Shaan E Huzoor TajushShari'Ah

11:36 pm

Huzoor Tajush'Shari'ah Arbaab-E-Ilm-Wa-Daanish Ki Nazar Mei'n



Huzoor Mufti-E-Azam Aalam-E-Islam :
(Radi ALLAHU Ta'ala Anhu)

”AKHTAR MIYAN Ab Ghar Mein Baithne Ka Waqt Nahi, Yeh Log Jinki Bheed Lagi Huee Hai Kabhi Sukoon Se Baithne Nahi Dete, Ab Tum Is Kaam Ko Anjam do, Main Tumhare Supurd Kerta Hoon,

Logon se Mukhatib Hoker Mufti-e-Azam Ne Farmaya,

Aap Log Ab Akhtar Miyan Sallamahu Se Ruju Kiya Karein Unhe Mera Qayem Maqam Aur JaNasheeen Janein
(Mufti-e-Azam Aur Unke Khulfaa jild1 P152)


Huzoor Qutub-e-Madeenah :
Mujhe Mere Murshid Huzoor Aalahazrat Radi Allahu Anhu Se Jo Kuch Mila Un Khanwade Ke Shehzaado Moulana Ibrahim Raza khan Moulana Rehan Raza Khan 
Aur Moulana Akhtar Raza Khan ko Ataa Ker Diya 
(Qutub-e-Madeenah)

Huzoor Sayyad-ul-Olma :
Huzoor Sayyad-ul-Olma Mufti Shah Aal-e-Mustafa Barkati Marehrawi AlehiRehmah Ne Huzur TajushShariah Ko Jamee’a Salaasil Ki Ijazat Wa Khilaafat Ataa Farmaai Aur Duaa’n se Nawaza
(Mufti-e-Azam Aur Unke Khulfa P162)


Huzoor Mujahid-e-Millat Rehmatullah Alaihi :
Eik Saheb Ki Walida Huzoor Mujahid-e-Millat Se Mureed Hona Chahi to Aapne Farmaya,



Miyan Sarkar Aalahazrat AlehiRehma Ke Shehzade Hazrat Azhari Miyan Ki Moujoodgi Mein Aisa Kaise Ho Sakta Hain Ke Main Mureed Karoon Unhi Se Mureed Kerwaiye,



Dusari Riwayat Hai Ke Huzur Mujahid-e-Millat ne Farmaya Ke Main Hazrat Azhari Miyan Saheb Ke Samne Se Hoker Kaise Guzar Sakta Hoon

Akheer Kaar Pichhle Darwaze Se Hoker Andar Tashreef Le Gaye Aur Farmaye Ke Koi Tez Aawaz Mein Na Bole Ke Hazrat Azhari Miyan Tashreef Farma Hain Aahista Bolo Shehzade Qayam Farma Hain
( Raawi Hazrat Moulana Abdul Mustafa Hashmati Rudoli Shareef)

Qazi Shamsh-ul-Olma:
Eik Din Hum Tamam Talib-e-Ilm Hazrat Qazi Sham-ul-Olma Allama Shamsuddin Razvi Jounpuri Talmeez Huzur SadrusShariah AlehiRehma Ke Dars Mein Moujood The Aur Hazrat Padha Rahe The,

Eik Buzurg Sifat Insaan Tashreef Laaye, Qazi Saheb Ne Khade Hoker Unka Isteqbaal Kiya,

Aane Waale ko Apni Masnad Per Bithaya,

Aur Khud Muwaddab Ho Ker Baith Gaye

Us waqt Talba Ke Zehen-o-Dimagh Mein Kiya Ta’assur Ubhra? usko Main Nahi Bata Sakta,

Albatta Maine Mehsoos Kiya Qazi Saheb Jaisi Shakhsiyat ,,, Allah Allah Unki ilmi Shaan-o-Shoukat Ka Yeh Aalam Tha Ke Bade Bade Unke Saamne Tifl-e-Maktab Maloom Hote The Apne Asaataza Mein Se Kisi Se Daryaaft Kiya Ke Yeh Hazrat Koun Hain????

Unhone Farmaya,

” Yeh Azhari Miyan Qibla Hain”

(Moulana SHAMSHAD HUSSAIN RAZVI BADAYOON SHAREEF)


Huzoor Ahsan-ul-Olma:
14-15 Novembar 1984 Ko Marehrah Shareef Mein Urs-e-Qasimi Ke Taqreeb Mein Hazrat Ahsan-ul-Olma Moulana Mufti Sayed Hasan Miyan Barkati Sajjada Nasheen khanqah-e-Barkatiya Marehra Shareef Ne Jansheen-e-Mufti-e-Azam Ka Isteqbaal Qayem Maqam Mufti-e-Azam allama Azhari Zindabad Ke Naare Se Kiya Aur Majma-e-Kaseer Mein Olma Wa Mashayekh Aur DanishWaro Ki Moujoodgi Mein JaNasheen-e-Mufti-Azam Ko Yeh Keh Ker

Faqeer Aastana-e-Aaliya Qadriyah Barkatiya Nooriya Ke Sajjada Ki Haisiyat Se Qayem Maqam Mufti-e-Azam Allama Akhtar Raza Khan Saheb Azhari Ko Silsila-e-Qadriya Barkatiya Nooriya Ki Tamam Khilafat Wa Ijazat Se Mazoon Wa Majaz Kerta Hoon,

Poora Majma Sun Le

Tamam Barkati Bhai Sun Lein

Aur Yeh Olma-e-Kiram Jo Urs Mein Moujood Hai Is Baat Ke Gawaah Rahein

(Mufti-e-Azam Or Unke Khulfa P162)


Huzoor Mufassir-e-Azam Hind
Dr Abdul Naeem Azeezi Likhte Hain:..

Walid Majid Mufassir-e-Azam Hind Ne Apne Farzand Arjmand Ko Qabl-e-Faraghat ilm-e-Aalahazrat Ka JaNasheen Banaya Aur Eik Tehreer Bhi Inaayat Farmaai,

Bawajhe Ilaalat Yeh Tawaqqo Nahi Ke Ab Ziyada Zindagi ho, Zaroorat thi Ke Dusara Qayem Maqam Ho Lihaza Akhtar Raza Sallamahu Ko Qayem Maqam Wa JaNasheen-e-Aalahazrat Bana Diya Gaya Janasheeni Ka Amama Bandha Gaya Aur Ibaa Pehnaai Gayi

(Mahnama Aalahazrat or Mufti-e-Azam Aur Unke Khulfa P163)


Sadr-ul-Olma Allama Tehseen Raza Khan :
Al-Humdulillah Ke Hazrat Allama Azhari Miyan Sallamahu Ne Bawajood Gonaagu’n Masroafiyaat Aur Ilaalat-e-Taba iska(Al-Motaqid) Tarjuma Farmaya Ta Ke Uske Fayeda Aam Ho Jaye,

Iska Bil-istiaab Mutala to Main Na Ker Saka Magar Jasta Jasta Jo Maqamaat Meine Dekha Usse Badi Khushi Haasil Huee Ke Bahut Siles Aur Ba Muhawarah Tarjuma Kiya Hai

(Al-Motaqid p38) 


Shareh Bukhari Mufti Shareef-ul-Haq :
Hazrat Mufti Shareeful Haq Amjadi AlehiRehma Jo Taqreeban 11 Saal Tak Bareily Shareef Mein Huzur Mufti-e-Azam hind Ki Sarparasti Mein Fatawa Likhte Rahe Aur Jinhe Mufti-e-Azam Ki Umr hi Main Nayeb Mufti-e-Azam Kaha Aur Likha Jata Raha Unki Zubani Raqim-us-Sutoor Ne Kai Baar Unka Yeh Ta’assur Suna Ke “Hazrat Mufti-e-Azam hind ko Apni Zindagi Ke Aakhri 25 Saalo Mein Jo Maqbooliyat Wa Her Dil Azeezi Hasil Huee Woh Aap Ke Wisaal Ke Baad Azhari Miyan Ko Badi Tezi Ke Sath Ibtidaai Saalon hi Mein Haasil Ho Gayi Aur Bahut Jald Logon Ke Dilo Mein Azhari Miyan Ne Apni Jagah Banaa Li

( Allama Yaseen Akhtar Misbahi)




Allama Arshad-ul-Qadri 
Allah Ta’ala Ne Huzoor Azhari Miyan Ko Zabardast Maqbooliyat Di Hai,

Aisi Maqbooliyat to Dekhne Mein Nahi Aai,

Dekho to Sahi Ke Azhari Miyan Ko Mukhtalif Jagah Progaram Mein Jana Tha Ranchi Airport Per Utre Phir Bazariya Car Fulaa’n Jagah Pahunchna Tha Magar Ranchi Mein Unse Milne Ke Liye Hazaro Mai-Kasho’n Ki Bheed Jama Ho Gayi Thi,

Jab Ke Ranchi Mein Rukna Na Tha,

Sirf Wahaan Se Guzarna Tha,

Magar Aanan Fanan Mein Itne Logon Ka Jama Ho Jana Badi Baat Hai,

Maloom Hota Hai Ke Koi Dusari Makhlooq Logon Ke Kaano Tak Baat Pahuncha Deti Hai,

Aur Aanan Fanan Sub Jama Ho Jaate Hain,

( Raawi Mufti Aabid Hussain Noori)


Allama Mohummed Mushahid Raza Khan Hashmati :
Faqeer Haqeer Ne Kitab Banam “Tie Ka Masla”(Musannifa Huzur TajushShariah) BaGhour-O-Khoj Mutala Kiya Apne Dalayel Ke Lihaaz Se Woh Fatwa Kisi Ki Tasdeeq Ka Mohtaj Nahi Fir Bhi Imtishal-e-Amr Ke Liye Faqeer Tasdeeq Kerta Hai

( Tie Ka Malsa)



Allama Khawaja Muzaffar Hussain Razvi :
Hazrat TajushShariah Ne In Ahem Mubaahis Ka Siles Urdu Zubaan Mein Aisa Barjasta Tarjuma(Al-Motaqid) Farmaya Hai Ke Tarjuma Hi se mafhoom Waze Ho Jata Hai Uske Bawajood Ja Baja Paicheeda Masayel Ki Aisi Uqda Kashai Ki Hai Ke Be Ikhtiyaar Zubaan se Nikal Padta Hai Ke Yeh Aalahazrat Aur Mufti-e-Azam Ke Faiz Se TajushShariah Hi Ka Khaasa hai

(AlMotaqid =P46)



Allama Abdul Hakeem Sharaf Qadri :
Huzoor TajushShariah Se Hazrat Ke Rawabit Bahut Gehre The Safar-e-Pakistan Ke Mouqe Per Walid-e-Girami AlehiRehma Se Masayel-e-Shariya Per Sanjeeda Mahoul Mein Guftagu Hua Kerti Thi,

Hazrat Walid-e-Maajid Huzur TajushShraih Ke ilm-o-Fazl Fiqhi Baseerat Aur Hadees Daani Ke Motarif The

(BaRiwayat Doctor Sudedi)



Mufti-e-Azam Rajisthan :
Allah Rabbul Izzat Ne Hazrat Allama Mufti Akhtar Raza Qadri Azhari Madazillahul Aali Ko BeShumar Fazayel Aur Manaqib-e-Jaleelah Se Nawaaza hai,

Main aapke Ilm-o-Fazl Hizm-o-Ittiqa Tasneefi Fiqhi Tableeghi Khidmaat Se Bahut Mutaasir Hoon,

Arbi Adab Mein Aap Huzoor Hujjat-ul-Islaam Hazrat Allama AsShah Mufti Hamid Raza Khan Qadri Alehirehma Ke Par-to hain,

Neez Huzur Sayyudna Aalahazrat imam Ahmed Raza Qadri Bareilvi Ka Aap Per Khusoosi Faizan Hai Jiski Waaze Nazar Yeh Hai Ke “Asia Europe” Ki Buland Aahang Chotiyo Per Aap Ki Azmato Ke Parcham Lehra Rahe Hain,

Aur Aap Ki Ilmi Jalaalat Wa Shakhshi Wajaahat Ke Aage Bade Badon Ke Sar Khameeda Nazar aate Hain

( Ma’arif-e-Mufti-e-Azam RajisThan-P383)



Musannif Tasaaneef-e-Kaseerah Hazrat Allama Faiz Ahmed Owesi :
Hazrat TajushShariah Ne Al-Motaqid Ka Tarjuma Farmaya Faqeer Ne Sa’adat Samjh Ker Kitab-e-Mazkoor Ka Mutalaa Kiya,

Usse Se Faqeer Ilmi Tor se Khoob Mustafeed Huaa

Faqeer Yaqeen Or Nihayat Wasooq Se Arz Kerta Hai Ke Awaam Ke Liye to Aqayed Ke Muaamilat Mein Bila Shubah Yeh Tarjuma Shareef Rehbar Wa Haadi Hai Lekin Olma e kiram ke Liye Bhi Behtareen Dastawez hai

(Al-Motaqid-P52)


Mufti Abdul Lateef Saheb Qibla :
Faqeer Ne Kitab ka Urdu Tarjuma Kahin Kahin Se Mulahiza kiya,

Al-Humdulillah JaNasheen-e-Mufti-e-Azam hind TajushShariah Hazrat Allam Mufti Akhtar Raza Khan Qadri Madazillahul Aali Ne Badi Arq Rezi Se Yeh Tarjuma Farmaya Hai,

Yaqeenan Huzoor TajushShariah Her Hawale se Apne Aaba Wa Ajdaad Ke Sachche JaNasheen Hain,

Allah Ta’ala Unka Sayaa Ahlesunnat Per Daraaz Kare Aameen

(Almotaqid P-66)



Hazrat Allama Abdullah Khan Azeezi :
Hazrat Allama Wa Moulana Mufti Akhtar Raza Khan Azhari Saheb Qibla Madazillahul Aali JaNasheen-e-Huzur Mufti-e-Azam hind AlehiRehma Ke Risla-e-Mubarika Banam “Tie Ka Masla” ke Mutala Ka Sharaf Hasil Hua Huzur Mufti-E-Azam Ka Fatwa Aur Hazrat Musannif Allama Ke Dalayel Wa Baraheen Se Ahqar Ko Inshiraah-e-Sadr Hasil Huaa Ke Tie Ka Istemal Kerna NaJayez Wa Haram Hai Musalmano Ko Aihtaraz Kerna Chahiye

(Tie Ka Masla P41)
.

Moulana Sayed Owes Mustafa Waasti :
Faqeer Qadri Ko JaNasheen-e-Mufti-e-Aazam hind Hazrat Allama Azhari Miyan Saheb Qibla Se Baraha Mulaqat Ka Sharf Hasil Hota Rehta Hai Yeh Mulaqat Wa Raabte Direenah Ta’alluqat Ke Bayes Hain Jo Khanqah-e-Bilgiraam Aur Khanqaah-e-Bareily Mein Hamesha Se Raha Hai,

Mousoof Ko Khaanwada-e-Razviyat Mein Woh Maqam Hasil Hai Ke TajushShariah Aur Qazi-ul-Quzaat Jaise Aala Khitaab se Yaad Kiye Jaate Hain

(Al-Motaqid-P43)


Allama AbunNasr Khalifa-e-Huzoor Qutub-e-Madinah :
Hazrat Allama Akhtar Raza Khan Saheb Khandan-e-Aalahazrat Ke Fazil Mohaqqiq Hain Jinke Faizan Se Eik Zamana Mustafeed Wa Mustafeez Ho Raha Hai Ab Ahlesunnat Ka Yeh Fareeza Hai Ke Wo Is Kitab Ka Mutala Kar ke Usse Dusaro Tak Pahunchane ki koshish Karein
.
(Al-Motaqid-P55)



Mufti Naeem Akhtar Naqshbandi Lahori :
Huzoor Mufti Akhtar Raza Saheb Ka Ilmi Maqam Ka Kiya Kehna Iss Kitab Ke Baare Mein Sirf Itna Kahunga Ke Yeh Kitab Hazrat Ke Arbi Adab Per Maharat Ki Daleel Hai,

Aur Yeh Kitab Sabit Kerti Hai Ke Aap Waqa’ee JaNasheen-e-Mufti-e-Aazam Hain

(Al-Motaqid-P58)



Allama Syed Alvi Maliki :
JaNasheen-e-Mufti-e-Azam Allama Mohummed Akhtar Raza Khan Azhari Qadri Bareilvi Damat Barakatuhumul Qudsiya 1988 Mein Jab Hajj-o-Ziyarat Ke Liye Tashreef Le Gaye to Allama Syed Mohummed Alvi Maliki Ne Apni Tasneef Kerda Kitabein Inayat Farmaai Aur Bahut hi Qadr-o-Manzilat Ke Nazar se Dekha,

Imam Ahmed Raza Qadri Bareilvi Ke Pote hone ki Haisiyat e Aur Huzur Mufti-e-Aazam KeJaNasheen Ki Wajeh se Bahut Izzat Afzaai Farmaai Aur Duaaiya Kalimat se Nawaza

(Mufti-e-Azam Or Unke Khulfa p-517)



Mahir-E-Razviyat Hazrat Allama Prof Mas’ood Ahmed Mazhari :
Us Imam Ahmed Raza Ke JaNasheen Unke Parpote Allama Akhtar Raza Khan Azhari Hain Bade Muttaqi Aur Aalim-e-Ba-Amal,

1983 mein Pakistan Tashreef Laaye,

Az-Raah-e-Karam Ghareeb Khane Per Bhi Tashreef Laaye,

Eik Arbi Naat Ki Farmaaish ki,

Qalam Bardashta Ussi Waqt Likh Di,

Usse Andaza Hota Hai Ke Arbi Zubaan ne Imam Ahmed Ke Gharane Mein Ghar Ker Rakha Hai Yeh Ussi Gharane Ka Imtiyaaz-e-Khaas Hai

(Ujala-p26)



Shaikh Abu Bakar Qadri Kerla :
Samahatul Mufqi Hazrat Allama Shaikh Mufti Mohummed Akhtar Raza Khan Qadri Al-Azhari Saheb Ki Shakhsiyat Aalam-e-Islaam Mein Markazi Haisiyat Rakhti Hai, Aap Imam AhleSunnat Mujaddid-e-Aazam Ki Masnad Ke Sachche JaNasheen Aur Qabil-e-Aitamaad Mufti Hain,

Aap Ne Jamiatur Raza Bareily Shareef Mein Qayem Kerke Ahlesunnat Per Ahsaan-e-Azeem Farmaya,

( Taqreer Urse Razvi)



Allama Mohummed Ghufraan Siddiquie America :
Faqeer Haqeer Aaj Aastana-e-Razvia Hazir Hua To Huzur Janasheen-e-Sarkar Mufti-e-Azam Radi Allahu Anhu Sarkar Mufti-e-Azam Ahlesunnat Hazrat Allama Azhari Miyan Saheb Damat BarakatuhumulAali Ne Fatwa Tie Ke Muta’alliq Ataa Farmaya,

Haqeeqat Yeh Hai Ke Hazrat Ne “ENCYLPEDIA GROLIER” ki Asal photo state Copy deker Ahle Islam Per Hujjat Qayem Kerdi Hai Aur Fir Shar’ee Haisiyat Se Jo Hukm Farmaya Hai Woh Aapka hi Hissa Hai,

Moula Ta’ala Ahle Islam Ko Apna Zahir Or Batin Apne Sarkaron Ki Tarah Banane Ki Toufiq Or Himmat Ataa Kare,

(Tie Ka Masla-P36)






You Might Also Like

0 comments

Featured post

Sitamgaron Ka Bura Anjam

yazeed Ki Hilakat Ke Baad Ahle Hijaz O Yaman Aur Iraq O Khirasan Walon Ne To Hazrath Abdullah Bin Zubair Ke Hath Per Baiat Ki Aur Misr O Sh...