Hazrath Umme Sulaym RadiAllahuTa'alaAnha

8:26 pm

Ye Hamare Pyare Nabi ﷺ Ke Sabse Pyare Khadim Hazrath Anas Bin Malik RadiAllahuTa'alaAnhu Ki Maa Hain. Inke Pehle Shohar Ka Naam Malik Tha. Bewah Ho Jane Ke Baad Inka Nikah Hazrath Abu Talha Sahabi RadiAllahuTa'alaAnhu Se Ho Gaya. Ye Rishte Me Ek Tarha Se RasoolAllah ﷺ Ki Khalah Hoti Thi(n). Aur Inke Ek Bhai Huzoor AlaihisSalatoSalam Ke Sath Ek Jihaad Me Shaheed Ho Gaye The.

In Sab Baton Ki Wajah Se RasoolAllah ﷺ In Per Bahot Meharbaan The Aur Kabhi Kabhi Inke Ghar Bhi Tashreef Le Jaya Karte The.

Bukhari Shareef Waghaira Me Inka Ek Bahot Hi Nasihat Aamooz Aur Ibrat Khaiz Waqi'a Likha Huwa Hai. Aur Woh Ye Hai Ke Hazrath Umme Sulaym Ka Ek Bachcha Bimaar Tha. Jab Hazrath Abu Talha RadiAllahuTa'alaAnhu Subh Ko Apne Kaam Dhande Ke Liye Baher Jane Lage To Us Bachche Ka Saans Bahot Zoor Zoor Se Chal Raha Tha. Abhi Hazrath Talha Makan Per Nahi Aaye The Ke Bachche Ka Inteqaal Ho Gaya.

Hazrath Bibi Umme Sulaym Ne Socha Ke Din Bhar Ke Thake Mande Mere Shohar Makan Per Aayenge Aur Bachche Ke Inteqaal Ki Khabar Sunenge To Na Khana Khayenge Na Aaraam Kar Sakenge.

Isliye Inhone Bachche Ki Lash Ko Ek Alag Makan Me Lita Diya Aur Kapda Udha Diya Aur Khud Rozanah Ki Tarha Khana Pakaya, Phir Khoob Achche Tarha Bano Singaar Karke Baith Kar Shohar Ke Aane Ka Intezaar Karne Lageen.

Jab Hazrath Abu Talha Raat Ko Ghar Me Aaye To Pucha Ke Bachche Ka Kya Haal Hai..!
To Bibi Umme Sulaym Ne Keh Diya Ke Ab Uska Saans Tehar Gaya Hai.
Hazrath Abu Talha Mutamain Ho Gaye. Aur Unhone Ye Samjha Ke Saans Ka Khinchao Tham Gaya Hai. Phir Fouran Hi Khana Samne Aagaya Aur Unhone Shikam Sair Ho Kar Khana Khaya. Phir Biwi Ke Banao Singaar Ko Dekh Kar Unhone Biwi Se Sohbat Bhi Ki Jab Sab Kamon Se Farigh Ho Kar Bilkul Hi Mutamain Ho Gaye. To Bibi Umme Sulaym Ne Kaha Ke..
Aur Mere Pyare Shohar...! Mujhe Ye Mas'ala Batayiye Ke Agar Hamare Pass Kisi Ki Koi Amanat Ho. Aur Woh Apni Amanat Hamse Le Le. To Kya Ham Ko Bura Maanne Ya Naraaz Hone Ka Koi Haq Hai?

Hazrath Abu Talha Ne Farmaya Ke Hargiz Nahi.
Amanat Wale Ko Uski Amanat Khushi Khushi De Deni Chahiye.

Shohar Ka Ye Jawaab Sun Kar Hazrath Umme Sulaym Ne Kaha..
Aye Mere Sar Taaj..!
Aaj Hamare Ghar Me Yahi Mamla Pesh Aaya Ke Hamara Bachcha Jo Hamare Pass Khuda Ki Ek Amanat Tha Aaj Khuda Ne Apni Amanat Le Li Aur Hamara Bachcha Mar Gaya!
Biwi Ne Kaha Ke "Ji Haan".
Hazrath Abu Talha Ne Farmaya Ke Tumne To Kaha Tha Ke Uske Saans Ka Khinchao Tham Gaya Hai.
Biwi Ne Kaha Ke Ji Haan Marne Wala Khahan Saans Leta Hai.

Hazrath Abu Talha Ko Behad Afsoos Huwa Ke Haye..! Mere Bachche Ki Lash Ghar Me Padi Rahi Aur Maine Bhar Pait Khana Khaya Aur Sohbat Bhi Ki.
Biwi Ne Apna Khayal Zahir Kar Diya Ke Aap Din Bhar Ke Thake Huwe Ghar Aaye The,Main Fouran Hi Agar Bachche Ki Mout Ka Haal Keh Deti To Aap Ranj O Gham Me Doob Jate Na Khana Khate Na Aaraam Karte Isliye Maine Is Khabar Ko Chupaya.

Hazrath Abu Talha RadiAllahuTa'alaAnhu Subh Ko Masjid e Nabwi Me Namaaz e Fajr Ke Liye Gaye Aur Raat Ka Pura Majra Huzoor E Akram ﷺ Se Arz Kar Diya.

Aapne Hazrath Abu Talha Ke Liye Ye Dua Farmayi Ke Tumhare Raat Ki Is Sohbat Me Allah Ta'ala Khair O Barkat Ata Farmaye.

Is Dua e Nabawi Ka Ye Asar Huwa Ke Isi Raat Me Hazrath Bibi Umme Sulaym ke Hamal Tehar Gaya. Aur Ek Bachcha Paida Huwa Jiska Naam Abdullah Rakha Gaya. Aur In Abdullah Ke Beton Me Bade Bade Ulama Paida Huwe.

(Bukhari Shareef, Jild :1, Safa :174)

Tabsira :

MusalMaan Maaon Aur Behno..! Hazrath Bibi Umme Sulaym RadiAllahuTa'alaAnha Se Sabr KArna Sikho. Aur Shohar Ko Aaraam Pahonchane Ka Tariqa Aur Saleeqa Bhi Is Waqi'ah Se Zahin Nasheen Karo. Aur Dekho Ke Bibi Umme Sulaym Ne Kaisi Achchi Misaal De Kar Shohar Ko Tasalli Di.

Agar Har Aadmi Is Baat Ko Achchi Tarha Samajh Le To Kabhi Be Sabri Na Karega.

Aur Dekho Ke Sabr Ka Phal KhudaWande Kareem Ne Kitni Jaldi Hazrath Bibi Umme Sulaym Ko Diya Ke Hazrath Abdullah Ek Saal Pura Hone Se Pehle Hi Paida Ho Gaye,Aur Phir Unka Ghar Aalimon Se Bhar Gaya...!


You Might Also Like

0 comments

Featured post

Sitamgaron Ka Bura Anjam

yazeed Ki Hilakat Ke Baad Ahle Hijaz O Yaman Aur Iraq O Khirasan Walon Ne To Hazrath Abdullah Bin Zubair Ke Hath Per Baiat Ki Aur Misr O Sh...