na Bakshish Ka Zariya.Aur Qayamat Ke Din Qaroon, Firoon ,Haroon Aur Ubay bin Khalaf Ke Hamrah Hoga.
(Ahmed,Darmi, Baihaqi)
Hadees Shareef 5:
Hazrath Ali KaramAllahuTa'alaWajhu Ne Kaha Ke Huzoor ï·º Ne Mujh Se Farmaya Ke..
Aye Ali!
Teen (3) Kamon Me Dair (late) Na Karna.
Ek To Namaaz Ada Karne Me Jab Waqt Ho Jaye,
Dosre Janazah Me Jab Ke Wo Tayyar Ho Jaye,
Tesre Bewah Ke Nikah Me Jab Ke Uska Kufu Mil Jaye.
(Tirmizi)
Hadees Shareef 6:
Hazrat Anas رضي الله عنه Ne kaha Ke Rasulallah ﷺ Ne Farmaya Ke Ye Munafiq ki Namaaz Hai Ke Baithe Huwe Suraj ka Intezaar Karta hai Yahan Tak ke Jab Suraj Pila (yellow) Padh Jata Hai Aur Shaitan Ke Dono Singh ke Beech Me Aajata Hai To Khada Ho Kar Char Choonch Maar Leta Hai. Nahi Zikr Karta Us (Tang Waqt) Me Allah Ta'ala ka Magar Bahot Thoda..
(Muslim)
Hadees Shareef 7:
Hazrath Amr Bin Shuaib رضي الله عنهما Apne Dada Se Riwayat Karte Hain Unhone Kaha Ke Huzoor ﷺ Ne Farmaya ke Jab Tumhare Bachche Sath (7) Saal Ke Ho Jayen To Unko Namaaz Padhne Ka Hukm Do Aur Jab Das(10) Saal Ke Ho Jayen To Unko Maar Kar Namaaz Padhao. Aur Unke Sone Ki Jagahen Alaheda Karo.
(AbuDawood)
Zaruri Ittebah (NOTE) :
1. Aahistah Qur'an Padhne Me Itna Zaruri Hai Ke Khud Sune Agar Huroof Ki Tasheeh Ki Magar Is Qadar Aahistah Padha Ke Khud Na Suna To Namaaz Na Huwi.
(#BaharEShariat)
(#BaharEShariat)
2. Sajde Me Paon Ki Ek Ungli Ka Pait(Stomach) Zameen Se Lagna Shart Hai aur Har Paon Ki Teen Teen Ungliyoun Ka Pait(Stomach) Lagna Wajib, To Agar Kisi Ne Is Tarha Sajdah Kiya Ke Dono Paon Zameen Se Uthe Rahe To Namaaz Na Huwi.
(BaharEShariat)
(BaharEShariat)
3. Aksar Awraten Apni Nadani Se Farz Wajib Sab Namaazen Bagair Uzr Baith Kar Padhti Hain Unki Namaaz Nahi Hoti Isliye Ke Mardon Ki Tarah Awraton Per Bhi Khade Ho Kar Namaaz Padhna Farz Hai. Agar Kisi Bimari Ya Budhape Ki Wajah Se Kamzori Ho Gayi Hai Lekin Khadima Ya Lathi Ya Diwar Per Taik(support) Laga Kar Khadi Ho Sakti Hai To Farz Hai Ke Khadi Ho Kar Padhen. Yahan Tak Ke Agar Kuch Der Hi Ke Liye Khadi Ho Sakti Hai AgarChe Itna Hi Khadi Ho Kar Allahu Akbar Keh Le To Farz Hai Ke Khadi Ho Kar Itna Keh Le Phir Baith Jaye.
(BaharEShariat)
Aaj Kal Umuman Mard Bhi Zara Si Takleef Per Baith Kar Namaaz Padhna Shuru Kar Dete Hain Halanke Dair(Long time ) Tak Khade Ho Kar Idhar Udhar Ki Batein Kar Liya Karte Hain Unki Namaaz Nahi Hoti Isliye Ke Qiyaam Ke Bare Me Awrat Mard Ka Hukm Ek Hai.
4. Awrat Ne Itna Bareek Dupatta Oodh Kar Namaaz Padhi Ke Jisse Baal Ki Siyahi Chamakti Hai To Namaaz Na Hogi Jab Tak Ke Uske Uper Koi Aysi Cheez Na Oodhe Ke Jisse Baal Ka Rang Chup Jaye.
(BaharEShariat )